Back to Languages

Urdu - Chapter 45 - Al-Jathiyah

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Jathiyah 45:1

Verse 2 — Surah Al-Jathiyah 45:2

ye kitaab Allah ghaalib hikmath waale ki taraf se naazil ki hoyi hai

Verse 3 — Surah Al-Jathiyah 45:3

asmaano aur zameen mein imaandaaro ke liye yaqinan bahuth si nishaaniya hai

Verse 4 — Surah Al-Jathiyah 45:4

aur khud tumhaari paydayish mein aur un jaanwaro ki paydayish mein jinhe wo phailaata hai, yaqeen rakhne waali khaum ke liye bahuth si nishaaniya hai

Verse 5 — Surah Al-Jathiyah 45:5

aur raath din ke badalne mein aur jo kuch rozi Allah ta’ala asmaan se naazil farma kar zameen ko us ki mauth ke baadh zinda kar deta hai (us mein) aur hawaao ke badalne mein bhi un logo ke liye jo aql rakhte hai nishaaniyaa hai

Verse 6 — Surah Al-Jathiyah 45:6

ye hai Allah ki aayate jinhe hum aap ko raasti se suna rahe hai, pas Allah ta’ala aur us ki aayato ke baadh ye kis baath par imaan layenge

Verse 7 — Surah Al-Jathiyah 45:7

wail aur afsoos hai har ek jhote gunehgar par

Verse 8 — Surah Al-Jathiyah 45:8

jo aayate Allah ki apne saamne padhi jaati hoyi sune phir bhi ghuroor karta hoa is tarah ada rahe hai ke goya suni hee nahi, to aise logo ko dardnaak azaab ki qabar (pahoncha) di jiye

Verse 9 — Surah Al-Jathiyah 45:9

wo jab hamaari aayato mein se kisi aayath ki qabar pa leta hai to us ki hasi udaata hai, yahi log hai jin ke liye ruswaayi ki maar hai

Verse 10 — Surah Al-Jathiyah 45:10

un ke piche dozakh hai, jo kuch unhone haasil kiya tha, wo unhe kuch bhi nafa na dega aur na wo (kuch kaam ayenge) jin ko unhone Allah ke siva kaar saaz bana rakha tha, un ke liye to bahuth bada azaab hai

Verse 11 — Surah Al-Jathiyah 45:11

ye (sar ta pa) hidaayath hai, aur jin logo ne apne rab ki aayato ko na maana un ke liye bahuth saqth dardnaak azaab hai

Verse 12 — Surah Al-Jathiyah 45:12

Allah hee hai jis ne tumhaare liye darya ko taabe bana diya ta ke us ke hukm se us mein kashtiya chale aur tum us ka fazl talaash karo aur ta ke tum shukr baja laao

Verse 13 — Surah Al-Jathiyah 45:13

aur asmaan wa zameen ki har har cheez ko bhi us ne apni taraf se tumhaare liye taabe kar diya hai, jo ghaur kare yaqinan wo us mein bahuth si nishaaniya paa lenge

Verse 14 — Surah Al-Jathiyah 45:14

aap imaan waalo se keh de ke wo un logo se dar guzar kare jo Allah ke dino ki tawaqqo nahi rakhte ta ke Allah ta’ala ek khaum ko un ke kartuto ka badhla de

Verse 15 — Surah Al-Jathiyah 45:15

jo neki karega wo apne zaathi bhale ke liye aur jo buraayi karega us ka wabaal osi par hai, phir tum sab apne parvardigaar ki taraf lautaaye jaoge

Verse 16 — Surah Al-Jathiyah 45:16

yaqinan hum ne bani israel ko kitaab, hukumath aur nabuwath di thi aur hum ne unhe paakiza (aur nafees) roziya di thi aur unhe dunya waalo par fazilath di thi

Verse 17 — Surah Al-Jathiyah 45:17

aur hum ne unhe deen ki saaf saaf dalile di, phir unhone apne paas ilm ke pahonch jaane ke baadh aapas ki zidh bahes se hee eqtelaaf barpa kar daala, ye jin jin chizo mein eqtelaaf kar rahe hai, un ka faysla qayaamath waale din un ke darmiyaan (khud) tera rab karega

Verse 18 — Surah Al-Jathiyah 45:18

phir hum ne aap ko deen ki (zaaher) raah par qaayam kar diya, so aap osi par lage rahe aur na daano ki qaahisho ki pairvi mein na pade

Verse 19 — Surah Al-Jathiyah 45:19

(yaad rakhe) ke ye log hargiz Allah ke saamne aap ke kuch kaam nahi aa sakte (samajh le ke) zaalim log aapas mein ek dosre ke rafeeq hote hai aur parhezgaaro ka kaar saaz Allah ta’ala hai

Verse 20 — Surah Al-Jathiyah 45:20

ye (Qur’aan) logo ke liye ba-seerath ki baatein aur hidaayath wa rahmath hai, us khaum ke liye jo yaqeen rakhti hai

