Back to Languages

Urdu - Chapter 29 - Al-Ankabut

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Ankabut 29:1

Verse 2 — Surah Al-Ankabut 29:2

kya logo ne ye gumaan kar rakha hai un ke sirf is daawe par ke hum imaan laaye hai, hum unhe baghair azmaaye hoye hee chohd denge

Verse 3 — Surah Al-Ankabut 29:3

un se aglo ko bhi hum ne qoob jaancha, yaqinan Allah ta’ala unhe bhi jaan lega, jo sach kehte hai aur unhe bhi maloom kar lega jo jhote hai

Verse 4 — Surah Al-Ankabut 29:4

kya jo log buraiyya kar rahe hai, unhone ye samajh rakha hai ke wo hamaare qaabo se baaher ho jayenge, ye log kaisi buri tajweeze kar rahe hai

Verse 5 — Surah Al-Ankabut 29:5

jise Allah ki mulaqaath ki ummid ho, pas Allah ka tehraya hoa waqt yaqinan aane wala hai, wo sab kuch sunne wala sab kuch jaanne wala hai

Verse 6 — Surah Al-Ankabut 29:6

aur har ek koshish karne wala apne hee bhale ki koshish karta hai, waise to Allah ta’ala tamaam jahaan waalo se be niyaaz hai

Verse 7 — Surah Al-Ankabut 29:7

aur jo log imaan laaye aur unhone mutaabiq sunnath kaam kiye, hum un ke tamaam gunaaho ko un se door kar denge aur unhe unke nek amaal ke behtereen badhle denge

Verse 8 — Surah Al-Ankabut 29:8

hum ne har insaan ko apne maa baap ke saath accha sulook karne ki nasihath ki hai, haan agar wo ye koshish kare ke aap mere saath ose shareek karle jis ka aap ko ilm nahi to un ka kehna na maniye, tum sab ka lautna meri hee taraf hai, phir main har us cheez se jo tum karte thein tumhe qabar donga

Verse 9 — Surah Al-Ankabut 29:9

aur jin logo ne imaan qubool kiya aur nek kaam kiye unhe main apne nek bandho mein shumaar kar longa

Verse 10 — Surah Al-Ankabut 29:10

aur baaz log aise bhi hai jo zabaani kehte hai ke hum imaan laaye hai, lekin jab Allah ki raah mein koyi mushkil aan padti hai to, logo ki eza dahi ko Allah ta’ala ke azaab ki tarah bana lete hai, haan agar Allah ta’ala ki madad aa jaaye to pukaar uthte hai ke hum to tumhaare saathi hee hai, kya dunya jahaan ke sino mein jo kuch hai us se Allah ta’ala daana nahi hai

Verse 11 — Surah Al-Ankabut 29:11

jo log imaan laaye Allah unhe bhi zaaher kar ke rahega aur munafiqo ko bhi zaaher kar ke rahega

Verse 12 — Surah Al-Ankabut 29:12

kaafiro ne imaan waalo se kaha ke tum hamaari raah ki tabedaari karo, tumhaare gunaah hum utha lenge, halaan ke wo un ke gunaaho mein se kuch bhi nahi uthaane waale, ye to mahez jhute hai

Verse 13 — Surah Al-Ankabut 29:13

albatta ye apne boojh dholenge aur apne bujho ke saath hee aur boojh bhi, aur jo kuch iftera pardaaziya kar rahe hai, un sab ki baabath un se baaz purs ki jayegi

Verse 14 — Surah Al-Ankabut 29:14

aur hum ne Nuh (alaihissalaam) ko un ki khaum ki taraf bheja, wo un mein saade nau sau saal tak rahe, phir to unhe tufaan ne dhar pakda aur wo thein bhi zaalim

Verse 15 — Surah Al-Ankabut 29:15

phir hum ne unhe aur kashti waalo ko najaath di aur is waaqe ko hum ne tamaam jahaan ke liye ibrath ka nishaan bana diya

