Back to Languages

    Urdu - Chapter 33

    Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim

    Verse 1

    aye Nabi(sallallahu alaihi wasalaam) Allah ta’ala se darte rehna aur kaafiro aur munafiqo ki batho mein na aa jaana, Allah ta’ala bade ilm waala aur badi hikmath waala hai

    Verse 2

    jo kuch aap ki jaanib aap ke rab ki taraf se wahi ki jaati hai, us ki taabedaari kare(yaqin maano) ke Allah tumhaare har ek amal se ba qabar hai

    Verse 3

    aap Allah hee par tawakkal rakhe, wo kaar-saazi ke liye kaafi hai

    Verse 4

    kisi aadmi ke sine mein Allah ta’ala ne do dil nahi rakhe aur apni jin biwiyo ko tum maa keh baithte ho, unhe Allah ne tumhaari (sach moch ki) maaye nahi banaya aur na tumhaare liye paalak ladko ko (waaqeyi) tumhaare bete banaya hai, ye to tumhaare apne mu ki batein hai, Allah ta’ala haq baath farmaata hai aur wo (sidhi) raah sajaata hai

    Verse 5

    le paalko ko un ke (haqiqi) baapu ki taraf nisbath kar ke bulaao, Allah ke nazdik pura insaaf yahi hai, phir agar tumhe un ke (haqiqi) baapu ka ilm hee na ho, to wo tumhaare deeni bhai aur dosth hai, tum se bhol chok mein jo kuch ho jaaye, us mein tum par koyi gunaah nahi, albatta gunaah wo hai jis ka tum iraada dil se karo, Allah ta’ala bada hee baqshne waala meherbaan hai

    Verse 6

    paighambar momino par khud un se bhi zyaada haq rakhne waale hai aur paighambar ki biwiya momino ki maaye hai, aur rishtedaar kitaabullah ki ro se ba-nisbath dosre momino aur muhaajiro ke aapas mein zyaada haqdaar hai (haan) magar ye ke tum apne dosto ke saath husn sulook karna chaaho, ye hukm kitaab (ilaahi) mein likha hoa hai

    Verse 7

    jab ke hum ne tamaam nabiyo se ehadh liya aur (bil qusoos) aap (sallallahu alaihi wasalaam)se aur Nuh(alaihissalaam) se aur Ibraheem(alaihissalaam) se aur Mosa(alaihissalaam) aur Maryam ke bete Isa(alaihissalaam) se aur hum ne un se (pakka aur) puqta ehadh liya

    Verse 8

    ta ke Allah ta’ala saccho se un ki sacchayi ke baare mein daryaaft farmaaye aur kaafiro ke liye hum ne alam naak azaab tayyaar kar rakhe hai

    Verse 9

    aye imaan waalo! Allah ta’ala ne jo ehsaan tum par kiya, ose yaad karo, jab ke tumhaare muqaable ko faujo par fauje aaye, phir hum ne un par tez wa tundh aandhi aur aise lashkar bheje jinhe tum ne dekha hee nahi aur jo kuch tum karte ho, Allah ta’ala sab kuch dekhta hai

    Verse 10

    jab ke (dushman) tumhaare paas upar se aur niche se chad aaye aur jab ke aankhe pathra gayi aur kalije mu ko aa gaaye aur tum Allah ta’ala ki nisbath tarah tarah ke gumaan karne lage

    Verse 11

    yaheen momin azmaaye gaye aur puri tarah wo jhinjood diye gaye

    Verse 12

    aur us waqt munaafiq aur wo log jin ke dilo mein (shak ka) rog tha, kehne lage Allah ta’ala aur us ke rasool ne hum se mehez dhuka fareb ka hee waada kiya tha

    Verse 13

    un hee ki ek jamaath ne haank lagaayi ke aye madine waalo! tumhaare liye thikaana nahi, chalo laut chalo aur un ki ek aur jamaath ye keh kar Nabi(sallallahu alaihi wasalaam) se ijaazath maangne lagi ke hamaare ghar ghayr mehfooz hai, halaan ke wo (khule hoye aur) ghair mehfooz na thein (lekin) un ka puqta iraada bhaag khade hone ka tha

    Verse 14

    aur agar madine ke atraaf se un par (lashkar) daakhil kiye jaate, phir un se fitna talab kiya jaata, to ye zaroor ose barpa kar dete aur na ladte magar thodi muddath

    Verse 15

    us se pehle to unhone Allah se ehadh kiya tha ke peet na pherenge aur Allah ta’ala se kiye hoye waade ki baaz purs zaroor hogi

