kya un logo ne apne dil mein ye ghaur nahi kiya? ke Allah ta’ala ne asmaano aur zameen aur un ke darmiyaan jo kuch hai sab ko behetreen qarine se muqarrar waqt tak ke liye (hee) paida kiya hai, haan aksar log yaqinan apne rab ki mulaqaath ke munkir hai
kya unhone zameen mein chal phir kar, ye nahi dekha ke un se pehle logo ka anjaam kaisa (bura) hoa? wo un se bahuth zyaada tawaana (aur taaqatwar) thein aur unhone (bhi) zameen boyi joti thi aur un se zyaada abaadh ki thi, aur un ke paas un ke rasool roushan dalaayel le kar aaye thein, ye to na mumkin tha ke Allah ta’ala un par zulm karta, lekin (dar asl) wo khud apni jaanu par zulm karte thein
aur us ki nishaaniyo mein se hai ke tumhaari hee jins se biwiya paida ki ta ke tum un se araam paao, us ne tumhaare darmiyaan muhabbath aur hamdardi qaayam kardi, yaqinan ghaur wa fikr karne waalo ke liye is mein bahuth si nishaniya hai
us (ki khudrath) ki nishaaniyo mein se asmaano aur zameen ki paidayish aur tumhaari zabaano aur rangato ka eqtelaaf bhi hai, daanish mandho ke liye us mein yaqinan badi nishaniya hai
aur (bhi) us ki (khudrath ki) nishaani tumhaari raatho aur din ki neend mein hai aur us ke fazl (yani rozi) ko tumhara talaash karna bhi hai, jo log (kaan laga kar) sunne ke aadi hai, un ke liye is mein bahuth si nishaaniya hai
aur us ki nishaaniyo mein se ek ye (bhi) hai ke wo tumhe daraane aur ummid waar banaane ke liye bijliya dikhaata hai aur asmaan se baarish barsaata hai aur us se murda zameen ko zinda kar deta hai, us mein (bhi) aqal mandho ke liye bahuth si nishaaniya hai
us ki ek nishaani ye bhi hai ke asmaan wa zameen osi ke hukm se qaayam hai, phir jab wo tumhe awaaz dega, sirf ek baar ki awaaz ke saath hee tum sab zameen se nikal aaoge
wahi hai jo awwal baar maqlooq ko paida karta hai, phir se dubara paida karega aur ye to us par bahuth hee asaan hai, osi ki behetreen aur alaa sifath hai, asmaano mein aur zameen mein bhi aur wahi ghalbe waala hikmath waala hai
Allah ta’ala ne tumhaare liye ek misaal khud tumhaari hee bayaan farmaayi, jo kuch hum ne tumhe de rakha hai, kya us mein tumhaare ghulaamo mein se bhi koyi tumhaara shareek hai? ke tum aur wo us mein baraabar darje ke ho? aur tum un ka aisa khatra rakhte ho, jaisa khud apno ka, hum aqal rakhne waalo ke liye isi tarah khol khol kar aayate bayaan kar dete hai
balke baath ye hai ke ye zaalim to baghair ilm ke qaahish parasti kar rahe hai, ose kaun raah dikhaaye jise Allah ta’ala raah se hata de, un ka ek bhi madadgaar nahi
pas aap yek-so ho kar apna mu deen ki taraf mutawajjeh karde, Allah ta’ala ki wo fitrath jis par us ne logo ko paida kiya hai, Allah ta’ala ke banaaye ko badalna nahi, yahi sidha deen hai, lekin aksar log nahi samajhte
logo ko jab kabhi koyi musibath pahonchti hai to apne rab ki taraf(puri tarah) rujo ho kar duaaye karte hai, phir jab wo apni taraf se rehmath ka zaayeqa chakata hai to un mein se ek jamaath apne rab ke saath shirk karne lagti hai
aur jab hum logo ko rahmath ka maza chakaate hai, to wo qoob khush ho jaate aur agar unhe un ke haatho ke kartooth ki wajeh se koyi buraayi pahonche to ek dam wo mahez na ummid ho jaate hai
