Back to Languages

Urdu - Chapter 25 - Al-Furqan

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Furqan 25:1

bahuth ba barkath hai wo Allah ta’ala jis ne apne bandhe par furqaan utaara, ta ke wo tamaam logo ke liye agaah karne wala ban jaaye

Verse 2 — Surah Al-Furqan 25:2

osi Allah ki saltanath hai asamaano aur zameen ki, aur wo koyi aulaad nahi rakhta, na us ki saltanath mein koyi us ka saajhi hai, aur har cheez ko us ne paida kar ke ek munasib andaza tehra diya hai

Verse 3 — Surah Al-Furqan 25:3

un logo ne Allah ke siva jinhe apne maboodh tehra rakhe hai wo kisi cheez ko paida nahi kar sakte, balke wo khud paida kiye jaate hai, ye to apni jaan ke nuqsaan nafa ka bhi eqtiyaar nahi rakhte aur na mauth wa hayaath ke, aur na dubara ji uthne ke wo maalik hai

Verse 4 — Surah Al-Furqan 25:4

aur kaafiro ne kaha ye to bas khud osi ka ghada ghadaaya jhoot hai, jis par aur logo ne bhi us ki madad ki hai, dar asl ye kaafir bade hee zulm aur sar ta sar jhoot ke murtakib hoye hai

Verse 5 — Surah Al-Furqan 25:5

aur ye bhi kaha ke ye to aglo ke afsaane hai jo us ne likha rakhe hai, bas wahi subah wa shaam us ke saamne pade jaate hai

Verse 6 — Surah Al-Furqan 25:6

keh dijiye ke ose to us Allah ne utaara hai, jo asmaan wa zameen ki tamaam pushida baatho ko jaanta hai, beshak wo bada hee baqshne wala hai, meherbaan hai

Verse 7 — Surah Al-Furqan 25:7

aur unhone kaha ke ye kaisa rasool hai? ke khana khaata hai aur bazaaro mein chalta phirta hai, us ke paas koyi farishta kyo nahi bheja jaata? ke wo bhi us ke saath ho kar daraane wala ban jaata

Verse 8 — Surah Al-Furqan 25:8

ya us ke paas koyi qazaana hee daal diya jaata ya us ka koyi baagh hee hota jis mein se ye khaata aur un zaalimo ne kaha ke tum aise aadmi ke piche ho liye ho, jis par jaadu kar diya gaya hai

Verse 9 — Surah Al-Furqan 25:9

qayaal to ki jiye! ke ye log aap ki nisbath kaisi kaisi baatein banaate hai, pas jis se khud hee behek rahe hai aur kisi tarah raah par nahi aa sakte

Verse 10 — Surah Al-Furqan 25:10

Allah ta’ala to aisa ba-barkath hai, ke agar chaahe to aap ko bahuth se aise baghaath inaayath farma de jo un ke kahe hoye baagh se bahuth hee behtar ho, jin ke niche nehre lehre le rahi ho aur aap ko bahuth se (pokhta) mahal bhi de de

Verse 11 — Surah Al-Furqan 25:11

baath ye hai ke ye log qayaamath ko jhoot samajhte hai aur qayaamath ke jhutlaane waalo ke liye hum ne bhadakti hoyi aag tayyaar kar rakhi hai

Verse 12 — Surah Al-Furqan 25:12

jab wo unhe door se dekhegi, to ye us ka ghusse se bhiparna aur dahaadna sunenge

Verse 13 — Surah Al-Furqan 25:13

aur jab ye jahannam ki kisi tang jageh mein mashke kas kar phek diye jayenge, to wahaan apne liye mauth hee mauth pukarenge

Verse 14 — Surah Al-Furqan 25:14

(un se kaha jayega) aaj ek hee mauth ko na pukaro, balke bahuth si amwaath ko pukaaro

Verse 15 — Surah Al-Furqan 25:15

aap keh dijiye ke kya ye behtar hai ya wo hameshgi waali jannath jis ka waada parhezgaaro se kiya gaya hai, jo un ka badhla hai aur un ke lautne ki asli jageh hai

Verse 16 — Surah Al-Furqan 25:16

wo jo chaahenge un ke liye wahaan maujoodh hoga, hamesha rehne waale, ye to aap ke rab ke zimme waada hai, jo qaabile talab hai

Verse 17 — Surah Al-Furqan 25:17

aur jis din Allah ta’ala unhe aur sivaaye Allah ke jinhe ye pujte rahe, unhe jama kar ke puchega, ke kya mere un bandho ko tum ne gumraah kiya, ya ye khud hee raah se gum ho gaye

