gunaah ka baqshne waala aur tauba ka qubool farmaane waala, saqt azaab waala, in’aam wa khudrath waala, jis ke siva koyi maboodh nahi, osi ki taraf waapas lautna hai
khaum nuh ne aur un ke baadh ke gruhu ne bhi jhhutlaaya tha aur har ummath ne apne rasool ko giraftaar kar lene ka iraada kiya aur baatil ke zariye, kajh behesiya kiye, ta ke un se haq ko bigaad de, pas main ne un ko pakad liya, so meri taraf se kaisi saza hoyi
arsh ke uthaane waale aur us ke aas paas ke (farishte) apne rab ki tasbih hamdh ke saath saath karte hai aur us par imaan rakhte hai aur imaan waalo ke liye isteghfaar karte hai, kehte hai ke aye hamaare parvardigaar! tu ne har cheez ko apni baqshish aur ilm se gher rakha hai, pas tu unhe baqsh de jo tauba kare aur teri raah ki pairvi kare aur tu unhe dozakh ke azaab se bhi bacha le
aye hamaare rab! tu unhe hameshgi waali jannato mein le ja, jin ka tu ne un se waada kiya hai aur un ke baap dadaao aur biwiyo aur aulaad mein se (bhi) un (sab) jo nek amal hai, yaqinan tu, to ghaalib wa ba hikmath hai
unhe buraiyo se bhi mehfooz rakh, haq to ye hai ke us din tu ne jise buraiyo se bacha liya, us par tu ne rehmath kardi aur bahuth badi kamyaabi to yahi hai
beshak jin logo ne kufr kiya, unhe ye awaaz di jayegi ke yaqinan Allah ka tum par ghussa hona, us se bahuth zyaada hai, jo tum ghussa hote thein, apne ji se jab tum imaan ki taraf bulaaye jaate thein, phir kufr karne lagte thein
wo kahenge aye hamaare parvardigaar! tu ne hamein do baar maara aur do baar hee jilaaya, ab hum apne gunaaho ke eqraari hai, to kya ab koyi raah nikalne ki bhi hai
ye (azaab) tumhe is liye hai ke jab sirf akele Allah ka zikr kiya jaata to tum inkaar kar jaate thein aur agar us ke saath kisi ko shareek kiya jaata tha to maan lete thein, pas ab faisla Allah bulandh wa buzrug hee ka hai
wahi hai jo tumhe apni nishaaniya dikh laata hai aur tumhaare liye asmaan se rozi utaarta hai, nasihath to sirf wahi haasil karte hai jo (Allah ki taraf) rujo karte hai
aur unhe bahuth hee qareeb aane waali (qayaamath) se agaah kar dijiye, jab ke dil halaq tak pahonch jayenge aur sab qamoosh honge, zaalimo ka na koyi dili dosth hoga na sifaarishi, ke jis ki baath maani jaayegi
aur Alalh ta’ala theek theek faisla kar dega, us ke siva jinhe ye log pukaarte hai, wo kisi cheez ka bhi faisla nahi kar sakte, beshak Allah ta’ala qoob sunta, qoob dekhta hai
kya ye log zameen mein chale phire nahi, ke dekhte ke jo log un se pehle thein, un ka natija kaisa kuch hoa? wo ba-etebaar khuwwath wa taaqath ke aur ba-etebaar zameen mein apni yaadgaaro ke, un se bahuth zyaada thein, pas Allah ne unhe un ke gunaaho par pakad liya aur koyi na hoa jo unhe Allah ke azaab se bacha leta
ye us wajeh se ke un ke paas un ke paighambar maujeze le le kar aate thein, to wo inkaar kar dete thein, pas Allah unhe pakad leta tha, yaqinan wo taaaqatwar aur saqt azaab waala hai
pas jab un ke paas (Mosa(as)) hamaari taraf se (deen) haq ko le kar aaye, to unhone kaha ke is ke saath jo imaan waale hai, un ke ladko ko to maar daalo aur un ki ladkiyo ko zinda rakho aur kaafiro ki jo heela saazi hai, wo ghalati mein hee hai
aur feraun ne kaha mujhe chohdo ke main Mosa(alaihissalaams) ko maar daalo aur ose chahiye ke apne rab ko pukaare, mujhe to dar hai ke ye kahi tumhaara deen na badal daale, ya mulk mein koyi (bahuth bada) fisaadh barpa na kar de
