aur unhone kaha ke tu jis ki taraf hamein bula raha hai, hamaare dil to us se parde mein hai aur hamaare kaano mein giraani hai aur hum mein aur tujh mein ek hijaab hai, accha tu ab apna kaam kiye ja, hum bhi yaqinan kaam karne waale hai
aap keh dijiye! ke main to tumhee jaisa insaan ho, mujh par wahi naazil ki jaati hai, ke tum sab ka maboodh ek Allah hee hai, so tum us ki taraf mutawajje ho jaao aur us se gunaaho ki maafi chaaho aur un mushriko ke liye (badi hee) qaraabi hai
aap keh dijiye! ke kya tum us (Allah) ka inkaar karte ho aur tum us ke shareek muqarrar karte ho, jis ne do din mein zameen payda kardi, saare jahaano ka parvardigaar wahi hai
aur us ne zameen mein us ke upar se pahaad gaad diye aur us mein barkath rakh di aur us mein (rehne waalo ki) ghizaao ki tajweez bhi osi mein kardi (sirf) chaar din mein zarurath mandho ke liye eksa taur par
phir asmaan ki taraf mutawajje hoa aur wo dhua (sa) tha, pas ose aur zameen se farmaya ke tum duno khushi se aao ya na khushi se, duno ne arz kiya hum ba khushi haazir hai
pas do din mein saath asmaan bana diye aur har asmaan mein us ke munaasib ehkaam ki wahi bhej di aur hum ne asmaan dunya ko charaagho se zeenath di aur nigehbaani ki, ye tadhbeer Allah ghaalib wa daana ki hai
un ke paas jab un ke aage piche se paighambar aaye, ke tum Allah ke siva kisi ki ibaadath na karo, to unhone jawaab diya ke, agar hamaara parvardigaar chahta to farishto ko bhejta, hum to tumhaari risaalath ke bilkul munkir hai
ab aadh ne to be wajah zameen mein sarkashi shuro kardi aur kehne lage ke hum se zoor aawar kaun hai? kya unhe ye nazar na aaya ke jis ne unhe payda kiya hai, wo un se (bahuth hee) zyaada zoor aawar hai, wo (aaqir tak) hamaari aayato ka inkaar hee karte rahe
bil aaqir hum ne un par ek tez wa tundh aandhi man’hoos dino mein bhej di, ke unhe dunyaawi zindagi mein zillath ke azaab ka maza chaka de aur (yaqeen maano) ke aaqirath ka azaab us se bahuth zyaada ruswaayi waala hai aur wo madad nahi kiye jayenge
rahe samoodh, so hum ne un ki bhi rehbari ki, phir bhi unhone hidaayath par andhe pan ko tarjih di, jis bina par unhe (saraapa) zillath ke azaab ki kadak ne unke kartuto ke baayes pakad liya
ye apni khaalo se kahenge ke tum ne hamaare qilaaf shahaadath kyo di, wo jawaab dengi ke hamein us Allah ne khuwwate goyaayi ata farmaayi, jis ne har cheez ko bolne ki taaqath baqshi hai, osi ne tumhe awwal martaba payda kiya aur osi ki taraf tum sab lautaaye jaoge
aur tum (apni badh amaaliya) is wajeh se poshida rakhte hee na thein ke tum par tumhaare kaan aur tumhaari aankhe aur tumhaari khaale gawaahi dengi, haan tum ye samajhte rahe ke, tum jo kuch bhi kar rahe ho, us mein se bahuth se amaal se Allah be qabar hai
aur hum ne un ke kuch hum nasheen muqarrar kar rakhe thein, jinhone un ke agle pichle amaal un ki nigaaho mein qoob surath bana rakhe thein aur un ke haq mein bhi Allah ka khaul un ummato ke saath pura hoa, jo un se pehle jinno, insaano ki guzar chuki hai, yaqinan wo ziyaa kaar saabith hoye
aur kaafir log kahenge aye hamaare rab! hamein jino insaano ( ke wo duno fareeq) dikha jinhone hamein gumraah kiya (ta ke) hum unhe apne khadmo ta le daal de, ta ke wo jahannam mein sab se niche (saqth azaab mein) ho jaaye
(waaqeyi) jin logo ne kaha ke hamaara parvardigaar Allah hai, phir osi par qaayam rahe, un ke paas farishte (ye kehte hoye) aate hai ke tum kuch bhi andesha aur gham na karo, balke us jannath ki bashaarath sunlo jis ka tum waada diye gaye ho
