Back to Languages

Urdu - Chapter 63 - Al-Munafiqun

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Munafiqun 63:1

tere paas jab munaafiq aate hai to kehte hai ke hum us baath ke gawaah hai ke beshak aap Allah ke rasool hai aur Allah jaanta hai ke yaqinan aap us ke rasool hai aur Allah gawaahi deta hai ke ye munaafiq qat’an jhute hai

Verse 2 — Surah Al-Munafiqun 63:2

unhone apni qasmo ko dhaal bana rakha hai, pas Allah ki raah se ruk gaye, beshak bura hai wo kaam jo ye kar rahe hai

Verse 3 — Surah Al-Munafiqun 63:3

ye us sabab se hai ke ye imaan la kar phir kaafir ho gaye, pas un ke dilo par muhar kardi gayi, ab ye nahi samajhte

Verse 4 — Surah Al-Munafiqun 63:4

jab aap unhe dekh le to un ke jism aap ko khush numa maloom ho, ye jab baatein karne lage to aap un ki baatho par apna kaan lagaaye, goya ke ye lakdiya hai, diwaar ke sahaare se lagaayi hoyi, har (saqth) awaaz ko apne qilaaf samajhte hai, yahi haqiqi dushman hai, in se bacho, Allah inhe ghaarath kare, kahaa se phire jaate hai

Verse 5 — Surah Al-Munafiqun 63:5

aur jab un se kaha jaata hai ke aao tumhaare liye Allah ke rasool isteghfaar kare to apne sar matkaate hai aur aap dekhenge ke wo takabbur karte hoye ruk jaate hai

Verse 6 — Surah Al-Munafiqun 63:6

un ke haq mein aap ka isteghfaar karna aur na karna duno barabar hai, Allah ta’ala unhe har giz na baqshega, beshak Allah ta’ala (aise) na farmaan logo ko hidaayath nahi deta

Verse 7 — Surah Al-Munafiqun 63:7

yahi wo hai jo kehte hai ke jo log Rasool Allah(sallallahu alaihi wasallam) ke paas hai un par kuch qarch na karo yahaa tak ke wo idhar udhar ho jaaye aur asmaan wa zameen ke kul qazaane Allah ki milkiyath hai lekin ye munaafiq be-samajh hai

Verse 8 — Surah Al-Munafiqun 63:8

ye kehte hai ke agar hum ab laut kar madina jayenge ke to izzath waala wahaa se zillath waale ko nikaal dega, suno! izzath to sirf Allah ta’ala ke liye aur us ke rasool ke liye aur imaan daaro ke liye hai, lekin ye munaafiq jaante nahi

Verse 9 — Surah Al-Munafiqun 63:9

aye musalmaano! tumhaare maal aur tumhaari aulaad tumhe Allah ke zikr se ghaafil na karde aur jo aisa kare, wo bade hee ziyaa kaar log hai

Verse 10 — Surah Al-Munafiqun 63:10

aur jo kuch hum ne tumhe de rakha hai, us mein se (hamaari raah mein) us se pehle qarch karo ke tum mein se kisi ko mauth aa jaaye, to kehne lage aye mere parvardigaar! mujhe tu thodi der ki muhullath kyo nahi deta? ke main sadqa karo aur nek logo mein se ho jaao

Verse 11 — Surah Al-Munafiqun 63:11

aur jab kisi ka muqarrara waqt aa jaata hai, phir ose Allah ta’ala har giz muhullath nahi deta aur jo kuch tum karte ho us se Allah ta’ala ba qoobi ba qabar hai