Mosa(alaihissalaam) ne kaha main apne aur tumhaare rab ki panaah mein ataa hoon, har us takabbur karne waale shaqs (ki buraayi) se jo roze hisaab par imaan nahi rakhta
aur ek momin shaqs ne jo feraun ke khandaan mein se tha aur apna imaan chupaaye hoye tha, kaha ke kya tum ek shaqs ko mahez is baath par qatl karte ho, ke wo kehta hai ke mera rab Allah hai aur tumhaare rab ki taraf se dalile le kar aaya hai, agar wo jhuta ho, to us ka jhot osi par hai aur agar wo saccha ho to, jis (azaab) ka wo tum se waada kar raha hai, us mein se kuch na kuch to tum par aa padega, Allah ta’ala us ki rehbari nahi karta, jo hadh se guzar jaane waale aur jhute ho
aye meri khaum ke logo! aaj to badshaahath tumhaari hai, ke is zameen par tum ghaalib ho, lekin agar Allah ka azaab hum par aa gaya to kaun hamaari madad karega? feraun bola, main to tumhe wahi raay de raha hoon, jo khud dekh raha hoon aur main to tumhe bhalaayi ki raah hee batla raha hoon
aur us se pehle tumhaare paas (hazrath) Yousuf(alaihissalaam) dalile le kar aaye, phir bhi tum un ki laayi hoyi (daleel) mein shak wa shuba hee karte rahe, yahaa tak ke jab un ki wafaath ho gayi, to kehne lage, un ke baadh to Allah kisi rasool ko bhejega hee nahi, isi tarah Allah gumraah karta hai, har us shaqs ko jo hadh se bad jaane waala, shak wa shuba karne waala ho
jo baghair kisi sanadh ke, jo un ke paas aayi ho, Allah ki aayato mein jhagadte hai, Allah ke nazdik aur momino ke nazdik ye to bahuth badi na raazgi ki cheez hai, Allah ta’ala isi tarah har ek maghroor sarkassh ke dil par muhar kar deta hai
(un) darwaazo tak pahonch jaao aur Mosa(alaihissalaam) ke maboodh ko jhaank lo aur beshak main samajhta hoon wo jhota hai aur isi tarah feraun ki badh kirdarya ose bhali dikhaayi gayi aur raah se rok diya gaya, feraun ki (har) hila saazi tabaahi mein hee rahi
jis ne koyi gunaah kiya, ose us ke gunaaho ke baraabar hee badhla diya jayega aur jis ne neki ki hai, qah wo mardh ho ya aurath aur wo imaan waala ho to ye log jannath mein jayenge aur wahaa be shumaar rozi payenge
tum mujhe ye daawath de rahe ho ke main Allah ke saath kufr karo aur us ke saath shirk karo jis ka koyi ilm mujhe nahi, aur main tumhe ghaalib baqshne waale maboodh ki taraf daawath de raha hoon
ye yaqini amr hai ke tum mujhe jis ki taraf bula rahe ho, wo to na dunya mein pukaare jaane ke qaabil hai, na aaqirath mein, aur ye (bhi yaqini baath hai) ke hum sab ka lautna Allah ki taraf hai aur hadh se guzar jaane waale hee, (yaqinan) ahle dozakh hai
aur jab ke dozakh mein ek dosre se jhagdenge to kamzoor log takabbur waalo se (jin ke ye taabe thein) kahenge ke hum to tumhaare pairau thein, to kya ab tum hum se us aag ka koyi hissa hata sakte ho
wo jawaab denge ke kya tumhaare paas tumhaare rasool maujeze le kar nahi aaye thein? wo kahenge kyo nahi, wo kahenge ke phir tum hee dua karo aur kaafiro ki dua mahez be asar aur be raah hai
pas aye Nabi(sallallahu alaihi wasallam) tu sabr kar, Allah ka waada bila shak wa shuba saccha hee hai, tu apne gunaah ki maafi maangta reh aur suba shaam apne parvardigaar ki tasbih aur hamdh bayaan karta reh
jo log ba wajoodh apne paas kisi sanadh ke na hone ke, ayaath ilaahi mein jhagda karte hai, un ke dilo mein bajuz nari badaayi ke aur kuch nahi, wo us tak pahonchne waale hee nahi, so tu Allah ki panaah maangta reh, beshak wo pura sunne waala aur sab se zyaada dekhne waala hai
