Back to Languages

Urdu - Chapter 47 - Muhammad

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Muhammad 47:1

jin logo ne kufr kiya aur Allah ki raah se roka, Allah ne un ke amaal barbaadh kar diye

Verse 2 — Surah Muhammad 47:2

aur jo log imaan laaye aur acche kaam kiye aur us par bhi imaan laaye jo Muhammad(sallallahu alaihi wasallam) par utaari gayi hai aur darasl un ke rab ki taraf se saccha (deen) bhi wahi hai, Allah ne un ke gunaah door kar diye aur un ke haal ki islaah kardi

Verse 3 — Surah Muhammad 47:3

ye is liye ke kaafiro ne baatil ki pairvi ki aur momino ne us deene haq ki itteba ki jo un ke Allah ki taraf se hai, Allah ta’ala logo ko un ke ahwaal isi tarah batata hai

Verse 4 — Surah Muhammad 47:4

to jab kaafiro se tumhaari mudh bhed ho to gardano par waar maaro, jab un ko acchi tarah kuchal daalo to, ab qoob mazbooth khaidh wa bandh se giraftaar karo (phir eqtiyaar hai) ke qaah ehsaan rakh kar chohd do ya fidya le kar, ta waqt ye ke ladaayi apne hatyaar rakh de, yahi hukm hai, aur agar Allah chaata to, (khud) hee in se badhla le leta, lekin (us ka mansha ye hai) ke tum mein se ek ka imtehaan dosre ke zariye se le le, jo log Allah ki raah mein shaheed kar diye jaate hai, Allah un ke amaal har giz zaaya na karega

Verse 5 — Surah Muhammad 47:5

unhe raah dikhayega aur un ke halaath ki islaah kar dega

Verse 6 — Surah Muhammad 47:6

aur unhe us jannath mein le jayega jis se unhe shanasa kar diya hai

Verse 7 — Surah Muhammad 47:7

aye imaan waalo! agar tum Allah (ke deen) ki madad karoge to wo tumhaari madad karega aur tumhe saabith khadam rakhega

Verse 8 — Surah Muhammad 47:8

aur jo log kaafir hoye unhe halaaki ho, Allah un ke amaal ghaarath kar dega

Verse 9 — Surah Muhammad 47:9

ye is liye ke wo Allah ki naazil karda cheez se na khush hoye, pas Allah ta’ala ne (bhi) un ke amaal zaaya kar diye

Verse 10 — Surah Muhammad 47:10

kya un logo ne zameen mein chal phir kar us ka muayina nahi kiya, ke un se pehle ke logo ka natija kya hoa? Allah ne unhe halaak kar diya aur kaafiro ke liye isi tarah ki sazaaye hai

Verse 11 — Surah Muhammad 47:11

wo is liye ke imaan waalo ka kaar-saaz khud Allah ta’ala hai aur is liye ke kaafiro ka koyi kaar-saaz nahi

Verse 12 — Surah Muhammad 47:12

jo log imaan laaye aur unhone nek amaal kiye, unhe Allah ta’ala yaqinan aise baagho mein daakhil karega jin ke niche nehre jaari hai, aur jo log kaafir hoye, wo (dunya hee ka) fayda utha rahe hai aur misl chau paayo ke kha rahe hai, un ka (asal) tikhaana jahannam hai

Verse 13 — Surah Muhammad 47:13

hum ne kitni bastiyo ko jo taaqath mein teri us basti se zyaada thi, jis se tujhe nikaala, hum ne unhe halaak kar diya hai, jin ka madad gaar koyi na utha

Verse 14 — Surah Muhammad 47:14

kya pas wo shaqs jo apne parvardigaar ki taraf se daleel par ho, us shaqs jaisa ho sakta hai? jis ke liye us ka bura kaam muzayyan kar diya gaya ho aur wo apni nafsaani qaahesho ka pairau ho

Verse 15 — Surah Muhammad 47:15

us jannath ki sifath jis ka parhezgaaro se waada kiya gaya hai, ye hai ke us mein paani ki nehre hai jo badhbo karne waala nahi aur doodh ki nehre hai jin ka maza nahi badhla aur sharaab ki nehre hai jin mein peene waalo ke liye badi lazzath hai aur nehre hai shahedh ki jo bahuth saaf hai aur un ke liye wahaa har qism ke mewe hai aur un ke rab ki taraf se maghfirath hai, kya ye misl is ke hai jo hamesha aag mein rehne waala hai? aur jinhe garam khaulta hoa paani pilaaya jayega jo un ki aantho ko tukde tukde kar dega

Verse 16 — Surah Muhammad 47:16

aur un mein baaz (aise bhi hai ke) teri taraf kaan lagaate hai, yahaa tak ke jab tere paas se jaate hai, to ahle ilm se (ba wajeh kondh zehni wa la-parvaahi ke) puchte hai ke us ne abhi kya kaha tha? yahi log hai jin ke dilo par Allah ne muhar kardi hai aur wo apni qaahisho ki pairvi karte hai

Verse 17 — Surah Muhammad 47:17

aur jo log hidaayath yaafta hai Allah ne unhe hidaayath mein aur bada diya hai aur unhe un ki parhezgaari ata farmaayi hai

Verse 18 — Surah Muhammad 47:18

to kya ye qayaamath ka intezaar kar rahe hai, ke wo un ke paas achaanak aa jaaye, yaqinan us ki alaamate to aa chuki hai, phir jab ke un ke paas qayaamath aa jaaye, unhe nasihath karna kahaa hoga

