zina kaar aurath wa mard mein se har ek ko sau(100) kode lagaao, un par Allah ki shariyath ki hadh jaari karte hoye tumhe hargiz taras na khaana chahiye, agar tumhe Allah par aur qayaamath ke din par imaan ho, un ki saza ke waqt, musalmaano ki ek jamaath maujoodh honi chahiye
zaani mard bajuz zaaniya ya mushrika aurath ke aur se nikaah nahi karta aur zina kaar aurath bhi bajuz zaani ya mushrik mard ke aur nikaah nahi karti, aur imaan waalo par ye haraam kar diya gaya
jo log paak daaman logo par zina ki tuhmath lagaaye, phir chaar gawaah na pesh kar sake, to unhe assi(80) kode lagaao aur kabi bhi un ki gawaahi qubool na karo, ye faasiq log hai
jo log apni biwiyo par badh-kaari ki tuhmath lagaaye aur un ka koyi gawaah bajuz khud un ki zaath ke na ho, to aise logo mein se har ek ka sabooth ye hai ke chaar martaba Allah ki qasam kha kar kahe ke wo saccho mein se hai
jo log ye bahuth bada buhtaan baandh laaye hai, ye bhi tum mein se hee ek gruh hai, tum ise apne liye bura na samjho, balke ye to tumhaare haq mein behtar hai, haan un mein se har ek shaqs par, itna gunaah hai jitna us ne kamaaya hai aur un mein se jis ne us ke bahuth bade hisse ko sar anjaam diya hai, us ke liye azaab bhi bahuth hee bada hai
agar Allah ta’ala ka fazl wa karam tum par dunya aur aaqirath mein na hota, to yaqinan tum ne jis baath ke char-che shuro kar rakhe thein, us baare mein tumhe bahuth bada azaab pahonchta
jab ke tum ose apni zabaano se naql dar naql karne lage aur apne mu se wo baath nikaalne lage, jis ki tumhe muth-laq qabar na thi, go tum ise halki baath samajhte rahe, lekin Allah ta’ala ke nazdeek wo bahuth badi baath thi
tum ne aisi baath ko sunte hee kyo na keh diya ke hamein aisi baath mu se nikaalni bhi laayeq nahi, ya Allah! tu paak hai, ye to bahuth bada buhtaan hai
jo log musalmaano mein be hayaayi phailaane ke aarzu mandh rehte hai, un ke liye dunya aur aaqirath mein dardnaak azaab hai, Allah sab kuch jaanta hai aur tum kuch bhi nahi jaante
agar tum par Allah ta’ala ka fazl aur us ki rehmath na hoti aur ye bhi ke Allah ta’ala badi shafaqqath rakhne wala meherbaan hai (to tum par azaab utar jaata)
imaan waalo! shaitaan ke qadam ba qadam na chalo, jo shaqs shaitaani qadmo ki pairvi kare, to wo to be hayaayi aur bure kaamo ka hee hukm karega aur agar Allah ta’ala ka fazl wa karam tum par na hota, to tum mein se koyi bhi kabi bhi paak saaf na hota, lekin Allah ta’ala jise paak karna chaahe kar deta hai aur Allah sab sunne wala aur sab jaane wala hai
tum mein se jo buzrugi aur kushaadgi waale hai, unhe apne qaraabat-daaro aur miskino aur muhaajiro ko, fi-sabilillah dene se qasam na kha leni chahiye, balke maaf kar dena aur dar guzar kar lena chahiye, kya tum nahi chaahte ke Allah ta’ala tumhaare qusoor maaf farma de? Allah qusuro ko maaf farmaane waala meherbana hai
qabees aurte qabees mardo ke laayeq hai aur qabees mard qabees aurto ke laayeq hai aur paak aurte paak mardo ke laayeq hai aur paak mard paak aurto ke laayeq hai, aise paak logo ke mutaalliq jo kuch bakwaas (buhtaan baaz) kar rahe hai wo un se bilkul bari hai, un ke liye baqshish hai aur izzath waali rozi
aye imaan waalo! apne gharo ke siva aur gharo mein na jaao jab tak ke ijaazath na le lo aur wahaan ke rehne waalo ko salaam na karlo, yahi tumhaare liye saraasar behtar hai, ta ke tum nasihath haasil karo
