Back to Languages

Urdu - Chapter 27 - An-Naml

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah An-Naml 27:1

Taa seeen - ye aayate hai Qur’aan ki (yani waazeh) aur roushan kitaab ki

Verse 2 — Surah An-Naml 27:2

hidaayath aur khush qabri imaan waalo ke liye

Verse 3 — Surah An-Naml 27:3

jo namaaz qaayam karte hai aur zakaath ada karte hai aur aaqirath par yaqeen rakhte hai

Verse 4 — Surah An-Naml 27:4

jo log qayaamath par imaan nahi laate, hum ne unhe un ke kartooth zinat-daar kar dikhaaye hai, pas wo bhatakte phirte hai

Verse 5 — Surah An-Naml 27:5

yahi log hai jin ke liye bura azaab hai aur aaqirath mein bhi wo saqth nuqsaan yaafta hai

Verse 6 — Surah An-Naml 27:6

beshak aap ko Allah hakeem wa Aleem ki taraf se Qur’aan sikhaya ja raha hai

Verse 7 — Surah An-Naml 27:7

(yaad hoga) jab ke Mosa(alaihissalaam) ne apne ghar waalo se kaha ke main ne aag dekhi hai, main wahaa se ya to koyi qabar le kar, ya aag ka koyi sulagta hoa angaara le kar abhi tumhaare paas aa jaonga, ta ke tum sek taap karlo

Verse 8 — Surah An-Naml 27:8

jab wahaa phaonche to awaaz di gayi ke ba-barkath hai wo jo is aag mein hai aur barkath diya gaya hai, wo jo us ke aas paas hai, aur paak hai Allah jo tamaam jahaano ka paalne waala hai

Verse 9 — Surah An-Naml 27:9

Mosa!(alaihissalaam) sun, baath ye hai ke main hee Allah hoon ghaalib ba hikmath

Verse 10 — Surah An-Naml 27:10

tu apni laathi daal de, Mosa(alaihissalaam) ne jab ose haltha-jhulta dekha, is tarah ke goya wo ek saanp hai, to mu mode hoye, peet pher kar bhaage aur palat kar bhi na dekha, aye Mosa!(alaihissalaam) khauf na kha, mere huzoor mein paighambar dara nahi karte

Verse 11 — Surah An-Naml 27:11

lekin jo log zulm kare, phir us ke ewaz neki kare, us buraayi ke piche to main bhi baqshne wala meherbaan hoon

Verse 12 — Surah An-Naml 27:12

aur apna haath apne girebaan mein daal, wo safedh chamkila ho kar niklega, baghair kisi ayb ke, tu nau(9) nishaaniya le kar feraun aur us ki khaum ki taraf ja, yaqinan wo badh-kaaro ka gruh hai

Verse 13 — Surah An-Naml 27:13

pas jab un ke paas aankhe khol dene waale hamaare maujeze pahonche to wo kehne lage, ye to sarih jaadu hai

Verse 14 — Surah An-Naml 27:14

unhone inkaar kar diya, halaan ke un ke dil yaqeen kar chuke thein, sirf zulm wa takabbaur ki bina par, pas dekh lijiye ke in fitna pardaaz logo ka anjaam kaisa kuch hoa

Verse 15 — Surah An-Naml 27:15

aur hum ne yaqinan Dawood(alaihissalaams) aur Sulaimaan(alaihissalaam) ko ilm de rakha tha, aur duno ne kaha tareef us Allah ke liye hai, jis ne hamein apne bahuth se imaandaar bando par fazilath ata farmaayi hai

Verse 16 — Surah An-Naml 27:16

aur Dawood(alaihissalaam) ke waaris sulaimaan hoye aur kehne lage logo! hamein parindo ki boli sikhaayi gayi hai aur hum sab kuch mein se diye gaye hai, beshak ye bilkul khula hoa fazle ilaahi hai

Verse 17 — Surah An-Naml 27:17

Sulaimaan(alaihissalaam) ke saamne unke tamaam lashkar jinnaath aur insaan aur parindh mein se jama kiye gaye (har har qism ki) alag alag darja bandhi kardi gayi

Verse 18 — Surah An-Naml 27:18

jab wo chontiyo ke maidaan mein pahonche to, ek chonti ne kaha, aye chontiyo! apne apne gharo mein ghus jaao, aisa na ho ke be-qabri mein sulaimaan aur us ka lashkar tumhe raundh daale

