yaqinan hum ne is kitaab ko aap(sallallahu alaihi wasallam) ki taraf haq ke saath naazil faramaya hai, pas aap Allah hee ki ibaadath kare, osi ke liye deen ko qaalis karte hoye
qabardaar! Allah ta’ala hee ke liye qaalis ibaadath karna hai aur jin logo ne us ke siva auliya bana rakhe hai (aur kehte hai) ke hum un ki ibaadath sirf isi liye karte hai ke ye (buzrug) Allah ke nazdiki ke martabe tak hamaari rasaayi kara de, ye log jis baare mein eqtelaaf kar rahe hai, us ka (saccha) faisla Allah khud karega, jhute aur na shukre (logo) ko Allah raah nahi dikhaata
agar Allah ta’ala ka iraada aulaad hee ka hota, to apni maqlooq mein se jise chahta chun leta (lekin) wo to paak hai, wo wahi Allah ta’ala hai yegana aur khuwwath waala
nihaayath acchi tadhbeer se, us ne asmaano aur zameen ko banaya, wo raath ko din par aur din ko raath par lapet deta hai aur us ne suraj chaand ko kaam par laga rakha hai, har ek muqarrara muddath tak chal raha hai, yaqeen maano ke wahi zabardasth aur gunaaho ka bnaqshne waala hai
us ne tum sab ko ek hee jaan se paida kiya hai, phir osi se us ka joda paida kiya aur tumhaare liye, chau paayo mein se (aat nar wa maada) utaare, wo tumhe tumhaari maao ke peto mein ek banaawat ke baadh dosri banaawat par banaata hai, teen teen andhero mein, yahi Allah ta’ala tumhaara rab hai, osi ke liye badshaahath hai, us ke siva koyi maboodh nahi, phir tum kaha bahek rahe ho
agar tum na shukri karo to, (yaad rakho ke) Allah ta’ala tum (sab se) be niyaaz hai aur wo apne bandho ki na-shukri se khush nahi aur agar tum shukr karo, to wo ose tumhaare liye pasandh karega aur koyi kisi ka boojh nahi uthaata, phir tum sab ka lautna, tumhaare rab hee ki taraf hai, tumhe wo batla dega, jo tum karte thein, yaqinan wo dilo tak ki baatho ka waaqif hai
aur insaan ko jab kabhi koyi takleef pahonchti hai, to wo qoob rujo ho kar apne rab ko pukaarta hai, phir jab Allah ta’ala ose apne paas se nemath ata farma deta hai, to wo us se pehle jo dua karta tha, ose bilkul bhool jaata hai aur Allah ta’ala ke shareek muqarrar karne lagta hai, jis se (auro ko bhi) us ki raah se behkaaye, aap keh dijiye! ke apne kufr ka faayeda kuch din aur uthaalo (aaqir) tu dozakhiyo mein hone waala hai
bhala jo shaqs raatho ke auqaath sajde aur qayaam ki haalath mein (ibaadath mein) guzaarta ho, aaqirath se darta ho aur apne rab ki rahmath ki ummid rakhta ho (aur jo us ke bar aks ho, baraabar ho sakte hai) bataao to ilm waale aur kya be ilm baraabar ke hai? yaqinan nasihath wahi haasil karte hai, jo aqal mandh ho (apne rab ki taraf se)
keh do ke aye mere imaan waale bandho! apne rab se darte raho, jo is dunya mein neki karte hai, un ke liye nek badhla hai aur Allah ta’ala ki zameen bahuth kushaada hai, sabr karne waalo hee ko, un ka pura pura be-shumaar ajr diya jaata hai
tum us ke siva jis ki chaaho ibaadath karte raho, keh dijiye ke haqiqi ziya kaar wo hai jo apne aap ko aur apne ahal ko qayaamath ke din nuqsaan mein daal denge, yaad rakho ke khullam khulla nuqsaan yahi hai
unhe niche upar se aag ke (shule misl) saayebaan (ke) dhaank rahe honge, yahi (azaab) hai, jin se Allah ta’ala apne bandho ko dara raha hai, aye mere bandho! pas mujh se darte raho
aur jin logo ne taghooth ki ibaadath se parhez kiya aur (hama tan) Allah ta’ala ki taraf mutawajje rahe, wo khush qabri ke mustaheq hai, mere bandho ko khush qabri suna di jiye
jo baath ko kaan laga kar sunte hai, phir jo behetreen baath ho, us ki itteba karte hai, yahi hai jinhe Allah ta’ala ne hidaayath ki hai aur yahi aqal mandh bhi hai
haan wo log jo apne rab se darte rahe, un ke liye baala khaane hai, jin ke upar bhi, bane banaaye bala khaane hai (aur) un ke niche nehre beh rahi hai, rab ka waada hai, aur wo waada qilaafi nahi karta