    Verse 16

    keh dijiye ke go tum mauth se ya khauf qatl se bhaago, tu ye bhaagna tumhe kuch bhi kaam na ayega aur us waqt tum bahuth hee kam fayeda uthaoge

    Verse 17

    puchiye to, ke agar Allah ta’ala tumhe koyi buraayi pahonchana chaahe, ya tum par koyi fazl karna chaahe, to kaun hai jo tumhe bacha sa ke (ya tum se rok sa ke?) apne liye bajuz Allah ta’ala ke na koyi himayati payenge na madadgaar

    Verse 18

    Allah ta’ala tum mein se unhe (ba qoobi) jaanta hai jo dosro ko rokte hai aur apne bhai bandhu se kehte hai ke hamaare paas chale aao aur kabhi kabhi hee ladaayi mein aa jaate hai

    Verse 19

    tumhaari madad mein(pure) baqeel hai, phir jab khauf wa dehshath ka mauqa aa jaaye to aap unhe dekhenge ke aap ki taraf nazre jamaate hai aur un ki aankhe is tarah ghoomti hai jaise us shaqs ki jis par mauth ki ghashi taari, phir jab khauf jaata rehta hai, to tum par apni tez zabaano se badi baatein banaate hai, maal ke bade hee harees hai, ye imaan laaye hee nahi hai, Allah ta’ala ne un ke tamaam amaal na boodh kar diye aur Allah ta’ala par ye bahuth hee asaaan hai

    Verse 20

    samajhte hai ke ab tak lashkar chale nahi gaye aur agar fauje aa jaaye to tamannaye karte hai ke kaash wo sehra mein baadhya nashino1 ke saath hote, ke tumhaari qabre daryaaft kiya karte, agar wo tum mein maujoodh hote(to bhi kya?) na ladte magar baraaye naam

    Verse 21

    yaqinan tumhaare liye Rasool Allah (sallallahu alaihi wasalaam) mein umdah namuna (maujoodh) hai, har us shaqs ke liye jo Allah ta’ala ki aur qayaamath ke din ki tawaqqe rakhta hai aur ba kasrath Allah ta’ala ki yaad karta hai

    Verse 22

    aur imaan daaro ne jab (kuffaar ke) lashkaro ko dekha (be saaqta) keh uthe! ke unhee ka waada hamein Allah ta’ala ne aur us ke rasool ne diya tha aur Allah ta’ala aur us ke rasool ne sach farmaaya aur us (cheez) ne un ke imaan mein aur shewaye farmabardaari mein aur izaafa kar diya

    Verse 23

    momino mein (aise) log bhi hai jinhone jo ehadh Allah ta’ala se kiya tha, unhe saccha kar dikhaya, baaz ne to apna ehadh pura kar diya aur baaz (mauqe ke) muntazir hai aur unhone koyi tabdili nahi ki

    Verse 24

    ta ke Allah ta’ala saccho ko un ki sacchaayi ka badhla de aur agar chaahe to munaafiqo ko saza de, ya un ki tauba qubool farmaaye, Allah ta’ala bada hee baqshne wala, bahuth hee meherbaan hai

    Verse 25

    aur Allah ta’ala ne kaafiro ko ghusse mein bhare hoye hee, (na muraadh) lauta diya, unhone koyi fayeda nahi paaya aur us jung mein Allah ta’ala khud hee momino ko kaafi ho gaya, Allah ta’ala badi khuwwato wala aur ghaalib hai

    Verse 26

    aur jin ahle kitaab ne un se saaz baaz karli thi, unhe (bhi) Allah ta’ala ne unke qilo se nikaal diya aur un ke dilo mein bhi rob bhar diya, ke tum un ke ek gruh ko qatl kar rahe ho, aur ek gruh ko qaidi bana rahe ho

    Verse 27

    aur us ne tumhe un ki zamino ka aur un ke ghar baar ka aur un ke maal ka waaris kar diya aur us zameen ka bhi jis ko tumhaare khadmo ne raunda nahi, Allah ta’ala har cheez par qaadir hai

    Verse 28

    aye Nabi! (sallallahu alaihi wasalaam)apni biwiyo se kehdo ke agar tum zindagaani dunya aur zeenath dunya chaahti ho, to aao main tumhe kuch de dila doon, aur tumhe acchayi ke saath ruqsath kar doon

    Verse 29

    aur agar tumhaari muraadh Allah aur us ka Rasool (sallallahu alaihi wasalaam) aur aaqirath ka ghar hai to (yaqeen maano ke) tum mein se nek kaam karne waaliyo ke liye Allah ta’ala ne bahuth zabardasth ajr rakh chohde hai

