Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 26 - Ash-Shuara
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Ash-Shuara 26:1
taa seem-meem
Verse 2 — Surah Ash-Shuara 26:2
ye aayate roushan kitaab ki hai
Verse 3 — Surah Ash-Shuara 26:3
un ke imaan na laane par shaayad aap to apni jaan kho denge
Verse 4 — Surah Ash-Shuara 26:4
agar hum chaahte, to un par asmaan se koyi aisi nishaani utaar te, ke jis ke saamne un ki gardane qam ho jaati
Verse 5 — Surah Ash-Shuara 26:5
aur un ke paas rahmaan ki taraf se jo bhi nayi nasihath aayi, ye us se ru gardaani karne waale ban gaye
Verse 6 — Surah Ash-Shuara 26:6
un logo ne jhutlaya hai, ab un ke paas jaldi se us ki qabre aa jayengi, jis ke saath wo masqara pan kar rahe hai
Verse 7 — Surah Ash-Shuara 26:7
kya unhone zameen par nazre nahi daali? ke hum ne us mein har tarah ke nafees jode kis qadar ugaaye hai
Verse 8 — Surah Ash-Shuara 26:8
beshak us mein yaqinan nishaani hai aur un mein ke aksar log momin nahi hai
Verse 9 — Surah Ash-Shuara 26:9
aur tera rab yaqinan wahi ghaalib aur meherbaan hai
Verse 10 — Surah Ash-Shuara 26:10
aur jab aap ke rab ne Mosa(alaihissalaam) ko awaaz di, ke tu zaalim khaum ke paas ja
Verse 11 — Surah Ash-Shuara 26:11
khaum feraun ke paas, kya wo parhezgaari na karenge
Verse 12 — Surah Ash-Shuara 26:12
Mosa(alaihissalaam) ne kaha, mere parvardigaar! mujhe to khauf hai ke kahi wo mujhe jhutla (na) de
Verse 13 — Surah Ash-Shuara 26:13
aur mera sina tang ho raha hai aur meri zabaan chal nahi rahi, pas tu Haroon(alaihissalaam) ki taraf bhi (wahi) bhej
Verse 14 — Surah Ash-Shuara 26:14
aur un ka mujh par mere ek qusoor ka (daawa) bhi hai, mujhe dar hai ke kahi wo mujhe maar na daale
Verse 15 — Surah Ash-Shuara 26:15
janaab baari ne farmaya! hargiz aisa na hoga, tum duno hamaari nishaaniya le kar jaao, hum khud sunne waale tumhaare saath hai
Verse 16 — Surah Ash-Shuara 26:16
tum duno feraun ke paas ja kar kaho ke bila shuba hum rabbul aalameen ke bheje hoye hai
Verse 17 — Surah Ash-Shuara 26:17
ke tu hamaare saath bani israel ko rawaana karde
Verse 18 — Surah Ash-Shuara 26:18
feraun ne kaha, ke kya hum ne tujhe tere bachpan ke zamaane mein apne haan nahi paala tha? aur tu ne apni umr ke bahuth se saal hum mein nahi guzaare
Verse 19 — Surah Ash-Shuara 26:19
phir tu apna wo kaam kar gaya, jo kar gaya, aur tu na shukro mein hai
Verse 20 — Surah Ash-Shuara 26:20
(Hazrath) Mosa(alaihissalaam) ne jawaab diya ke main ne us kaam ko us waqt kiya tha jab ke main raah bhule hoye logo mein se tha
Verse 21 — Surah Ash-Shuara 26:21
phir tum se khauf kha kar main tum mein se bhaag gaya, phir mujhe mere rab ne hukm wa ilm ata farmaya aur mujhe apne paighambaro mein se kar diya
Verse 22 — Surah Ash-Shuara 26:22
mujh par tera kya yahi wo ehsaan hai? jise tu jata raha hai, ke tu ne bani israel ko ghulaam bana rakha hai
Verse 23 — Surah Ash-Shuara 26:23
feraun ne kaha rabbul aalameen kya (cheez) hai
Verse 24 — Surah Ash-Shuara 26:24
(hazrath) Mosa(alaihissalaam) ne farmaya wo asmaano aur zameen aur un ke darmiyaan ki tamaam chizo ka rab hai, agar tum yaqeen rakhne waale ho