Verse 16 — Surah Al-Ankabut 29:16

aur Ibraheem(alaihissalaam) ne bhi apni khaum se farmaya ke Alla ta’ala ki ibaadath karo aur us se darte raho, agar tum mein danaayi hai to yahi tumhaare liye behtar hai

Verse 17 — Surah Al-Ankabut 29:17

to tum Allah ta’ala ke siva butho ki puja paat kar rahe ho, aur jhuti baatein dil se ghad lete ho, suno jin jin ki tum Allah ta’ala ke siva puja paat kar rahe ho, wo to tumhaari rozi ke maalik nahi, pas tumhe chahiye ke tum Allah ta’ala hee se roziya talab karo aur osi ki ibaadath karo aur osi ki shukr guzaari karo aur osi ki taraf tum lautaaye jaoge

Verse 18 — Surah Al-Ankabut 29:18

aur agar tum jhutlaao to tum se pehle ki ummato ne bhi jhutlaya hai, rasool ke zimme to sirf saaf taur par pahoncha dena hee hai

Verse 19 — Surah Al-Ankabut 29:19

kya unhone nahi dekha ke maqlooq ki ibteda kis tarah Allah ne ki, phir Allah us ka ee’aada1karega, ye to Allah ta’ala par bahuth hee asaan hai

Verse 20 — Surah Al-Ankabut 29:20

keh dijiye! ke zameen mein chal phir kar dekho to sahih ke kis tarah Allah ta’ala ne ibteda’an paidayish ki phir Allah ta’ala hee dosri nayi paidayish karega, Allah ta’ala har cheez par qaadir hai

Verse 21 — Surah Al-Ankabut 29:21

jise chaahe azaab kare, jis par chaahe rahem kare, sab osi ki taraf lautaaye jaoge

Verse 22 — Surah Al-Ankabut 29:22

tum na to zameen mein Allah ta’ala ko aajiz kar sakte ho, na asmaan mein, Allah ta’ala ke siva na tumhara koyi waali2 hai na madadgaar

Verse 23 — Surah Al-Ankabut 29:23

jo log Allah ta’ala ki aayato aur us ki mulaqaath ko bhulaate hai, wo meri rehmath se na ummid ho jaaye aur un ke liye dard-naak azaab hai

Verse 24 — Surah Al-Ankabut 29:24

un ki khaum ka jawaab bajuz us ke kuch na tha ke kehne lage ke, ose maar daalo ya ose jala daalo, aaqirash Allah ne unhe aag se bacha liya, us mein imaan waale logo ke liye to bahuth si nishaaniya hai

Verse 25 — Surah Al-Ankabut 29:25

(hazrath) Ibraheem(alaihissalaam) ne kaha ke tum ne jin butho ki parastish Allah ke siva ki hai, unhe tum ne apni aapas ki dunyawi dosti ki bina tehra li hai, tum sab qayaamath ke din ek dosre se kufr karne lagoge aur ek dosre par laanath karne lagoge aur tumhara sab ka thikana dozakh hoga aur tumhara koyi madadgaar na hoga

Verse 26 — Surah Al-Ankabut 29:26

pas Ibraheem(alaihissalaam) par hazrath Looth (alaihissalaam) imaan laaye aur kehne lage ke main apne rab ki taraf hijrath karne wala hoon, wo bada hee ghaalib aur hakeem hai

Verse 27 — Surah Al-Ankabut 29:27

aur hum ne unhe (Ibraheem ko) Is’haaq wa Yaqoob(alaihima assalaam) ata kiye aur hum ne nabuwath aur kitaab un ki aulaad mein hee kardi aur hum ne dunya mein bhi ise sawaab diya aur aaqirath mein to wo saaleh logo mein se hai

Verse 28 — Surah Al-Ankabut 29:28

aur hazrath Looth (alaihissalaam) ka bhi zikr karo, jab ke unhone apni khaum se farmaya ke tum to is badh-kaari par utar aaye ho jise tum se pehle dunya bhar mein kisi ne nahi kiya