Verse 19 — Surah An-Naml 27:19

us ki is baath se hazrath Sulaiman(alaihissalaam) muskura kar has diye aur dua karne lage aye parvardigaar! tu mujhe taufeeq de ke main teri un nemato ka shukr baja laao jo tu ne mujh par in’aam ki hai aur mere maa baap par aur main aise nek amaal karta raho, jin se tu khush rahe, mujhe apni rehmath se nek bandho mein shaamil karle

Verse 20 — Surah An-Naml 27:20

aap ne parindo ka jayeza liya, aur farmaane lage, ye kya baath hai ke main hodh hodh ko nahi dekhta? kya waaqeyi wo ghair haazir hai

Verse 21 — Surah An-Naml 27:21

yaqinan main ose saqt saza dunga ya ose zubaah kar daalonga, ya mere saamne koyi sarih daleel bayaan kare

Verse 22 — Surah An-Naml 27:22

kuch zyaada der na guzri thi ke aakar us ne kaha main ek aisi cheez ki qabar laya hoon, ke tujhe us ki qabar hee nahi, main sabah ki ek sacchi qabar tere paas laya hoon

Verse 23 — Surah An-Naml 27:23

main ne dekha ke un ki badshaahath ek aurath kar rahi hai, jise har qism ki cheez se kuch na kuch diya gaya hai aur us ka taqth bhi badi azmath wala hai

Verse 24 — Surah An-Naml 27:24

main ne ose aur us ki khaum ko Allah ta’ala ko chohd kar suraj ko sajda karte hoye paaya, shaitaan ne un ke kaam unhe bhale kar ke dikhla kar sahih raah se rok diya hai, pas wo hidaayath par nahi aate

Verse 25 — Surah An-Naml 27:25

ke osi Allah ke liye sajde kare jo asmaano aur zamino ki pushida chizo ko baaher nikaalta hai aur jo kuch tum chupaate ho aur zaaher karte ho, wo sab kuch jaanta hai

Verse 26 — Surah An-Naml 27:26

us ke siva koyi mabude barhaq nahi, wahi azmath waale arsh ka maalik hai

Verse 27 — Surah An-Naml 27:27

Sulaiman ne kaha, ab hum dekhenge ke tu ne sach kaha hai ya tu jhuta hai

Verse 28 — Surah An-Naml 27:28

mere is qath ko le ja kar unhe de de, phir un ke paas se hat aa, aur dekh ke wo kya jawaab dete hai

Verse 29 — Surah An-Naml 27:29

wo kehne lagi, aye sardaaro! meri taraf ek ba-waq’ath qath daala gaya hai

Verse 30 — Surah An-Naml 27:30

jo Sulaimaan ki taraf se hai aur jo baqshish karne waale meherbaan Allah ke naam se shuro hai

Verse 31 — Surah An-Naml 27:31

ye ke tum mere saamne sarkashi na karo aur musalmaan ban kar mere paas aa jaao

Verse 32 — Surah An-Naml 27:32

us ne kaha aye mere sardaaro! tum mere is maamle mein mujhe mashwera do, main kisi amr ka qatayi faisla jab tak tumhaari maujodgi aur raay na ho, nahi kiya karti

Verse 33 — Surah An-Naml 27:33

un sab ne jawaab diya ke hum taaqath aur quwwath waale aur saqt ladne aur bhidne waale hai, aage aap ko eqtiyaar hai, aap khud hee sonch li jiye ke hamein aap kya kuch hukm farmaati hai

Verse 34 — Surah An-Naml 27:34

us ne kaha badshaah jab kisi basti mein ghuste hai to ose ujaad dete hai aur wahaa ke ba-izzath logo ko zaleel kar dete hai aur ye log bhi aisa hee karenge

Verse 35 — Surah An-Naml 27:35

main unhe ek hadhya bhejne wali hoon, phir dekh longi ke qaasidh kya jawaab le kar laut te hai

Verse 36 — Surah An-Naml 27:36

pas jab qaasidh (hazrath) Sulaimaan(alaihissalaam) ke paas pahoncha, to aap ne farmaya kya tum maal se mujhe madad dena chahte ho? mujhe to mere rab ne is se bahuth behtar de rakha hai, jo us ne tumhe diya hai, pas tum hee apne tuhfe se khush raho

Verse 37 — Surah An-Naml 27:37

ja un ki taraf waapas laut ja, hum un (ke muqaable) par wo lashkar layenge, jin ke saamne padne ki un mein taaqath nahi aur hum unhe zaleel wa pasth kar ke wahaa se nikaal baahar karenge

Verse 38 — Surah An-Naml 27:38

aap ne farmaya, aye sardaro tum mein se koyi hai jo un ke musalmaan ho kar pahonchne se pehle hee us ka taqth mujhe la de