Verse 25 — Surah Ash-Shuara 26:25
feraun ne apne irdh girdh waalo se kaha ke kya tum sun nahi rahe
Verse 26 — Surah Ash-Shuara 26:26
(hazrath) Mosa(alaihissalaam) ne farmaya, wo tumhara aur tumhare agle baap dadaao ka parvardigaar hai
Verse 27 — Surah Ash-Shuara 26:27
feraun ne kaha (logo!) tumhara ye rasool jo tumhaari taraf bheja gaya hai, ye to yaqinan deewana hai
Verse 28 — Surah Ash-Shuara 26:28
(hazrath) Mosa(alaihissalaam) ne farmaya wahi mashriq wa maghrib ka aur un ke darmiyaan ki tamaam chizo ka rab hai, agar tum aql rakhte ho
Verse 29 — Surah Ash-Shuara 26:29
feraun kehne laga, sun le! agar tu ne mere siva kisi aur ko maboodh banaya, to main tujhe qaidiyo mein daal donga
Verse 30 — Surah Ash-Shuara 26:30
Mosa(alaihissalaam) ne kaha agar che main tere paas koyi khuli cheez le aao
Verse 31 — Surah Ash-Shuara 26:31
fearun ne kaha agar tu saccho mein se hai, to ose pesh kar
Verse 32 — Surah Ash-Shuara 26:32
aap ne (osi waqt) apni laathi daal di, jo achaanak khullam khulla (zabardast) az-daha ban gayi
Verse 33 — Surah Ash-Shuara 26:33
aur apna haath khinch nikala, to wo bhi osi waqt har dekhne waale ko safedh chamkila nazar aane laga
Verse 34 — Surah Ash-Shuara 26:34
feraun apne aas paas ke sardaaro se kehne laga, bhai ye to koyi bada daana jaadugar hai
Verse 35 — Surah Ash-Shuara 26:35
ye to chahta hai ke apne jaadu ke zoor se, tumhe tumhaari sar zameen se hee nikaal de, bataao ab tum kya hukm dete ho
Verse 36 — Surah Ash-Shuara 26:36
un sab ne kaha, aap ise aur is ke bhai ko muhullath di jiye aur tamaam shehro mein har-kaare bhej di jiye
Verse 37 — Surah Ash-Shuara 26:37
jo aap ke paas zee ilm jaadugaro ko le aaye
Verse 38 — Surah Ash-Shuara 26:38
phir ek muqarrar din ke waade par tamaam jaadugar jama kiye gaye
Verse 39 — Surah Ash-Shuara 26:39
aur aam logo se bhi keh diya gaya ke tum bhi majme mein haazir ho jaoge
Verse 40 — Surah Ash-Shuara 26:40
ta ke agar jaadugar ghaalib aa jaaye to hum unhee ki pairvi kare
Verse 41 — Surah Ash-Shuara 26:41
jaadugar aa kar feraun se kehne lage ke agar hum jeet gaye to hamein kuch in’aan bhi milega
Verse 42 — Surah Ash-Shuara 26:42
feraun ne kaha haan! (badi khushi se) balke aisi surath mein tum mere qaas darbaari ban jaoge
Verse 43 — Surah Ash-Shuara 26:43
phir (hazrath) Mosa(alaihissalaam) ne jaadugaro se farmaya, jo kuch tumhe daalna hai daal do
Verse 44 — Surah Ash-Shuara 26:44
unhone apni rassiya aur laathiyaa daal di, aur kehne lage izzate feraun ki qasam hum yaqinan ghaalib hee rahenge
Verse 45 — Surah Ash-Shuara 26:45
ab (hazrath) Mosa(alaihissalaam) ne bhi apni laathi maidaan mein daal di, jis ne osi waqt un ke jhoot moot ke kartab ko nigalna shuro kar diya
Verse 46 — Surah Ash-Shuara 26:46
ye dekhte hee jaadugar be-eqtiyaar sajde mein gir gaye
Verse 47 — Surah Ash-Shuara 26:47
aur unhone saaf keh diya ke, hum to Allah rabbul aalameen par imaan laaye
Verse 48 — Surah Ash-Shuara 26:48
yaani Mosa(alaihissalaam) aur Haroon(alaihissalaam) ke rab par
Verse 49 — Surah Ash-Shuara 26:49