kya unhone ye nahi dekha ke Allah ta’ala jise chaahe kushaada rozi deta hai aur jise chaahe tang, us mein bhi un logo ke liye jo imaan laate hai nishaaniya hai
pas qaraabath-daar ko, miskeen ko, musaafir ko, har ek ko us ka haq di jiye, ye un ke liye behtar hai, jo Allah ta’ala ka mu dekhna chaahte ho, aise hee log najaath paane waale hai
tum jo soodh par dete ho, ke logo ke maal mein badta rahe, wo Allah ta’ala ke haan nahi badta, aur jo kuch sadqa zakaath tum Allah ta’ala ka mu dekhne aur khush nudi ke liye do, to aise log hee hai jo apna do chandh karne waale hai
Allah ta’ala wo hai jis ne tumhe paida kiya, phir rozi di, phir maar daalega, phir zinda kar dega, bataao tumhaare shariko mein se koyi bhi aisa hai jo un mein se kuch bhi kar sakta ho, Allah ta’ala ke liye paaki aur bartari hai, har us shareek se jo ye log muqarrar karte hai
khushki aur tari mein logo ki badh amaaliyo ke baayes, fasaad pehel gaya, is liye ke inhe baaz kartuto ka phal Allah ta’ala chaka de(bahuth) mumkin hai ke wo baaz aa jaaye
pas aap apna rukh us sacche aur sidhe deen ki taraf hee rakhe, qabl us ke, ke wo din aa jaaye jis ka tal jaana Allah ta’ala ki taraf se hai hee nahi, us din sab mutafarriq ho jayenge
us ki nishaaniyo mein se khush qabriya dene waali hawaao ko chalaana bhi hai, is liye ke tumhe api rahmath se lutf andooz kare aur is liye ke us ke hukm se kashtiyaa chale aur is liye ke us ke fazl ko tum dhundo aur is liye ke tum shukr guzaari karo
aur hum ne aap se pehle bhi apne rasulo ko un ki khaum ki taraf bheja, wo un ke paas dalile laaye, phir hum ne gunehgaaro se inteqaam liya, hum par momino ki madad karna laazim hai
Allah ta’ala hawaaye chalaata hai, wo abr ko uthaati hai, phir Allah ta’ala apni mansha ke mutaabiq ose asmaan mein phaila deta hai aur us ke tukde tukde gira deta hai, phir aap dekhte hai ke us ke andar se qatre nikalte hai aur jinhe Allah chaahta hai, un bandho par wo paani barsaata hai, to wo khush khush ho jaate hai
pas aap rahmate ilaahi ke asaar dekhe ke zameen ki mauth ke baadh kis tarah Allah ta’ala ose zinda kar deta hai? kuch shak nahi ke wahi murdo ko zinda karne waala hai aur wo har har cheez par qaadir hai
aur na aap andho ko un ki gumraahi se hidaayath karne waale hai, aap to sirf unhee logo ko sunaate hai jo hamaari aayato par imaan rakhte hai, pas wahi ita’ath karne waale hai
Allah ta’ala wo hai jis ne tumhe kamzori ki haalath mein paida kiya, phir us kamzori ke baadh tawanaayi di, phir us tawanaayi ke baadh kamzori aur bhudaapa diya, jo chaahta hai paida karta hai, wo sab se pura waaqif aur sab par pura qaadir hai
aur jin logo ko ilm aur imaan diya gaya, wo jawaab denge ke tum to jaisa ke kitaabullah mein hai, yaume qayaamath tak tehre rahe, aaj ka ye din qayaamath hee ka din hai, lekin tum to yaqeen hee nahi maante thein
beshak hum ne is Qur’aan mein logo ke saamne kul misaale bayaan kardi hai, aap un ke paas koyi bhi nishaani laaye, ye kaafir to yahi kahenge ke tum (be-huda-go) bilkul jhute ho