    Verse 30

    aye Nabi! (sallallahu alaihi wasalaam) ki biwiyo, tum mein se jo khuli be hayaayi (ka irtekaab) karegi, ose dugna azaab diya jayega aur Allah ta’ala ke nazdik ye bahuth hee sahel (si baath) hai

    Verse 31

    aur tum mein se jo koyi Allah ki aur us ke rasool(sallallahu alaihi wasallam) ki farmabardaari karegi, aur nek kaam karegi, hum ose ajr (bhi) dohra denge aur us ke liye hum ne behetreen rozi tayyaar kar rakhi hai

    Verse 32

    aye Nabi (sallallahu alaihi wasallam) ki biwiyo! tum aam aurto ki tarah nahi ho, agar tum parhezgaari eqtiyaar karo, to narm lehje se baath na karo, ke jis ke dil mein rog ho, wo koyi bura qayaal kare aur haan qaayede ke mutaabiq kalaam karo

    Verse 33

    aur apne gharo mein qaraar se raho aur qadeem jaheliyath ke zamaane ki tarah apne banao ka iz’haar na karo aur namaaz ada karti raho aur zakaath deti raho aur Allah aur us ke rasool(sallallahu alaihi wasallam) ki ita’ath guzaari karo, Allah ta’ala yahi chahta hai ke aye Nabi(sallallahu alaihi wasallam) ki ghar waaliyo! tum se wo (har qism ki) gandagi ko door kar de aur tumhe qoob paak karde

    Verse 34

    aur tumhaare gharo mein Allah ki jo aayate aur rasool(sallallahu alaihi wasallam) ki jo ahaadees padhi jaati hai, un ka zikr karti raho, yaqinan Allah ta’ala luthf karne waala qabardaar hai

    Verse 35

    beshak musalmaan mardh aur musalmaan aurte, momin mardh aur momin aurte, farma bardaari karne waale mardh aur farma bardaar aurte, raasth baaz mardh aur raasth baaz aurte, sabr karne waale mardh aur sabr karne waali aurte, aajizi karne waale mardh aur aajizi karne waali aurte, khayraath karne waale mardh aur khairaath karne waali aurte, roze rakhne waale mardh aur roze rakhne waali aurte, apni sharam gaah ki hifaazath karne waale mardh aur hifaazath karne waaliya, ba kasrath Allah ka zikr karne waale aur zikr karne waaliya, in (sab ke) liye Allah ta’ala ne (wasi) maghfirath aur bada sawaab tayyaar kar rakha hai

    Verse 36

    aur (dekho) kisi momin mardh aur aurath ko Allah aur us ke rasool(sallallahu alaihi wasallam) ke faisle ke baadh apne kisi amr ka koyi eqtiyaar baaqi nahi rehta (yaad rakho) Allah ta’ala aur us ke rasool ki jo bhi na farmaani karega, wo sarih gumraahi mein padega

    Verse 37

    (yaad karo) jab ke tu us shaqs se keh raha tha jis par Allah ne bhi in’aam kiya aur tu ne bhi, ke tu apni biwi ko apne paas rakh aur Allah se dar aur tu apne dil mein wo baath chupaaye hoye tha, jise Allah zaaher karne waala tha aur tu logo se khauf khaata tha, halaan ke Allah ta’ala us ka zyaada haqdaar tha, ke tu us se dare, pas jab ke zaidh ne us aurath se apni gharz puri karli, hum ne ose tere nikaah mein de diya, ta ke musalmaano par apne liye paalko ki biwiyo ke baare kisi tarah ki tangi na rahe, jab ke wo apni gharz un se puri karle, Allah ka ye hukm to ho kar hee rehne waala tha

    Verse 38

    jo chize Allah ta’ala ne apne Nabi ke liye muqarrar ki hai, un mein Nabi par koyi harj nahi, (yahi) Allah ka dastoor un mein bhi raha jo pehle hoye aur Allah ta’ala ke kaam andaaze par muqarrar kiye hoye hai

    Verse 39

    ye sab aise thein ke Allah ta’ala ke ehkaam pahonchaaya karte thein aur Allah hee se darte thein aur Allah ke siva kisi se nahi darte thein aur Allah ta’ala hisaab lene ke liye kaafi hai

    Verse 40

    (logo!) tumhaare mardho mein se kisi ke baap Muhammad(sallallahu alaihi wasallam) nahi, lekin aap Allah ta’ala ke rasool hai aur tamaam nabiyo ke qatam karne waale aur Allah ta’ala har cheez ka (ba qoobi) jaane waala hai

