Back to Languages

Urdu - Chapter 30 - Ar-Rum

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Ar-Rum 30:1

Verse 2 — Surah Ar-Rum 30:2

rumi maghloob ho gaye hai

Verse 3 — Surah Ar-Rum 30:3

nazdeek ki zameen par aur wo maghloob hone ke baadh an-qareeb ghaalib aa jayenge

Verse 4 — Surah Ar-Rum 30:4

chand saal mein hee us se pehle aur us ke baadh bhi, eqtiyaar Allah ta’ala hee ka hai, us roz musalmaan shaadhmaan honge

Verse 5 — Surah Ar-Rum 30:5

Allah ki madad se wo jis ki chaahta hai madad karta hai, asal ghaalib aur meherbaan wahi hai

Verse 6 — Surah Ar-Rum 30:6

Allah ka waada hai, Allah ta’ala apne waade ka qilaaf nahi karta, lekin aksar log nahi jaante

Verse 7 — Surah Ar-Rum 30:7

wo to (sirf) dunyawi zindagi ke zaaher ko (hee) jaante hai aur aaqirath se to bilkul hee be qabar hai

Verse 8 — Surah Ar-Rum 30:8

kya un logo ne apne dil mein ye ghaur nahi kiya? ke Allah ta’ala ne asmaano aur zameen aur un ke darmiyaan jo kuch hai sab ko behetreen qarine se muqarrar waqt tak ke liye (hee) paida kiya hai, haan aksar log yaqinan apne rab ki mulaqaath ke munkir hai

Verse 9 — Surah Ar-Rum 30:9

kya unhone zameen mein chal phir kar, ye nahi dekha ke un se pehle logo ka anjaam kaisa (bura) hoa? wo un se bahuth zyaada tawaana (aur taaqatwar) thein aur unhone (bhi) zameen boyi joti thi aur un se zyaada abaadh ki thi, aur un ke paas un ke rasool roushan dalaayel le kar aaye thein, ye to na mumkin tha ke Allah ta’ala un par zulm karta, lekin (dar asl) wo khud apni jaanu par zulm karte thein

Verse 10 — Surah Ar-Rum 30:10

phir aaqirash bura karne waalo ka bahuth hee bura anjaam hoa, is liye ke wo Allah ta’ala ki aayato ko jhutlaate thein aur un ki hasi udaate thein

Verse 11 — Surah Ar-Rum 30:11

Allah ta’ala hee maqlooq ki ibteda karta hai, phir wahi ose dubara paida karega, phir tum sab osi ki taraf lautaaye jaoge

Verse 12 — Surah Ar-Rum 30:12

aur jis din qayaamath qaayam hogi, to gunehgaar hairath zada reh jayenge

Verse 13 — Surah Ar-Rum 30:13

aur un ke tamaam tar shariko mein se ek bhi un ka sifaarishi na hoga aur (khud ye bhi) apne shariko ke munkir ho jayenge

Verse 14 — Surah Ar-Rum 30:14

aur jis din qayaamath qaayam hogi, us din (jamaate) alag alag ho jayengi

Verse 15 — Surah Ar-Rum 30:15

jo imaan la kar nek amaal karte rahe wo to jannath mein khush wa khurram kar diye jayenge

Verse 16 — Surah Ar-Rum 30:16

aur jinhone kufr kiya tha aur hamaari aayato ko aur aqirath ki mulaqaath ko jhuta tehraya tha, wo sab azaab mein pakad kar haazir rakhe jayenge

Verse 17 — Surah Ar-Rum 30:17

pas Allah ta’ala ki tasbih pada karo, jab ke tum shaam karo aur jab subaah karo

Verse 18 — Surah Ar-Rum 30:18

tamaam taarifo ke laayeq asmaan wa zameen mein sirf wahi hai, tisre peher ko aur zuhar ke waqt bhi (us ki pakizgi bayaan karo)