feraun ne kaha ke meri ijaazath se pehle tum us par imaan le aaye? yaqinan yahi tumhara wo bada (sardaar) hai, jis ne tum sab ko jaadu sikhaya hai, so tumhe abhi abhi maloom ho jayega, qasam hai, main abhi tumhaare haath paao, ulte taur par kaat donga aur tum sab ko soli par latka donga
Verse 50 — Surah Ash-Shuara 26:50
unhone kaha koyi haraj nahi, hum to apne rab ki taraf lautne wale hai hee
Verse 51 — Surah Ash-Shuara 26:51
is bina par ke hum sab se pehle imaan waale bane hai, hamein ummid padti hai ke hamara rab hamari sab qataaye maaf farma dega
Verse 52 — Surah Ash-Shuara 26:52
aur hum ne Mosa(alaihissalaam) ko wahi ki, ke raatho raath mere bandho ko nikaal le chal, tum sab picha kiye jaoge
Verse 53 — Surah Ash-Shuara 26:53
feraun ne shahro mein harkaaro ko bhej diya
Verse 54 — Surah Ash-Shuara 26:54
ke yaqinan ye gruh bahuth hee kam tedaath mein hai
Verse 55 — Surah Ash-Shuara 26:55
aur us par ye hamein saqth ghazab-naak kar rahe hai
Verse 56 — Surah Ash-Shuara 26:56
aur yaqinan hum badi jamaath hai, un se chaukanna rehne waale
Verse 57 — Surah Ash-Shuara 26:57
bil aaqir hum ne unhe baaghaath se aur chashmo se
Verse 58 — Surah Ash-Shuara 26:58
aur qazaano se aur acche acche muqamaath se nikaal baaher kiya
Verse 59 — Surah Ash-Shuara 26:59
isi tarah hoa aur hum ne un (tamaam) chizo ka waaris bani israel ko bana diya
Verse 60 — Surah Ash-Shuara 26:60
pas ferauni suraj nikalte hee, un ke ta’aqqub mein nikle
Verse 61 — Surah Ash-Shuara 26:61
pas jab duno ne ek dosre ko dekh liye to Mosa(alaihissalaam) ke saathiyo ne kaha, hum to yaqinan pakad liye gaye
Verse 62 — Surah Ash-Shuara 26:62
Mosa(alaihissalaam) ne kaha hargiz nahi, yaqeen maano mera rab mere saath hai, jo zaroor mujhe raah dikhayega
Verse 63 — Surah Ash-Shuara 26:63
hum ne Mosa(alaihissalaam) ki taraf wahi bheji ke darya par apni laathi maar, pas osi waqt darya phat gaya aur har ek hissa paani ka misl bade pahaad ke ho gaya
Verse 64 — Surah Ash-Shuara 26:64
aur hum ne osi jagah dosro ko nazdeek la khada kar diya
Verse 65 — Surah Ash-Shuara 26:65
aur Mosa(alaihissalaam) ko aur us ke tamaam saathiyo ko najaath de di
Verse 66 — Surah Ash-Shuara 26:66
phir aur sab dosro ko dubo diya
Verse 67 — Surah Ash-Shuara 26:67
yaqinan us mein badi ibrath hai, aur un mein ke aksar log imaan waale nahi
Verse 68 — Surah Ash-Shuara 26:68
aur beshak aap ka rab bada hee ghaalib wa meherbaan hai
Verse 69 — Surah Ash-Shuara 26:69
unhe Ibraheem(alaihissalaam) ka waaqea bhi suna do
Verse 70 — Surah Ash-Shuara 26:70
jab ke unhone apne baap aur apni khaum se farmaya ke tum kis ki ibaadath karte ho
Verse 71 — Surah Ash-Shuara 26:71
unhone jawaab diya ke ibaadath karte hai butho ki, hum to baraabar un ke mujaawer bane baithe hai
Verse 72 — Surah Ash-Shuara 26:72
aap ne farmaya ke jab tum unhe pukaarte ho, to kya wo sunte bhi hai
Verse 73 — Surah Ash-Shuara 26:73
ya tumhe nafa nuqsaan bhi pahoncha sakte hai
Verse 74 — Surah Ash-Shuara 26:74
unhone kaha ye (hum kuch nahi jaante) hum ne to apne baap dadaao ko isi tarah karte hoye paaya
Verse 75 — Surah Ash-Shuara 26:75
aap ne farmaya, kuch qabar bhi hai, jinhe tum pooj rahe ho
Verse 76 — Surah Ash-Shuara 26:76
tum aur tumhaare agle baap dada, wo sab mere dushman hai