    Verse 41

    musalmaano Allah ta’ala ka zikr bahuth zyaada karo

    Verse 42

    aur subah wa shaam us ki pakizgi bayaan karo

    Verse 43

    wahi hai jo tum par apni rehmate bhejta hai aur us ke farishte (tumhaare liye dua-e-rehmath karte hai) ta ke wo tumhe andhero se ujaale ki taraf le jaaye aur Allah ta’ala momino par bahuth hee meherbaan hai

    Verse 44

    jis din ye (Allah se) mulaqaath karenge, un ka tuhfa salaam hoga, un ke liye Allah ta’ala ne ba izzath ajr tayyaar kar rakha hai

    Verse 45

    aye Nabi!( sallallahu alaihi wasallam) yaqinan hum ne hee aap ko (rasool bana kar) gawaahiya dene waala, khush qabriya sunaane waala, agaah karne waala bheja hai

    Verse 46

    aur Allah ke hukm se us ki taraf bulaane waala aur roushan chiraagh

    Verse 47

    aap momino ko khush qabri suna di jiye! ke un ke liye Allah ki taraf se bahuth bada fazl hai

    Verse 48

    aur kaafiro aur munaafiqo ka kehna na maaniye! aur jo eza (un ki taraf se pahonche) us ka qayaal bhi na ki jiye, Allah par bharusa kiye rahe aur kaafi hai Allah ta’ala kaam banaane waala

    Verse 49

    aye momino! jab tum momin aurto se nikaah karo, phir haath lagaane se pehle (hee) talaaq de do, to un par tumhaara koyi haq iddath ka nahi, jise tum shumaar karo, pas tum kuch na kuch unhe de do aur bhale tareeq par unhe ruqsath kardo

    Verse 50

    aye Nabi!(sallallahu alaihi wasallam) hum ne tere liye, teri wo biwiya halaal kardi hai, jinhe tu un ke meher de chuka hai aur wo laundiya bhi, jo Allah ta’ala ne ghanimath mein tujhe di hai aur tere chacha ki ladkiya aur phopiyo ki betiya aur tere mamuo ki betiya aur teri qalaao ki betiyaa bhi, jinhone tere saath hijrath ki hai aur wo ba imaan aurath jo apna nafs nabi ko hiba karde, ye is surath mein ke khud nabi bhi us se nikaah karna chaahe, ye qaas taur par sirf tere liye hee hai aur momino ke liye nahi, hum ose ba qoobi jaante hai, jo hum ne un par un ki biwiyo aur laundiyo ke baare mein (ehkaam) muqarrar kar rakhe hai, ye is liye ke tujh par harj waaqe na ho, Allah ta’ala bahuth baqshne waala aur bade rahem waala hai

    Verse 51

    un mein se jise tu chaahe door rakh de aur jise chaahe apne paas rakh le aur agar tu un mein se bhi kisi ko apne paas bulaale, jinhe tu ne alag kar rakha tha, to tujh par koyi gunaah nahi, us mein is baath ki zyaada tawaqqo hai ke, un aurto ki aankhe thandi rahe aur wo ranjida na ho, aur jo kuch bhi tu unhe de de, us par sab ki sab raazi rahe, tumhaare dilo mein jo kuch hai, ose Allah (qoob) jaanta hai, Allah ta’ala bada hee ilm aur hilm waala hai

    Verse 52

    us ke baadh aur aurte aap ke liye halaal nahi aur na ye (durusth hai) ke in ke badhle aur aurto se (nikaah kare) agar che in ki surath acchi bhi lagti ho, magar jo teri mamloka ho, aur Allah ta’ala har cheez ka (pura) nigehbaan hai

    Verse 53

    aye imaan waalo! jab tak tumhe ijaazath na di jaaye, tum Nabi(sallallahu alaihi wasallam) ke gharo mein na jaaya karo, khaane ke liye aise waqt mein ke us ke pakne ka intezaar karte raho, balke jab bulaaye jaaye jaao aur jab kha chuko, nikal khade ho, wahi baato mein mashghool na ho jaaya karo, Nabi(sallallahu alaihi wassalaam) ko tumhaari is baath se takleef hoti hai, to wo lehaaz kar jaate hai aur Allah ta’ala bayaan haq mein kisi ka lehaaz nahi karta, jab tum Nabi(sallallahu alaihi wasallam) ki biwiyo se koyi cheez talab karo to pardeh ke piche se talab karo, tumhaare aur un ke dilo ke liye kaamil paakizgi yahi hai, na tumhe ye jaayez hai ke tum rasool Allah (sallallahu alaihi wasallam) ko takleef do aur na tumhe ye halaal hai ke aap ke baadh kisi waqt bhi aap ki biwiyo se nikaah karo (yaad rakho) Allah ke nazdeek ye bahuth bada (gunaah) hai

