aur jo log imaan laaye aur unhone mutaabiq sunnath kaam kiye, hum un ke tamaam gunaaho ko un se door kar denge aur unhe unke nek amaal ke behtereen badhle denge
hum ne har insaan ko apne maa baap ke saath accha sulook karne ki nasihath ki hai, haan agar wo ye koshish kare ke aap mere saath ose shareek karle jis ka aap ko ilm nahi to un ka kehna na maniye, tum sab ka lautna meri hee taraf hai, phir main har us cheez se jo tum karte thein tumhe qabar donga
aur baaz log aise bhi hai jo zabaani kehte hai ke hum imaan laaye hai, lekin jab Allah ki raah mein koyi mushkil aan padti hai to, logo ki eza dahi ko Allah ta’ala ke azaab ki tarah bana lete hai, haan agar Allah ta’ala ki madad aa jaaye to pukaar uthte hai ke hum to tumhaare saathi hee hai, kya dunya jahaan ke sino mein jo kuch hai us se Allah ta’ala daana nahi hai
kaafiro ne imaan waalo se kaha ke tum hamaari raah ki tabedaari karo, tumhaare gunaah hum utha lenge, halaan ke wo un ke gunaaho mein se kuch bhi nahi uthaane waale, ye to mahez jhute hai
albatta ye apne boojh dholenge aur apne bujho ke saath hee aur boojh bhi, aur jo kuch iftera pardaaziya kar rahe hai, un sab ki baabath un se baaz purs ki jayegi
aur hum ne Nuh (alaihissalaam) ko un ki khaum ki taraf bheja, wo un mein saade nau sau saal tak rahe, phir to unhe tufaan ne dhar pakda aur wo thein bhi zaalim
aur Ibraheem(alaihissalaam) ne bhi apni khaum se farmaya ke Alla ta’ala ki ibaadath karo aur us se darte raho, agar tum mein danaayi hai to yahi tumhaare liye behtar hai
to tum Allah ta’ala ke siva butho ki puja paat kar rahe ho, aur jhuti baatein dil se ghad lete ho, suno jin jin ki tum Allah ta’ala ke siva puja paat kar rahe ho, wo to tumhaari rozi ke maalik nahi, pas tumhe chahiye ke tum Allah ta’ala hee se roziya talab karo aur osi ki ibaadath karo aur osi ki shukr guzaari karo aur osi ki taraf tum lautaaye jaoge
keh dijiye! ke zameen mein chal phir kar dekho to sahih ke kis tarah Allah ta’ala ne ibteda’an paidayish ki phir Allah ta’ala hee dosri nayi paidayish karega, Allah ta’ala har cheez par qaadir hai
un ki khaum ka jawaab bajuz us ke kuch na tha ke kehne lage ke, ose maar daalo ya ose jala daalo, aaqirash Allah ne unhe aag se bacha liya, us mein imaan waale logo ke liye to bahuth si nishaaniya hai
(hazrath) Ibraheem(alaihissalaam) ne kaha ke tum ne jin butho ki parastish Allah ke siva ki hai, unhe tum ne apni aapas ki dunyawi dosti ki bina tehra li hai, tum sab qayaamath ke din ek dosre se kufr karne lagoge aur ek dosre par laanath karne lagoge aur tumhara sab ka thikana dozakh hoga aur tumhara koyi madadgaar na hoga
pas Ibraheem(alaihissalaam) par hazrath Looth (alaihissalaam) imaan laaye aur kehne lage ke main apne rab ki taraf hijrath karne wala hoon, wo bada hee ghaalib aur hakeem hai
aur hum ne unhe (Ibraheem ko) Is’haaq wa Yaqoob(alaihima assalaam) ata kiye aur hum ne nabuwath aur kitaab un ki aulaad mein hee kardi aur hum ne dunya mein bhi ise sawaab diya aur aaqirath mein to wo saaleh logo mein se hai
aur hazrath Looth (alaihissalaam) ka bhi zikr karo, jab ke unhone apni khaum se farmaya ke tum to is badh-kaari par utar aaye ho jise tum se pehle dunya bhar mein kisi ne nahi kiya
kya tum mardo ke paas badh-feli ke liye aate ho aur raaste bandh karte ho aur apni aam majliso mein be-hayaaiyo ka kaam karte ho? us ke jawaab mein us ki khaum ne bajuz us ke aur kuch nahi kaha ke bas ja, agar saccha hai to hamaare paas Allah ta’ala ka azaab le aa
aur jab hamaare bheje hoye farishte hazrath Ibraheem(alaihissalaam) ke paas bashaarath le kar pahonche, kehne lage ke is basti waalo ko hum halaak karne waale hai, yaqinan yahaa ke rehne waale gunehgaar hai
hazrath Ibraheem(alaihissalaam) ne) kaha is mein to Looth(alaihissalaam) hai, farishto ne kaha, yahaa jo hai hum unhe ba-qoobi jaante hai, Looth(alaihissalaam) ko aur us ke khandaan ko, sivaaye us ki biwi ke hum bacha lenge, albatta wo aurath piche reh jaane waalo mein se hai
phir jab hamaare qaasidh Looth(alaihissalaam) ke paas pahonche to wo un ki wajeh se ghamgeen hoye aur dil hee dil mein ranj karne lage, qaasido ne kaha aap na khauf khaiye aur na aazurda ho, hum aap ko ma3 aap ke mutalleqeen ke bacha lenge, magar aap ki biwi, ke wo azaab ke liye baaqi reh jaane waalo mein se hogi
