(yaad hoga) jab ke Mosa(alaihissalaam) ne apne ghar waalo se kaha ke main ne aag dekhi hai, main wahaa se ya to koyi qabar le kar, ya aag ka koyi sulagta hoa angaara le kar abhi tumhaare paas aa jaonga, ta ke tum sek taap karlo
jab wahaa phaonche to awaaz di gayi ke ba-barkath hai wo jo is aag mein hai aur barkath diya gaya hai, wo jo us ke aas paas hai, aur paak hai Allah jo tamaam jahaano ka paalne waala hai
tu apni laathi daal de, Mosa(alaihissalaam) ne jab ose haltha-jhulta dekha, is tarah ke goya wo ek saanp hai, to mu mode hoye, peet pher kar bhaage aur palat kar bhi na dekha, aye Mosa!(alaihissalaam) khauf na kha, mere huzoor mein paighambar dara nahi karte
aur apna haath apne girebaan mein daal, wo safedh chamkila ho kar niklega, baghair kisi ayb ke, tu nau(9) nishaaniya le kar feraun aur us ki khaum ki taraf ja, yaqinan wo badh-kaaro ka gruh hai
unhone inkaar kar diya, halaan ke un ke dil yaqeen kar chuke thein, sirf zulm wa takabbaur ki bina par, pas dekh lijiye ke in fitna pardaaz logo ka anjaam kaisa kuch hoa
aur hum ne yaqinan Dawood(alaihissalaams) aur Sulaimaan(alaihissalaam) ko ilm de rakha tha, aur duno ne kaha tareef us Allah ke liye hai, jis ne hamein apne bahuth se imaandaar bando par fazilath ata farmaayi hai
aur Dawood(alaihissalaam) ke waaris sulaimaan hoye aur kehne lage logo! hamein parindo ki boli sikhaayi gayi hai aur hum sab kuch mein se diye gaye hai, beshak ye bilkul khula hoa fazle ilaahi hai
jab wo chontiyo ke maidaan mein pahonche to, ek chonti ne kaha, aye chontiyo! apne apne gharo mein ghus jaao, aisa na ho ke be-qabri mein sulaimaan aur us ka lashkar tumhe raundh daale
us ki is baath se hazrath Sulaiman(alaihissalaam) muskura kar has diye aur dua karne lage aye parvardigaar! tu mujhe taufeeq de ke main teri un nemato ka shukr baja laao jo tu ne mujh par in’aam ki hai aur mere maa baap par aur main aise nek amaal karta raho, jin se tu khush rahe, mujhe apni rehmath se nek bandho mein shaamil karle
kuch zyaada der na guzri thi ke aakar us ne kaha main ek aisi cheez ki qabar laya hoon, ke tujhe us ki qabar hee nahi, main sabah ki ek sacchi qabar tere paas laya hoon
main ne dekha ke un ki badshaahath ek aurath kar rahi hai, jise har qism ki cheez se kuch na kuch diya gaya hai aur us ka taqth bhi badi azmath wala hai
main ne ose aur us ki khaum ko Allah ta’ala ko chohd kar suraj ko sajda karte hoye paaya, shaitaan ne un ke kaam unhe bhale kar ke dikhla kar sahih raah se rok diya hai, pas wo hidaayath par nahi aate
ke osi Allah ke liye sajde kare jo asmaano aur zamino ki pushida chizo ko baaher nikaalta hai aur jo kuch tum chupaate ho aur zaaher karte ho, wo sab kuch jaanta hai
us ne kaha aye mere sardaaro! tum mere is maamle mein mujhe mashwera do, main kisi amr ka qatayi faisla jab tak tumhaari maujodgi aur raay na ho, nahi kiya karti
un sab ne jawaab diya ke hum taaqath aur quwwath waale aur saqt ladne aur bhidne waale hai, aage aap ko eqtiyaar hai, aap khud hee sonch li jiye ke hamein aap kya kuch hukm farmaati hai