Verse 19 — Surah Ar-Rum 30:19

(wahi) zinda ko murda se aur murde ko zinde se nikaalta hai aur wahi zameen ko us ki mauth ke baadh zinda karta hai, isi tarah tum (bhi) nikaale jaoge

Verse 20 — Surah Ar-Rum 30:20

Allah ki nishaaniyo mein se hai ke us ne tum ko mitthi se paida kiya, phir ab insaan ban kar (chalte phirte) phail rahe ho

Verse 21 — Surah Ar-Rum 30:21

aur us ki nishaaniyo mein se hai ke tumhaari hee jins se biwiya paida ki ta ke tum un se araam paao, us ne tumhaare darmiyaan muhabbath aur hamdardi qaayam kardi, yaqinan ghaur wa fikr karne waalo ke liye is mein bahuth si nishaniya hai

Verse 22 — Surah Ar-Rum 30:22

us (ki khudrath) ki nishaaniyo mein se asmaano aur zameen ki paidayish aur tumhaari zabaano aur rangato ka eqtelaaf bhi hai, daanish mandho ke liye us mein yaqinan badi nishaniya hai

Verse 23 — Surah Ar-Rum 30:23

aur (bhi) us ki (khudrath ki) nishaani tumhaari raatho aur din ki neend mein hai aur us ke fazl (yani rozi) ko tumhara talaash karna bhi hai, jo log (kaan laga kar) sunne ke aadi hai, un ke liye is mein bahuth si nishaaniya hai

Verse 24 — Surah Ar-Rum 30:24

aur us ki nishaaniyo mein se ek ye (bhi) hai ke wo tumhe daraane aur ummid waar banaane ke liye bijliya dikhaata hai aur asmaan se baarish barsaata hai aur us se murda zameen ko zinda kar deta hai, us mein (bhi) aqal mandho ke liye bahuth si nishaaniya hai

Verse 25 — Surah Ar-Rum 30:25

us ki ek nishaani ye bhi hai ke asmaan wa zameen osi ke hukm se qaayam hai, phir jab wo tumhe awaaz dega, sirf ek baar ki awaaz ke saath hee tum sab zameen se nikal aaoge

Verse 26 — Surah Ar-Rum 30:26

aur zameen wa asmaan ki har har cheez osi ki milkiyath hai aur har ek us ke farmaan ke ma tehath hai

Verse 27 — Surah Ar-Rum 30:27

wahi hai jo awwal baar maqlooq ko paida karta hai, phir se dubara paida karega aur ye to us par bahuth hee asaan hai, osi ki behetreen aur alaa sifath hai, asmaano mein aur zameen mein bhi aur wahi ghalbe waala hikmath waala hai

Verse 28 — Surah Ar-Rum 30:28

Allah ta’ala ne tumhaare liye ek misaal khud tumhaari hee bayaan farmaayi, jo kuch hum ne tumhe de rakha hai, kya us mein tumhaare ghulaamo mein se bhi koyi tumhaara shareek hai? ke tum aur wo us mein baraabar darje ke ho? aur tum un ka aisa khatra rakhte ho, jaisa khud apno ka, hum aqal rakhne waalo ke liye isi tarah khol khol kar aayate bayaan kar dete hai

Verse 29 — Surah Ar-Rum 30:29

balke baath ye hai ke ye zaalim to baghair ilm ke qaahish parasti kar rahe hai, ose kaun raah dikhaaye jise Allah ta’ala raah se hata de, un ka ek bhi madadgaar nahi

Verse 30 — Surah Ar-Rum 30:30

pas aap yek-so ho kar apna mu deen ki taraf mutawajjeh karde, Allah ta’ala ki wo fitrath jis par us ne logo ko paida kiya hai, Allah ta’ala ke banaaye ko badalna nahi, yahi sidha deen hai, lekin aksar log nahi samajhte

Verse 31 — Surah Ar-Rum 30:31

(logo!) Allah ta’ala ki taraf rujo ho kar us se darte raho aur namaaz ko qaayam rakho aur mushrikeen mein se na ho jaao

