Back to Languages

Urdu - Chapter 40 - Ghafir

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Ghafir 40:1

Verse 2 — Surah Ghafir 40:2

is kitaab ka naazil farmaana, us Allah ki taraf se hai jo ghaalib aur daana hai

Verse 3 — Surah Ghafir 40:3

gunaah ka baqshne waala aur tauba ka qubool farmaane waala, saqt azaab waala, in’aam wa khudrath waala, jis ke siva koyi maboodh nahi, osi ki taraf waapas lautna hai

Verse 4 — Surah Ghafir 40:4

Allah ta’ala ki aayato mein wahi log jhagadte hai jo kaafir hai, pas un logo ka shehro mein chalna phirna, aap ko dhuke mein na daale

Verse 5 — Surah Ghafir 40:5

khaum nuh ne aur un ke baadh ke gruhu ne bhi jhhutlaaya tha aur har ummath ne apne rasool ko giraftaar kar lene ka iraada kiya aur baatil ke zariye, kajh behesiya kiye, ta ke un se haq ko bigaad de, pas main ne un ko pakad liya, so meri taraf se kaisi saza hoyi

Verse 6 — Surah Ghafir 40:6

aur isi tarah aap ke rab ka hukm kaafiro par saabith ho gaya ke wo dozakhi hai

Verse 7 — Surah Ghafir 40:7

arsh ke uthaane waale aur us ke aas paas ke (farishte) apne rab ki tasbih hamdh ke saath saath karte hai aur us par imaan rakhte hai aur imaan waalo ke liye isteghfaar karte hai, kehte hai ke aye hamaare parvardigaar! tu ne har cheez ko apni baqshish aur ilm se gher rakha hai, pas tu unhe baqsh de jo tauba kare aur teri raah ki pairvi kare aur tu unhe dozakh ke azaab se bhi bacha le

Verse 8 — Surah Ghafir 40:8

aye hamaare rab! tu unhe hameshgi waali jannato mein le ja, jin ka tu ne un se waada kiya hai aur un ke baap dadaao aur biwiyo aur aulaad mein se (bhi) un (sab) jo nek amal hai, yaqinan tu, to ghaalib wa ba hikmath hai

Verse 9 — Surah Ghafir 40:9

unhe buraiyo se bhi mehfooz rakh, haq to ye hai ke us din tu ne jise buraiyo se bacha liya, us par tu ne rehmath kardi aur bahuth badi kamyaabi to yahi hai

Verse 10 — Surah Ghafir 40:10

beshak jin logo ne kufr kiya, unhe ye awaaz di jayegi ke yaqinan Allah ka tum par ghussa hona, us se bahuth zyaada hai, jo tum ghussa hote thein, apne ji se jab tum imaan ki taraf bulaaye jaate thein, phir kufr karne lagte thein

Verse 11 — Surah Ghafir 40:11

wo kahenge aye hamaare parvardigaar! tu ne hamein do baar maara aur do baar hee jilaaya, ab hum apne gunaaho ke eqraari hai, to kya ab koyi raah nikalne ki bhi hai

Verse 12 — Surah Ghafir 40:12

ye (azaab) tumhe is liye hai ke jab sirf akele Allah ka zikr kiya jaata to tum inkaar kar jaate thein aur agar us ke saath kisi ko shareek kiya jaata tha to maan lete thein, pas ab faisla Allah bulandh wa buzrug hee ka hai

Verse 13 — Surah Ghafir 40:13

wahi hai jo tumhe apni nishaaniya dikh laata hai aur tumhaare liye asmaan se rozi utaarta hai, nasihath to sirf wahi haasil karte hai jo (Allah ki taraf) rujo karte hai

Verse 14 — Surah Ghafir 40:14

tum Allah ko pukaarte raho, us ke liye deen ko qaalis kar ke, go kaafir bura maane

