Back to Languages

Urdu - Chapter 41 - Fussilat

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Fussilat 41:1

Verse 2 — Surah Fussilat 41:2

utaari hoyi hai bade meherbaan bahuth rahem waale ki taraf se

Verse 3 — Surah Fussilat 41:3

(aisi) kitaab hai jis ki aayato ki waazeh tafseel ki gayi hai (is haal mein ke) Qur’aan arabi zabaan mein hai us khaum ke liye jo jaanti hai

Verse 4 — Surah Fussilat 41:4

khush qabri sunaane waala aur daraane waala hai, phir bhi un ki aksariyath ne mu pher liya aur wo sunte hee nahi

Verse 5 — Surah Fussilat 41:5

aur unhone kaha ke tu jis ki taraf hamein bula raha hai, hamaare dil to us se parde mein hai aur hamaare kaano mein giraani hai aur hum mein aur tujh mein ek hijaab hai, accha tu ab apna kaam kiye ja, hum bhi yaqinan kaam karne waale hai

Verse 6 — Surah Fussilat 41:6

aap keh dijiye! ke main to tumhee jaisa insaan ho, mujh par wahi naazil ki jaati hai, ke tum sab ka maboodh ek Allah hee hai, so tum us ki taraf mutawajje ho jaao aur us se gunaaho ki maafi chaaho aur un mushriko ke liye (badi hee) qaraabi hai

Verse 7 — Surah Fussilat 41:7

jo zakaath nahi dete aur aaqirath ke bhi munkir hee rehte hai

Verse 8 — Surah Fussilat 41:8

beshak jo log imaan laaye aur bhale kaam kare, un ke liye na khatam hone waala ajr hai

Verse 9 — Surah Fussilat 41:9

aap keh dijiye! ke kya tum us (Allah) ka inkaar karte ho aur tum us ke shareek muqarrar karte ho, jis ne do din mein zameen payda kardi, saare jahaano ka parvardigaar wahi hai

Verse 10 — Surah Fussilat 41:10

aur us ne zameen mein us ke upar se pahaad gaad diye aur us mein barkath rakh di aur us mein (rehne waalo ki) ghizaao ki tajweez bhi osi mein kardi (sirf) chaar din mein zarurath mandho ke liye eksa taur par

Verse 11 — Surah Fussilat 41:11

phir asmaan ki taraf mutawajje hoa aur wo dhua (sa) tha, pas ose aur zameen se farmaya ke tum duno khushi se aao ya na khushi se, duno ne arz kiya hum ba khushi haazir hai

Verse 12 — Surah Fussilat 41:12

pas do din mein saath asmaan bana diye aur har asmaan mein us ke munaasib ehkaam ki wahi bhej di aur hum ne asmaan dunya ko charaagho se zeenath di aur nigehbaani ki, ye tadhbeer Allah ghaalib wa daana ki hai

Verse 13 — Surah Fussilat 41:13

ab bhi ye ru-garda ho, to keh djiye! ke main tumhe us kadak (azaab asmaani) se daraata ho, jo misl aadhiyo aur samoodhiyo ke kadak ki hogi

Verse 14 — Surah Fussilat 41:14

un ke paas jab un ke aage piche se paighambar aaye, ke tum Allah ke siva kisi ki ibaadath na karo, to unhone jawaab diya ke, agar hamaara parvardigaar chahta to farishto ko bhejta, hum to tumhaari risaalath ke bilkul munkir hai

Verse 15 — Surah Fussilat 41:15

ab aadh ne to be wajah zameen mein sarkashi shuro kardi aur kehne lage ke hum se zoor aawar kaun hai? kya unhe ye nazar na aaya ke jis ne unhe payda kiya hai, wo un se (bahuth hee) zyaada zoor aawar hai, wo (aaqir tak) hamaari aayato ka inkaar hee karte rahe