Verse 32 — Surah Ar-Rum 30:32

un logo mein se jinhone apne deen ko tukde tukde kar diya aur khud bhi giruh giruh ho gaye, har giruh us cheez par, jo us ke paas hai magan hai

Verse 33 — Surah Ar-Rum 30:33

logo ko jab kabhi koyi musibath pahonchti hai to apne rab ki taraf(puri tarah) rujo ho kar duaaye karte hai, phir jab wo apni taraf se rehmath ka zaayeqa chakata hai to un mein se ek jamaath apne rab ke saath shirk karne lagti hai

Verse 34 — Surah Ar-Rum 30:34

ta ke us cheez ki na shukri kare, jo hum ne unhe di hai, accha tum fayeda utha lo, abhi abhi tumhe maloom ho jayega

Verse 35 — Surah Ar-Rum 30:35

kya hum ne un par koyi daleel naazil ki hai, jo ose bayaan karti hai, jise ye Allah ke saath shareek kar rahe hai

Verse 36 — Surah Ar-Rum 30:36

aur jab hum logo ko rahmath ka maza chakaate hai, to wo qoob khush ho jaate aur agar unhe un ke haatho ke kartooth ki wajeh se koyi buraayi pahonche to ek dam wo mahez na ummid ho jaate hai

Verse 37 — Surah Ar-Rum 30:37

kya unhone ye nahi dekha ke Allah ta’ala jise chaahe kushaada rozi deta hai aur jise chaahe tang, us mein bhi un logo ke liye jo imaan laate hai nishaaniya hai

Verse 38 — Surah Ar-Rum 30:38

pas qaraabath-daar ko, miskeen ko, musaafir ko, har ek ko us ka haq di jiye, ye un ke liye behtar hai, jo Allah ta’ala ka mu dekhna chaahte ho, aise hee log najaath paane waale hai

Verse 39 — Surah Ar-Rum 30:39

tum jo soodh par dete ho, ke logo ke maal mein badta rahe, wo Allah ta’ala ke haan nahi badta, aur jo kuch sadqa zakaath tum Allah ta’ala ka mu dekhne aur khush nudi ke liye do, to aise log hee hai jo apna do chandh karne waale hai

Verse 40 — Surah Ar-Rum 30:40

Allah ta’ala wo hai jis ne tumhe paida kiya, phir rozi di, phir maar daalega, phir zinda kar dega, bataao tumhaare shariko mein se koyi bhi aisa hai jo un mein se kuch bhi kar sakta ho, Allah ta’ala ke liye paaki aur bartari hai, har us shareek se jo ye log muqarrar karte hai

Verse 41 — Surah Ar-Rum 30:41

khushki aur tari mein logo ki badh amaaliyo ke baayes, fasaad pehel gaya, is liye ke inhe baaz kartuto ka phal Allah ta’ala chaka de(bahuth) mumkin hai ke wo baaz aa jaaye

Verse 42 — Surah Ar-Rum 30:42

zameen mein chal phir kar dekho to sahih ke aglo ka anjaam kya hoa, jin mein aksar log mushrik thein

Verse 43 — Surah Ar-Rum 30:43

pas aap apna rukh us sacche aur sidhe deen ki taraf hee rakhe, qabl us ke, ke wo din aa jaaye jis ka tal jaana Allah ta’ala ki taraf se hai hee nahi, us din sab mutafarriq ho jayenge

Verse 44 — Surah Ar-Rum 30:44

kufr karne waalo par un ke kufr ka wabaal hoga aur nek kaam karne waale apni hee araam gaah sawaar rahe hai

Verse 45 — Surah Ar-Rum 30:45

ta ke Allah ta’ala unhe apne fazl se jaza de, jo imaan laaye aur nek amaal kiye, wo kaafiro ko dosth nahi rakhta hai

