hum ne asmaano aur zameen aur un duno ke darmiyaan ki tamaam chizo ko behetreen tadhbeer ke saath hee ek muddate mu’ayyan ke liye payda kiya hai aur kaafir log jis cheez se daraaye jaate hai mu mud lete hai
aap keh dijiye, bhala dekho to jinhe tum Allah ke siva pukaarte ho, mujhe bhi to dikhaao ke unhone zameen ka kaun sa tukda banaya hai ya asmaano mein un ka kaun sa hissa hai? agar tum sacche ho to is se pehle hee ki koyi kitaab ya koyi ilm hee jo naqal kiya jaata ho mere paas laao
aur us se bad kar gumraah aur kaun hoga? jo Allah ke siva aiso ko pukaarta hai jo qayaamath tak us ki dua qubool na kar sa ke, balke un ke pukaarne se mehez be-qabar ho
aur unhe jab hamaari waazeh aayate pad kar sunaayi jaati hai to munkir log sacchi baath ko, jab ke un ke paas aa chuki, keh dete hai ke ye to sarih jaadu hai
kya wo kehte hai ke ise to us ne khud ghad liya hai, aap keh dijiye! ke agar main hee ise bana laya hoon, to tum mere liye Allah ki taraf se kisi cheez ka eqtiyaar nahi rakhte, tum is (Qur’aan) ke baare mein jo kuch keh sun rahe ho, ose Allah qooob jaanta hai, mere aur tumhaare darmiyaan gawaahi ke liye wahi kaafi hai aur wo baqshne waala meherbaan hai
aap keh dijiye! ke main koyi bilkul anookha payghambar to nahi, na mujhe ye maloom hai ke mere saath aur tumhaare saath kya kiya jayega, main to sirf osi ki pairvi karta hoon jo meri taraf wahi bheji jaati hai aur mein to sirf alal elaan agaah kar dene waala hoon
aap keh dijiye! agar ye (Qur’aan) Allah hee ki taraf se ho aur tum ne ose na maana ho, aur bani israel ka ek gawaah is jaisi ki gawaahi bhi de chuka ho aur wo imaan bhi la chuka ho aur tum ne sarkashi ki ho, to beshak Allah ta’ala zaalimo ko raah nahi dikhaata
aur kaafiro ne imaan daaro ki nisbath kaha ke agar ye (deen) behtar hota to ye log us ki taraf hum se sabqath karne na paate aur chu ke unhone is Qur’aan se hiidaayath nahi paayi, pas ye keh denge ke khadeemi jhoot hai
aur us se pehle Mosa(alaihissalaam) ki kitaab peshwa aur rehmath thi aur ye kitaab hai tasdeeq karne waali arabi zubaan mein, ta ke zaalimo ko daraaye aur neko kaaro ko bashaarath ho
aur hum ne insaan ko apne maa baap ke saath husn sulook karne ka hukm diya hai, us ki maa ne ose takleef jhel kar pet mein rakha aur takleef bardaaasht kar ke ose jana, us ke hamal ka aur us ke doodh chudaane ka zamaana tees mahine ka hai, yahaa tak ke jab wo apni puqtagi aur chaalees saal ki umr ko pahoncha to kehne laga aye mere parvardigaar! mujhe taufeeq de ke main teri us nemath ka shukr baja laao jo tu ne mujh par aur mere maa baap par in’aan ki hai aur ye ke main aise nek amal karo jin se tu khush ho jaaye aur tu meri aulaad bhi saaleh bana, main teri taraf rujo karta hoon aur main musalmaano mein se hoon
yahi wo log hai jin ke nek amaal to hum qubool farma lete hai aur jin ke badh-amaal se dar guzar kar lete hai (ye) jannati logo mein hai, us sacche waade ke mutaabiq jo un se kiya jaata tha
aur jis ne apne maa baap se kaha ke tum se main tang aa gaya, tum mujh se yahi kehte rahoge ke main marne ke baadh phir zinda kiya jaonga, mujh se pehle bhi ummate guzar chuki hai, wo duno janaab baari mein faryaade karte hai aur kehte hai tujhe qaraabi ho, tu imaan le aa, beshak Allah ka waada haq hai, wo jawaab deta hai ke ye to sirf aglo ke afsaane hai
wo log hai jin par (Allah ke azaab ka) waada saadeq aa gaya, in jinnaath aur insaano ke gruho ke saath jo un se pehle guzar chuke hai, yaqinan nuqsaan paane waale thein