Verse 16 — Surah Fussilat 41:16

bil aaqir hum ne un par ek tez wa tundh aandhi man’hoos dino mein bhej di, ke unhe dunyaawi zindagi mein zillath ke azaab ka maza chaka de aur (yaqeen maano) ke aaqirath ka azaab us se bahuth zyaada ruswaayi waala hai aur wo madad nahi kiye jayenge

Verse 17 — Surah Fussilat 41:17

rahe samoodh, so hum ne un ki bhi rehbari ki, phir bhi unhone hidaayath par andhe pan ko tarjih di, jis bina par unhe (saraapa) zillath ke azaab ki kadak ne unke kartuto ke baayes pakad liya

Verse 18 — Surah Fussilat 41:18

aur (haan) imaan daar aur paar saa’o ko hum ne (baal baal) bacha liya

Verse 19 — Surah Fussilat 41:19

aur jis din Allah ke dushman dozakh ki taraf laaye jayenge aur un (sab) ko jama kar diye jayega

Verse 20 — Surah Fussilat 41:20

yahaa tak ke jab bilkul jahannam ke paas aa jayenge, un par un ke kaan aur un ki aankhe aur un ki khaale un ke amaal ki gawaahi dengi

Verse 21 — Surah Fussilat 41:21

ye apni khaalo se kahenge ke tum ne hamaare qilaaf shahaadath kyo di, wo jawaab dengi ke hamein us Allah ne khuwwate goyaayi ata farmaayi, jis ne har cheez ko bolne ki taaqath baqshi hai, osi ne tumhe awwal martaba payda kiya aur osi ki taraf tum sab lautaaye jaoge

Verse 22 — Surah Fussilat 41:22

aur tum (apni badh amaaliya) is wajeh se poshida rakhte hee na thein ke tum par tumhaare kaan aur tumhaari aankhe aur tumhaari khaale gawaahi dengi, haan tum ye samajhte rahe ke, tum jo kuch bhi kar rahe ho, us mein se bahuth se amaal se Allah be qabar hai

Verse 23 — Surah Fussilat 41:23

tumhaari isi badh gumaani ne jo tum ne apne rab se kar rakhi thi, tumhe halaak kar diya aur bil aaqir tum ziyaa kaaro mein ho gaye

Verse 24 — Surah Fussilat 41:24

ab agar ye sabr kare to bhi un ka thikaana jahannam hee hai aur agar ye (uzr wa) maafi ke qaastgaar ho, to bhi (maazoor wa) maaf nahi rakhe jayenge

Verse 25 — Surah Fussilat 41:25

aur hum ne un ke kuch hum nasheen muqarrar kar rakhe thein, jinhone un ke agle pichle amaal un ki nigaaho mein qoob surath bana rakhe thein aur un ke haq mein bhi Allah ka khaul un ummato ke saath pura hoa, jo un se pehle jinno, insaano ki guzar chuki hai, yaqinan wo ziyaa kaar saabith hoye

Verse 26 — Surah Fussilat 41:26

aur kaafiro ne kaha is Qur’aan ko suno hee math (us ke padhe jaane ke waqth) aur behuda goyi karo, kya ajab ke tum ghaalib aa jaao

Verse 27 — Surah Fussilat 41:27

pas yaqinan hum un kaafiro ko saqth azaab ka maza chakayenge aur unhe un ke badh tareen amaal ka badhla (zaroor) zaroor denge

Verse 28 — Surah Fussilat 41:28

Allah ke dushmano ki saza yahi dozakh ki aag hai, jis mein un ka hameshgi ka ghar hai (ye) badhla hai hamaari aayato se inkaar karne ka

Verse 29 — Surah Fussilat 41:29

aur kaafir log kahenge aye hamaare rab! hamein jino insaano ( ke wo duno fareeq) dikha jinhone hamein gumraah kiya (ta ke) hum unhe apne khadmo ta le daal de, ta ke wo jahannam mein sab se niche (saqth azaab mein) ho jaaye