Verse 77 — Surah Ash-Shuara 26:77
bajuz sacche Allah ta’ala ke jo tamaam jahaan ka paalan haar hai
Verse 78 — Surah Ash-Shuara 26:78
jis ne mujhe paida kiya hai aur wahi meri rehbari farmata hai
Verse 79 — Surah Ash-Shuara 26:79
wahi hai jo mujhe khilata pilaata hai
Verse 80 — Surah Ash-Shuara 26:80
aur jab main bimaar pad jaao to mujhe shifa ata farmata hai
Verse 81 — Surah Ash-Shuara 26:81
aur wahi mujhe maar dalega, phir zinda kar dega
Verse 82 — Surah Ash-Shuara 26:82
aur jis se ummid bandhi hoyi hai ke wo roze jaza mein mere gunaaho ko baqsh dega
Verse 83 — Surah Ash-Shuara 26:83
aye mere rab! mujhe quwwate faisla ata farma aur mujhe nek logo mein mila de
Verse 84 — Surah Ash-Shuara 26:84
aur mera zikr khair dosre logo mein bhi baaqi rakh
Verse 85 — Surah Ash-Shuara 26:85
mujhe nemato waali jannath ke waariso mein se bana de
Verse 86 — Surah Ash-Shuara 26:86
aur mere baap ko baqsh de, yaqinan wo gumraaho mein se tha
Verse 87 — Surah Ash-Shuara 26:87
aur jis din ke log dobara jilaaye jaaye, mujhe ruswa na kar
Verse 88 — Surah Ash-Shuara 26:88
jis din ke maal aur aulaad kuch kaam na ayegi
Verse 89 — Surah Ash-Shuara 26:89
lekin fayede wala wahi hoga jo Allah ta’ala ke saamne be ayb dil le kar jaaye
Verse 90 — Surah Ash-Shuara 26:90
aur parhezgaaro ke liye jannath bil-kul nazdeek la di jayegi aur gumraah logo ke liye jahannam zaahir kardi jayegi
Verse 91 — Surah Ash-Shuara 26:91
aur un se pucha jayega jin ki tum puja karte rahe, wo kahaan hai
Verse 92 — Surah Ash-Shuara 26:92
jo Allah ta’ala ke siva thein, kya wo tumhaari madad karte hai
Verse 93 — Surah Ash-Shuara 26:93
ya koyi badhla le sakte hai
Verse 94 — Surah Ash-Shuara 26:94
pas wo sab aur kul gumraah log jahannam mein aundhe mu daal diye jayenge
Verse 95 — Surah Ash-Shuara 26:95
aur iblees ke tamaam ke tamaam lashkar bhi wahaan
Verse 96 — Surah Ash-Shuara 26:96
aapas mein ladte jhagadte hoye kahenge
Verse 97 — Surah Ash-Shuara 26:97
ke qasam Allah ki! yaqinan hum khuli ghalti par thein
Verse 98 — Surah Ash-Shuara 26:98
jab ke tumhe rabbul aalameen ke baraabar samajh baithe thein
Verse 99 — Surah Ash-Shuara 26:99
aur hamein to siva un badh-kaaro ke kisi aur ne gumraah nahi kiya tha
Verse 100 — Surah Ash-Shuara 26:100
ab to hamaara koyi sifaarishi bhi nahi
Verse 101 — Surah Ash-Shuara 26:101
aur na koyi (saccha) gham qaar dosth
Verse 102 — Surah Ash-Shuara 26:102
agar kaash ke hamein ek martaba phir jaana milta, to hum pakke sacche momin ban jaate
Verse 103 — Surah Ash-Shuara 26:103
ye maanjra yaqinan ek zabardast nishaani hai, un mein se aksar log imaan laane waale nahi
Verse 104 — Surah Ash-Shuara 26:104
yaqinan aap ka parvardigaar hee ghaalib meherbaan hai
Verse 105 — Surah Ash-Shuara 26:105
khaum nuh ne bhi nabiyo ko jhutlaya
Verse 106 — Surah Ash-Shuara 26:106
jab ke un ke bhai Nuh(alaihissalaam) ne kaha ke kya tumhe Allah ka khauf nahi
Verse 107 — Surah Ash-Shuara 26:107
suno main tumhari taraf Allah ka amaanat-daar rasool hoon
Verse 108 — Surah Ash-Shuara 26:108
pas tumhe Allah se darna chahiye aur meri baath maanni chahiye
Verse 109 — Surah Ash-Shuara 26:109