aur jis din kaafir jahannam ke sire par laaye jayenge (kaha jayega) tum ne apni nekiya dunya ki zindagi mein hee barbaadh kardi aur un se fayde utha chuke, pas aaj tumhe zillath ke azaab ki saza di jayegi us baayes ke tum zameen mein na haq takabbur kiya karte thein aur us baayes hee ke tum hukm aduli kiya karte thein
aur aadh ke bhai ko yaad karo jab ke us ne apni khaum ko ahqaaf1 mein daraaya aur yaqinan us se pehle bhi daraane waale guzar chuke hai aur us ke baadh bhi ye ke tum sivaaye Allah ta’ala ke aur ki ibaadath na karo, beshak main tum par bade din ke azaab se khauf khaata hoon
khaum ne jawaab diya kya aap hamaare paas is liye aaye hai ke hamein apne mabudho (ki parastish) se baaz rakhe? pas agar aap saccche hai to jis azaab ka aap waada karte hai ose hum par la daale
hazrath Hoodh(alaihissalaam) ne) kaha (us ka) ilm to Allah hee ke paas hai, main to jo payghaam de kar bheja gaya tha, wo tumhe pahoncha raha hoon, lekin main dekhta hoon ke tum log na daani kar rahe ho
phir jab unhone azaab ko ba surate baadal dekha apni waadiyo ki taraf aate hoye, to kehne lage ye abr hum par barasne waala hai, (nahi) balke dar asl ye abr wo (azaab) hai jis ki tum jaldi kar rahe thein, hawa hai jis mein dardnaak azaab hai
jo apne rab ke hukm se har cheez ko halaak kar degi, pas wo aise ho gaye ke bajuz un ke makanaath ke aur kuch dikhaayi na deta tha, gunehgaaro ke gruh ko hum yo hee saza dete hai
aur bil-yaqeen hum ne (khaume aadh) ko wo maqdoor diye thein jo tumhe to diye bhi nahi aur hum ne unhe kaan aankhe aur dil bhi de rakhe thein, lekin un ke kaano aur aankho aur dilo ne unhe kuch bhi nafa na pahonchaaya, jab ke wo Allah ta’ala ki aayato ka inkaar karne lage aur jis cheez ka wo mazaaq udaaya karte thein, wahi un par ulat padi
pas qurbe ilaahi haasil karne ke liye unhone Allah ke siva jin jin ko apna maboodh bana rakha tha, unhone un ki madad kyo na ki? balke wo to un se kho gaye (dar asl) ye un ka mahez jhoot aur (bilkul) buhtaan tha
aur yaad karo! jab ke hum ne jino ki ek jamaath ko teri taraf mutawajje kiya ke wo Qur’aan sune, pas jab (Nabi(sallallahu alaihiwasallam) ke) paas pahonch gaye to (ek dosre se) kehne lage qamoosh ho jaao, phir jab pad kar qatam ho gaya to apni khaum ko qabardaar karne ke liye waapas laut gaye
kehne lage aye hamaari khaum! hum ne yaqinan wo kitaab suni hai jo Mosa(alaihissalaam) ke baadh naazil ki gayi hai jo apne se pehli kitaabo ki tasdeeq karne waali hai, jo sacche deen ki aur raahe raasth ki taraf rehnumaayi karti hai
aur jo shaqs Allah ke bulaane waale ka kaha na maanega, pas wo zameen mein kahi (bhaag kar Allah ko) aajiz nahi kar sakta na Allah ke siva aur koyi us ke madadgaar honge, ye log kholi gumraahi mein hai
kya wo nahi dekhte ke jis Allah ne asmaano aur zameen ko paida kiya aur un ke paida karne se wo na thaka, wo yaqinan murdo ko zinda karne par qaadir hai? kyo na ho? wo yaqinan har cheez par qaadir hai
wo log jinhone kufr kiya, jis din jahannam ke saamne laaye jayenge (aur un se kaha jayega ke) kya ye haq nahi hai? to jawaab denge ke haan qasam hai hamaare rab ki (haq hai) (Allah) farmaayega ab apne kufr ke badhle azaab ka maza chako
pas (aye paighambar!) tum aisa sabr karo jaisa sabr aali himmath rasulo ne kiya aur un ke liye (azaab talab karne mein) jaldi na karo, ye jis din us azaab ko dekh lenge jis ka waada diye jaate hai to (ye maloom hone lagega ke) din ki ek ghadi hee (dunya mein) tehre thein, ye hai paighaam pahoncha dena, pas badh kaaro ke siva koyi halaak na kiya jayega