(tamaam chize) jo asmaano aur zameen mein hai, Allah ki paaki bayaan karti hai, osi ki saltanath hai aur osi ki taareef hai aur wo har har cheez par qaadir hai
wo asmaan wa zameen ki har har cheez ka ilm rakhta hai aur jo kuch tum chupaao aur zaaher karo wo (sab ko) jaanta hai, Allah to sino ki baatho tak ko jaanne waala hai
ye is liye ke un ke paas un ke rasool waazeh dalaayel le kar aaye, to unhone keh diya ke kya insaan hamaari rehnumaayi karega? pas inkaar kar diya aur mu pher liya aur Allah ne bhi be niyaazi ki aur Allah to hai hee bahuth be niyaaz, sab qobiyo waala
un kaafiro ne qayaal kiya hai ke dubaara zinda na kiye jayenge, aap keh dijiye ke kyo nahi, Allah ki qasam! tum zaroor dubaara uthaaye jaoge, phir jo tum ne kiya hai us ki qabar diye jaoge aur Allah par ye bilkul hee asaan hai
jis din tum sab ko us jama hone ke din jama karega wahi din hai haar jeeth ka aur jo shaqs Allah par imaan la kar nek amal kare, Allah us se us ki buraiyya door kar dega aur ose jannato mein dakhil karega jin ke niche nehre beh rahi hai, jin mein wo hamesha hamesha rahenge, yahi bahuth badi kamyaabi hai
koyi musibath Allah ki ijaazath ke baghair nahi pahonch sakti, jo Allah par imaan laaye, Allah us ke dil ko hidaayath deta hai aur Allah har cheez ko qoob jaanne waala hai
aye imaan waalo tumhaari baaz biwiya aur baaz bacche, tumhaare dushman hai, pas un se hoshyaar rehna aur agar tum maaf kardo aur dar guzar kar jaao aur baqsh do, to Allah ta’ala baqshne waala meherbaan hai
pas jahaan tak tum se ho sa ke Allah se darte raho aur sunte aur maangte chale jaao aur Allah ki raah mein khayraath karte raho, jo tumhaare liye behtar hai aur jo shaqs apne nafs ki hirs se mehfooz rakha jaaye, wahi kamyaab hai
agar tum Allah ko accha qarz do ge (yaani us ki raah mein qarch karoge) to wo ose tumhaare liye badaata jayega aur tumhaare gunaah bhi maaf farma dega, Allah bada qadar daan bada burdubaar hai