Verse 39 — Surah An-Naml 27:39

ek qawi haykal jin kehne laga, aap apni is majlis se uthe, us se pehle hee pehle main ose aap ke paas la deta hoon, yaqeen maniye ke main us par qaadir hoon aur hoon bhi amaanatdaar

Verse 40 — Surah An-Naml 27:40

jis ke paas kitaab ka ilm tha wo bol utha ke aap palak jhapkaaye, us se bhi pehle main ose aap ke paas pahoncha sakta hoon, jab aap se ose apne paas maujoodh paya to farmaane lage ke yahi mere rab ka fazl hai, ta ke wo mujhe azmaaye ke main shukr guzaari karta hoon ya na shukri, shukr guzaar apne hee na’fe ke liye shukr guzaari karta hai aur jo na shukri kare to wo mera parvardigaar (be parvaah aur buzrug) ghani aur kareem hai

Verse 41 — Surah An-Naml 27:41

hukm diya ke us ke taqth mein kuch pher badal kar do, ta ke maloom ho jaaye ke ye raah paaleti hai ya un mein se hoti hai jo raah nahi paate

Verse 42 — Surah An-Naml 27:42

phir jab wo aa gayi to us se kaha (daryaaft kiya) gaya ke aisa hee tera (bhi) taqth hai? us ne jawaab diya ke ye goya wahi hai, hamein is se pehle hee ilm diya gaya tha aur hum musalmaan thein

Verse 43 — Surah An-Naml 27:43

ose unhone rok rakha tha jin ki wo Allah ke siva parastish karti rahi thi, yaqinan wo kaafir logo mein se thi

Verse 44 — Surah An-Naml 27:44

us se kaha gaya ke mahal mein chali chalo, jise dekha ke ye samajh kar ke ye hauz hai, us ne apni pindliya khol di, farmaya ye to sheeshe se mondhi hoyi imaarath hai, kehne lagi mere parvardigaar! main ne apne aap par zulm kiya, ab main Sulaimaan(alaihissalaam) ke saath Allah rabbul aalameen ki muti aur farma bardaar banti hoon

Verse 45 — Surah An-Naml 27:45

yaqinan hum ne samoodh ki taraf un ke bhai saaleh ko bheja ke tum sab Allah ki ibaadath karo, phir bhi wo do fareeq ban kar aapas mein ladne jhagadne lage

Verse 46 — Surah An-Naml 27:46

aap ne farmaya aye meri khaum ke logo! tum neki se pehle buraayi ki jaldi kyo macha rahe ho? tum Allah ta’ala se isteghfaar kyo nahi karte ta ke tum par rahem kiya jaaye

Verse 47 — Surah An-Naml 27:47

wo kehne lage hum to teri aur tere saathiyo ki badh shuguni le rahe hai? aap ne farmaya tumhaari badh shuguni Allah ke haan hai, balke tum fitne mein pade hoye log ho

Verse 48 — Surah An-Naml 27:48

us shahar mein nau sardaar thein, jo zameen mein fasaadh pehlaate rehte thein aur islaah nahi karte thein

Verse 49 — Surah An-Naml 27:49

unhone aapas mein badi qasme kha kha kar ahad kiya ke raath hee ko saaleh aur us ke ghar waalo par hum chaapa marenge aur us ke waariso se saaf keh denge ke hum us ke ahal ki halaakath ke waqth maujoodh na thein aur hum bilkul sacche hai

Verse 50 — Surah An-Naml 27:50

unhone makar (khufiyaa tadbeer) kiya aur hum ne bhi, aur wo ose samajhte hee na thein

Verse 51 — Surah An-Naml 27:51

(ab) dekh le un ke makar ka anjaam kaisa kuch hoa? ke hum ne un ko aur un ki khaum ko sab ko ghaarath kar diya

Verse 52 — Surah An-Naml 27:52

ye hai un ke makanaath jo un ke zulm ki wajeh se ujde pade hai, jo log ilm rakhte hai un ke liye is mein badi nishaani hai

Verse 53 — Surah An-Naml 27:53

hum ne un ko jo imaan laaye thein aur parhezgaar thein, baal baal bacha liya

Verse 54 — Surah An-Naml 27:54

aur Looth ka (zikr kar) jab ke us ne apni khaum se kaha ke kya ba wajoodh dekhne bhaalne ke phir bhi tum badh kaari kar rahe ho

Verse 55 — Surah An-Naml 27:55

ye kya baath hai ke tum aurto ko chohd kar mardo ke paas shehwath se aate ho? haq ye hai ke tum badi hee na daani kar rahe ho