Verse 30 — Surah Fussilat 41:30

(waaqeyi) jin logo ne kaha ke hamaara parvardigaar Allah hai, phir osi par qaayam rahe, un ke paas farishte (ye kehte hoye) aate hai ke tum kuch bhi andesha aur gham na karo, balke us jannath ki bashaarath sunlo jis ka tum waada diye gaye ho

Verse 31 — Surah Fussilat 41:31

tumhaari dunyaawi zindagi mein bhi hum tumhaare rafeeq thein aur aaqirath mein bhi rahenge, jis cheez ko tumhaara ji chaahe aur jo kuch tum maango sab tumhaare liye (jannath mein maujoodh) hai

Verse 32 — Surah Fussilat 41:32

ghafoor wa raheem (maboodh) ki taraf se ye sab kuch ba taure mehmaani ke hai

Verse 33 — Surah Fussilat 41:33

aur us se zyaada acchi baath waala kaun hai jo Allah ki taraf bulaaye aur nek kaam kare aur kahe ke main yaqinan musalmaano mein se hoon

Verse 34 — Surah Fussilat 41:34

neki aur badhi baraabar nahi hoti, buraayi ko bhalaayi se dafa karo, phir wahi jis ke aur tumhaare darmiyaan dushmani hai, aisa ho jayega jaise dili dosth

Verse 35 — Surah Fussilat 41:35

aur ye baath unhee ko naseeb hoti hai jo sabr kare aur ise sivaaye bade nasibe waalo ke koyi nahi pa sakta

Verse 36 — Surah Fussilat 41:36

aur agar shaytaan ki taraf se koyi was wasa aaye to Allah ki panaah talab karo, yaqinan wo bahuth hee sunne waala jaanne waala hai

Verse 37 — Surah Fussilat 41:37

aur din raath aur suraj chaandh bhi (osi ki) nishaaniyo mein se hai, tum suraj ko sajda na karo, na chaandh ko, balke sajda us Allah ke liye karo, jis ne un sab ko payda kiya hai, agar tumhe osi ki ibaadath karni hai to

Verse 38 — Surah Fussilat 41:38

phir bhi agar ye kibr wa ghuroor kare, to wo (farishte) jo aap ke rab ke nazdeek hai, wo to raath din us ki tasbih bayaan kar rahe hai aur (kisi waqt bhi) nahi uktaate

Verse 39 — Surah Fussilat 41:39

us Allah ki nishaaniyo mein se (ye bhi) hai ke tu zameen ko dabi dabaayi dekhta hai, phir jab hum us par meh barsaata hai, to wo taru taaza ho kar ubharne lagti hai, jis ne ose zinda kiya, wahi yaqini taur par murdo ko bhi zinda karne waala hai, beshak wo har (har) cheez par qaadir hai

Verse 40 — Surah Fussilat 41:40

beshak jo log hamaari aayato mein kaj rawi karte hai, wo (kuch) hum se maqfi nahi, (batlaao to) jo aag mein daala jaaye, wo accha hai ya wo jo aman wa amaan ke saath qayaamath ke din aaye? tum jo chaaho karte chale jaao, wo tumhara sab kiya karaaya dekh raha hai

Verse 41 — Surah Fussilat 41:41

jin logo ne apne paas Qur’aan pahonch jaane ke ba-wajoodh us se kufr kiya (wo bhi hum se poshida nahi) ye badi ba-waq-ath1 kitaab hai

Verse 42 — Surah Fussilat 41:42

jis ke paas baatil phatak bhi nahi sakta, na us ke aage se na us ke piche se, ye hai nazil karda hikmato waale qobiyo waale (Allah) ki taraf se

Verse 43 — Surah Fussilat 41:43

aap se wahi kaha jaata hai jo aap se pehle ke rasulo se bhi kaha gaya hai, yaqinan aap ka rab maafi waala aur dardnaak azaab waala hai