tumhaari dunyaawi zindagi mein bhi hum tumhaare rafeeq thein aur aaqirath mein bhi rahenge, jis cheez ko tumhaara ji chaahe aur jo kuch tum maango sab tumhaare liye (jannath mein maujoodh) hai
neki aur badhi baraabar nahi hoti, buraayi ko bhalaayi se dafa karo, phir wahi jis ke aur tumhaare darmiyaan dushmani hai, aisa ho jayega jaise dili dosth
aur din raath aur suraj chaandh bhi (osi ki) nishaaniyo mein se hai, tum suraj ko sajda na karo, na chaandh ko, balke sajda us Allah ke liye karo, jis ne un sab ko payda kiya hai, agar tumhe osi ki ibaadath karni hai to
phir bhi agar ye kibr wa ghuroor kare, to wo (farishte) jo aap ke rab ke nazdeek hai, wo to raath din us ki tasbih bayaan kar rahe hai aur (kisi waqt bhi) nahi uktaate
us Allah ki nishaaniyo mein se (ye bhi) hai ke tu zameen ko dabi dabaayi dekhta hai, phir jab hum us par meh barsaata hai, to wo taru taaza ho kar ubharne lagti hai, jis ne ose zinda kiya, wahi yaqini taur par murdo ko bhi zinda karne waala hai, beshak wo har (har) cheez par qaadir hai
beshak jo log hamaari aayato mein kaj rawi karte hai, wo (kuch) hum se maqfi nahi, (batlaao to) jo aag mein daala jaaye, wo accha hai ya wo jo aman wa amaan ke saath qayaamath ke din aaye? tum jo chaaho karte chale jaao, wo tumhara sab kiya karaaya dekh raha hai
aur agar hum ose ajami zabaan ka Qur’aan banaate to, kehte ke is ki aayate saaf saaf bayaan kyo nahi ki gayi? ye kya ke ajami kitaab aur aap arabi rasool? aap keh dijiye! ke ye to imaan waalo ke liye hidaayath wa shifa hai aur jo imaan nahi laate, un ke kaano mein to (behrapan aur) boojh hai aur ye un par andha pan hai, ye log hai jo kisi bahuth door daraaz jageh se pukaare ja rahe hai
yaqinan hum ne Mosa(alaihissalaam) ko kitaab di thi, so us mein bhi eqtelaaf kiya gaya aur agar (wo) baath na hoti (jo) aap ke rab ki taraf se pehle hee muqarrar ho chuki hai, to un ke darmiyaan kabhi ka faysla ho chuka hota, ye log to us ke baare mein saqth be chayn karne waale shak mein hai
qayaamath ka ilm Allah hee ki taraf lautaaya jaata hai aur jo jo phal apne shagufo mein se nikalte hai aur jo maada hamal se hoti hai aur jo bacche wo janthi hai, sab ka ilm ose hai aur jis din Allah ta’ala un (mushriko) ko bula kar daryaaft farmayega mere shareek kahaa hai, wo jawaab denge ke hum ne to tujhe keh sunaaya ke hum mein se to koyi is ka gawaah nahi
aur jo musibath ose pahonch chuki hai, us ke baadh agar hum ose kisi rehmath ka maza chakaaye to, wo keh uthta hai ke is ka to main haqdaar hee tha aur main to qayaal nahi kar sakta ke qayaamath qaayam hogi aur agar main apne rab ke paas waapas kiya gaya to bhi yaqinan mere liye us ke paas bhi behetri hai, yaqinan hum un kuffaar ko un ke amaal se qabardaar karenge aur unhe saqth azaab ka maza chakayenge
aur jab hum insaan par apna in’aan karte hai to wo mu pher leta hai aur kinaara kash ho jaata hai aur jab ose musibath padti hai to badi lambi chaudi duaaye karne waala ban jaata hai
aap keh dijiye ke bhala ye to bataao ke agar ye Qur’aan Allah ki taraf se ayaa hoa ho, phir tum ne ose na maana, bas us se bad kar behka hoa kaun hoga jo muqaalifath mein (haq se) door chala jaaye
an-qareeb hum unhe apni nishaaniyaa afaaq-e-aalam2mein bhi dikhaayenge aur khud un ki apni zaath mein bhi, yahaa tak ke un par khol jaaye ke haq yahi hai, kya aap ke rab ka har cheez se waaqif wa agaah hona kaafi nahi