us ne kaha badshaah jab kisi basti mein ghuste hai to ose ujaad dete hai aur wahaa ke ba-izzath logo ko zaleel kar dete hai aur ye log bhi aisa hee karenge
pas jab qaasidh (hazrath) Sulaimaan(alaihissalaam) ke paas pahoncha, to aap ne farmaya kya tum maal se mujhe madad dena chahte ho? mujhe to mere rab ne is se bahuth behtar de rakha hai, jo us ne tumhe diya hai, pas tum hee apne tuhfe se khush raho
ja un ki taraf waapas laut ja, hum un (ke muqaable) par wo lashkar layenge, jin ke saamne padne ki un mein taaqath nahi aur hum unhe zaleel wa pasth kar ke wahaa se nikaal baahar karenge
ek qawi haykal jin kehne laga, aap apni is majlis se uthe, us se pehle hee pehle main ose aap ke paas la deta hoon, yaqeen maniye ke main us par qaadir hoon aur hoon bhi amaanatdaar
jis ke paas kitaab ka ilm tha wo bol utha ke aap palak jhapkaaye, us se bhi pehle main ose aap ke paas pahoncha sakta hoon, jab aap se ose apne paas maujoodh paya to farmaane lage ke yahi mere rab ka fazl hai, ta ke wo mujhe azmaaye ke main shukr guzaari karta hoon ya na shukri, shukr guzaar apne hee na’fe ke liye shukr guzaari karta hai aur jo na shukri kare to wo mera parvardigaar (be parvaah aur buzrug) ghani aur kareem hai
phir jab wo aa gayi to us se kaha (daryaaft kiya) gaya ke aisa hee tera (bhi) taqth hai? us ne jawaab diya ke ye goya wahi hai, hamein is se pehle hee ilm diya gaya tha aur hum musalmaan thein
us se kaha gaya ke mahal mein chali chalo, jise dekha ke ye samajh kar ke ye hauz hai, us ne apni pindliya khol di, farmaya ye to sheeshe se mondhi hoyi imaarath hai, kehne lagi mere parvardigaar! main ne apne aap par zulm kiya, ab main Sulaimaan(alaihissalaam) ke saath Allah rabbul aalameen ki muti aur farma bardaar banti hoon
yaqinan hum ne samoodh ki taraf un ke bhai saaleh ko bheja ke tum sab Allah ki ibaadath karo, phir bhi wo do fareeq ban kar aapas mein ladne jhagadne lage
aap ne farmaya aye meri khaum ke logo! tum neki se pehle buraayi ki jaldi kyo macha rahe ho? tum Allah ta’ala se isteghfaar kyo nahi karte ta ke tum par rahem kiya jaaye
wo kehne lage hum to teri aur tere saathiyo ki badh shuguni le rahe hai? aap ne farmaya tumhaari badh shuguni Allah ke haan hai, balke tum fitne mein pade hoye log ho
unhone aapas mein badi qasme kha kha kar ahad kiya ke raath hee ko saaleh aur us ke ghar waalo par hum chaapa marenge aur us ke waariso se saaf keh denge ke hum us ke ahal ki halaakath ke waqth maujoodh na thein aur hum bilkul sacche hai
tu kehde ke tamaam tareef Allah hee ke liye hai aur us ke bar-guzida bandho par salaam hai, kya Allah ta’ala behtar hai ya wo jinhe ye log shareek tehra rahe hai
bhala bataao to? ke asmaano aur zameen ko kis ne paida kiya? kis ne asmaan se baarish barsaayi? phir us se hare bhare ba-raunaq baghaath uga diye? un baagho ke daraqto ko tum hargiz na uga sakte, kya Allah ke saath aur koyi maboodh bhi hai? balke ye log hat jaate hai (sidhi raah se)