Verse 18 — Surah Al-Furqan 25:18

wo jawaab denge ke tu paak zaath hai, khud hamein hee ye zeba na tha, ke tere siva auro ko apna kaar-saaz banaate, baath ye hai ke tu ne unhe aur un ke baap dadaao ko aasudgiya ata farmaayi, yahaan tak ke wo nasihath bhula baithe, ye log thein hee halaak hone waale

Verse 19 — Surah Al-Furqan 25:19

to unhone to, tumhe tumhaari tamaam baatho mein jhutlaaya, ab na to tum mein azaabo ke pherne ki taaqath hai na madad karne ki, tum mein se jis jis ne zulm kiya hai, hum ose bada azaab chakayenge

Verse 20 — Surah Al-Furqan 25:20

hum ne aap se pehle jitne rasool bheje sab ke sab khaana bhi khaate thein aur bazaaro mein bhi chalte phirte thein aur hum ne tum mein se har ek ko dosre ki azmaayesh ka zariya bana diya, kya tum sabr karoge? tera rab sab kuch dekhne wala hai

Verse 21 — Surah Al-Furqan 25:21

aur jinhe hamaari mulaqaath ki tawaqqo nahi, unhone kaha ke hum par farishte kyo nahi utaare jaate? ya hum apni aankho se apne rab ko dekh lete? un logo ne apne aap ko hee bahuth bada samajh rakha hai aur saqth sarkashi karli hai

Verse 22 — Surah Al-Furqan 25:22

jis din ye farishto ko dekh lenge, us din un gunehgaro ko koyi khushi na hogi aur kahenge ye mehroom hee mehroom kiye gaye

Verse 23 — Surah Al-Furqan 25:23

aur unhone jo jo amaal kiye thein, hum ne un ki taraf bad kar unhe para gandha zarro ki tarah kar diya

Verse 24 — Surah Al-Furqan 25:24

al-batta us din jannatiyo ka thikaana behtar hoga aur qaab-gaah bhi umda ho gi

Verse 25 — Surah Al-Furqan 25:25

aur jis din asmaan baadal sameth phat jayega aur farishte lagataar utaare jayenge

Verse 26 — Surah Al-Furqan 25:26

us din sahih taur par mulk sirf rahmaan ka hee hoga aur ye din kaafiro par bada bhaari hoga

Verse 27 — Surah Al-Furqan 25:27

aur us din zaalim shaqs apne haatho ko chaba chaba kar kahega, haay kaash ke main ne rasool (sallallahualaihiwasallam) ki raah eqtiyaar ki hoti

Verse 28 — Surah Al-Furqan 25:28

haay afsoos kaash ke main ne fala ko dosth na banaya hota

Verse 29 — Surah Al-Furqan 25:29

us ne to mujhe us ke baadh gumraah kar diya ke nasihath mere paas aa pahonchi thi aur shaitaan to insaan ko (waqt par) dagha dene wala hai

Verse 30 — Surah Al-Furqan 25:30

aur rasool kahega ke aye mere parvardigaar beshak meri ummath ne is Qur’aan ko chohd rakha tha

Verse 31 — Surah Al-Furqan 25:31

aur isi tarah hum ne har Nabi ke dushman baaz gunehgaaro ko bana diya hai aur tera rab hee hidaayath karne wala aur madad karne wala kaafi hai

Verse 32 — Surah Al-Furqan 25:32

aur kaafiro ne kaha ke us par Qur’aan saara ka saara ek saath hee kyo na utaara gaya, isi tarah hum ne (thoda thoda kar ke) utara, ta ke us se hum aap ka dil qawi rakhe, hum ne ise teher teher kar hee pad sunaya hai

Verse 33 — Surah Al-Furqan 25:33

ye aap ke paas jo koyi misaal layenge, hum us ka saccha jawaab aur umdah taujih1 aap ko bata denge

Verse 34 — Surah Al-Furqan 25:34

jo log apne mu ke bal jahannam ki taraf jama kiye jayenge, wahi badh-tar makaan waale aur gum-raahtar raaste waale hai

Verse 35 — Surah Al-Furqan 25:35

aur bil shuba hum ne Mosa(alaihissalaam) ko kitaab di aur un ke hamraah un ke bhai Haroon(alaihissalaam) ko un ka vazeer bana diya

Verse 36 — Surah Al-Furqan 25:36

aur keh diya ke tum duno un logo ki taraf jaao, jo hamari aayato ko jhutla rahe hai, phir hum ne unhe bilkul hee pamaal kar diya

Verse 37 — Surah Al-Furqan 25:37

aur khaum Nuh ne bhi jab rasulo ko jhuta kaha, to hum ne unhe gharq kar diya aur logo ke liye unhe nishaane ibrath bana diya aur hum ne zaalimo ke liye dardnaak azaab muhiyya kar rakha hai