Verse 29 — Surah Al-Ankabut 29:29

kya tum mardo ke paas badh-feli ke liye aate ho aur raaste bandh karte ho aur apni aam majliso mein be-hayaaiyo ka kaam karte ho? us ke jawaab mein us ki khaum ne bajuz us ke aur kuch nahi kaha ke bas ja, agar saccha hai to hamaare paas Allah ta’ala ka azaab le aa

Verse 30 — Surah Al-Ankabut 29:30

hazrath Looth(alaihissalaam) ne dua ki ke parvardigaar! is mufsidh khaum par meri madad farma

Verse 31 — Surah Al-Ankabut 29:31

aur jab hamaare bheje hoye farishte hazrath Ibraheem(alaihissalaam) ke paas bashaarath le kar pahonche, kehne lage ke is basti waalo ko hum halaak karne waale hai, yaqinan yahaa ke rehne waale gunehgaar hai

Verse 32 — Surah Al-Ankabut 29:32

hazrath Ibraheem(alaihissalaam) ne) kaha is mein to Looth(alaihissalaam) hai, farishto ne kaha, yahaa jo hai hum unhe ba-qoobi jaante hai, Looth(alaihissalaam) ko aur us ke khandaan ko, sivaaye us ki biwi ke hum bacha lenge, albatta wo aurath piche reh jaane waalo mein se hai

Verse 33 — Surah Al-Ankabut 29:33

phir jab hamaare qaasidh Looth(alaihissalaam) ke paas pahonche to wo un ki wajeh se ghamgeen hoye aur dil hee dil mein ranj karne lage, qaasido ne kaha aap na khauf khaiye aur na aazurda ho, hum aap ko ma3 aap ke mutalleqeen ke bacha lenge, magar aap ki biwi, ke wo azaab ke liye baaqi reh jaane waalo mein se hogi

Verse 34 — Surah Al-Ankabut 29:34

hum us basti waalo par aasmaani azaab naazil karne waale hai, is wajeh se ke ye be hukm ho rahe hai

Verse 35 — Surah Al-Ankabut 29:35

al-batta hum ne is basti ko sarih ibrath ki nishaani bana diya, un logo ke liye jo aqal rakhte hai

Verse 36 — Surah Al-Ankabut 29:36

aur madyan ki taraf hum ne un ke bhai Shuaib (alaihissalam) ko bheja, unhone kaha aye meri khaum ke logo! Allah ki ibaadath karo, qayaamath ke din ki tawaqqe rakho aur zameen mein fasaadh na karte phiro

Verse 37 — Surah Al-Ankabut 29:37

phir bhi unhone unhe jhutlaaya, aaqirash unhe zal zale ne pakad liya aur wo apne gharo mein baithe ke baithe murda ho kar reh gaye

Verse 38 — Surah Al-Ankabut 29:38

aur hum ne aadiyo aur samudiyo ko bhi ghaarath kiya, jin ke baaz makanaath tumhaare saamne zaaher hai aur shaitaan ne unhe un ki badh-amaaliya araasta kar dikhayi thi aur unhe raah se rok diya tha, ba-wajoodh ye ke ye aankho waale aur hosh-yaar thein

Verse 39 — Surah Al-Ankabut 29:39

aur qaroon aur feraun aur hamaan ko bhi, un ke paas hazrath Mosa(alaihissalaam) khule khule maujeze le kar aaye thein, phir unhone zameen mein takabbur kiya, lekin hum se aage badne waale na ho sa ke

Verse 40 — Surah Al-Ankabut 29:40

phir to har ek ko hum ne us ke gunaah ke wabaal mein giraftaar kar liya, un mein se baaz par hum ne pattharo ka meh barsaya aur un mein se baaz ko zoor daar saqth awaaz ne daboch liya aur un mein se baaz ko hum ne zameen mein dhasa diya aur un mein se baaz ko hum ne dubo diya, Allah ta’ala aisa nahi ke un par zulm kare, balke yahi log apni jaanu par zulm karte thein