aur tumhaare rab ka farmaan (sar sadh ho chuka) hai ke mujh se dua karo, main tumhaari duao ko qubool karonga, yaqeen maano ke jo log meri ibaadath se khud sarih karte hai, wo abhi abhi zaleel ho kar jahannam mein pahonch jayenge
Allah ta’ala ne tumhaare liye raath bana di ke tum us mein araam haasil karo aur din ko dekhne waala bana diya, beshak Allah ta’ala logo par fazl wa karam waala hai lekin aksar log shukr guzaari nahi karte
Allah hee hai jis ne tumhaare liye zameen ko teherne ki jageh aur asmaan ko chath bana diya aur tumhaari surate banaayi aur bahuth acchi banaayi aur tumhe umdah umdah chize khaane ko ata farmaaye, yahi Allah tumhaara parvardigaar hai, pas bahuth hee barkato waala Allah hai, saare jahaan ka parvarish karne waala
wo zinda hai jis ke siva koyi maboodh nahi, pas tum qaalis osi ki ibaadath karte hoye ose pukaaro, tamaam qobiya Allah hee ke liye hai, jo tamaam jahaano ka rab hai
aap keh dijiye ke mujhe un ki ibaadath se rok diya gaya hai jinhe tum Allah ke siva pukaar rahe ho, is bina par ke mere paas mere rab ki dalile pahonch chuki hai, mujhe ye hukm diya gaya hai ke main tamaam jahaano ke rab ka taabe farmaan ho jaao
wo wahi hai jis ne tumhe mitthi se, phir nutfe se phir qoon ke luthde se payda kiya, phir tumhe bacche ki surath mein nikaalta hai, phir (tumhe badaata hai ke) tum apni puri khuwwath ko pahonch jaao, phir budhe ho jaao, tum mein se baaz us se pehle hee fauth ho jaate hai (wo tumhe chohd deta hai) ta ke tum muddath mu’ayyan tak pahoch jaao aur ta ke tum sonch samajh lo
jo Allah ke siva thein, wo kahenge ke wo to hum se behek gaye, balke hum to us se pehle kisi ko bhi pukaarte hee na thein, Allah ta’ala kaafiro ko isi tarah gumraah karta hai
pas aap sabr kare, Allah ka waada qat’an saccha hai, unhe hum ne jo waade de rakhe hai, un mein se kuch hum aap ko dikhaaye ya (us se pehle) hum aap ko wafaath de de, un ka lautna ya jaana to hamaari hee taraf hai
yaqinan hum aap se pehle bhi bahuth se rasool bhej chuke hai, jin mein se baaz ke (waqeyaath) hum aap ko bayaan kar chuke hai aur un mein se baaz ke (qisse) to hum ne aap ko bayaan hee nahi kiye aur kisi rasool ka ye (maghdoor) na tha ke koyi maujeze Allah ki ijaazath ke baghair la sa ke, phir jis waqt Allah ka hukm ayega, haq ke saath faisla kar diya jayega aur us jageh ahle baatil qasaare mein reh jayenge
aur bhi tumhaare liye in mein bahuth se nafa hai aur ta ke apne sino mein chipi hoyi haajato ko unhee par sawaari kar ke tum haasil karlo aur un chau paayo par aur kashtiyo par sawaar kiye jaate ho
kya unhone zameen mein chal phir kar apne se pehlo ka anjaam nahi dekha? jo un se tadaadh mein zyaada thein, quwwath mein saqth aur zameen mein bahuth saari yaad gaare chohdi thi, un ke kiye kaamo ne unhe kuch bhi fayda na pahonchaaya
pas jab kabhi un ke paas un ke rasool khuli nishaaniya le kar aaye, to ye apne paas ke ilm par itraane lage, bil aaqir jis cheez ko mazaaq mein uda rahe thein, wahi un par ulat padi
hamaara azaab dekhte hee kehne lage, ke Allah waahed par hum imaan laaye aur jin jin ko hum us ka shareek bana rahe thein, hum ne un sab se inkaar kiya
lekin hamaare azaab ko dekh lene ke baadh un ke imaan ne unhe nafa na diya, Allah ne apna mamool yahi muqarrar kar rakha hai jo us ke bandho mein baraabar chala aa raha hai aur us jageh kaafir qaraab wa qasta hoye