osi Allah ki saltanath hai asamaano aur zameen ki, aur wo koyi aulaad nahi rakhta, na us ki saltanath mein koyi us ka saajhi hai, aur har cheez ko us ne paida kar ke ek munasib andaza tehra diya hai
un logo ne Allah ke siva jinhe apne maboodh tehra rakhe hai wo kisi cheez ko paida nahi kar sakte, balke wo khud paida kiye jaate hai, ye to apni jaan ke nuqsaan nafa ka bhi eqtiyaar nahi rakhte aur na mauth wa hayaath ke, aur na dubara ji uthne ke wo maalik hai
aur kaafiro ne kaha ye to bas khud osi ka ghada ghadaaya jhoot hai, jis par aur logo ne bhi us ki madad ki hai, dar asl ye kaafir bade hee zulm aur sar ta sar jhoot ke murtakib hoye hai
keh dijiye ke ose to us Allah ne utaara hai, jo asmaan wa zameen ki tamaam pushida baatho ko jaanta hai, beshak wo bada hee baqshne wala hai, meherbaan hai
aur unhone kaha ke ye kaisa rasool hai? ke khana khaata hai aur bazaaro mein chalta phirta hai, us ke paas koyi farishta kyo nahi bheja jaata? ke wo bhi us ke saath ho kar daraane wala ban jaata
ya us ke paas koyi qazaana hee daal diya jaata ya us ka koyi baagh hee hota jis mein se ye khaata aur un zaalimo ne kaha ke tum aise aadmi ke piche ho liye ho, jis par jaadu kar diya gaya hai
Allah ta’ala to aisa ba-barkath hai, ke agar chaahe to aap ko bahuth se aise baghaath inaayath farma de jo un ke kahe hoye baagh se bahuth hee behtar ho, jin ke niche nehre lehre le rahi ho aur aap ko bahuth se (pokhta) mahal bhi de de
aap keh dijiye ke kya ye behtar hai ya wo hameshgi waali jannath jis ka waada parhezgaaro se kiya gaya hai, jo un ka badhla hai aur un ke lautne ki asli jageh hai
aur jis din Allah ta’ala unhe aur sivaaye Allah ke jinhe ye pujte rahe, unhe jama kar ke puchega, ke kya mere un bandho ko tum ne gumraah kiya, ya ye khud hee raah se gum ho gaye
wo jawaab denge ke tu paak zaath hai, khud hamein hee ye zeba na tha, ke tere siva auro ko apna kaar-saaz banaate, baath ye hai ke tu ne unhe aur un ke baap dadaao ko aasudgiya ata farmaayi, yahaan tak ke wo nasihath bhula baithe, ye log thein hee halaak hone waale
to unhone to, tumhe tumhaari tamaam baatho mein jhutlaaya, ab na to tum mein azaabo ke pherne ki taaqath hai na madad karne ki, tum mein se jis jis ne zulm kiya hai, hum ose bada azaab chakayenge
hum ne aap se pehle jitne rasool bheje sab ke sab khaana bhi khaate thein aur bazaaro mein bhi chalte phirte thein aur hum ne tum mein se har ek ko dosre ki azmaayesh ka zariya bana diya, kya tum sabr karoge? tera rab sab kuch dekhne wala hai
aur jinhe hamaari mulaqaath ki tawaqqo nahi, unhone kaha ke hum par farishte kyo nahi utaare jaate? ya hum apni aankho se apne rab ko dekh lete? un logo ne apne aap ko hee bahuth bada samajh rakha hai aur saqth sarkashi karli hai
aur kaafiro ne kaha ke us par Qur’aan saara ka saara ek saath hee kyo na utaara gaya, isi tarah hum ne (thoda thoda kar ke) utara, ta ke us se hum aap ka dil qawi rakhe, hum ne ise teher teher kar hee pad sunaya hai
aur khaum Nuh ne bhi jab rasulo ko jhuta kaha, to hum ne unhe gharq kar diya aur logo ke liye unhe nishaane ibrath bana diya aur hum ne zaalimo ke liye dardnaak azaab muhiyya kar rakha hai
