Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 69 - Al-Haqqah
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Haqqah 69:1
saabith hone waali
Verse 2 — Surah Al-Haqqah 69:2
saabith hone waali kya hai
Verse 3 — Surah Al-Haqqah 69:3
aur tujhe kya maloom ke wo saabith shuda kya hai
Verse 4 — Surah Al-Haqqah 69:4
us khad-ka dene waali ko samoodh aur aadh ne jhut laya tha
Verse 5 — Surah Al-Haqqah 69:5
(jis ke natije mein) samoodh to be hadh khauf naak aur (oonchi) awaaz se halaak kar diye gaye
Verse 6 — Surah Al-Haqqah 69:6
aur aadh be hadh tez wa tundh hawa se ghaarath kar diye gaye
Verse 7 — Surah Al-Haqqah 69:7
jise un par lagataar saath raath aur aat din tak (Allah ne) musallath kar rakha, pas tum dekhte ke ye log zameen par is tarah gir gaye jaise khajoor ke khukle ta ne ho
Verse 8 — Surah Al-Haqqah 69:8
kya un mein se koyi bhi, tujhe baaqi nazar aa raha hai
Verse 9 — Surah Al-Haqqah 69:9
feraun aur us se pehle ke log aur jin ki bastiyaa ulatdi gayi, unhone ne bhi qataaye ki
Verse 10 — Surah Al-Haqqah 69:10
aur apne rab ke rasool ki na farmaani ki (bil aaqir) Allah ne unhe (bhi) zabardasth girift mein le liya
Verse 11 — Surah Al-Haqqah 69:11
jab paani mein tughyaani aa gayi, to us waqth hum ne tumhe kashti mein chada liya
Verse 12 — Surah Al-Haqqah 69:12
ta ke ose tumhaare liye nasihath aur yaad gaar bana de aur (ta ke) yaad rakhne waale kaan ose yaad rakhe
Verse 13 — Surah Al-Haqqah 69:13
pas jab ke soor mein ek phok phuki jayegi
Verse 14 — Surah Al-Haqqah 69:14
aur zameen aur pahaad utha liye jayenge aur ek hee chot mein reza reza kar diye jayenge
Verse 15 — Surah Al-Haqqah 69:15
us din ho padne waali (qayaamath) ho padegi
Verse 16 — Surah Al-Haqqah 69:16
aur asmaan phat jayega aur us din bilkul bodha ho jayega
Verse 17 — Surah Al-Haqqah 69:17
us ke kinaaro par farishte honge aur tere parvardigaar ka arsh us din aat (farishte) apne upar uthaaye hoye honge
Verse 18 — Surah Al-Haqqah 69:18
us din tum sab saamne pesh kiye jaoge, tumhaara koyi bhed pushida na rahega
Verse 19 — Surah Al-Haqqah 69:19
so jise us ka naame amaal us ke daaye haath mein diya jayega, to wo kehne lagega ke lo mera naame amaal pado
Verse 20 — Surah Al-Haqqah 69:20
mujhe to kaamil yaqeen tha ke mujhe apna hisaab milna hai
Verse 21 — Surah Al-Haqqah 69:21
pas wo ek dil pasandh zindagi mein hoga
Verse 22 — Surah Al-Haqqah 69:22
bulandh wa baala jannath mein
Verse 23 — Surah Al-Haqqah 69:23
jis ke mewe jhuke pade honge
Verse 24 — Surah Al-Haqqah 69:24
(un se kaha jayega) ke maze se khaao piyo apne un amaal ke badhle jo tum ne guzishta zamaane mein kiye
Verse 25 — Surah Al-Haqqah 69:25
lekin jise us (ke amaal) ki kitaab us ke baaye haath mein di jayegi, wo to kahega ke kaash ke mujhe meri kitaab di hee na jaati
Verse 26 — Surah Al-Haqqah 69:26
aur main jaanta hee na ke hisaab kya hai
Verse 27 — Surah Al-Haqqah 69:27
kaash! ke mauth (mera) kaam hee tamaam kar deti
Verse 28 — Surah Al-Haqqah 69:28
mere maal ne bhi mujhe kuch nafa na diya
Verse 29 — Surah Al-Haqqah 69:29
mera ghalba bhi mujh se jaata raha
Verse 30 — Surah Al-Haqqah 69:30
(hukm hoga) ose pakad lo, phir ose tauq pehna do
Verse 31 — Surah Al-Haqqah 69:31
phir ose dozakh mein daal do
Verse 32 — Surah Al-Haqqah 69:32
phir ose aisi zanjeer mein jis ki paimaayish sattar haath ki hai jakad do
Verse 33 — Surah Al-Haqqah 69:33
beshak ye Allah azmath waale par imaan na rakhta tha
Verse 34 — Surah Al-Haqqah 69:34
aur miskeen ke khilaane par raghbath na dilaata tha
Verse 35 — Surah Al-Haqqah 69:35
pas aaj us ka na koyi dosth hai
Verse 36 — Surah Al-Haqqah 69:36
aur na sivaaye peep ke us ki koyi ghiza hai
Verse 37 — Surah Al-Haqqah 69:37
jise gunahgaaro ke siva koyi nahi khayega
Verse 38 — Surah Al-Haqqah 69:38
pas mujhe qasam hai un chizo ki jinhe tum dekhte ho
Verse 39 — Surah Al-Haqqah 69:39
aur un chizo ki jinhe tum nahi dekhte
Verse 40 — Surah Al-Haqqah 69:40
ke beshak ye Qur’aan buzrug rasool ka khaul hai
Verse 41 — Surah Al-Haqqah 69:41
ye kisi shaayar ka khaul nahi (afsoos) tumhe bahuth kam yaqeen hai
Verse 42 — Surah Al-Haqqah 69:42
aur na kisi kaahin ka khaul hai(afsoos) bahuth kam nasihath le rahe ho
Verse 43 — Surah Al-Haqqah 69:43
(ye to) rabbul aalameen ka utaara hoa hai
Verse 44 — Surah Al-Haqqah 69:44
aur agar ye hum par koyi bhi baath bana leta
Verse 45 — Surah Al-Haqqah 69:45
to albatta hum us ka dahna haath pakad lete
Verse 46 — Surah Al-Haqqah 69:46
phir us ki shay rag kaat dete
Verse 47 — Surah Al-Haqqah 69:47
phir tum mein se koyi bhi mujhe us se rokne waala na hota
Verse 48 — Surah Al-Haqqah 69:48
yaqinan ye Qur’aan parhezgaaro ke liye nasihath hai
Verse 49 — Surah Al-Haqqah 69:49
hamein puri tarah maloom hai ke tum mein se baaz us ke jhutlaane waale hai
Verse 50 — Surah Al-Haqqah 69:50
beshak (ye jhutlaana) kaafiro par hasrath hai
Verse 51 — Surah Al-Haqqah 69:51
aur beshak (wa shuba) ye yaqini haq hai
Verse 52 — Surah Al-Haqqah 69:52
pas tu apne rab azeem ki paaki bayaan kar