Verse 19 — Surah Muhammad 47:19

so (aye Nabi! (sallallahu alaihi wasallam) aap yaqeen karle ke Allah ke siva koyi maboodh nahi aur apne gunaaho ki baqshish maanga kare aur momin mardo aur momin aurto ke haq mein bhi, Allah tum logo ki aamad wa raft ki aur rehne sehne ki jageh ko qoob jaanta hai

Verse 20 — Surah Muhammad 47:20

aur jo log imaan laaye wo kehte hai, koyi surath kyo naazil nahi ki gayi? phir jab koyi saaf matlab waali surath naazil ki jaati hai aur us mein qitaal ka zikr kiya jaata hai, to aap dekhte hai ke jin logo ke dilo mein bimaari hai, wo aap ki taraf is tarah dekhte hai, jaise us shaqs ki nazar hoti hai jis par mauth ki be hooshi taari ho, pas bahuth behtar tha un ke liye

Verse 21 — Surah Muhammad 47:21

farmaan ka baja laana aur acchi baath ka kehna, phir jab kaam muqarrar ho jaaye to, agar Allah ke saath sacche rahe to un ke liye behetri hai

Verse 22 — Surah Muhammad 47:22

aur tumse ye bhi bayeedh nahi ke agar tum ko hukumath mil jaaye to tum zameen mein fisaadh barpa kardo, aur rishte naate tod daalo

Verse 23 — Surah Muhammad 47:23

ye wahi log hai jin par Allah ki phitkaar hai aur jin ki samaath aur aankho ki roushni cheen li hai

Verse 24 — Surah Muhammad 47:24

kya ye Qur’aan mein ghaur wa fikr nahi karte? ya un ke dilo par un ke taale lag gaye hai

Verse 25 — Surah Muhammad 47:25

jo log apni peet ke bal ulte phir gaye, us ke baadh ke un ke liye hidaayath waazeh ho chuki, yaqinan shaytaan ne un ke liye (un ke fel ko) muzayyan kar diya hai aur unhe dheel de rakhi hai

Verse 26 — Surah Muhammad 47:26

ye is liye ke unhone un logo se jinhone Allah ki naazil karda wahi ko bura samjha, ye kaha ke hum bhi anqareeb baaz kaamo mein tumhaara kaha maanenge, aur Allah un ki poshida batein qoob jaanta hai

Verse 27 — Surah Muhammad 47:27

pas un ki kaisi (durgath) hogi, jab ke farihte un ki ruh qabz karte hoye un ke chehro aur un ki surino par marenge

Verse 28 — Surah Muhammad 47:28

ye is binaah par ke ye wo raah chale jis se unhone Allah ko naraaz kar diya aur unhone us ki raza mandhi ko bura jaana, to Allah ne un ke amaal akaarath kar diye

Verse 29 — Surah Muhammad 47:29

kya un logo ne jin ke dilo mein bimaari hai, ye samajh rakha hai ke Allah un ke kino ko zaaher hee na karega

Verse 30 — Surah Muhammad 47:30

aur agar hum chahte, to un sab ko tujhe dikha dete, pas tu unhe un ke chehre se hee pehchaan leta, aur yaqinan tu unhe un ki baath ke dhap se pehchaan lega, tumhaare sab kaam Allah ko maloom hai

Verse 31 — Surah Muhammad 47:31

yaqinan hum tumhaara imtehaan karenge ta ke tum mein se jihaad karne waalo aur sabr karne waalo ko zaaher karde aur hum tumhaari haalato ki bhi jaanch karle

Verse 32 — Surah Muhammad 47:32

yaqinan jin logo ne kufr kiya aur Allah ki raah se logo ko roka, rasool ki muqaalifath ki, us ke baadh ke un ke liye hidaayath zaaher ho chuki, ye hargiz hargiz Allah ka kuch nuqsaan na karenge, an-qareeb un ke amaal wo ghaarath kar dega

Verse 33 — Surah Muhammad 47:33

aye imaan waalo Allah ki ita’ath karo aur rasool ka kaha maano aur apne amaal ko ghaarath na karo

Verse 34 — Surah Muhammad 47:34

jin logo ne kufr kiya aur Allah ki raah se auro ko roka, phir kufr ki haalath mein hee mar gaye (yaqeen karlo) ke Allah unhe hargiz na baqshega

Verse 35 — Surah Muhammad 47:35

pas tum bo-dhe ban kar sulaah ki darqaast par na utar aao, jab ke tum hee bulandh wa ghaalib rahoge aur Allah tumhaare saath hai, na mumkin hai ke wo tumhaare amaal zaaya karde

Verse 36 — Surah Muhammad 47:36

waaqeyi zindagaaniye dunya to sirf khel koodh hai aur agar tum imaan le aaoge aur taqwa eqtiyaar karoge to, Allah tumhe tumhaare ajr dega aur wo tum se tumhaare maal nahi maangta

Verse 37 — Surah Muhammad 47:37

agar wo tum se tumhaara maal maange aur zoor de kar maange to tum us se baqili karne lagoge aur wo tumhaare keene zaaher kar dega

Verse 38 — Surah Muhammad 47:38

qabar daar! tum wo log ho, ke Allah ki raah mein qarch karne ke liye bulaaye jaate ho, to tum mein se baaz baqili karne lagte hai aur jo buql karta hai, wo to dar asl apni jaan se baqili karta hai, Allah ta’ala ghani hai aur tum faqeer (aur muhtaaj) ho, aur agar tum ru gardaa ho jaao to wo tumhaare badhle tumhaare siva aur logo ko layega jo phir tum jaise na honge