main tum se us par koyi ajr nahi chahta, mera badhla to sirf rabbul aalameen ke haan hai
Verse 110 — Surah Ash-Shuara 26:110
pas tum Allah ka khauf rakho aur meri farma-bardaari karo
Verse 111 — Surah Ash-Shuara 26:111
khaum ne jawaab diya ke kya hum tujh par imaan laaye, teri taabedaari to razeel logo ne ki hai
Verse 112 — Surah Ash-Shuara 26:112
aap ne farmaya mujhe kya qabar ke, wo pehle kya karte rahe
Verse 113 — Surah Ash-Shuara 26:113
un ka hisaab to mere rab ke zimme hai, agar tumhe sha’oor ho to
Verse 114 — Surah Ash-Shuara 26:114
main imaan waalo ko dhakke dene wala1 nahi
Verse 115 — Surah Ash-Shuara 26:115
main to saaf taur par dara dene wala hoon
Verse 116 — Surah Ash-Shuara 26:116
unhone kaha ke aye Nuh(alaihissalaam) agar tu baaz na aya, to yaqinan tujhe sangsaar kar diya jayega
Verse 117 — Surah Ash-Shuara 26:117
aap ne kaha aye mere parvardigaar! meri khaum ne mujhe jhutla diya
Verse 118 — Surah Ash-Shuara 26:118
pas tu mujh mein aur un mein koyi qatayi faisla karde aur mujhe aur mere ba imaan saathiyo ko najaath de
Verse 119 — Surah Ash-Shuara 26:119
chuna che hum ne ose aur us ke saathiyo ko bhari hoyi kashti mein (sawaar kara kar) najaath de di
Verse 120 — Surah Ash-Shuara 26:120
baadh aza, baaqi ke tamaam logo ko hum ne dubo diya
Verse 121 — Surah Ash-Shuara 26:121
yaqinan us mein bahuth badi ibrath hai, un mein se aksar log imaan laane waale thein bhi nahi
Verse 122 — Surah Ash-Shuara 26:122
aur beshak aap ka parvardigaar, albatta wahi hai, zabardasth rahem karne wala
Verse 123 — Surah Ash-Shuara 26:123
aadiyo ne bhi rasulo ko jhutlaya
Verse 124 — Surah Ash-Shuara 26:124
jab ke un se un ke bhai hoodh ne kaha ke kya tum darte nahi
Verse 125 — Surah Ash-Shuara 26:125
main tumhara amaanat daar-paighambar hoon
Verse 126 — Surah Ash-Shuara 26:126
pas Allah se daro aur mera kaha maano
Verse 127 — Surah Ash-Shuara 26:127
main us par tum se koyi ujrath talab nahi karta, mera sawaab to tamaam jahaan ke parvardigaar ke paas hee hai
Verse 128 — Surah Ash-Shuara 26:128
kya tum ek ek teele par ba taur khel tamaasha yaad gaar (imaarath) bana rahe ho
Verse 129 — Surah Ash-Shuara 26:129
aur badi san-ath waale (mazbooth mahel tameer) kar rahe ho, goya ke tum hamesha yahi rahoge
Verse 130 — Surah Ash-Shuara 26:130
aur jab kisi par haath daalte ho, to saqti aur zulm se pakadte ho
Verse 131 — Surah Ash-Shuara 26:131
Allah se daro aur meri pairvi karo
Verse 132 — Surah Ash-Shuara 26:132
us se daro jis ne un chizo se tumhaari imdaath ki, jinhe tum jaante ho
Verse 133 — Surah Ash-Shuara 26:133
us ne tumhaari madad ki maal se aur aulaad se
Verse 134 — Surah Ash-Shuara 26:134
baghaath se aur chashmo se
Verse 135 — Surah Ash-Shuara 26:135
mujhe to tumhaari nisbath bade din ke azaab ka andesha hai
Verse 136 — Surah Ash-Shuara 26:136
unhone kaha ke aap waaz kahe, ya waaz kehne waalo mein na ho, hum par yeksa hai
Verse 137 — Surah Ash-Shuara 26:137
ye to bas puraane logo ki aadath hai
Verse 138 — Surah Ash-Shuara 26:138
aur hum har giz azaab nahi diye jayenge
Verse 139 — Surah Ash-Shuara 26:139
