Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 70 - Al-Maarij
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Maarij 70:1
ek sawaal karne waale ne us azaab ka sawaal kiya, jo waazeh hone waala hai
Verse 2 — Surah Al-Maarij 70:2
kaafiro par jise koyi hataane waala nahi
Verse 3 — Surah Al-Maarij 70:3
us Allah ki taraf se jo sidiyo waala hai
Verse 4 — Surah Al-Maarij 70:4
jis ki taraf farishte aur ruh chadte hai, ek din mein jis ki meqdaar pachaas hazaar saal ki hai
Verse 5 — Surah Al-Maarij 70:5
pas tu acchi tarah sabr kar
Verse 6 — Surah Al-Maarij 70:6
beshak ye us (azaab) ko door samajh rahe hai
Verse 7 — Surah Al-Maarij 70:7
aur hum ose qareeb dekhte hai
Verse 8 — Surah Al-Maarij 70:8
jis din asmaan misl tel ki til chat ke ho jayega
Verse 9 — Surah Al-Maarij 70:9
aur pahaad misl rangeen oon ke ho jayenge
Verse 10 — Surah Al-Maarij 70:10
aur koyi dosth kisi dosth ko na pochega
Verse 11 — Surah Al-Maarij 70:11
(halaan ke) ek dosre ko dikha diye jayenge, gunahgaar us din ke azaab ke badhle fidye mein apne beto ko
Verse 12 — Surah Al-Maarij 70:12
apni biwi ko aur apne bhai ko
Verse 13 — Surah Al-Maarij 70:13
aur apne kumbe ko jo ose panaah deta tha
Verse 14 — Surah Al-Maarij 70:14
aur roye zameen ke sab logo ko dena chahega, ta ke ye ise najaath dila de
Verse 15 — Surah Al-Maarij 70:15
(magar) har giz ye na hoga, yaqinan wo shole waali (aag) hai
Verse 16 — Surah Al-Maarij 70:16
jo mu aur sar ki khaal khinch laane waali hai
Verse 17 — Surah Al-Maarij 70:17
wo har us shaqs ko pukaaregi jo piche hat ta aur mu modta hai
Verse 18 — Surah Al-Maarij 70:18
aur jama kar ke sambhaal rakhta hai
Verse 19 — Surah Al-Maarij 70:19
beshak insaan bade kacche dil waala banaya gaya hai
Verse 20 — Surah Al-Maarij 70:20
jab ose musibath pahonchti hai to had bada uthta hai
Verse 21 — Surah Al-Maarij 70:21
aur jab raahath milti hai to buql karne lagta hai
Verse 22 — Surah Al-Maarij 70:22
magar wo namaazi
Verse 23 — Surah Al-Maarij 70:23
jo apni namaaz par hameshgi karne waale hai
Verse 24 — Surah Al-Maarij 70:24
aur jin ke maalo mein muqarrara hissa hai
Verse 25 — Surah Al-Maarij 70:25
maangne waalo ka bhi aur sawaal se bachne waalo ka bhi
Verse 26 — Surah Al-Maarij 70:26
aur jo insaaf ke din par yaqeen rakhte hai
Verse 27 — Surah Al-Maarij 70:27
aur jo apne rab ke azaab se darte rehte hai
Verse 28 — Surah Al-Maarij 70:28
beshak un ke rab ka azaab be khauf hone ki cheez nahi
Verse 29 — Surah Al-Maarij 70:29
aur jo log apni sharam-gaaho ki (haraam se) hifaazath karte hai
Verse 30 — Surah Al-Maarij 70:30
haan un ki biwiyo aur laundiyo ke baare mein, jin ke wo maalik hai, unhe koyi malaamath nahi
Verse 31 — Surah Al-Maarij 70:31
ab jo koyi us ke alaawa (raah) dhundega to aise log hadh se guzar jaane waale honge
Verse 32 — Surah Al-Maarij 70:32
aur jo apni amaanato ka aur apne khaul wa qaraar ka paas rakhte hai
Verse 33 — Surah Al-Maarij 70:33
aur jo apni gawaahiyo par sidhe aur qaayam rehte hai
Verse 34 — Surah Al-Maarij 70:34
aur jo apni namaazo ki hifaazath karte hai
Verse 35 — Surah Al-Maarij 70:35
yahi log jannato mein izzath waale honge
Verse 36 — Surah Al-Maarij 70:36
pas kaafiro ko kya ho gaya hai ke wo teri taraf daudte aate hai
Verse 37 — Surah Al-Maarij 70:37
daaye aur baaye se gruh ke gruh
Verse 38 — Surah Al-Maarij 70:38
kya un mein se har ek ki tawaqqe ye hai ke wo nemato waali jannath mein daakhil kiya jayega
Verse 39 — Surah Al-Maarij 70:39
(aisa) har giz na hoga, hum ne unhe us cheez se payda kiya hai jise wo jaante hai
Verse 40 — Surah Al-Maarij 70:40
pas mujhe qasam hai mashriqo aur maghribo ke rab ki, (ke) hum yaqinan qaadir hai
Verse 41 — Surah Al-Maarij 70:41
us par ke us ke ewaz, un se acche log le aaye, aur hum aajiz nahi hai
Verse 42 — Surah Al-Maarij 70:42
pas tu unhe jhagadta khelta chohd de, yahaa tak ke ye apne us din se ja mile, jis ka un se waada kiya jaata hai
Verse 43 — Surah Al-Maarij 70:43
jis din ye qabro se daudte hoye niklenge, goya ke wo kisi jageh ki taraf tez tez ja rahe hai
Verse 44 — Surah Al-Maarij 70:44
un ki aankhe jhuki hoyi hogi, un par zillath cha rahi hogi, ye hai wo din jis ka un se waada kiya jaata tha