Verse 38 — Surah Al-Furqan 25:38

aur aadiyo aur samudiyo aur kuwe walo ko aur un ke darmiyaan ki bahuth si ummato ko (halaak kar diya)

Verse 39 — Surah Al-Furqan 25:39

aur hum ne un ke saamne misaale bayaan ki, phir har ek ko bilkul hee tabaah wa barbaadh kar diya

Verse 40 — Surah Al-Furqan 25:40

ye log us basti ke paas se bhi aate jaate hai, jin par buri tarah ki baarish barsaayi gayi, kya ye phir bhi ose dekhte nahi? haqiqath ye hai ke unhe mar kar ji uthne ki ummid hee nahi

Verse 41 — Surah Al-Furqan 25:41

aur tumhe jab kabhi dekhte hai, to tum se masqara pan karne lagte hai, ke kya yahi wo shaqs hai jinhe Allah ta’ala ne rasool bana kar bheja hai

Verse 42 — Surah Al-Furqan 25:42

(wo to kahiye) ke hum us par jame rahe, warna unhone to hamein hamaare mabudho se behka dene mein koyi kasar nahi chodi thi, aur ye jab azaabo ko dekhenge, to unhe saaf maloom ho jayega ke puri tarah raah se bhatka hoa kaun tha

Verse 43 — Surah Al-Furqan 25:43

kya aap ne ose bhi dekha jo apni qaahish nafs ko apna maboodh banaaye hoye hai, kya aap us ke zimmedaar ho sakte hai

Verse 44 — Surah Al-Furqan 25:44

kya aap isi qayaal mein hai ke un mein se aksar sunte ya samajhte hai, wo to nare chaupaayo jaise hai, balke un se bhi zyaada bhatke hoye

Verse 45 — Surah Al-Furqan 25:45

kya aap ne nahi dekha ke aap ke rab ne saaye ko kis tarah phaila diya hai? agar chahta to, ose tehra hoa hee kar deta, phir hum ne aftaab ko us par daleel banaya

Verse 46 — Surah Al-Furqan 25:46

phir hum ne ose aahista aahista apni taraf khinch liya

Verse 47 — Surah Al-Furqan 25:47

aur wahi hai jis ne raath ko tumhaare liye pardah banaya aur neend ko raahath banayi aur din ko uth khade hone ka waqt

Verse 48 — Surah Al-Furqan 25:48

aur wahi hai jo ba-raane rehmath2 se pehle khush qabri dene waali hawaao ko bhejta hai aur hum asmaan se paak paani barsaate hai

Verse 49 — Surah Al-Furqan 25:49

ta ke us ke zariye se murda shahar ko zinda karde aur ose hum apni maqluqaath mein se bahuth se chau paayo aur insaano ko pilaate hai

Verse 50 — Surah Al-Furqan 25:50

aur beshak hum ne ose un ke darmiyaan tarah tarah se bayaan kiya, ta ke wo nasihath haasil kare, magar phir bhi aksar logo ne sivaaye na shukri ke maana nahi

Verse 51 — Surah Al-Furqan 25:51

agar hum chahte, to har har basti mein ek daraane wala bhej dete

Verse 52 — Surah Al-Furqan 25:52

pas aap kaafiro ka kehna na maane aur Qur’aan ke zariye un se puri taaqath se bada jihaad kare

Verse 53 — Surah Al-Furqan 25:53

aur wahi hai jis ne do samandar aapas mein mila rakhe hai, ye hai meetha aur mazedaar aur ye hai khaari kadwa aur un duno ke darmiyaan ek hijaab aur mazbooth oot kardi

Verse 54 — Surah Al-Furqan 25:54

wo hai jis ne paani se insaan ko paida kiya, phir ose nasab wala aur susraali rishto wala kar diya, bila shuba aap ka parvardigaar (har cheez par) qaadir hai

Verse 55 — Surah Al-Furqan 25:55

ye Allah ko chohd kar un ki ibaadath karte hai, jo na to unhe koyi nafa de sa ke, na koyi nuqsaan pahoncha sa ke, aur kaafir to hai hee apne rab ke qilaaf (shaitaan ki) madad karne wala

Verse 56 — Surah Al-Furqan 25:56

hum ne to aap ko khush qabri aur dar sunaane wala (Nabi) bana kar bheja hai

Verse 57 — Surah Al-Furqan 25:57

keh di jiye ke main Qur’aan ke pahonchaane par tum se koyi badhla nahi chahta, magar jo shaqs apne rab ki taraf raah pakadna chaahe