chu ke aadiyo ne hazrath Hood ko jhutlaya, is liye hum ne unhe tabaah kar diya, yaqinan us mein nishaani hai aur un mein se aksar be imaan thein
Verse 140 — Surah Ash-Shuara 26:140
beshak aap ka rab wahi hai ghaalib meherbaan
Verse 141 — Surah Ash-Shuara 26:141
samudiyo ne bhi paighambaro ko jhutlaya
Verse 142 — Surah Ash-Shuara 26:142
un ke bhai Saaleh ne un se farmaya ke kya tum Allah se nahi darte
Verse 143 — Surah Ash-Shuara 26:143
main tumhaari taraf Allah ka amaanat-daar paighambar hoon
Verse 144 — Surah Ash-Shuara 26:144
to tum Allah se daro aur mera kaha karo
Verse 145 — Surah Ash-Shuara 26:145
main us par tum se koyi ujrath nahi maangta, meri ujrath to bas parvardigaare aalam par hee hai
Verse 146 — Surah Ash-Shuara 26:146
kya un chizo mein jo yahaa hai, tum aman ke saath chohd diye jaoge
Verse 147 — Surah Ash-Shuara 26:147
yaani un baagho aur un chashmo
Verse 148 — Surah Ash-Shuara 26:148
aur un kheto aur un khajuro ke baagho mein jin ke shagufe narm wa naazuk hai
Verse 149 — Surah Ash-Shuara 26:149
aur tum pahaado ko taraash taraash kar pur takalluf makanaath bana rahe ho
Verse 150 — Surah Ash-Shuara 26:150
pas Allah se daro aur meri ita’ath karo
Verse 151 — Surah Ash-Shuara 26:151
be-baak hadh se guzar jaane walo ki ita’ath se baaz aa jaao
Verse 152 — Surah Ash-Shuara 26:152
jo mulk mein fasaadh pehla rahe hai aur islaah nahi karte
Verse 153 — Surah Ash-Shuara 26:153
wo bole ke bas tu un mein se hai, jin par jaadu kar diya gaya hai
Verse 154 — Surah Ash-Shuara 26:154
to, tu hum jaisa hee insaan hai, agar tu saccho se hai, to koyi maujeza le aa
Verse 155 — Surah Ash-Shuara 26:155
aap ne farmaya ye hai oontni paani pine ki, ek baari is ki aur ek muqarrara din ki baari paani pine ki tumhaari
Verse 156 — Surah Ash-Shuara 26:156
(qabardaar!) ise buraayi se haath na lagaana, warna ek bhaari din ka azaab tumhaari girift kar lega
Verse 157 — Surah Ash-Shuara 26:157
phir bhi unhone us ki kuche kaat daali, bas wo pashemaan ho gaye
Verse 158 — Surah Ash-Shuara 26:158
aur azaab ne unhe aa dabocha, beshak us mein ibrath hai aur un mein se aksar log momin na thein
Verse 159 — Surah Ash-Shuara 26:159
aur beshak aap ka rab, bada zabardasth aur meherbaan hai
Verse 160 — Surah Ash-Shuara 26:160
khaum looth ne bhi nabiyo ko jhutlaya
Verse 161 — Surah Ash-Shuara 26:161
un se un ke bhai Looth(alaihissalaam) ne kaha, kya tum Allah ka khauf nahi rakhte
Verse 162 — Surah Ash-Shuara 26:162
main tumhari taraf amanatdaar rasool hoon
Verse 163 — Surah Ash-Shuara 26:163
pas tum Allah ta’ala se daro aur meri ita’ath karo
Verse 164 — Surah Ash-Shuara 26:164
main tum se us par koyi badhla nahi maangta, mera ajr to sirf Allah ta’ala par hai, jo tamaam jahaan ka rab hai
Verse 165 — Surah Ash-Shuara 26:165
kya tum jahaan waalo mein se mardo ke saath shewat-raani karte ho
Verse 166 — Surah Ash-Shuara 26:166
aur tumhaari jin aurto ko Allah ta’ala ne tumhara joda banaya hai, un ko chohd dete ho balke tum ho hee hadh se guzar jaane waale
Verse 167 — Surah Ash-Shuara 26:167
unhone jawaab diya ke aye Looth!(alaihissalaam) agar tu baaz na aaya, to yaqinan nikaal diya jayega
Verse 168 — Surah Ash-Shuara 26:168