Verse 56 — Surah An-Naml 27:56

khaum ka jawaab bajuz us kehne ke aur kuch na tha ke aale looth ko apne shahar se shahar badar kardo, ye to bade paak baaz ban rahe hai

Verse 57 — Surah An-Naml 27:57

pas hum ne ose aur us ke ahal ko bajuz us ki biwi ke sab ko bacha liya, us ka andaza to baaqi reh jaane waalo mein, hum laga hee chuke thein

Verse 58 — Surah An-Naml 27:58

aur un par ek qaas (qism ki) baarish barsa di, pas un dhamkaaye hoye logo par buri baarish hoyi

Verse 59 — Surah An-Naml 27:59

tu kehde ke tamaam tareef Allah hee ke liye hai aur us ke bar-guzida bandho par salaam hai, kya Allah ta’ala behtar hai ya wo jinhe ye log shareek tehra rahe hai

Verse 60 — Surah An-Naml 27:60

bhala bataao to? ke asmaano aur zameen ko kis ne paida kiya? kis ne asmaan se baarish barsaayi? phir us se hare bhare ba-raunaq baghaath uga diye? un baagho ke daraqto ko tum hargiz na uga sakte, kya Allah ke saath aur koyi maboodh bhi hai? balke ye log hat jaate hai (sidhi raah se)

Verse 61 — Surah An-Naml 27:61

kya wo jis ne zameen ko qaraar gaah banaya aur us ke darmiyaan nehre jaari kardi aur us ke liye pahaad banaaye aur do samandaro ke darmiyaan rok bana di, kya Allah ke saath aur koyi maboodh bhi hai? balke un mein se aksar kuch jaante hee nahi

Verse 62 — Surah An-Naml 27:62

bekas ki pukaar ko jab ke wo pukaare, kaun qubool kar ke saqti ko door kar deta hai? aur tumhe zameen ka qalifa banata hai, kya Allah ta’ala ke saath aur maboodh hai? tum bahuth kam nasihath wa ibrath haasil karte ho

Verse 63 — Surah An-Naml 27:63

kya wo jo tumhe khushki aur tari ki tarikiyo mein raah dikhata hai aur jo apni rehmath se pehle hee khush qabriya dene waali hawaaye chalata hai, kya Allah ke saath koyi aur maboodh bhi hai, jinhe ye shareek karte hai, un sab se Allah bulandh wa baalatar hai

Verse 64 — Surah An-Naml 27:64

kya wo jo maqlooq ki awwal dafa paidayish karta hai, phir ose lautayega aur jo tumhe asmaan aur zameen se roziya de raha hai, kya Allah ke saath koyi aur maboodh hai, keh dijiye ke agar sacche ho to apni daleel laao

Verse 65 — Surah An-Naml 27:65

keh dijiye ke asmaano walo mein se zameen waalo mein se sivaaye Allah ke koyi ghayb nahi jaanta, unhe to ye bhi nahi maloom ke kabh utha khade kiye jayenge

Verse 66 — Surah An-Naml 27:66

balke aaqirath ke baare mein un ka ilm qatam ho chuka hai, balke ye us ki taraf se shak mein hai balke ye us se andhe hai

Verse 67 — Surah An-Naml 27:67

kaafiro ne kaha ke kya jab hum mitthi ho jayenge aur hamaare baap dada bhi, kya hum phir nikaale jayenge

Verse 68 — Surah An-Naml 27:68

hum aur hamaare baap dadaao ko bahuth pehle se ye waade kiye jaate rahe, kuch nahi ye to sirf aglo ke afsaane hai

Verse 69 — Surah An-Naml 27:69

keh dijiye ke zameen mein chal phir kar zara dekho to sahih, ke gunehgaaro ka kaisa anjaam hoa

Verse 70 — Surah An-Naml 27:70

aap un ke baare mein gham na kare aur un ke daao ghaath se tang dil na ho

Verse 71 — Surah An-Naml 27:71

kehte hai ke ye waada kabh hai, agar sacche ho to bathla do

Verse 72 — Surah An-Naml 27:72

jawaab di jiye! ke shaayad baaz wo cheeze jin ki tum jaldi macha rahe ho, tum se bahuth hee qareeb ho gayi ho

Verse 73 — Surah An-Naml 27:73

yaqinan aap ka parvardigaar tamaam logo par bade hee fazl wala hai, lekin aksar log na shukri karte hai

Verse 74 — Surah An-Naml 27:74

beshak aap ka rab un chizo ko bhi jaanta hai, jinhe un ke sine chupa rahe hai aur jinhe zaaher kar rahe hai