agar wahaan tumhe koyi bhi na mil sake to phir ijaazath mile baghair andar na jaao aur agar tum se laut jaane ko kaha jaaye to tum laut hee jaao, yahi baath tumhaare liye paakiza hai jo kuch tum kar rahe ho, Allala ta’ala qoob jaanta hai
haan ghair abaadh gharo mein jahaan tumhaara koyi fayeda ya asbaab ho, jaane mein tum par koyi gunaah nahi, tum jo kuch bhi zaaher karte ho aur jo chupaate ho Allah ta’ala sab kuch jaanta hai
musalmaan mardo se kaho ke apni nigaahe nichi rakhe aur apni sharam-gaaho ki hifaazath rakhe, yahi in ke liye pakizgi hai, log jo kuch kare Allah ta’ala sab se qabardaar hai
musalmaan aurto se kaho ke wo bhi apni nigaahe nichi rakhe aur apni ismath mein farq na aane de aur apni zeenath ko zaaher na kare sivaaye us ke, jo zaaher hai aur apne girebaano par apni odniyaa daale rahe aur apni araayesh ko kisi ke saamne zaaher na kare, sivaaye apne qaawind ke ya apne waalid ke ya apne qusur ke ya apne ladko ke ya apne qaawindh ke ladko ke ya apne bhaiyyo ke ya apne bhatijo ke ya apne bhaanjo ke ya apne mel jol ki aurto ke ya ghulaamo ke ya aise naukar chaakar mardo ke jo shehwath waale na ho ya aise baccho ke jo aurto ke parde ki baatho se muttale nahi, aur is tarah zor zor se pao maar kar na chale ke un ki poshida zeenath maloom ho jaaye, aye musalmano! tum sab ke sab Allah ki janaab mein tauba karo, ta ke tum najaath paao
tum mein se jo mard, aurath be nikaah ke ho, un ka nikaah kardo aur apne nek baqth ghulaam aur laundiyo ka bhi, agar wo muflis bhi honge to Allah ta’ala unhe apne fazl se ghani bana dega, Allah ta’ala kushaadgi wala aur ilm wala hai
aur un logo ko paak daaman rehna chahiye jo apna nikaah karne ka maqdoor nahi rakhte, yahaan tak ke Allah ta’ala unhe apne fazl se maal daar bana de, tumhaare ghulaamo mein se jo koyi kuch tumhe de kar azaadi ki tehreer karaani chaahe, to tum aisi tehreer unhe kar diya karo, agar tum ko un mein koyi bhalaayi nazar aati ho, aur Allah ne jo maal tumhe de rakha hai, us mein se unhe bhi do, tumhaari jo laundiya paak daaman rehna chahti hai, unhe dunya ki zindagi ke faayede ki gharz se badh-kaari par majboor na karo, aur jo unhe majboor karde, to Allah ta’ala un par jabar ke baadh baqsh dene waala aur meherbaani karne wala hai
Allah noor hai asmaano ka aur zameen ka, us ke noor ki misaal misl ek taaq ke hai jis mein chiraagh ho aur chiraagh sheeshe ki qandil mein ho aur sheesha misl chamakte hoye roushan sitaare ke ho, wo chiraagh ek ba barkath daraqth zaitoon ke tel se jalaya jata ho, jo daraqth na mashriqi hai na maghribi, khud wo tel qareeb hai ke aap hee roushni dene lage, agar che ose aag na bhi chuye, noor par noor hai, Allah ta’ala apne noor ki taraf rehnumaayi karta hai jise chaahe logo (ke samjhaane) ko ye misaale Allah ta’ala bayaan farma raha hai aur Allah ta’ala har cheez ke haal se ba qoobi waaqif hai
un gharo mein jin ke bulandh karne aur jin mein apne naam ki yaad ka Allah ta’ala ne hukm diya hai wahaan subaah wa shaam Allah ta’ala ki tasbih bayaan karte hai
aise log jinhe tijaarath aur qareed wa farooqth Allah ke zikr se aur namaaz ke qaayam karne aur zakaath adaa karne se ghaafil nahi karti, us din se darte hai, jis din bahuth se dil aur bahuth si aankhe ulat palat ho jayengi
us iraade se ke Allah unhe un ke amaal ka behetreen badhla de, balke apne fazl se aur kuch zyaadati ata farmaaye, Allah ta’ala jise chaahe be-shumaar roziya deta hai