kya aap ne nahi dekha ke Allah ta’ala asmaan se paani utaarta hai aur ose zameen ki sutho mein pahonchaata hai, phir osi ke zariye se muqtalif qism ki khetiyaa ugaata hai, phir wo khushk ho jaati hai aur aap unhe zardh rang dekhte hai, phir unhe reza reza kar deta hai, us mein aqal mandho ke liye bahuth zyaada nasihath hai
kya wo shaqs jis ka seena Allah ta’ala ne Islaam ke liye khol diya hai, pas wo apne parvardigaar ki taraf se ek noor par hai aur halaaki hai un par jin ke dil yaade ilaahi se (asar nahi lete balke) saqth ho gaye hai, ye log sarih gumraahi mein (mubtela) hai
Allah ta’ala ne behetreen kalaam naazil farmaya hai, jo aisi kitaab hai, ke aapas mein milti jhulti aur baar baar duhraayi hoyi aayato ki hai, jis se un logo ke romte khade ho jaate hai, jo apne rab ka khauf rakhte hai, aaqir mein un ke jism aur dil Allah ta’ala ke zikr ki taraf narm ho jaate hai, ye hai Allah ta’ala ki hidaayath, jis ke zariye jise chaahe raahe raasth par laga deta hai aur jise Allah ta’ala hee raah bhula de, us ka haadi koyi nahi
bhala jo shaqs qayaamath ke din ke, badh-tareen azaab ki suphar (dhaal) apne mu ko banaayega, (aise) zaalimo se kaha jayega ke apne kiye ka (wabaal) chako
Allah ta’ala misaal bayaan farma raha hai, ek wo shaqs jis mein bahuth se baaham zidh rakhne waale saajhi hai aur dosra wo shaqs, jo sirf ek hee ka ghulaam hai, kya ye duno sifath mein yeksa hai, Allah ta’ala hee ke liye sab tareefe hai, baath ye hai ke un mein se aksar log samajhte nahi
us se bad kar zaalim kaun hai, jo Allah ta’ala par jhoot bole? aur saccha deen jab us ke paas aaye to ose jhuta bataaye? kya aise kuffaar ke liye jahannam thikaana nahi hai
kya Allah ta’ala apne bandhe ke liye kaafi nahi? ye log aap ko Allah ke siva auro se dara rahe hai aur jise Allah gumraah karde, us ki rehnumaayi karne waala koyi nahi
agar aap un se puche ke asmaan aur zameen ko kis ne paida kiya hai? to yaqinan wo yahi jawaab denge, ke Allah ne, aap un se kahiye ke accha ye to bataao, jinhe tum Allah ke siva pukaarte ho, agar Allah ta’ala mujhe nuqsaan pahonchaana chaahe to, kya ye us ke nuqsaan ko hata sakte hai? ya Allah ta’ala mujh par meherbaani ka iraada kare, to kya ye us ki meherbaani ko rok sakte hai? aap kehde ke Allah mujhe kaafi hai, tawakkal karne waale osi par tawakkal karte hai
aap par hum ne haq ke saath ye kitaab logo ke liye naazil farmaayi hai, pas jo shaqs raahe raasth par aa jaaye, us ke apne liye nafa hai aur jo gumrah ho jaaye, us ki gumraahi ka (wabaal) osi par hai, aap un ke zimme daar nahi
Allah hee ruho ko un ki mauth ke waqth aur jin ki mauth nahi aayi unhe un ke neendh ke waqt qabz kar leta hai, phir jin par mauth ka hukm lag chuka hai, unhe to rok leta hai aur dosri (ruho) ko ek muqarrar waqt tak ke liye chohd deta hai, ghaur karne waalo ke liye us mein yaqinan bahuth si nishaaniya hai
kya un logo ne Allah ta’ala ke siva auro ko sifaarishi muqarrar kar rakha hai? aap keh dijiye! ke go wo kuch bhi eqtiyaar na rakhte ho, aur na aqal rakhte ho
jab Allah akele ka zikr kiya jaaye to un logo ke dil nafrath karne lagte hai, jo aaqirath ka yaqeen nahi rakhte, aur jab us ke siva (aur ka) zikr kiya jaaye to un ke dil, khol kar khush ho jaate hai
aap keh dijiye! ke aye Allah! asmaano aur zameen ke paida karne waale, chupe khule ke jaanne waale, tu hee apne bandho mein un umoor ka faisla farmaayega, jin mein wo ulajh rahe thein
agar zulm karne waalo ke paas wo sab kuch ho, jo roye zameen par hai aur us ke saath utna hee aur ho, to bhi badh tareen saza ke badhle mein qayaamath ke din ye sab kuch de de aur un ke saamne Allah ki taraf se wo zaahir hoga, jis ka gumaan bhi unhe na tha
