Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 51 - Adh-Dhariyat
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Adh-Dhariyat 51:1
qasam hai bhikerne waaliyo ki uda kar
Verse 2 — Surah Adh-Dhariyat 51:2
phir uthaane waaliya bojh ko
Verse 3 — Surah Adh-Dhariyat 51:3
phir chalne waaliya narmi se
Verse 4 — Surah Adh-Dhariyat 51:4
phir kaam ko taqseem karne waaliya
Verse 5 — Surah Adh-Dhariyat 51:5
yaqeen maano ke tum se jo waade kiye jaate hai (sab) sacche hai
Verse 6 — Surah Adh-Dhariyat 51:6
aur beshak insaaf hone waala hai
Verse 7 — Surah Adh-Dhariyat 51:7
qasam hai raaho waale asmaan ki
Verse 8 — Surah Adh-Dhariyat 51:8
yaqinan tum muqtalif baath mein pade hoye ho
Verse 9 — Surah Adh-Dhariyat 51:9
us se wahi baaz rakha jaata hai jo pher diya gaya ho
Verse 10 — Surah Adh-Dhariyat 51:10
be’sanadh batein karne waale ghaarath kar diye gaye
Verse 11 — Surah Adh-Dhariyat 51:11
jo ghaflath mein hai aur bhole hoye hai
Verse 12 — Surah Adh-Dhariyat 51:12
pochte hai ke yaume jaza kab hoga
Verse 13 — Surah Adh-Dhariyat 51:13
haan ye wo din hai ke ye aag par tapaaye jayenge
Verse 14 — Surah Adh-Dhariyat 51:14
apni fitna pardaazi ka maza chako, yahi hai jis ki tum jaldi macha rahe thein
Verse 15 — Surah Adh-Dhariyat 51:15
beshak taqwa waale log bahishto aur chashmo mein honge
Verse 16 — Surah Adh-Dhariyat 51:16
un ke rab ne jo kuch unhe ata farmaya hai, ose le rahe honge, wo to us se pehle hee neko kaar thein
Verse 17 — Surah Adh-Dhariyat 51:17
wo raath ko bahuth kam soya karte thein
Verse 18 — Surah Adh-Dhariyat 51:18
aur waqte sahar esteghfaar kiya karte thein
Verse 19 — Surah Adh-Dhariyat 51:19
aur un ke maal mein maangne waalo ka aur sawaal se bachne waalo ka haq tha
Verse 20 — Surah Adh-Dhariyat 51:20
aur yaqeen waalo ke liye to zameen mein bahuth si nishaaniya hai
Verse 21 — Surah Adh-Dhariyat 51:21
aur khud tumhaari zaath mein bhi, to kya tum dekhte nahi ho
Verse 22 — Surah Adh-Dhariyat 51:22
aur tumhaari rozi aur jo tum se waada kiya jaata hai, sab asmaan mein hai
Verse 23 — Surah Adh-Dhariyat 51:23
asmaan wa zameen ke parvardigaar ki qasam! ke ye bilkul bar haq hai, aisa hee jaise ke tum batein karte ho
Verse 24 — Surah Adh-Dhariyat 51:24
kya tujhe Ibraheem(alaihissalaam) ke mauzzaz mehmaano ki qabar bhi pahonchi hai
Verse 25 — Surah Adh-Dhariyat 51:25
wo jab un ke haan aaye to salaam kiya, Ibraheem(alaihissalaam) ne jawaabe salaam diya (aur kaha ye to) ajnabi log hai
Verse 26 — Surah Adh-Dhariyat 51:26
phir (chup chaap jaldi jaldi) apne ghar waalo ki taraf gaye aur ek farba bachde (ka goshth) laaye
Verse 27 — Surah Adh-Dhariyat 51:27
aur ose un ke paas rakha aur kaha aap khaate kyo nahi
Verse 28 — Surah Adh-Dhariyat 51:28
phir to dil hee dil mein un se khauf zada ho gaye, unhone kaha aap khauf na ki jiye aur unhone us (hazrath Ibraheem(alaihissalaam) ko ek ilm waale ladke ki bashaarath di
Verse 29 — Surah Adh-Dhariyat 51:29
pas un ki biwi aage badi aur hayrath mein aa kar apne mu par haath maar kar kaha ke main to budhiya hoon aur saath hee baanjh
Verse 30 — Surah Adh-Dhariyat 51:30
unhone kaha haan tere parvardigaar ne isi tarah farmaaya hai, beshak wo hakeem aur aleem hai
Verse 31 — Surah Adh-Dhariyat 51:31
hazrath Ibraheem(alaihissalaam) ne kaha ke Allah ke bheje hoye (farishto) tumhaara kya maqsadh hai
Verse 32 — Surah Adh-Dhariyat 51:32
unhone jawaab diya ke hum gunehgaar khaum ki taraf bheje gaye hai
Verse 33 — Surah Adh-Dhariyat 51:33
ta ke hum un par mitthi ke kankar barsaaye