aur kaafiro ke amaal misl us chamakti hoyi reth ke hai, jo chatel maidaan mein ho, jise pyaasa shaqs door se paani samajhta hai, lekin jab us ke paas pahonchta hai to, ose kuch bhi nahi paata, haan Allah ko apne paas paata hai jo us ka hisaab pura pura chuka deta hai, Allah bahuth jald hisaab kar dene waala hai
ya misl un andhero ke hai jo nihaayath gehre samandar ki tay mein ho, jise upar ta le ki maujo ne dhaanp rakha ho, phir upar se baadal chaaye hoye ho, algharz andheriyaa hai, jo upar ta le pay dar pay hai, jab apna haath nikaale to us se bhi qareeb hai ke na dekh sa ke aur (baath ye hai ke) jise Allah ta’ala hee noor na de, us ke paas koyi roushni nahi hoti
kya aap ne nahi dekha ke asmaano aur zameen ki kul maqlooq aur par phailaaye udne waale kul parindh Allah ki tasbih mein mashghool hai, har ek ki namaaz aur tasbih ose maloom hai, log jo kuch kare, us se Allah ba-qoobi waaqif hai
kya aap ne nahi dekha ke Allah ta’ala baadalo ko chalaata hai, phir unhe milaata hai, phir unhe tay ba tay kar deta hai, phir aap dekhte hai ke un ke darmiyaan mein se meh barsata hai, wahi asmaan ki jaanib se olo ke pahaad mein se ole barsata hai, phir jinhe chaahe un ke paas unhe barsaaye aur jin se chaahe un se unhe hata de, baadal hee se nikalne waali bijli ki chamak, aisi hoti hai ke goya ab aankho ki roushni le chali
tamaam ke tamaam chalne phirne waale jaandaaro ko Allah ta’ala hee ne paani se paida kiya hai, un mein se baaz to apne pet ke bal chalte hai, baaz do paao par chalte hai, baaz chaar paao par chalte hai, Allah ta’ala jo chahta hai paida karta hai, beshak Allah ta’ala har cheez par qaadir hai
aur kehte hai ke hum Allah ta’ala aur rasool par imaan laaye aur farma-bardaar hoye, phir un mein se ek firqa, us ke baadh bhi phir jaata hai, ye imaan waale hai (hee) nahi
kya un ke dilo mein bimaari hai? ya ye shak wa shuba mein pade hoye hai? ya unhe us baath ka dar hai ke Allah ta’ala aur us ka rasool un ki haq talfi na kare? baath ye hai ke ye log khud hee bade zaalim hai
imaan waalo ka qaul to ye hai ke jab unhe is liye bulaaya jaata hai ke Allah aur us ka rasool un mein faisla karde, to wo kehte hai ke hum ne suna aur maan liya, yahi log kamyaab hone waale hai
badi puqtagi ke saath Allah ta’ala ki qasme kha kha kar kehte hai ke aap ka hukm hote hee nikal khade honge, keh dijiye ke bas qasme na khaao(tumhaari) ita’ath (ki haqiqath) maloom hai jo kuch tum kar rahe ho, Allah ta’ala us se ba qabar hai
keh di jiye ke Allah ta’ala ka hukm maano, rasool Allah ki ita’ath karo, phir bhi agar tum ne ru gardaani ki, to rasool ke zimme to sirf wahi hai jo us par laazim kar diya gaya hai, aur tum par us ki jawaab dehi hai jo tum par rakha gaya hai, hidaayath to tumhe osi waqt milegi jab rasool ki ma teheti karo, suno rasool ke zimme to sirf saaf taur par pahoncha dena hai
tum mein se un logo se jo imaan laaye hai, aur nek amaal kiye hai, Allah ta’ala waada farma chuka hai ke, unhe zaroor zameen mein qalifa banayega, jaise ke un logo ko qalifa banaya tha, jo un se pehle thein aur yaqinan un ke liye un ke us deen ko mazboti ke saath muh-kam kar ke jama dega, jise un ke liye wo pasand farma chuka hai aur un ke us khauf wa qatar ko wo aman wa amaan se badal dega, wo meri ibaadath karenge, mere saath kisi ko bhi shareek na teh rayenge, us ke baadh bhi jo log na shukri aur kufr kare, wo yaqinan faasiq hai