Verse 15 — Surah Ghafir 40:15

bulandh darjo waala arsh ka maalik, wo apne bandho mein se jis par chaahta hai, wahi nazil farmaata hai, ta ke wo mulaqaath ke din se daraaye

Verse 16 — Surah Ghafir 40:16

jis din sab log zaaher ho jayenge, un ki koyi cheez Allah se poshida na rahegi, aaj kis ki badshaahi hai? faqt Allah waahed wa qah-haar hai

Verse 17 — Surah Ghafir 40:17

aaj har nafs ko us ki kamaayi ka badhla diya jayega, aaj (kisi qism ka) zulm nahi, yaqinan Allah ta’ala bahuth jald hisaab karne waala hai

Verse 18 — Surah Ghafir 40:18

aur unhe bahuth hee qareeb aane waali (qayaamath) se agaah kar dijiye, jab ke dil halaq tak pahonch jayenge aur sab qamoosh honge, zaalimo ka na koyi dili dosth hoga na sifaarishi, ke jis ki baath maani jaayegi

Verse 19 — Surah Ghafir 40:19

wo aankho ki qayaanath ko aur sino ki poshida baatho ko (qoob) jaanta hai

Verse 20 — Surah Ghafir 40:20

aur Alalh ta’ala theek theek faisla kar dega, us ke siva jinhe ye log pukaarte hai, wo kisi cheez ka bhi faisla nahi kar sakte, beshak Allah ta’ala qoob sunta, qoob dekhta hai

Verse 21 — Surah Ghafir 40:21

kya ye log zameen mein chale phire nahi, ke dekhte ke jo log un se pehle thein, un ka natija kaisa kuch hoa? wo ba-etebaar khuwwath wa taaqath ke aur ba-etebaar zameen mein apni yaadgaaro ke, un se bahuth zyaada thein, pas Allah ne unhe un ke gunaaho par pakad liya aur koyi na hoa jo unhe Allah ke azaab se bacha leta

Verse 22 — Surah Ghafir 40:22

ye us wajeh se ke un ke paas un ke paighambar maujeze le le kar aate thein, to wo inkaar kar dete thein, pas Allah unhe pakad leta tha, yaqinan wo taaaqatwar aur saqt azaab waala hai

Verse 23 — Surah Ghafir 40:23

aur hum ne Mosa(alaihissalaam) ko apni aayato aur khuli dalilo ke saath bheja

Verse 24 — Surah Ghafir 40:24

feraun,hamaan aur qaroon ki taraf, to unhone kaha (ye to) jaadugar aur jhuta hai

Verse 25 — Surah Ghafir 40:25

pas jab un ke paas (Mosa(as)) hamaari taraf se (deen) haq ko le kar aaye, to unhone kaha ke is ke saath jo imaan waale hai, un ke ladko ko to maar daalo aur un ki ladkiyo ko zinda rakho aur kaafiro ki jo heela saazi hai, wo ghalati mein hee hai

Verse 26 — Surah Ghafir 40:26

aur feraun ne kaha mujhe chohdo ke main Mosa(alaihissalaams) ko maar daalo aur ose chahiye ke apne rab ko pukaare, mujhe to dar hai ke ye kahi tumhaara deen na badal daale, ya mulk mein koyi (bahuth bada) fisaadh barpa na kar de

Verse 27 — Surah Ghafir 40:27

Mosa(alaihissalaam) ne kaha main apne aur tumhaare rab ki panaah mein ataa hoon, har us takabbur karne waale shaqs (ki buraayi) se jo roze hisaab par imaan nahi rakhta

Verse 28 — Surah Ghafir 40:28

aur ek momin shaqs ne jo feraun ke khandaan mein se tha aur apna imaan chupaaye hoye tha, kaha ke kya tum ek shaqs ko mahez is baath par qatl karte ho, ke wo kehta hai ke mera rab Allah hai aur tumhaare rab ki taraf se dalile le kar aaya hai, agar wo jhuta ho, to us ka jhot osi par hai aur agar wo saccha ho to, jis (azaab) ka wo tum se waada kar raha hai, us mein se kuch na kuch to tum par aa padega, Allah ta’ala us ki rehbari nahi karta, jo hadh se guzar jaane waale aur jhute ho