Verse 34 — Surah Adh-Dhariyat 51:34
jo tere rab ki taraf se nishaan zada hai, un hadh se guzar jaane waalo ke liye
Verse 35 — Surah Adh-Dhariyat 51:35
pas jitne imaan waale wahaa thein, hum ne unhe nikaal liya
Verse 36 — Surah Adh-Dhariyat 51:36
aur hum ne wahaa musalmaano ka sirf ek hee ghar paaya
Verse 37 — Surah Adh-Dhariyat 51:37
aur wahaa hum ne un ke liye jo dardnaak azaab ka dar rakhte hai ek (kaamil) alaamath chohdi
Verse 38 — Surah Adh-Dhariyat 51:38
Mosa(alaihissalaam) ke qisse mein (bhi hamaari taraf se tambi hai) ke hum ne ose feraun ki taraf kholi daleel de kar bheja
Verse 39 — Surah Adh-Dhariyat 51:39
pas us ne apne bal bothe par mu moda aur kehne laga ye jaadugar hai ya deewana hai
Verse 40 — Surah Adh-Dhariyat 51:40
bil aaqir hum ne ose aur us ke lashkaro ko apne azaab mein pakad kar darya mein daal diya, wo tha hee malaamath ke qaabil
Verse 41 — Surah Adh-Dhariyat 51:41
isi tarah aadiyo me bhi (hamaari taraf se tambi hai) jab ke hum ne un par khair wa barkath se khaali aandhi bheji
Verse 42 — Surah Adh-Dhariyat 51:42
wo jis jis cheez par girti thi, ose bosidha haddi ki tarah (chora chora) kar deti thi
Verse 43 — Surah Adh-Dhariyat 51:43
aur samoodh (ke qisse) mein bhi (ibrath) hai jab un se kaha gaya ke tum kuch dino tak fayeda utha lo
Verse 44 — Surah Adh-Dhariyat 51:44
lekin unhone apne rab ke hukm se sartaabi ki, jis par un ke dekhte dekhte (tez wa tundh) kadaake ne halaak kar diya
Verse 45 — Surah Adh-Dhariyat 51:45
pas na to wo khade ho sa ke aur na badhla le sa ke
Verse 46 — Surah Adh-Dhariyat 51:46
aur Nuh(alaihissalaam) ki khaum ka bhi is se pehle (yahi haal ho chuka tha), wo bhi bade na farmaan log thein
Verse 47 — Surah Adh-Dhariyat 51:47
asmaan ko hum ne (apne) haatho se banaya hai aur yaqinan hum kushaadgi karne waale hai
Verse 48 — Surah Adh-Dhariyat 51:48
aur zameen ko hum ne farsh bana diya hai, pas hum bahuth hee acche bichaane waale hai
Verse 49 — Surah Adh-Dhariyat 51:49
aur har cheez ko hum ne joda joda payda kiya hai, ta ke tum nasihath haasil karo
Verse 50 — Surah Adh-Dhariyat 51:50
pas tum Allah ki taraf daud bhaag (yaani rujo) karo, yaqinan main tumhe us ki taraf se saaf saaf tambi karne waala hoon
Verse 51 — Surah Adh-Dhariyat 51:51
aur Allah ke saath kisi aur ko maboodh na tehraao, beshak main tumhe us ki taraf se khula daraane waala hoon
Verse 52 — Surah Adh-Dhariyat 51:52
isi tarah jo log un se pehle guzre hai, un ke paas jo bhi rasool aya, unhone keh diya ke ya to ye jaadugar hai ya deewana hai
Verse 53 — Surah Adh-Dhariyat 51:53
kya ye is baath ki ek dosre ko wasiyath karte gaye hai
Verse 54 — Surah Adh-Dhariyat 51:54
(nahi) balke ye sab ke sab sarkash hai, to aap un se mu pher le,aap par koyi malaamath nahi
Verse 55 — Surah Adh-Dhariyat 51:55
aur nasihath karte rahe, yaqinan ye nasihath imaan waalo ko nafa degi
Verse 56 — Surah Adh-Dhariyat 51:56
main ne jinnaath aur insaano ko mahez isi liye payda kiya hai ke wo sirf meri ibaadath kare
Verse 57 — Surah Adh-Dhariyat 51:57
na main un se rozi chahta hoon, na meri ye chaahath hai ke ye mujhe khilaaye
Verse 58 — Surah Adh-Dhariyat 51:58
Allah ta’ala to khud hee sab ka rozi rasa, tawanaayi waala aur zoor aawar hai
Verse 59 — Surah Adh-Dhariyat 51:59
pas jin logo ne zulm kiya hai, unhe bhi un ke saathiyo ke hisse ke misl, hissa milega, lehaza wo mujh se jaldi talab na kare
Verse 60 — Surah Adh-Dhariyat 51:60
pas qaraabi hai munkiro ko un ke us din ki jis ka waada diye jaate hai