aap ne farmaya, main tumhaare kaam se saqth na khush hoon
Verse 169 — Surah Ash-Shuara 26:169
mere parvardigaar! mujhe aur mere gharaane ko us (wabaal) se bacha le, jo ye karte hai
Verse 170 — Surah Ash-Shuara 26:170
pas hum ne ose aur us ke mutaalleqeen ko, sab ko bacha liya
Verse 171 — Surah Ash-Shuara 26:171
bajuz ek budhiya ke, ke wo piche reh jaane waalo mein ho gayi
Verse 172 — Surah Ash-Shuara 26:172
phir hum ne baaqi aur sab ko halaak kar diya
Verse 173 — Surah Ash-Shuara 26:173
aur hum ne un par ek qaas qism ka meh barsaaya, pas bahuth hee bura meh tha, jo daraaye gaye hoye logo par barsa
Verse 174 — Surah Ash-Shuara 26:174
ye maanjra bhi saraa-sar ibrath hai, un mein se bhi aksar musalmaan na thein
Verse 175 — Surah Ash-Shuara 26:175
beshak tera parvardigaar wahi hai, ghalbe wala, meherbaani wala
Verse 176 — Surah Ash-Shuara 26:176
ayka waalo ne bhi rasulo ko jhutlaya
Verse 177 — Surah Ash-Shuara 26:177
jab ke un se Shuaib (alaihissalaam) ne kaha ke kya tumhe dar khauf nahi
Verse 178 — Surah Ash-Shuara 26:178
main tumhari taraf amaanatdaar rasool hoon
Verse 179 — Surah Ash-Shuara 26:179
Allah ka khauf khaao aur meri farma-bardaari karo
Verse 180 — Surah Ash-Shuara 26:180
main us par tum se koyi ujrath nahi chaahta, mera ajr tamaam jahaano ke paalne waale ke paas hai
Verse 181 — Surah Ash-Shuara 26:181
naap pura bhara karo, kam dene walo mein shamuliyath na karo
Verse 182 — Surah Ash-Shuara 26:182
aur sidhi sahih taraazu se tola karo
Verse 183 — Surah Ash-Shuara 26:183
logo ko un ki cheeze kami se na do, be baaki ke saath zameen mein fasaadh machaate na phiro
Verse 184 — Surah Ash-Shuara 26:184
us Allah ka khauf rakho, jis ne khud tumhe aur agli maqlooq ko paida kiya hai
Verse 185 — Surah Ash-Shuara 26:185
unhone kaha, tu, to un mein se hai jin par jaadu kar diya jaata hai
Verse 186 — Surah Ash-Shuara 26:186
aur tu to hum hee jaisa ek insaan hai aur hum to tujhe jhoot bolne waalo mein se hee samajhte hai
Verse 187 — Surah Ash-Shuara 26:187
agar tu sacche logo mein se hai to hum par asmaan ke tukde gira de
Verse 188 — Surah Ash-Shuara 26:188
kaha ke mera rab qoob jaanne wala hai, jo kuch tum kar rahe ho
Verse 189 — Surah Ash-Shuara 26:189
chu ke unhone ose jhutlaya to, unhe sayebaan waale din ke azaab ne pakad liya, wo bade bhaari din ka azaab tha
Verse 190 — Surah Ash-Shuara 26:190
yaqinan us mein badi nishaani hai aur un mein aksar musalmaan na thein
Verse 191 — Surah Ash-Shuara 26:191
aur yaqinan tera parvardigaar albatta wahi hai, ghalbe wala, meherbaani wala
Verse 192 — Surah Ash-Shuara 26:192
aur beshak wa shuba, ye (Qur’aan) rabbul aalameen ka nazil farmaya hoa hai
Verse 193 — Surah Ash-Shuara 26:193
ise amaanatdaar farishta le kar aya hai
Verse 194 — Surah Ash-Shuara 26:194
aap ke dil par utra hai, ke aap agaah kar dene waalo mein se ho jaaye
Verse 195 — Surah Ash-Shuara 26:195
saaf arabi zabaan mein hai
Verse 196 — Surah Ash-Shuara 26:196
agle nabiyo ki kitaabo mein bhi is Qur’aan ka taskera hai
Verse 197 — Surah Ash-Shuara 26:197
kya unhe ye nishaani kaafi nahi, ke haqqaniyate Qur’aan ko to, bani israel ke ulema bhi jaante hai