insaan ko jab koyi takleef pahonchti hai to hamein pukaarne lagta hai, phir jab hum ose apni taraf se koyi nemath ata farmade to kehne lagta hai ke, ise to main mahez apne ilm ki wajeh se diya gaya hoon, balke ye azmaayesh hai, lekin un mein aksar log be ilm hai
phir un ki tamaam buraiya un par aa padi aur un mein se bhi, jo gunehgaar hai, un ki, ki hoyi buraiya bhi ab un par aa padengi, ye (hame) hara dene waale nahi
kya unhe ye maloom nahi ke Allah ta’ala jis ke liye chaahe, rozi kushaada kar deta hai aur tang (bhi), imaan laane waalo ke liye is mein (badi badi) nishaaniya hai
(meri jaanib se) kehdo ke aye mere bandho! jinhone apni jaano par zyaadati ki hai, tum Allah ki rahmath se na ummidh na ho jaao, bil yaqeen Allah ta’ala saare gunaaho ko baqsh deta hai, waqeyi wo badi baqshish badi rahmath waala hai
tum (sab) apne parvardigaar ki taraf jhuk pado aur us ki hukm bardaari kiye jaao, us se qabl ke tumhaare paas azaab aa jaaye aur phir tumhaari madad na ki jaaye
aur pairvi karo, us behetreen cheez ki, jo tumhaari taraf tumhaare parvardigaar ki taraf se naazil ki gayi hai, us se pehle ke tum par achaanak azaab aa jaaye aur tumhe ittela bhi na ho
(aisa na ho ke) koyi shaqs kahe, haay afsoos us baath par ke main ne Allah ta’ala ke haq mein ko-taahi ki, balke main to mazaaq udaane waalo mein hee raha
aur jin logo ne Allah par jhoot baandha hai, to aap dekhenge ke qayaamath ke din un ke chere siyaah ho gaye honge. kya takabbur karne waalo ka thikaana jahannam mein nahi
aur jin logo ne parhezgaari ki, unhe Allah ta’ala un ki kamyaabi ke saath bacha lega, unhe koyi dukh, chu bhi na sakega aur na wo kisi tarah ghamgeen honge
yaqinan teri taraf bhi aur tujh se pehle (ke tamaam nabiyo) ki taraf bhi wahi ki gayi hai, ke agar tu shirk kiya to bila shuba tera amal zaaya ho jayega aur bil yaqeen to ziya kaaro2 mein se ho jayega
aur un logo ne jaisi qadr Allah ta’ala ki karni chahiye thi, nahi ki, saari zameen qayaamath ke din us ki motthi mein hogi aur tamaam asmaan us ke daahne haath mein lipte hoye honge, wo paak aur bartar hai, har us cheez se jise log us ka shareek banaaye
aur soor phook diya jayega, pas asmaano aur zameen waale sab be hosh ho kar gir padenge, magar jise Allah chaahe, phir dubaara soor phoka jayega, pas wo ek dam khade ho kar dekhne lag jayenge
aur zameen apne parvardigaar ke noor se jagmaga uthegi, naame amaal haazir kiye jayenge, nabiyo aur gawaaho ko laaya jayega aur logo ke darmiyaan haq haq faisle kar diye jayenge aur wo zulm na kiye jayenge
kaafiro ke ghaul ke ghaul jahannam ki taraf hankaaye jayenge, jab wo us ke paas pahonch jayenge, us ke darwaaze un ke liye khol diye jayenge aur wahaan ke nigehbaan un se sawaal karenge ke, kya tumhaare paas tum mein se rasool nahi aaye thein? jo tum par tumhaare rab ki aayate padte thein aur tumhe is din ki mulaqaath se daraate thein? ye jawaab denge ke haan durusth hai lekin azaab ka hukm kaafiro par saabith ho gaya
aur jo log apne rab se darte thein, un ke gruh ke gruh jannath ki taraf rawaana kiye jayenge, yahaa tak ke jab us ke paas aa jayenge aur darwaaze qol diye jayenge aur wahaa ke nigehbaan un se kahenge, tum par salaam ho, tum khush haal raho, tum us mein hamesha ke liye chale jaao
ye kahenge ke Allah ka shukr hai, jis ne hum se apna waada pura kiya aur hamein is zameen ka waaris bana diya, ke jannath mein jahaa chaahe muqaam kare, pas amal karne waalo ka kya hee accha badhla hai
aur tu farishto ko Allah ke arsh ke irdh girdh halqa baandhe hoye, apne rab ki hamd wa tasbih karte hoye dekhega aur un mein insaaf ka faisla kiya jayega aur keh diya jayega ke saari qoobi Allah hee ke liye hai, jo tamaam jahaano ka paalanhaar hai