ye log us basti ke paas se bhi aate jaate hai, jin par buri tarah ki baarish barsaayi gayi, kya ye phir bhi ose dekhte nahi? haqiqath ye hai ke unhe mar kar ji uthne ki ummid hee nahi
(wo to kahiye) ke hum us par jame rahe, warna unhone to hamein hamaare mabudho se behka dene mein koyi kasar nahi chodi thi, aur ye jab azaabo ko dekhenge, to unhe saaf maloom ho jayega ke puri tarah raah se bhatka hoa kaun tha
kya aap ne nahi dekha ke aap ke rab ne saaye ko kis tarah phaila diya hai? agar chahta to, ose tehra hoa hee kar deta, phir hum ne aftaab ko us par daleel banaya
aur beshak hum ne ose un ke darmiyaan tarah tarah se bayaan kiya, ta ke wo nasihath haasil kare, magar phir bhi aksar logo ne sivaaye na shukri ke maana nahi
aur wahi hai jis ne do samandar aapas mein mila rakhe hai, ye hai meetha aur mazedaar aur ye hai khaari kadwa aur un duno ke darmiyaan ek hijaab aur mazbooth oot kardi
wo hai jis ne paani se insaan ko paida kiya, phir ose nasab wala aur susraali rishto wala kar diya, bila shuba aap ka parvardigaar (har cheez par) qaadir hai
ye Allah ko chohd kar un ki ibaadath karte hai, jo na to unhe koyi nafa de sa ke, na koyi nuqsaan pahoncha sa ke, aur kaafir to hai hee apne rab ke qilaaf (shaitaan ki) madad karne wala
us hamesha zinda rehne waale Allah ta’ala par tawakkal kare, jise kabhi mauth nahi aur us ki tareef ke saath pakizgi bayaan karte rahe, wo apne bandho ke gunaaho se kaafi qabardaar hai
wahi hai jis ne asmaano aur zameen aur un ke darmiyaan ki sab chizo ko che din mein paida kar diya hai, phir arsh par mustawi hoa, wo rahmaan hai, aap us ke baare mein kisi qabardaar se poch le
un se jab bhi kaha jaata hai ke rahmaan ko sajda karo, to jawaab dete hai ke rahmaan hai kya? kya hum ose sajda kare jis ka tu hamein hukm de raha hai aur us (tableegh) ne un ki nafrath mein mazeedh izaafa kar diya
aur osi ne raath aur din ko ek dosre ke piche aane jaane wala banaya, us shaqs ki nasihath ke liye, jo nasihath hasil karne ya shukr guzaari karne ka iraada rakhta ho
rahmaan ke (sacche) bandhe wo hai jo zameen par faruthni4 ke saath chalte hai aur jab be-ilm log un se baatein karne lagte hai to wo keh dete hai ke salaam hai
aur Allah ke saath kisi dosre maboodh ko nahi pukaarte aur kisi aise shaqs ko jise qatl karna Allah ta’ala ne mana kar diya ho, wo bajuz haq ke qatl nahi karte, na wo zeena ke murtakib hote hai aur jo koyi ye kaam kare, wo apne upar saqth wabaal layega
sivaaye un logo ke jo tauba kare aur imaan laaye aur nek kaam kare, aise logo ke gunaaho ko Allah ta’ala nekiyo se badal deta hai, Allah baqshne wala meherbaani karne wala hai
aur ye dua karte hai ke aye hamaare parvardigaar! tu hamein hamaari biwiyo aur aulaad se aankho ki thandak ata farma aur hamein parhezgaaro ka peshwa bana
keh dijiye ke agar tumhaari dua elteja (pukaarna) na hoti to mera rab tumhari muth-laq parvaah na karta, tum to jhutla chuke, ab an-qareeb us ki saza tumhe chimat jaane waali hogi