aur jo log imaan laaye aur acche kaam kiye aur us par bhi imaan laaye jo Muhammad(sallallahu alaihi wasallam) par utaari gayi hai aur darasl un ke rab ki taraf se saccha (deen) bhi wahi hai, Allah ne un ke gunaah door kar diye aur un ke haal ki islaah kardi
ye is liye ke kaafiro ne baatil ki pairvi ki aur momino ne us deene haq ki itteba ki jo un ke Allah ki taraf se hai, Allah ta’ala logo ko un ke ahwaal isi tarah batata hai
to jab kaafiro se tumhaari mudh bhed ho to gardano par waar maaro, jab un ko acchi tarah kuchal daalo to, ab qoob mazbooth khaidh wa bandh se giraftaar karo (phir eqtiyaar hai) ke qaah ehsaan rakh kar chohd do ya fidya le kar, ta waqt ye ke ladaayi apne hatyaar rakh de, yahi hukm hai, aur agar Allah chaata to, (khud) hee in se badhla le leta, lekin (us ka mansha ye hai) ke tum mein se ek ka imtehaan dosre ke zariye se le le, jo log Allah ki raah mein shaheed kar diye jaate hai, Allah un ke amaal har giz zaaya na karega
kya un logo ne zameen mein chal phir kar us ka muayina nahi kiya, ke un se pehle ke logo ka natija kya hoa? Allah ne unhe halaak kar diya aur kaafiro ke liye isi tarah ki sazaaye hai
jo log imaan laaye aur unhone nek amaal kiye, unhe Allah ta’ala yaqinan aise baagho mein daakhil karega jin ke niche nehre jaari hai, aur jo log kaafir hoye, wo (dunya hee ka) fayda utha rahe hai aur misl chau paayo ke kha rahe hai, un ka (asal) tikhaana jahannam hai
hum ne kitni bastiyo ko jo taaqath mein teri us basti se zyaada thi, jis se tujhe nikaala, hum ne unhe halaak kar diya hai, jin ka madad gaar koyi na utha
kya pas wo shaqs jo apne parvardigaar ki taraf se daleel par ho, us shaqs jaisa ho sakta hai? jis ke liye us ka bura kaam muzayyan kar diya gaya ho aur wo apni nafsaani qaahesho ka pairau ho
us jannath ki sifath jis ka parhezgaaro se waada kiya gaya hai, ye hai ke us mein paani ki nehre hai jo badhbo karne waala nahi aur doodh ki nehre hai jin ka maza nahi badhla aur sharaab ki nehre hai jin mein peene waalo ke liye badi lazzath hai aur nehre hai shahedh ki jo bahuth saaf hai aur un ke liye wahaa har qism ke mewe hai aur un ke rab ki taraf se maghfirath hai, kya ye misl is ke hai jo hamesha aag mein rehne waala hai? aur jinhe garam khaulta hoa paani pilaaya jayega jo un ki aantho ko tukde tukde kar dega
aur un mein baaz (aise bhi hai ke) teri taraf kaan lagaate hai, yahaa tak ke jab tere paas se jaate hai, to ahle ilm se (ba wajeh kondh zehni wa la-parvaahi ke) puchte hai ke us ne abhi kya kaha tha? yahi log hai jin ke dilo par Allah ne muhar kardi hai aur wo apni qaahisho ki pairvi karte hai
to kya ye qayaamath ka intezaar kar rahe hai, ke wo un ke paas achaanak aa jaaye, yaqinan us ki alaamate to aa chuki hai, phir jab ke un ke paas qayaamath aa jaaye, unhe nasihath karna kahaa hoga
so (aye Nabi! (sallallahu alaihi wasallam) aap yaqeen karle ke Allah ke siva koyi maboodh nahi aur apne gunaaho ki baqshish maanga kare aur momin mardo aur momin aurto ke haq mein bhi, Allah tum logo ki aamad wa raft ki aur rehne sehne ki jageh ko qoob jaanta hai
aur jo log imaan laaye wo kehte hai, koyi surath kyo naazil nahi ki gayi? phir jab koyi saaf matlab waali surath naazil ki jaati hai aur us mein qitaal ka zikr kiya jaata hai, to aap dekhte hai ke jin logo ke dilo mein bimaari hai, wo aap ki taraf is tarah dekhte hai, jaise us shaqs ki nazar hoti hai jis par mauth ki be hooshi taari ho, pas bahuth behtar tha un ke liye
jo log apni peet ke bal ulte phir gaye, us ke baadh ke un ke liye hidaayath waazeh ho chuki, yaqinan shaytaan ne un ke liye (un ke fel ko) muzayyan kar diya hai aur unhe dheel de rakhi hai
ye is liye ke unhone un logo se jinhone Allah ki naazil karda wahi ko bura samjha, ye kaha ke hum bhi anqareeb baaz kaamo mein tumhaara kaha maanenge, aur Allah un ki poshida batein qoob jaanta hai
ye is binaah par ke ye wo raah chale jis se unhone Allah ko naraaz kar diya aur unhone us ki raza mandhi ko bura jaana, to Allah ne un ke amaal akaarath kar diye
aur agar hum chahte, to un sab ko tujhe dikha dete, pas tu unhe un ke chehre se hee pehchaan leta, aur yaqinan tu unhe un ki baath ke dhap se pehchaan lega, tumhaare sab kaam Allah ko maloom hai
yaqinan hum tumhaara imtehaan karenge ta ke tum mein se jihaad karne waalo aur sabr karne waalo ko zaaher karde aur hum tumhaari haalato ki bhi jaanch karle
yaqinan jin logo ne kufr kiya aur Allah ki raah se logo ko roka, rasool ki muqaalifath ki, us ke baadh ke un ke liye hidaayath zaaher ho chuki, ye hargiz hargiz Allah ka kuch nuqsaan na karenge, an-qareeb un ke amaal wo ghaarath kar dega
pas tum bo-dhe ban kar sulaah ki darqaast par na utar aao, jab ke tum hee bulandh wa ghaalib rahoge aur Allah tumhaare saath hai, na mumkin hai ke wo tumhaare amaal zaaya karde
waaqeyi zindagaaniye dunya to sirf khel koodh hai aur agar tum imaan le aaoge aur taqwa eqtiyaar karoge to, Allah tumhe tumhaare ajr dega aur wo tum se tumhaare maal nahi maangta
qabar daar! tum wo log ho, ke Allah ki raah mein qarch karne ke liye bulaaye jaate ho, to tum mein se baaz baqili karne lagte hai aur jo buql karta hai, wo to dar asl apni jaan se baqili karta hai, Allah ta’ala ghani hai aur tum faqeer (aur muhtaaj) ho, aur agar tum ru gardaa ho jaao to wo tumhaare badhle tumhaare siva aur logo ko layega jo phir tum jaise na honge