ye qayaal aap kabi bhi na karna ke, munkir log zameen mein (idhar udhar bhaag kar) hamein hara dene waale hai, un ka asli thikaana to jahannam hai, jo yaqinan bahuth hee bura thikaana hai
imaan waalo! tum se tumhaari milkiyath ke ghulaamo ko aur unhe bhi jo tum mein se bulughath ko na pahonche ho (apne aane ki) teen waqto mein ijaazath haasil karni zaruri hai, namaaze fajr se pehle aur zuhar ke waqt jab ke tum apne kapde utaar rakhte ho aur eisha ki namaaz ke baadh, ye teeno waqt tumhaari (khalwath) aur parde ke hai, in waqto ke ma siva, na to tum par koyi gunaah hai aur na un par, tum sab aapas mein ek dosre ke paas ba-kasrath aane jaane waale ho(hee) Allah is tarah khol khol kar apne ehkaam tum se bayaan farma raha hai, Allah ta’ala pure ilm aur kaamil hikmath wala hai
aur tumhaare bacche bhi jab bulughath ko pahonch jaaye to, jis tarah un ke agle log ijaazath maangte hai, unhe bhi ijaazath maang kar aana chahiye, Allah ta’ala tum se isi tarah apni aayate bayaan farmata hai, Allah ta’ala hee ilm wa hikmath wala hai
badi budhi aurte jinhe nikaah ki ummid (aur qaahish hee) na rahi ho, wo agar apne kapde utaar rakhe to un par koyi gunaah nahi, bashart ye ke wo apna banaao singaar zaaher karne waaliya na ho, ta ham agar un se bhi ehtiyaath rakhe to un ke liye bahuth afzal hai aur Allah ta’ala sunta jaanta hai
andhe par langde par bimaar par aur khud tum par (muth-laqan) koyi harj nahi ke tum apne gharo se kha lo, ya apne baapo ke gharo se, ya apni maao ke gharo se ya apne bhaiyyo ke gharo se ya apni behno ke gharo se ya apne chachao ke gharo se ya apni phupiyo ke gharo se ya apne mamuo ke gharo se ya apni qalaao ke gharo se, ya un gharo se jin ki kunjiyo ke tum maalik ho, ya apne dosto ke gharo se, tum par us mein bhi koyi gunah nahi ke tum sab saath baith kar khana khao ya alag alag, pas jab tum gharo mein jaane lago, to apne ghar waalo ko salaam kar liya karo, dua e khair hai jo ba-barkath aur pakiza hai, Allah ta’ala ki taraf se naazil shuda, yo hee Allah ta’ala khol khol kar tum se apne ehkaam bayaan farma raha hai ta ke tum samajh lo
ba imaan log to wahi hai jo Allah ta’ala par aur us ke rasool par yaqeen rakhte hai aur jab aise maamle mein jis mein logo ke jama hone ki zarurath hoti hai, nabi ke saath hote hai, to jab tak aap se ijaazath na le kahi nahi jaate, jo log aise mauqe par aap se ijaazath le lete hai, haqiqath mein yahi hai jo Allah ta’ala par aur us ke rasool par imaan la chuke hai, pas jab aise log aap se apne kisi kaam ke liye ijaazath talab kare to aap un mein se jise chaahe ijaazath de de, aur un ke liye Allah ta’ala se baqshish ki dua maange, beshak Allah baqshne waala meherbaan hai
tum Allah ta’ala ke Nabi ke bulaane ko aisa bulaawa na karlo jaisa ke aapas mein ek dosre ko hota hai, tum mein se unhe Allah qoob jaanta hai jo nazar bacha kar chupke se, sarak jaate hai, suno, jo log hukme rasool ki muqaalifath karte hai, unhe darte rehna chahiye, ke kahi un par koyi zabardasth aafath na aa pade ya unhe dardnaak azaab na pahonche
agaah ho jaao ke asmaan wa zameen mein jo kuch hai sab Allah ta’ala hee ka hai, jis rawish par tum ho, wo ose ba-qoobi jaanta hai aur jis din ye sab us ki taraf lautaaye jayenge, us din un ko un ke kiye se wo qabardaar kar dega, Allah ta’ala sab kuch jaanne waala hai