Verse 41 — Surah Al-Ankabut 29:41

jin logo ne Allah ta’ala ke siva aur kaar saaz muqarrar kar rakhe hai, un ki misaal makhdi ki si hai, ke wo bhi ek ghar bana leti hai, halaan ke tamaam gharo se zyaada bodha ghar makhdi ka ghar hee hai, kaash! wo jaan lete

Verse 42 — Surah Al-Ankabut 29:42

Allah ta’ala un tamaam chizo ko jaanta hai jinhe wo us ke siva pukaar rahe hai, wo zabardasth aur zee hikmath hai

Verse 43 — Surah Al-Ankabut 29:43

hum in misaalo ko logo ke liye bayaan farma rahe hai, unhe sirf ilm waale hee samajhte hai

Verse 44 — Surah Al-Ankabut 29:44

Allah ta’ala ne asmaano aur zameen ko maslihath aur haq ke saath paida kiya hai, imaan waalo ke liye to is mein badi bhaari daleel hai

Verse 45 — Surah Al-Ankabut 29:45

jo kitaab aap ki taraf wahi ki gayi hai, ise padiye aur namaaz qaayam kare, yaqinan namaaz be hayaayi aur buraayi se rokti hai, beshak Allah ka zikr bahuth badi cheez hai, tum jo kuch kar rahe ho, us se Allah qabardaar hai

Verse 46 — Surah Al-Ankabut 29:46

aur ahle kitaab ke saath bahes wa mubaahesa na karo magar us tariqe par jo umdah ho, magar un ke saath jo un mein zaalim hai, aur saaf elaan kardo ke hamara to is kitaab par bhi imaan hai jo hum par utaari gayi hai aur us par bhi jo tum par utaari gayi hai, hamara tumhara maboodh ek hee hai, hum sab osi ke hukm bardaar hai

Verse 47 — Surah Al-Ankabut 29:47

aur hum ne isi tarah aap ki taraf apni kitaab naazil farmaayi hai, pas jinhe hum ne kitaab di hai, wo us par imaan laate hai aur un (mushrikeen) mein se baaz us par imaan rakhte hai aur hamari aayato ka inkaar sirf kaafir hee karte hai

Verse 48 — Surah Al-Ankabut 29:48

us se pehle to aap koyi kitaab padte na thein aur na kisi kitaab ko apne haath se likhte thein ke ye baatil parasth log shak wa shube mein padte

Verse 49 — Surah Al-Ankabut 29:49

balke ye (Qur’aan) to roushan aayate hai jo ahle ilm ke sino mein mehfooz hai, hamaari aayato ka munkir bajuz zaalimo ke aur koyi nahi

Verse 50 — Surah Al-Ankabut 29:50

unhone kaha ke us par kuch nishaaniya (maujezaath) us ke rab ki taraf se kyo nahi utaare gaye, aap keh dijiye ke nishaaniya to sab Allah ta’ala ke paas hai, main to sirf khullam khulla agaah kar dene waala hoon

Verse 51 — Surah Al-Ankabut 29:51

kya unhe ye kaafi nahi? ke hum ne aap par kitaab naazil farma di jo un par padi ja rahi hai, us mein rehmath (bhi) hai aur nasihath (bhi) hai, un logo ke liye jo imaan laate hai

Verse 52 — Surah Al-Ankabut 29:52

keh dijiye ke mujh mein aur tum mein Allah ta’ala gawaah hona kaafi hai, wo asmaano aur zameen ki har cheez ka aalim hai, jo log baatil ke maanne waale aur Allah ta’ala se kufr karne waale hai, wo zabardasth nuqsaan aur ghaate mein hai

Verse 53 — Surah Al-Ankabut 29:53

ye log aap se azaab ki jaldi kar rahe hai, agar meri taraf se muqarrar kiya hoa, waqt na hota to abhi tak in ke paas azaab aa chuka hota, ye yaqini baath hai ke achaanak un ki be qabri mein un ke paas azaab aa pahonchega