Verse 75 — Surah An-Naml 27:75

asmaan wa zameen ki koyi pushida cheez bhi aisi nahi jo roushan aur khuli kitaab mein na ho

Verse 76 — Surah An-Naml 27:76

yaqinan Qur’aan bani israel ke saamne un aksar chizo ka bayaan kar raha hai, jin mein ye eqtelaaf karte hai

Verse 77 — Surah An-Naml 27:77

aur ye Qur’aan imaan waalo ke liye yaqinan hidaayath aur rehmath hai

Verse 78 — Surah An-Naml 27:78

aap ka rab un ke darmiyaan apne hukm se sab faisle kar dega, wo bada hee ghaalib aur daana hai

Verse 79 — Surah An-Naml 27:79

pas aap yaqinan Allah hee par bharosa rakhiye, yaqinan aap sacche aur khule deen par hai

Verse 80 — Surah An-Naml 27:80

beshak aap na murdo ko suna sakte hai aur na behro ko apni pukaar suna sakte hai jab ke wo peet phere ru garda ja rahe ho

Verse 81 — Surah An-Naml 27:81

aur na aap andho ko un ki gumraahi se hata kar rehnumaayi kar sakte hai, aap to sirf unhe suna sakte hai jo hamaari aayato par imaan laaye hai, phir wo farma bardaar ho jaate hai

Verse 82 — Surah An-Naml 27:82

jab un ke upar azaab ka waada saabith ho jayega, hum zameen se un ke liye ek jaanwar nikaalenge jo un se baatien karta hoga, ke log hamaari aayato par yaqeen nahi karte thein

Verse 83 — Surah An-Naml 27:83

aur jis din hum har ummath mein se un logo ke gruh ko jo hamaari aayato ko jhutlaate thein, gher ghaar kar layenge, phir wo sab ke sab alag kar diye jayenge

Verse 84 — Surah An-Naml 27:84

jab sab ke sab aa pahonchenge, to Allah ta’ala farmaayega ke tum ne meri aayato ko ba-wajoodh ye ke tumhe un ka pura ilm na tha, kyo jhutlaya? aur ye bhi batlaao ke tum kya kuch karte rahe

Verse 85 — Surah An-Naml 27:85

ba-sabab us ke, ke unhone zulm kiya tha, un par baath jam jayegi aur wo kuch bol na sakenge

Verse 86 — Surah An-Naml 27:86

kya wo dekh nahi rahe hai ke hum ne raath ko is liye banaya hai ke wo us mein araam haasil karle aur din ko hum ne dikh laane wala banaya hai, yaqinan us mein un logo ke liye nishaaniya hai jo imaan wa yaqeen rakhte hai

Verse 87 — Surah An-Naml 27:87

jis din soor phonka jayega, to sab ke sab asmaano waale aur zameen waale ghabra uthenge magar jise Allah ta’ala chaahe aur saare ke saare aajiz wa pasth ho kar us ke saamne haazir honge

Verse 88 — Surah An-Naml 27:88

aur aap pahaado ko dekh kar apni jageh jame hoye qayaal karte hai, lekin wo bhi baadal ki tarah udte phirenge, ye hai sanadh Allah ki, jis ne har cheez ko mazbooth banaya hai, jo kuch tum karte ho us se wo ba-qabar hai

Verse 89 — Surah An-Naml 27:89

jo log nek amal layenge, unhe us se behtar badhla milega aur wo us din ki ghabraahat se be khauf honge

Verse 90 — Surah An-Naml 27:90

aur jo buraayi le kar ayenge, wo aundhe mu aag mein jhonk diye jayenge, sirf wahi badhla diye jaoge, jo tum karte rahe

Verse 91 — Surah An-Naml 27:91

mujhe to bas yahi hukm diya gaya hai ke main is shahar ke parvardigaar ki ibaadath karta raho, jis ne ose hurmath wala banaya hai, jis ki milkiyath har cheez hai aur mujhe ye bhi farmaya gaya hai ke main farma-bardaaro mein ho jaao

Verse 92 — Surah An-Naml 27:92

aur main Qur’aan ki tilaawath karta raho, jo raahe raasth par aa jaaye wo apne na’fe ke liye raahe raasth par ayega aur jo bahek jaaye to keh dijiye! ke main to sirf hoshiyaar karne waalo mein se hoon

Verse 93 — Surah An-Naml 27:93

keh dijiye ke tamaam tareefe Allah hee ko saza waar hai, wo an-qareeb apni nishaaniya dikhayega, jinhe tum (khud) pehchaan loge aur jo kuch tum karte ho, us se aap ka rab ghaafil nahi