Verse 29 — Surah Ghafir 40:29

aye meri khaum ke logo! aaj to badshaahath tumhaari hai, ke is zameen par tum ghaalib ho, lekin agar Allah ka azaab hum par aa gaya to kaun hamaari madad karega? feraun bola, main to tumhe wahi raay de raha hoon, jo khud dekh raha hoon aur main to tumhe bhalaayi ki raah hee batla raha hoon

Verse 30 — Surah Ghafir 40:30

us momin ne kaha aye meri khaum (ke logo) mujhe to andesha hai ke tum par bhi waisa hee roz (badh azaab) na aaye jo aur umaato par aaya

Verse 31 — Surah Ghafir 40:31

jaise ummath nuh aur aadh wa samoodh aur un ke baadh waalo ka (haal hoa) Allah apne bandho par kisi tarah ka zulm karna nahi chaahta

Verse 32 — Surah Ghafir 40:32

aur mujhe tum par haank pukaar ke din ka bhi dar hai

Verse 33 — Surah Ghafir 40:33

jis din tum peet pher kar lautoge, tumhe Allah se bachaane waala koyi na hoga aur jise Allah gumraah karde, us ka haadi koyi nahi

Verse 34 — Surah Ghafir 40:34

aur us se pehle tumhaare paas (hazrath) Yousuf(alaihissalaam) dalile le kar aaye, phir bhi tum un ki laayi hoyi (daleel) mein shak wa shuba hee karte rahe, yahaa tak ke jab un ki wafaath ho gayi, to kehne lage, un ke baadh to Allah kisi rasool ko bhejega hee nahi, isi tarah Allah gumraah karta hai, har us shaqs ko jo hadh se bad jaane waala, shak wa shuba karne waala ho

Verse 35 — Surah Ghafir 40:35

jo baghair kisi sanadh ke, jo un ke paas aayi ho, Allah ki aayato mein jhagadte hai, Allah ke nazdik aur momino ke nazdik ye to bahuth badi na raazgi ki cheez hai, Allah ta’ala isi tarah har ek maghroor sarkassh ke dil par muhar kar deta hai

Verse 36 — Surah Ghafir 40:36

feraun ne kaha aye hamaan mere liye ek bala khaana bana, shaayad ke main asmaan ke jo darwaaze hai

Verse 37 — Surah Ghafir 40:37

(un) darwaazo tak pahonch jaao aur Mosa(alaihissalaam) ke maboodh ko jhaank lo aur beshak main samajhta hoon wo jhota hai aur isi tarah feraun ki badh kirdarya ose bhali dikhaayi gayi aur raah se rok diya gaya, feraun ki (har) hila saazi tabaahi mein hee rahi

Verse 38 — Surah Ghafir 40:38

aur us momin shaqs ne kaha ke aye meri khaum ke logo tum (sab) meri pairvi karo, main nek raah ki taraf tumhaari rehbari karonga

Verse 39 — Surah Ghafir 40:39

aye meri khaum! ye hayaath dunya, mata faani hai (yaqeen maano ke qaraar) aur hameshgi ka ghar to aaqirath hee hai

Verse 40 — Surah Ghafir 40:40

jis ne koyi gunaah kiya, ose us ke gunaaho ke baraabar hee badhla diya jayega aur jis ne neki ki hai, qah wo mardh ho ya aurath aur wo imaan waala ho to ye log jannath mein jayenge aur wahaa be shumaar rozi payenge

Verse 41 — Surah Ghafir 40:41

aye meri khaum! ye kya baath hai ke main tumhe najaath ki taraf bula raha hoon aur tum mujhe dozakh ki taraf bula rahe ho