Verse 44 — Surah Fussilat 41:44

aur agar hum ose ajami zabaan ka Qur’aan banaate to, kehte ke is ki aayate saaf saaf bayaan kyo nahi ki gayi? ye kya ke ajami kitaab aur aap arabi rasool? aap keh dijiye! ke ye to imaan waalo ke liye hidaayath wa shifa hai aur jo imaan nahi laate, un ke kaano mein to (behrapan aur) boojh hai aur ye un par andha pan hai, ye log hai jo kisi bahuth door daraaz jageh se pukaare ja rahe hai

Verse 45 — Surah Fussilat 41:45

yaqinan hum ne Mosa(alaihissalaam) ko kitaab di thi, so us mein bhi eqtelaaf kiya gaya aur agar (wo) baath na hoti (jo) aap ke rab ki taraf se pehle hee muqarrar ho chuki hai, to un ke darmiyaan kabhi ka faysla ho chuka hota, ye log to us ke baare mein saqth be chayn karne waale shak mein hai

Verse 46 — Surah Fussilat 41:46

jo shaqs nek kaam karega, wo apne nafe ke liye aur jo bura kaam karega, us ka wabaal bhi osi par hai aur aap ka rab bandho par zulm karne waala nahi

Verse 47 — Surah Fussilat 41:47

qayaamath ka ilm Allah hee ki taraf lautaaya jaata hai aur jo jo phal apne shagufo mein se nikalte hai aur jo maada hamal se hoti hai aur jo bacche wo janthi hai, sab ka ilm ose hai aur jis din Allah ta’ala un (mushriko) ko bula kar daryaaft farmayega mere shareek kahaa hai, wo jawaab denge ke hum ne to tujhe keh sunaaya ke hum mein se to koyi is ka gawaah nahi

Verse 48 — Surah Fussilat 41:48

aur ye jin (jin) ki parastish is se pehle karte thein, wo un ki nigaah se gum ho gaye aur unhone samajh liya ke ab un ke liye koyi bachaao nahi

Verse 49 — Surah Fussilat 41:49

bhalaayi ke maangne se, insaan thakta nahi aur agar ose koyi takleef pahonch jaaye to mayoos aur na ummidh ho jaata hai

Verse 50 — Surah Fussilat 41:50

aur jo musibath ose pahonch chuki hai, us ke baadh agar hum ose kisi rehmath ka maza chakaaye to, wo keh uthta hai ke is ka to main haqdaar hee tha aur main to qayaal nahi kar sakta ke qayaamath qaayam hogi aur agar main apne rab ke paas waapas kiya gaya to bhi yaqinan mere liye us ke paas bhi behetri hai, yaqinan hum un kuffaar ko un ke amaal se qabardaar karenge aur unhe saqth azaab ka maza chakayenge

Verse 51 — Surah Fussilat 41:51

aur jab hum insaan par apna in’aan karte hai to wo mu pher leta hai aur kinaara kash ho jaata hai aur jab ose musibath padti hai to badi lambi chaudi duaaye karne waala ban jaata hai

Verse 52 — Surah Fussilat 41:52

aap keh dijiye ke bhala ye to bataao ke agar ye Qur’aan Allah ki taraf se ayaa hoa ho, phir tum ne ose na maana, bas us se bad kar behka hoa kaun hoga jo muqaalifath mein (haq se) door chala jaaye

Verse 53 — Surah Fussilat 41:53

an-qareeb hum unhe apni nishaaniyaa afaaq-e-aalam2mein bhi dikhaayenge aur khud un ki apni zaath mein bhi, yahaa tak ke un par khol jaaye ke haq yahi hai, kya aap ke rab ka har cheez se waaqif wa agaah hona kaafi nahi

Verse 54 — Surah Fussilat 41:54

yaqeen jaano ke ye log apne rab ke rubaro jaane se shak mein hai, yaad rakho ke Allah ta’ala har cheez ka eehaata kiye hoye hai