Verse 46 — Surah Ar-Rum 30:46

us ki nishaaniyo mein se khush qabriya dene waali hawaao ko chalaana bhi hai, is liye ke tumhe api rahmath se lutf andooz kare aur is liye ke us ke hukm se kashtiyaa chale aur is liye ke us ke fazl ko tum dhundo aur is liye ke tum shukr guzaari karo

Verse 47 — Surah Ar-Rum 30:47

aur hum ne aap se pehle bhi apne rasulo ko un ki khaum ki taraf bheja, wo un ke paas dalile laaye, phir hum ne gunehgaaro se inteqaam liya, hum par momino ki madad karna laazim hai

Verse 48 — Surah Ar-Rum 30:48

Allah ta’ala hawaaye chalaata hai, wo abr ko uthaati hai, phir Allah ta’ala apni mansha ke mutaabiq ose asmaan mein phaila deta hai aur us ke tukde tukde gira deta hai, phir aap dekhte hai ke us ke andar se qatre nikalte hai aur jinhe Allah chaahta hai, un bandho par wo paani barsaata hai, to wo khush khush ho jaate hai

Verse 49 — Surah Ar-Rum 30:49

yaqinan wo un par baarish barasne se pehle mayoos ho rahe thein

Verse 50 — Surah Ar-Rum 30:50

pas aap rahmate ilaahi ke asaar dekhe ke zameen ki mauth ke baadh kis tarah Allah ta’ala ose zinda kar deta hai? kuch shak nahi ke wahi murdo ko zinda karne waala hai aur wo har har cheez par qaadir hai

Verse 51 — Surah Ar-Rum 30:51

aur agar hum baadhe-tundh1 hawa chala de, aur ye log unhee kheto ko (murjhaayi hoyi) zardh padi hoyi dekh le to, phir us ke baadh na shukri karne lage

Verse 52 — Surah Ar-Rum 30:52

beshak aap murdo ko nahi suna sakte aur na behro ko (apni) awaaz suna sakte hai, jab ke wo peet pher kar mud gaye ho

Verse 53 — Surah Ar-Rum 30:53

aur na aap andho ko un ki gumraahi se hidaayath karne waale hai, aap to sirf unhee logo ko sunaate hai jo hamaari aayato par imaan rakhte hai, pas wahi ita’ath karne waale hai

Verse 54 — Surah Ar-Rum 30:54

Allah ta’ala wo hai jis ne tumhe kamzori ki haalath mein paida kiya, phir us kamzori ke baadh tawanaayi di, phir us tawanaayi ke baadh kamzori aur bhudaapa diya, jo chaahta hai paida karta hai, wo sab se pura waaqif aur sab par pura qaadir hai

Verse 55 — Surah Ar-Rum 30:55

aur jis din qayaamath barpa ho jayegi, gunehgaar log qasme khayenge ke (dunya mein) ek ghadi ke siva nahi tehre, isi tarah ye behke hoye hee rahe

Verse 56 — Surah Ar-Rum 30:56

aur jin logo ko ilm aur imaan diya gaya, wo jawaab denge ke tum to jaisa ke kitaabullah mein hai, yaume qayaamath tak tehre rahe, aaj ka ye din qayaamath hee ka din hai, lekin tum to yaqeen hee nahi maante thein

Verse 57 — Surah Ar-Rum 30:57

pas us din zaalimo ko un ka uzr bahaana kuch kaam na ayega aur na un se tauba aur amal talab kiya jayega

Verse 58 — Surah Ar-Rum 30:58

beshak hum ne is Qur’aan mein logo ke saamne kul misaale bayaan kardi hai, aap un ke paas koyi bhi nishaani laaye, ye kaafir to yahi kahenge ke tum (be-huda-go) bilkul jhute ho

Verse 59 — Surah Ar-Rum 30:59

Allah ta’ala un logo ke dilo par jo samajh nahi rakhte yo hee muhar kar deta hai

Verse 60 — Surah Ar-Rum 30:60

pas aap sabr kare, yaqinan Allah ka waada saccha hai, aap ko wo log halka (be’sabra) na kare, jo yaqeen nahi rakhte