aur raath din ke badalne mein aur jo kuch rozi Allah ta’ala asmaan se naazil farma kar zameen ko us ki mauth ke baadh zinda kar deta hai (us mein) aur hawaao ke badalne mein bhi un logo ke liye jo aql rakhte hai nishaaniyaa hai
jo aayate Allah ki apne saamne padhi jaati hoyi sune phir bhi ghuroor karta hoa is tarah ada rahe hai ke goya suni hee nahi, to aise logo ko dardnaak azaab ki qabar (pahoncha) di jiye
un ke piche dozakh hai, jo kuch unhone haasil kiya tha, wo unhe kuch bhi nafa na dega aur na wo (kuch kaam ayenge) jin ko unhone Allah ke siva kaar saaz bana rakha tha, un ke liye to bahuth bada azaab hai
Allah hee hai jis ne tumhaare liye darya ko taabe bana diya ta ke us ke hukm se us mein kashtiya chale aur tum us ka fazl talaash karo aur ta ke tum shukr baja laao
aur asmaan wa zameen ki har har cheez ko bhi us ne apni taraf se tumhaare liye taabe kar diya hai, jo ghaur kare yaqinan wo us mein bahuth si nishaaniya paa lenge
aap imaan waalo se keh de ke wo un logo se dar guzar kare jo Allah ke dino ki tawaqqo nahi rakhte ta ke Allah ta’ala ek khaum ko un ke kartuto ka badhla de
yaqinan hum ne bani israel ko kitaab, hukumath aur nabuwath di thi aur hum ne unhe paakiza (aur nafees) roziya di thi aur unhe dunya waalo par fazilath di thi
aur hum ne unhe deen ki saaf saaf dalile di, phir unhone apne paas ilm ke pahonch jaane ke baadh aapas ki zidh bahes se hee eqtelaaf barpa kar daala, ye jin jin chizo mein eqtelaaf kar rahe hai, un ka faysla qayaamath waale din un ke darmiyaan (khud) tera rab karega
(yaad rakhe) ke ye log hargiz Allah ke saamne aap ke kuch kaam nahi aa sakte (samajh le ke) zaalim log aapas mein ek dosre ke rafeeq hote hai aur parhezgaaro ka kaar saaz Allah ta’ala hai
kya un logo ka jo bure kaam karte hai, ye gumaan hai ke hum unhe un logo jaisa kar denge jo imaan laaye aur nek kaam kiye ke un ka marna jeena yeksa ho jaaye, bura hai wo faysla jo wo kar rahe hai
aur asmaano aur zameen ko Allah ne bahuth hee adl ke saath payda kiya hai, aur ta ke har shaqs ko us ke kiye hoye kaam ka pura badhla diya jaaye aur un par zulm na kiya jayega
kya aap ne ose bhi dekha? jis ne apni qaahish nafs ko apna maboodh bana rakha hai aur ba-wajoodh samajh boojh ke Allah ne ose gumraah kar diya hai aur us ke kaan aur dil par muhar laga di hai aur us ki aankh par bhi pardah daal diya hai, ab aise shaqs ko Allah ke baadh kaun hidaayath de sakta hai
kya ab bhi tum nasihath nahi pakadte, unhone kaha ke hamaari zindagi to sirf dunya ki zindagi hee hai, hum marte hai aur jeete hai aur hamein sirf zamaana hee maar daalta hai, (dar asl) unhe is ka kuch ilm hee nahi, ye to sirf qiyaas aur atkal se hee kaam le rahe hai
aur jab un ke saamne hamaari waazeh aur roushan aayato ki tilaawath ki jaati hai to un ke paas us khaul ke siva koyi daleel nahi hoti, ke agar tum sacche ho, to hamaare baap dadaao ko laao
aap keh dijiye Allah hee tumhe zinda karta hai phir tumhe maar daalta hai, phir tumhe qayaamath ke din jama karega, jis mein koyi shak nahi lekin aksar log nahi samajhte
aur aap dekhenge ke har ummath ghutno ke bal giri hoyi hogi, har gruh apne naame amaal ki taraf bulaaya jayega, aaj tumhe apne kiye ka badhla diya jayega
lekin jin logo ne kufr kiya, to (main un se kahonga) kya meri aayate tumhe sunaayi nahi jaati thi? phir bhi tum takabbur karte rahe aur tum thein hee gunehgaar log
aur jab kabi kaha jaata ke Allah ka waada yaqinan saccha hai aur qayaamath ke aane mein koyi shak nahi to tum jawaab dete thein ke hum nahi jaante qayaamath kya cheez hai? hamein kuch yo hee sa qayaal ho jaata hai, lekin hamein yaqeen nahi
aur keh diya gaya ke aaj hum tumhe bhula denge jaise ke tum ne apne is din se milne ko bhula diya tha, tumhaara thikaana jahannam hai aur tumhaara madadgaar koyi nahi
ye is liye hai ke tum ne Allah ta’ala ki aayato ki hasi udaayi thi aur dunya ki zindagi ne tumhe dhoke mein daal rakha tha, pas aaj ke din na to ye (dozakh) se nikaale jayenge aur na un se uzr wa maazirath qubool kiya jayega