Verse 42 — Surah Ghafir 40:42

tum mujhe ye daawath de rahe ho ke main Allah ke saath kufr karo aur us ke saath shirk karo jis ka koyi ilm mujhe nahi, aur main tumhe ghaalib baqshne waale maboodh ki taraf daawath de raha hoon

Verse 43 — Surah Ghafir 40:43

ye yaqini amr hai ke tum mujhe jis ki taraf bula rahe ho, wo to na dunya mein pukaare jaane ke qaabil hai, na aaqirath mein, aur ye (bhi yaqini baath hai) ke hum sab ka lautna Allah ki taraf hai aur hadh se guzar jaane waale hee, (yaqinan) ahle dozakh hai

Verse 44 — Surah Ghafir 40:44

pas aage chal kar tum meri baatho ko yaad karoge, main apna maamla Allah ke supurdh karta hoon, yaqinan Allah ta’ala bandho ka nigraan hai

Verse 45 — Surah Ghafir 40:45

pas ose Allah ta’ala ne tamaam badhiyo se mehfooz rakh liya, jo unhone soonch rakhi thi aur feraun waalo par buri tarah ka azaab ulat pada

Verse 46 — Surah Ghafir 40:46

aag hai jis ke saamne ye har subah shaam laaye jaate hai aur jis din qayaamath hogi (farmaan hoga ke) ferauniyo ko saqt tareen azaab mein daalo

Verse 47 — Surah Ghafir 40:47

aur jab ke dozakh mein ek dosre se jhagdenge to kamzoor log takabbur waalo se (jin ke ye taabe thein) kahenge ke hum to tumhaare pairau thein, to kya ab tum hum se us aag ka koyi hissa hata sakte ho

Verse 48 — Surah Ghafir 40:48

wo bade log jawaab denge hum to sabhi is aag mein hai, Allah ta’ala apne bandho ke darmiyaan faisle kar chuka hai

Verse 49 — Surah Ghafir 40:49

aur (tamaam) jahannami mil kar jahannam ke darogha se kahenge ke tum hee apne parvardigaar se dua karo ke wo kisi din to hamaare azaab mein kami karde

Verse 50 — Surah Ghafir 40:50

wo jawaab denge ke kya tumhaare paas tumhaare rasool maujeze le kar nahi aaye thein? wo kahenge kyo nahi, wo kahenge ke phir tum hee dua karo aur kaafiro ki dua mahez be asar aur be raah hai

Verse 51 — Surah Ghafir 40:51

yaqinan hum apne rasulo ki aur imaan waalo ki madad zindagaani dunya mein bhi karenge aur us din bhi jab gawaahi dene waale khade honge

Verse 52 — Surah Ghafir 40:52

jis din zaalimo ko un ki (uzr) maazirath kuch nafa na degi, un ke liye laanath hee hogi aur un ke liye bura ghar hoga

Verse 53 — Surah Ghafir 40:53

hum ne Mosa(alaihissalaam) ko hidaayath naama ata farmaya aur bani israel ko us kitaab ka waaris banaya

Verse 54 — Surah Ghafir 40:54

ke wo hidaayath wa nasihath thi aql mandho ke liye

Verse 55 — Surah Ghafir 40:55

pas aye Nabi(sallallahu alaihi wasallam) tu sabr kar, Allah ka waada bila shak wa shuba saccha hee hai, tu apne gunaah ki maafi maangta reh aur suba shaam apne parvardigaar ki tasbih aur hamdh bayaan karta reh

Verse 56 — Surah Ghafir 40:56

jo log ba wajoodh apne paas kisi sanadh ke na hone ke, ayaath ilaahi mein jhagda karte hai, un ke dilo mein bajuz nari badaayi ke aur kuch nahi, wo us tak pahonchne waale hee nahi, so tu Allah ki panaah maangta reh, beshak wo pura sunne waala aur sab se zyaada dekhne waala hai