    Verse 54

    tum kisi cheez ko zaaher karo ya maqfi rakho, Allah to har har cheez ka ba qoobi ilm rakhne waala hai

    Verse 55

    un aurto par koyi gunaah nahi, ke wo apne baapo aur apne beto aur bhaiyyo aur bhatijo aur bhaanjo aur apni (mel jol ki) aurto aur milkiyath ke ma teheto (laundi ghulaam) ke saamne ho (aurto!) Allah se darti raho, Allah ta’ala yaqinan har cheez par shaahid hai

    Verse 56

    Allah ta’ala aur us ke farishte is Nabi(sallallahu alaihi wasallam) par rehmath bhejte hai, aye imaan waalo! tum (bhi) un par daroodh bhejo aur qoob salaam (bhi) bhejte raha karo

    Verse 57

    jo log Allah aur us ke rasool ko eza dete hai, un par dunya aur aaqirath mein Allah ki phitkaar hai aur un ke liye nihaayath ruswa kun azaab hai

    Verse 58

    aur jo log momin mardho aur momin aurto ko eza de, baghair kisi jurm ke, jo un se sarzadh hoa ho, wo (bade hee) buhtaan aur sarih gunaah ka bojh uthate hai

    Verse 59

    aye Nabi!(sallallahu alaihi wasallam) apni biwiyo se aur apni saaheb zaadiyo se aur musalmaano ki aurto se keh do ke wo apne upar apni chaadare latka liya kare, us se bahuth jald un ki shinaaqth ho jaya karegi, phir na sataayi jayegi, aur Allah ta’ala baqshne waala meherbaan hai

    Verse 60

    agar (ab bhi) ye munafiq aur jin ke dilo mein bimaari hai aur wo log jo madine mein ghalath afwaahe udaane waale hai, baaz na aaye to hum aap ko un (ki tabaahi) par musallath kar denge, phir to wo chandh din hee aap ke saath is shahar mein reh sakenge

    Verse 61

    un par phitkaar barsaayi gayi, jahaan bhi mil jaaye pakde jaaye aur qoob tukde tukde kar diye jaye

    Verse 62

    un se aglo mein bhi Allah ka yahi dastoor jaari raha aur tu Allah ke dastoor mein har giz raddu badal na payega

    Verse 63

    log aap se qayaamath ke baare mein sawaal karte hai, aap keh dijiye! ke us ka ilm to Allah hee ko hai, aap ko kya qabar bahuth mumkin hai qayaamath bilkul hee qareeb ho

    Verse 64

    Allah ta’ala ne kaafiro par laanath ki hai aur un ke liye bhadakti hoyi aag tayyaar kar rakhi hai

    Verse 65

    jis mein wo hamesha hamesha rahenge, wo koyi haami wa madadgaar na payenge

    Verse 66

    us din un ke chehre aag mein ulat pulat kiye jayenge (hasrath wa afsoos se) kahenge ke kaash hum Allah ta’ala aur rasool ki ita’ath karte

    Verse 67

    aur kahenge aye hamaare rab! hum ne apne sardaaro aur apne bado ki maani, jinhone hamein raahe raasth se bhatka diya

    Verse 68

    parvardigaar tu unhe dogna azaab de aur un par bahuth badi laanath naazil farma

    Verse 69

    aye imaan waalo un logo! jaise na ban jaao, jinhone Mosa(alaihissalaam) ko takleef di, pas jo baath unhone kahi thi, Allah ne unhe us se bari farma diya, aur wo Allah ke nazdeek ba izzath thein

    Verse 70

    aye imaan waalo! Allah ta’ala se daro aur sidhi sidhi (sacchi) batein kiya karo

    Verse 71

    ta ke Allah ta’ala tumhaare kaam sawaar de aur tumhaare gunaah maaf farma de aur jo bhi Allah aur us ke rasool ki taabedaari karega, us ne badi muraadh pa li

    Verse 72

    hum ne apni amaanath ko asmaano par zameen par aur pahaado par pesh kiya, lekin sab ne us ke uthaane se inkaar kar diya aur us se dar gaye (magar) insaan ne ose utha liya, wo bada hee zaalim jaahel hai

    Verse 73

    (ye is liye) ke Allah ta’ala munaafiq mardo, aurto aur mushrik mardo aurto ko saza de aur momin mardo aurto ki tauba qubool farmaaye, aur Allah ta’ala bada hee baqshne waala aur meherbaan hai