Back to Languages

Urdu - Chapter 64 - At-Taghabun

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah At-Taghabun 64:1

(tamaam chize) jo asmaano aur zameen mein hai, Allah ki paaki bayaan karti hai, osi ki saltanath hai aur osi ki taareef hai aur wo har har cheez par qaadir hai

Verse 2 — Surah At-Taghabun 64:2

osi ne tumhe payda kiya hai, so tum mein se baaze to kaafir hai aur baaz imaan waale hai aur jo kuch tum kar rahe ho, Allah ta’ala qoob dekh raha hai

Verse 3 — Surah At-Taghabun 64:3

osi ne asmaano ko aur zameen ko adl wa hikmath se payda kiya, osi ne tumhaari surate banaayi aur bahuth acchi banaayi aur osi ki taraf lautna hai

Verse 4 — Surah At-Taghabun 64:4

wo asmaan wa zameen ki har har cheez ka ilm rakhta hai aur jo kuch tum chupaao aur zaaher karo wo (sab ko) jaanta hai, Allah to sino ki baatho tak ko jaanne waala hai

Verse 5 — Surah At-Taghabun 64:5

kya tumhaare paas us se pehle ke kaafiro ki qabar nahi pahonchi? jinhone apne amaal ka wabaal chak liya aur jin ke liye dardnaak azaab hai

Verse 6 — Surah At-Taghabun 64:6

ye is liye ke un ke paas un ke rasool waazeh dalaayel le kar aaye, to unhone keh diya ke kya insaan hamaari rehnumaayi karega? pas inkaar kar diya aur mu pher liya aur Allah ne bhi be niyaazi ki aur Allah to hai hee bahuth be niyaaz, sab qobiyo waala

Verse 7 — Surah At-Taghabun 64:7

un kaafiro ne qayaal kiya hai ke dubaara zinda na kiye jayenge, aap keh dijiye ke kyo nahi, Allah ki qasam! tum zaroor dubaara uthaaye jaoge, phir jo tum ne kiya hai us ki qabar diye jaoge aur Allah par ye bilkul hee asaan hai

Verse 8 — Surah At-Taghabun 64:8

so tum Allah par aur us ke rasool par aur us noor par jise hum ne naazil farmaaya hai imaan laao aur Allah ta’ala tumhaare har amal par ba qabar hai

Verse 9 — Surah At-Taghabun 64:9

jis din tum sab ko us jama hone ke din jama karega wahi din hai haar jeeth ka aur jo shaqs Allah par imaan la kar nek amal kare, Allah us se us ki buraiyya door kar dega aur ose jannato mein dakhil karega jin ke niche nehre beh rahi hai, jin mein wo hamesha hamesha rahenge, yahi bahuth badi kamyaabi hai

Verse 10 — Surah At-Taghabun 64:10

aur jin logo ne kufr kiya aur hamaari aayato ko jhutlaaya, wahi (sab) jahannami hai (jo) jahannam mein hamesha rahenge, wo bahuth bura thikaana hai

Verse 11 — Surah At-Taghabun 64:11

koyi musibath Allah ki ijaazath ke baghair nahi pahonch sakti, jo Allah par imaan laaye, Allah us ke dil ko hidaayath deta hai aur Allah har cheez ko qoob jaanne waala hai

Verse 12 — Surah At-Taghabun 64:12

(logo) Allah ka kehna maano aur rasool ka kehna maano, pas agar tum eraaz karo, to hamaare rasool ke zimme sirf saaf saaf pahonchaa dena hai

Verse 13 — Surah At-Taghabun 64:13

Allah ke siva koyi maboodh bar haq nahi aur momino ko Allah hee par tawakkal rakhna chahiye

Verse 14 — Surah At-Taghabun 64:14

aye imaan waalo tumhaari baaz biwiya aur baaz bacche, tumhaare dushman hai, pas un se hoshyaar rehna aur agar tum maaf kardo aur dar guzar kar jaao aur baqsh do, to Allah ta’ala baqshne waala meherbaan hai

Verse 15 — Surah At-Taghabun 64:15

tumhaare maal aur aulaad to saraa-sar tumhaari azmaayesh hai aur bahuth bada ajr Allah ke paas hai

Verse 16 — Surah At-Taghabun 64:16

pas jahaan tak tum se ho sa ke Allah se darte raho aur sunte aur maangte chale jaao aur Allah ki raah mein khayraath karte raho, jo tumhaare liye behtar hai aur jo shaqs apne nafs ki hirs se mehfooz rakha jaaye, wahi kamyaab hai

Verse 17 — Surah At-Taghabun 64:17

agar tum Allah ko accha qarz do ge (yaani us ki raah mein qarch karoge) to wo ose tumhaare liye badaata jayega aur tumhaare gunaah bhi maaf farma dega, Allah bada qadar daan bada burdubaar hai

Verse 18 — Surah At-Taghabun 64:18

wo poshida aur zaaher ka jaanne waala hai, zabardasth hikmath waala hai