Verse 57 — Surah Ghafir 40:57

asmaan wa zameen ki padayish yaqinan insaan ki padayish se bahuth bada kaam hai lekin (ye aur baath hai ke) aksar log be ilm hai

Verse 58 — Surah Ghafir 40:58

andha aur bina baraabar nahi, na wo log jo imaan laaye aur bhale kaam kiye badhkaaro ke (baraabar hai), tum (bahuth) kam nasihath hasil kar rahe ho

Verse 59 — Surah Ghafir 40:59

qayaamath bil yaqeen aur be shuba aane waali hai lekin (ye aur baath hai ke) bahuth se log imaan nahi laate

Verse 60 — Surah Ghafir 40:60

aur tumhaare rab ka farmaan (sar sadh ho chuka) hai ke mujh se dua karo, main tumhaari duao ko qubool karonga, yaqeen maano ke jo log meri ibaadath se khud sarih karte hai, wo abhi abhi zaleel ho kar jahannam mein pahonch jayenge

Verse 61 — Surah Ghafir 40:61

Allah ta’ala ne tumhaare liye raath bana di ke tum us mein araam haasil karo aur din ko dekhne waala bana diya, beshak Allah ta’ala logo par fazl wa karam waala hai lekin aksar log shukr guzaari nahi karte

Verse 62 — Surah Ghafir 40:62

yahi Allah hai tum sab ka rab, har cheez ka khaaliq, us ke siva koyi maboodh nahi, phir kaha tum phire jaate ho

Verse 63 — Surah Ghafir 40:63

isi tarah wo log bhi phire jaate rahe jo Allah ki aayato ka inkaar karte thein

Verse 64 — Surah Ghafir 40:64

Allah hee hai jis ne tumhaare liye zameen ko teherne ki jageh aur asmaan ko chath bana diya aur tumhaari surate banaayi aur bahuth acchi banaayi aur tumhe umdah umdah chize khaane ko ata farmaaye, yahi Allah tumhaara parvardigaar hai, pas bahuth hee barkato waala Allah hai, saare jahaan ka parvarish karne waala

Verse 65 — Surah Ghafir 40:65

wo zinda hai jis ke siva koyi maboodh nahi, pas tum qaalis osi ki ibaadath karte hoye ose pukaaro, tamaam qobiya Allah hee ke liye hai, jo tamaam jahaano ka rab hai

Verse 66 — Surah Ghafir 40:66

aap keh dijiye ke mujhe un ki ibaadath se rok diya gaya hai jinhe tum Allah ke siva pukaar rahe ho, is bina par ke mere paas mere rab ki dalile pahonch chuki hai, mujhe ye hukm diya gaya hai ke main tamaam jahaano ke rab ka taabe farmaan ho jaao

Verse 67 — Surah Ghafir 40:67

wo wahi hai jis ne tumhe mitthi se, phir nutfe se phir qoon ke luthde se payda kiya, phir tumhe bacche ki surath mein nikaalta hai, phir (tumhe badaata hai ke) tum apni puri khuwwath ko pahonch jaao, phir budhe ho jaao, tum mein se baaz us se pehle hee fauth ho jaate hai (wo tumhe chohd deta hai) ta ke tum muddath mu’ayyan tak pahoch jaao aur ta ke tum sonch samajh lo

Verse 68 — Surah Ghafir 40:68

wahi hai jo jilaata hai aur maar daalta hai, phir jab wo kisi kaam ka karna muqarrar karta hai to ose sirf ye kehta hai ke ho ja, pas wo ho jaata hai

Verse 69 — Surah Ghafir 40:69

kya tu ne unhe dekha, jo Allah ki aayato mein jhagadte hai, wo kahaa pher diye jaate hai

Verse 70 — Surah Ghafir 40:70

jin logo ne kitaab ko jhutlaaya aur ose bhi jo hum ne apne rasulo ke saath bheja, unhe abhi abhi haqiqate haal maloom ho jayegi