Verse 21 — Surah Al-Jathiyah 45:21

kya un logo ka jo bure kaam karte hai, ye gumaan hai ke hum unhe un logo jaisa kar denge jo imaan laaye aur nek kaam kiye ke un ka marna jeena yeksa ho jaaye, bura hai wo faysla jo wo kar rahe hai

Verse 22 — Surah Al-Jathiyah 45:22

aur asmaano aur zameen ko Allah ne bahuth hee adl ke saath payda kiya hai, aur ta ke har shaqs ko us ke kiye hoye kaam ka pura badhla diya jaaye aur un par zulm na kiya jayega

Verse 23 — Surah Al-Jathiyah 45:23

kya aap ne ose bhi dekha? jis ne apni qaahish nafs ko apna maboodh bana rakha hai aur ba-wajoodh samajh boojh ke Allah ne ose gumraah kar diya hai aur us ke kaan aur dil par muhar laga di hai aur us ki aankh par bhi pardah daal diya hai, ab aise shaqs ko Allah ke baadh kaun hidaayath de sakta hai

Verse 24 — Surah Al-Jathiyah 45:24

kya ab bhi tum nasihath nahi pakadte, unhone kaha ke hamaari zindagi to sirf dunya ki zindagi hee hai, hum marte hai aur jeete hai aur hamein sirf zamaana hee maar daalta hai, (dar asl) unhe is ka kuch ilm hee nahi, ye to sirf qiyaas aur atkal se hee kaam le rahe hai

Verse 25 — Surah Al-Jathiyah 45:25

aur jab un ke saamne hamaari waazeh aur roushan aayato ki tilaawath ki jaati hai to un ke paas us khaul ke siva koyi daleel nahi hoti, ke agar tum sacche ho, to hamaare baap dadaao ko laao

Verse 26 — Surah Al-Jathiyah 45:26

aap keh dijiye Allah hee tumhe zinda karta hai phir tumhe maar daalta hai, phir tumhe qayaamath ke din jama karega, jis mein koyi shak nahi lekin aksar log nahi samajhte

Verse 27 — Surah Al-Jathiyah 45:27

aur asmaano aur zameen ki badshaahi Allah hee ki hai aur jis din qayaamath qaayam hogi us din ahle baatil bade nuqsaan mein padenge

Verse 28 — Surah Al-Jathiyah 45:28

aur aap dekhenge ke har ummath ghutno ke bal giri hoyi hogi, har gruh apne naame amaal ki taraf bulaaya jayega, aaj tumhe apne kiye ka badhla diya jayega

Verse 29 — Surah Al-Jathiyah 45:29

ye hai hamaari kitaab jo tumhaare baare mein sach sach bol rahi hai, hum tumhaare amaal likh waate jaate thein

Verse 30 — Surah Al-Jathiyah 45:30

pas lekin jo log imaan laaye aur unhone nek kaam kiye to un ko un ka rab apni rehmath ta-le, le lega, yahi sarih kamyaab hai

Verse 31 — Surah Al-Jathiyah 45:31

lekin jin logo ne kufr kiya, to (main un se kahonga) kya meri aayate tumhe sunaayi nahi jaati thi? phir bhi tum takabbur karte rahe aur tum thein hee gunehgaar log

Verse 32 — Surah Al-Jathiyah 45:32

aur jab kabi kaha jaata ke Allah ka waada yaqinan saccha hai aur qayaamath ke aane mein koyi shak nahi to tum jawaab dete thein ke hum nahi jaante qayaamath kya cheez hai? hamein kuch yo hee sa qayaal ho jaata hai, lekin hamein yaqeen nahi

Verse 33 — Surah Al-Jathiyah 45:33

aur un par apne amaal ki buraiya khul gayi aur jis ka wo mazaaq uda rahe thein us ne unhe gher liya

Verse 34 — Surah Al-Jathiyah 45:34

aur keh diya gaya ke aaj hum tumhe bhula denge jaise ke tum ne apne is din se milne ko bhula diya tha, tumhaara thikaana jahannam hai aur tumhaara madadgaar koyi nahi

Verse 35 — Surah Al-Jathiyah 45:35

ye is liye hai ke tum ne Allah ta’ala ki aayato ki hasi udaayi thi aur dunya ki zindagi ne tumhe dhoke mein daal rakha tha, pas aaj ke din na to ye (dozakh) se nikaale jayenge aur na un se uzr wa maazirath qubool kiya jayega

Verse 36 — Surah Al-Jathiyah 45:36

pas Allah ki taareef hai jo asmaano aur zameen aur tamaam jahaan ka paalanhaar hai

Verse 37 — Surah Al-Jathiyah 45:37

tamaam (buzrugi aur) badaayi asmaano aur zameen mein osi ki hai aur wahi ghaalib aur hikmath waala hai