aur madyan ki taraf hum ne un ke bhai Shuaib (alaihissalam) ko bheja, unhone kaha aye meri khaum ke logo! Allah ki ibaadath karo, qayaamath ke din ki tawaqqe rakho aur zameen mein fasaadh na karte phiro
aur hum ne aadiyo aur samudiyo ko bhi ghaarath kiya, jin ke baaz makanaath tumhaare saamne zaaher hai aur shaitaan ne unhe un ki badh-amaaliya araasta kar dikhayi thi aur unhe raah se rok diya tha, ba-wajoodh ye ke ye aankho waale aur hosh-yaar thein
aur qaroon aur feraun aur hamaan ko bhi, un ke paas hazrath Mosa(alaihissalaam) khule khule maujeze le kar aaye thein, phir unhone zameen mein takabbur kiya, lekin hum se aage badne waale na ho sa ke
phir to har ek ko hum ne us ke gunaah ke wabaal mein giraftaar kar liya, un mein se baaz par hum ne pattharo ka meh barsaya aur un mein se baaz ko zoor daar saqth awaaz ne daboch liya aur un mein se baaz ko hum ne zameen mein dhasa diya aur un mein se baaz ko hum ne dubo diya, Allah ta’ala aisa nahi ke un par zulm kare, balke yahi log apni jaanu par zulm karte thein
jin logo ne Allah ta’ala ke siva aur kaar saaz muqarrar kar rakhe hai, un ki misaal makhdi ki si hai, ke wo bhi ek ghar bana leti hai, halaan ke tamaam gharo se zyaada bodha ghar makhdi ka ghar hee hai, kaash! wo jaan lete
jo kitaab aap ki taraf wahi ki gayi hai, ise padiye aur namaaz qaayam kare, yaqinan namaaz be hayaayi aur buraayi se rokti hai, beshak Allah ka zikr bahuth badi cheez hai, tum jo kuch kar rahe ho, us se Allah qabardaar hai
aur ahle kitaab ke saath bahes wa mubaahesa na karo magar us tariqe par jo umdah ho, magar un ke saath jo un mein zaalim hai, aur saaf elaan kardo ke hamara to is kitaab par bhi imaan hai jo hum par utaari gayi hai aur us par bhi jo tum par utaari gayi hai, hamara tumhara maboodh ek hee hai, hum sab osi ke hukm bardaar hai
aur hum ne isi tarah aap ki taraf apni kitaab naazil farmaayi hai, pas jinhe hum ne kitaab di hai, wo us par imaan laate hai aur un (mushrikeen) mein se baaz us par imaan rakhte hai aur hamari aayato ka inkaar sirf kaafir hee karte hai
unhone kaha ke us par kuch nishaaniya (maujezaath) us ke rab ki taraf se kyo nahi utaare gaye, aap keh dijiye ke nishaaniya to sab Allah ta’ala ke paas hai, main to sirf khullam khulla agaah kar dene waala hoon
kya unhe ye kaafi nahi? ke hum ne aap par kitaab naazil farma di jo un par padi ja rahi hai, us mein rehmath (bhi) hai aur nasihath (bhi) hai, un logo ke liye jo imaan laate hai
keh dijiye ke mujh mein aur tum mein Allah ta’ala gawaah hona kaafi hai, wo asmaano aur zameen ki har cheez ka aalim hai, jo log baatil ke maanne waale aur Allah ta’ala se kufr karne waale hai, wo zabardasth nuqsaan aur ghaate mein hai
ye log aap se azaab ki jaldi kar rahe hai, agar meri taraf se muqarrar kiya hoa, waqt na hota to abhi tak in ke paas azaab aa chuka hota, ye yaqini baath hai ke achaanak un ki be qabri mein un ke paas azaab aa pahonchega
aur jo log imaan laaye aur nek kaam kiye unhe hum yaqinan jannath ke un bala khaano mein jagah denge jin ke niche chashme beh rahe hai, jahaan wo hamesha rahenge, kaam karne waalo ka kya hee accha ajr hai
aur agar aap un se daryaafth kare ke zameen wa asmaan ka qaaliq aur suraj chaand ko kaam mein lagaane wala kaun hai? to un ka jawaab yahi hoga ke Allah ta’ala, phir kidar ulthe ja rahe hai
aur agar aap un se sawaal kare ke aasmaan se paani utaar kar zameen ko us ki mauth ke baadh zinda kis ne kiya? to yaqinan un ka jawaab yahi hoga, Allah ta’ala ne, aap kehde ke har tareef Allah hee ke liye sazawaar hai, balke un mein se aksar be-aqal hai
pas ye log jab kashtiyo mein sawaar hote hai, to Allah ta’ala hee ko pukaarte hai, us ke liye ibaadath ko qaalis kar ke, phir jab wo unhe qushki ki taraf bacha laata hai, to osi waqt shirk karne lagte hai
kya ye nahi dekhte ke hum ne haram ko ba-aman bana diya hai, halaan ke un ke ird gird se log uchak liye jaate hai, kya ye baatil par to yaqeen rakhte hai aur Allah ta’ala ki nemato par na shukri karte hai
aur us se bada zaalim kaun hoga? jo Allah ta’ala par jhoot baandhe ya jab haq us ke paas aa jaaye, wo ose jhutlaaye, kya aise kaafiro ka thikaana jahannam mein na hoga