Verse 198 — Surah Ash-Shuara 26:198
aur agar hum ise kisi ajami shaqs par naazil farmaate
Verse 199 — Surah Ash-Shuara 26:199
pas wo un ke saamne us ki tilaawath karta, to ye ose baawar karne waale na hote
Verse 200 — Surah Ash-Shuara 26:200
isi tarah hum ne gunehgaaro ke dilo mein is inkaar ko dakhil kar diya hai
Verse 201 — Surah Ash-Shuara 26:201
wo jab tak dardnaak azaabo ko mulaaheza na karle, imaan na layenge
Verse 202 — Surah Ash-Shuara 26:202
pas wo azaab un ko nagaha aa jayega, unhe us ka sha’oor bhi na hoga
Verse 203 — Surah Ash-Shuara 26:203
us waqt kahenge ke, kya hamein kuch mahullath di jayegi
Verse 204 — Surah Ash-Shuara 26:204
pas kya ye hamaare azaab ki jaldi macha rahe hai
Verse 205 — Surah Ash-Shuara 26:205
accha ye bhi bataao ke, agar hum ne unhe kayi saal bhi fayeda uthaane diya
Verse 206 — Surah Ash-Shuara 26:206
phir unhe wo azaab aa laga jin se ye dhamkaaye jaate thein
Verse 207 — Surah Ash-Shuara 26:207
to jo kuch bhi ye baratte rahe, us mein se kuch bhi fayeda na pahoncha sakega
Verse 208 — Surah Ash-Shuara 26:208
hum ne kisi basti ko halaak nahi kiya hai, magar isi haal mein, ke us ke liye daraane waale thein
Verse 209 — Surah Ash-Shuara 26:209
nasihath ke taur par aur hum zulm karne waale nahi hai
Verse 210 — Surah Ash-Shuara 26:210
is Qur’aan ko shaitaan nahi laaye
Verse 211 — Surah Ash-Shuara 26:211
na wo us ke qaabil hai, na unhe us ki taaqath hai
Verse 212 — Surah Ash-Shuara 26:212
balke wo to, sunne se bhi mehroom kar diye gaye hai
Verse 213 — Surah Ash-Shuara 26:213
pas tu Allah ke saath kisi aur maboodh ko na pukaar, ke tu bhi saza paane walo mein se ho jaaye
Verse 214 — Surah Ash-Shuara 26:214
apne qaribi rishte waalo ko dara de
Verse 215 — Surah Ash-Shuara 26:215
us ke saath ferotni2se pesh aa, jo bhi imaan laane wala ho kar teri taabedari kare
Verse 216 — Surah Ash-Shuara 26:216
agar ye log teri na farmaani kare to, tu elaan karde ke main un kaamo se bezaar hoon jo tum kar rahe ho
Verse 217 — Surah Ash-Shuara 26:217
apna pura bharosa ghaalib meherbaan Allah par rakh
Verse 218 — Surah Ash-Shuara 26:218
jo tujhe dekhta rehta hai, jab ke tu khada hota hai
Verse 219 — Surah Ash-Shuara 26:219
aur sajda karne waalo ke darmiyaan tera ghumna phirna bhi
Verse 220 — Surah Ash-Shuara 26:220
wo bada hee sunne wala aur qoob hee jaane wala hai
Verse 221 — Surah Ash-Shuara 26:221
kya main tumhe bataao ke shaitaan kis par utarte hai
Verse 222 — Surah Ash-Shuara 26:222
wo har ek jhute gunehgaar par utarte hai
Verse 223 — Surah Ash-Shuara 26:223
(uchat-ti) hoyi suni sunaayi pahoncha dete hai aur un mein se aksar jhote hai
Verse 224 — Surah Ash-Shuara 26:224
shaayaro ki pairvi wo karte hai, jo behke hoye ho
Verse 225 — Surah Ash-Shuara 26:225
kya aap ne nahi dekha ke shaayar ek ek biya baan3 mein sar takraate phirte hai
Verse 226 — Surah Ash-Shuara 26:226
aur wo kehte hai, jo karte nahi
Verse 227 — Surah Ash-Shuara 26:227
sivaaye un ke jo imaan laaye aur nek amal kiye aur ba kasrath Allah ta’ala ka zikr kiya aur apni mazlumi ke baadh inteqaam liya, jinhone zulm kiya hai wo bhi abhi jaan lenge ke kis karwat ulat-te hai