Verse 58 — Surah Al-Furqan 25:58

us hamesha zinda rehne waale Allah ta’ala par tawakkal kare, jise kabhi mauth nahi aur us ki tareef ke saath pakizgi bayaan karte rahe, wo apne bandho ke gunaaho se kaafi qabardaar hai

Verse 59 — Surah Al-Furqan 25:59

wahi hai jis ne asmaano aur zameen aur un ke darmiyaan ki sab chizo ko che din mein paida kar diya hai, phir arsh par mustawi hoa, wo rahmaan hai, aap us ke baare mein kisi qabardaar se poch le

Verse 60 — Surah Al-Furqan 25:60

un se jab bhi kaha jaata hai ke rahmaan ko sajda karo, to jawaab dete hai ke rahmaan hai kya? kya hum ose sajda kare jis ka tu hamein hukm de raha hai aur us (tableegh) ne un ki nafrath mein mazeedh izaafa kar diya

Verse 61 — Surah Al-Furqan 25:61

ba barkath hai wo jis ne asmaan mein burj3 banaya aur us mein aftaab banaya aur munawwar mehtaab bhi

Verse 62 — Surah Al-Furqan 25:62

aur osi ne raath aur din ko ek dosre ke piche aane jaane wala banaya, us shaqs ki nasihath ke liye, jo nasihath hasil karne ya shukr guzaari karne ka iraada rakhta ho

Verse 63 — Surah Al-Furqan 25:63

rahmaan ke (sacche) bandhe wo hai jo zameen par faruthni4 ke saath chalte hai aur jab be-ilm log un se baatein karne lagte hai to wo keh dete hai ke salaam hai

Verse 64 — Surah Al-Furqan 25:64

aur jo apne rab ke saamne sajde aur qayaam karte hoye raate guzaar dete hai

Verse 65 — Surah Al-Furqan 25:65

aur jo ye dua karte hai ke aye hamaare parvardigaar! hum se dozakh ka azaab pare hee pare rakh, kyo ke us ka azaab chimat jaane wala hai

Verse 66 — Surah Al-Furqan 25:66

beshak wo teherne aur rehne ke lehaaz se badh tareen jageh hai

Verse 67 — Surah Al-Furqan 25:67

aur jo qarch karte waqt bhi na to israaf karte hai, na baqili, balke un duno ke darmiyaan mautadil tariqe par qarch karte hai

Verse 68 — Surah Al-Furqan 25:68

aur Allah ke saath kisi dosre maboodh ko nahi pukaarte aur kisi aise shaqs ko jise qatl karna Allah ta’ala ne mana kar diya ho, wo bajuz haq ke qatl nahi karte, na wo zeena ke murtakib hote hai aur jo koyi ye kaam kare, wo apne upar saqth wabaal layega

Verse 69 — Surah Al-Furqan 25:69

ose qayaamath ke din duhra azaab kiya jayega aur wo zillath wa qaari ke saath hamesha osi mein rahega

Verse 70 — Surah Al-Furqan 25:70

sivaaye un logo ke jo tauba kare aur imaan laaye aur nek kaam kare, aise logo ke gunaaho ko Allah ta’ala nekiyo se badal deta hai, Allah baqshne wala meherbaani karne wala hai

Verse 71 — Surah Al-Furqan 25:71

aur jo shaqs tauba kare aur nek amal kare, wo to(haqiqatan) Allah ta’ala ki taraf saccha rujo karta hai

Verse 72 — Surah Al-Furqan 25:72

aur jo log jhoti gawaahi nahi dete, aur jab kisi laghw cheez par un ka guzar hota hai to sharaafath se guzar jaate hai

Verse 73 — Surah Al-Furqan 25:73

aur jab unhe un ke rab ke kalaam ki aayate sunaayi jaati hai, to wo andhe behre ho kar un par nahi girte

Verse 74 — Surah Al-Furqan 25:74

aur ye dua karte hai ke aye hamaare parvardigaar! tu hamein hamaari biwiyo aur aulaad se aankho ki thandak ata farma aur hamein parhezgaaro ka peshwa bana

Verse 75 — Surah Al-Furqan 25:75

yahi wo log hai jinhe un se sabr ke badhle, jannath ke bulandh wa baala khaane diye jayenge, jahaan unhe dua salaam pahonchaya jayega

Verse 76 — Surah Al-Furqan 25:76

us mein ye hamesha rahenge, wo bahuth hee acchi jageh aur umdah muqaam hai

Verse 77 — Surah Al-Furqan 25:77

keh dijiye ke agar tumhaari dua elteja (pukaarna) na hoti to mera rab tumhari muth-laq parvaah na karta, tum to jhutla chuke, ab an-qareeb us ki saza tumhe chimat jaane waali hogi