Verse 54 — Surah Al-Ankabut 29:54

ye azaab ki jaldi macha rahe hai, aur (tasalli rakhe) jahannam kaafiro ko gher lene waali hai

Verse 55 — Surah Al-Ankabut 29:55

us din un ke upar ta le se unhe azaab dhaanp raha hoga aur Allah ta’ala farmaayega ke ab apne (badh) amaal ka maza chako

Verse 56 — Surah Al-Ankabut 29:56

aye mere imaan waale bandho! meri zameen bahuth kushada hai, so tum meri hee ibaadath karo

Verse 57 — Surah Al-Ankabut 29:57

har jaan-daar mauth ka maza chakne wala hai aur tum sab hamaari hee taraf lautaaye jaoge

Verse 58 — Surah Al-Ankabut 29:58

aur jo log imaan laaye aur nek kaam kiye unhe hum yaqinan jannath ke un bala khaano mein jagah denge jin ke niche chashme beh rahe hai, jahaan wo hamesha rahenge, kaam karne waalo ka kya hee accha ajr hai

Verse 59 — Surah Al-Ankabut 29:59

wo jinhone sabr kiya aur apne rab ta’ala par bharosa rakhte hai

Verse 60 — Surah Al-Ankabut 29:60

aur bahuth se jaanwar hai jo apni rozi uthaaye nahi phirte, un sab ko aur tumhe bhi Allah ta’ala hee rozi deta hai, wo bada hee sunne jaane wala hai

Verse 61 — Surah Al-Ankabut 29:61

aur agar aap un se daryaafth kare ke zameen wa asmaan ka qaaliq aur suraj chaand ko kaam mein lagaane wala kaun hai? to un ka jawaab yahi hoga ke Allah ta’ala, phir kidar ulthe ja rahe hai

Verse 62 — Surah Al-Ankabut 29:62

Allah ta’ala apne bandho mein se jise chaahe faraagh rozi deta hai aur jise chaahe tang, yaqinan Allah ta’ala har cheez ka jaanne wala hai

Verse 63 — Surah Al-Ankabut 29:63

aur agar aap un se sawaal kare ke aasmaan se paani utaar kar zameen ko us ki mauth ke baadh zinda kis ne kiya? to yaqinan un ka jawaab yahi hoga, Allah ta’ala ne, aap kehde ke har tareef Allah hee ke liye sazawaar hai, balke un mein se aksar be-aqal hai

Verse 64 — Surah Al-Ankabut 29:64

aur dunya ki ye zindagaani to mahaz khel tamaasha hai, albatta aaqirath ke ghar ki zindagi hee haqiqi zindagi hai, kaash! ye jaante hote

Verse 65 — Surah Al-Ankabut 29:65

pas ye log jab kashtiyo mein sawaar hote hai, to Allah ta’ala hee ko pukaarte hai, us ke liye ibaadath ko qaalis kar ke, phir jab wo unhe qushki ki taraf bacha laata hai, to osi waqt shirk karne lagte hai

Verse 66 — Surah Al-Ankabut 29:66

ta ke hamaari di hoyi nemato se mukarte rahe aur baratte rahe, abhi abhi pata chal jayega

Verse 67 — Surah Al-Ankabut 29:67

kya ye nahi dekhte ke hum ne haram ko ba-aman bana diya hai, halaan ke un ke ird gird se log uchak liye jaate hai, kya ye baatil par to yaqeen rakhte hai aur Allah ta’ala ki nemato par na shukri karte hai

Verse 68 — Surah Al-Ankabut 29:68

aur us se bada zaalim kaun hoga? jo Allah ta’ala par jhoot baandhe ya jab haq us ke paas aa jaaye, wo ose jhutlaaye, kya aise kaafiro ka thikaana jahannam mein na hoga

Verse 69 — Surah Al-Ankabut 29:69

aur log hamaari raah mein mashaqqate bardaasht karte hai, hum unhe apni raahe zaroor dikha denge, yaqinan Allah ta’ala neko kaaro ka saathi hai Sureem rom