Verse 71 — Surah Ghafir 40:71

jab ke un ki gardano mein tauq honge aur zanjire hongi, ghasite jayenge

Verse 72 — Surah Ghafir 40:72

khaulte hoye paani mein aur phir jahannam ki aag mein jalaaye jayenge

Verse 73 — Surah Ghafir 40:73

phir un se pucha jayega ke jinhe tum shareek karte thein, wo kahaa hai

Verse 74 — Surah Ghafir 40:74

jo Allah ke siva thein, wo kahenge ke wo to hum se behek gaye, balke hum to us se pehle kisi ko bhi pukaarte hee na thein, Allah ta’ala kaafiro ko isi tarah gumraah karta hai

Verse 75 — Surah Ghafir 40:75

ye badhla hai us cheez ka jo tum zameen mein na haq phule na samaate thein aur (be ja) itraate phirte thein

Verse 76 — Surah Ghafir 40:76

(ab aao) jahannam mein hamesha rehne ke liye (us ke) darwaazo mein daakhil ho jaao, kya hee buri jageh hai takabbur karne waalo ki

Verse 77 — Surah Ghafir 40:77

pas aap sabr kare, Allah ka waada qat’an saccha hai, unhe hum ne jo waade de rakhe hai, un mein se kuch hum aap ko dikhaaye ya (us se pehle) hum aap ko wafaath de de, un ka lautna ya jaana to hamaari hee taraf hai

Verse 78 — Surah Ghafir 40:78

yaqinan hum aap se pehle bhi bahuth se rasool bhej chuke hai, jin mein se baaz ke (waqeyaath) hum aap ko bayaan kar chuke hai aur un mein se baaz ke (qisse) to hum ne aap ko bayaan hee nahi kiye aur kisi rasool ka ye (maghdoor) na tha ke koyi maujeze Allah ki ijaazath ke baghair la sa ke, phir jis waqt Allah ka hukm ayega, haq ke saath faisla kar diya jayega aur us jageh ahle baatil qasaare mein reh jayenge

Verse 79 — Surah Ghafir 40:79

Allah wo hai jis ne tumhaare liye chau paaye payda kiye, jin mein se baaz par tum sawaar hote ho, aur baaz ko tum khaate ho

Verse 80 — Surah Ghafir 40:80

aur bhi tumhaare liye in mein bahuth se nafa hai aur ta ke apne sino mein chipi hoyi haajato ko unhee par sawaari kar ke tum haasil karlo aur un chau paayo par aur kashtiyo par sawaar kiye jaate ho

Verse 81 — Surah Ghafir 40:81

Allah tumhe apni nishaaniya dikhaata ja raha hai, pas tum Allah ki kin kin nishaaniyo ka munkir bante rahoge

Verse 82 — Surah Ghafir 40:82

kya unhone zameen mein chal phir kar apne se pehlo ka anjaam nahi dekha? jo un se tadaadh mein zyaada thein, quwwath mein saqth aur zameen mein bahuth saari yaad gaare chohdi thi, un ke kiye kaamo ne unhe kuch bhi fayda na pahonchaaya

Verse 83 — Surah Ghafir 40:83

pas jab kabhi un ke paas un ke rasool khuli nishaaniya le kar aaye, to ye apne paas ke ilm par itraane lage, bil aaqir jis cheez ko mazaaq mein uda rahe thein, wahi un par ulat padi

Verse 84 — Surah Ghafir 40:84

hamaara azaab dekhte hee kehne lage, ke Allah waahed par hum imaan laaye aur jin jin ko hum us ka shareek bana rahe thein, hum ne un sab se inkaar kiya

Verse 85 — Surah Ghafir 40:85

lekin hamaare azaab ko dekh lene ke baadh un ke imaan ne unhe nafa na diya, Allah ne apna mamool yahi muqarrar kar rakha hai jo us ke bandho mein baraabar chala aa raha hai aur us jageh kaafir qaraab wa qasta hoye