kya wo jis ne zameen ko qaraar gaah banaya aur us ke darmiyaan nehre jaari kardi aur us ke liye pahaad banaaye aur do samandaro ke darmiyaan rok bana di, kya Allah ke saath aur koyi maboodh bhi hai? balke un mein se aksar kuch jaante hee nahi
bekas ki pukaar ko jab ke wo pukaare, kaun qubool kar ke saqti ko door kar deta hai? aur tumhe zameen ka qalifa banata hai, kya Allah ta’ala ke saath aur maboodh hai? tum bahuth kam nasihath wa ibrath haasil karte ho
kya wo jo tumhe khushki aur tari ki tarikiyo mein raah dikhata hai aur jo apni rehmath se pehle hee khush qabriya dene waali hawaaye chalata hai, kya Allah ke saath koyi aur maboodh bhi hai, jinhe ye shareek karte hai, un sab se Allah bulandh wa baalatar hai
kya wo jo maqlooq ki awwal dafa paidayish karta hai, phir ose lautayega aur jo tumhe asmaan aur zameen se roziya de raha hai, kya Allah ke saath koyi aur maboodh hai, keh dijiye ke agar sacche ho to apni daleel laao
keh dijiye ke asmaano walo mein se zameen waalo mein se sivaaye Allah ke koyi ghayb nahi jaanta, unhe to ye bhi nahi maloom ke kabh utha khade kiye jayenge
aur na aap andho ko un ki gumraahi se hata kar rehnumaayi kar sakte hai, aap to sirf unhe suna sakte hai jo hamaari aayato par imaan laaye hai, phir wo farma bardaar ho jaate hai
jab un ke upar azaab ka waada saabith ho jayega, hum zameen se un ke liye ek jaanwar nikaalenge jo un se baatien karta hoga, ke log hamaari aayato par yaqeen nahi karte thein
aur jis din hum har ummath mein se un logo ke gruh ko jo hamaari aayato ko jhutlaate thein, gher ghaar kar layenge, phir wo sab ke sab alag kar diye jayenge
jab sab ke sab aa pahonchenge, to Allah ta’ala farmaayega ke tum ne meri aayato ko ba-wajoodh ye ke tumhe un ka pura ilm na tha, kyo jhutlaya? aur ye bhi batlaao ke tum kya kuch karte rahe
kya wo dekh nahi rahe hai ke hum ne raath ko is liye banaya hai ke wo us mein araam haasil karle aur din ko hum ne dikh laane wala banaya hai, yaqinan us mein un logo ke liye nishaaniya hai jo imaan wa yaqeen rakhte hai
jis din soor phonka jayega, to sab ke sab asmaano waale aur zameen waale ghabra uthenge magar jise Allah ta’ala chaahe aur saare ke saare aajiz wa pasth ho kar us ke saamne haazir honge
aur aap pahaado ko dekh kar apni jageh jame hoye qayaal karte hai, lekin wo bhi baadal ki tarah udte phirenge, ye hai sanadh Allah ki, jis ne har cheez ko mazbooth banaya hai, jo kuch tum karte ho us se wo ba-qabar hai
mujhe to bas yahi hukm diya gaya hai ke main is shahar ke parvardigaar ki ibaadath karta raho, jis ne ose hurmath wala banaya hai, jis ki milkiyath har cheez hai aur mujhe ye bhi farmaya gaya hai ke main farma-bardaaro mein ho jaao
aur main Qur’aan ki tilaawath karta raho, jo raahe raasth par aa jaaye wo apne na’fe ke liye raahe raasth par ayega aur jo bahek jaaye to keh dijiye! ke main to sirf hoshiyaar karne waalo mein se hoon
keh dijiye ke tamaam tareefe Allah hee ko saza waar hai, wo an-qareeb apni nishaaniya dikhayega, jinhe tum (khud) pehchaan loge aur jo kuch tum karte ho, us se aap ka rab ghaafil nahi