Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 71 - Nuh
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Nuh 71:1
yaqinan hum ne Nuh(alaihissalaam) ko un ki khaum ki taraf bheja ke apni khaum ko dara do (aur qabardaar kardo) us se pehle ke un ke paas dardnaak azaab aa jaaye
Verse 2 — Surah Nuh 71:2
Nuh(alaihissalaam) ne ) kaha aye meri khaum! main tumhe saaf saaf daraane waala hoon
Verse 3 — Surah Nuh 71:3
ke tum Allah ki ibaadath karo aur osi se daro aur mera kaha maano
Verse 4 — Surah Nuh 71:4
to wo tumhaare gunaah baqsh dega aur tumhe ek waqth muqarrara tak chohd dega, yaqinan Allah ka waada jab aa jaata hai to mu’aqqar nahi hota, kaash ke tumhe samajh hoti
Verse 5 — Surah Nuh 71:5
Nuh (alaihissalaam) ne) kaha aye mere parvardigaar! main ne apni khaum ko raath din teri taraf bulaaya hai
Verse 6 — Surah Nuh 71:6
magar mere bulaane se ye log aur zyaada bhaagne lage
Verse 7 — Surah Nuh 71:7
main ne jab kabhi unhe teri baqshish ke liye bulaaya, unhone apni ongliya apne kaano mein daal li aur apne kapdo ko od liya aur ad gaye aur bada takabbur kiya
Verse 8 — Surah Nuh 71:8
phir main ne unhe ba-awaaz bulandh bulaaya
Verse 9 — Surah Nuh 71:9
aur beshak main ne un se elaaniya bhi kaha aur chupke chupke bhi
Verse 10 — Surah Nuh 71:10
aur main ne kaha ke apne rab se apne gunaah baqsh waao (aur maafi maango) wo yaqinan bada baqshne waala hai
Verse 11 — Surah Nuh 71:11
wo tum par asmaan ko qoob barasta hoa chohd dega
Verse 12 — Surah Nuh 71:12
aur tumhe qoob pay dar pay maal aur aulaad mein taraqqi dega aur tumhe baghaath dega aur tumhaare liye nehre nikaal dega
Verse 13 — Surah Nuh 71:13
tumhe kya ho gaya hai ke tum Allah ki bartari ka aqeeda nahi rakhte
Verse 14 — Surah Nuh 71:14
halaan ke us ne tumhe tarah tarah se payda kiya hai
Verse 15 — Surah Nuh 71:15
kya tum nahi dekhte ke Allah ta’ala ne upar ta-le kis tarah saath asmaan payda kar diye hai
Verse 16 — Surah Nuh 71:16
aur un mein chaandh ko qoob jagmagata banaya hai aur suraj ko roushan chiraagh banaya hai
Verse 17 — Surah Nuh 71:17
aur tum ko zameen se ek (qaas ehtemaam se) ugaaaya hai (aur payda kiya hai)
Verse 18 — Surah Nuh 71:18
phir tumhe osi mein lauta le jayega aur (ek qaas tariqe) se phir nikaalega
Verse 19 — Surah Nuh 71:19
aur tumhaare liye zameen ko Allah ta’ala ne farsh bana diya hai
Verse 20 — Surah Nuh 71:20
ta ke tum us ki kushaada raaho mein chalo phiro
Verse 21 — Surah Nuh 71:21
Nuh(alaihissalaam)) ne kaha aye mere parvardigaar! un logo ne meri to na-farmaani ki aur aiso ki farmabardaari ki, jin ke maal wa aulaad ne un ko (yaqinan) nuqsaan hee mein badaaya hai
Verse 22 — Surah Nuh 71:22
aur un logo ne bada saqth fareb kiya
Verse 23 — Surah Nuh 71:23
aur kaha unhone ke har giz apne mabudho ko na chohd na aur na wadh aur sava aur yaghoos aur ya’ooq aur nasr ko chohd na
Verse 24 — Surah Nuh 71:24
aur unhone bahuth se logo ko gumraah kiya (ilaahi) tu un zaalimo ki gumraahi aur bada
Verse 25 — Surah Nuh 71:25
ye log ba sabab apne gunaaho ke dubo diye gaye aur jahannam mein pahoncha diye gaye aur Allah ke siva apna koyi madadgaar unhone na paaya
Verse 26 — Surah Nuh 71:26
aur (hazrath) Nuh(alaihissalaam) ne kaha ke aye mere paalne waale! tu roye zameen par kisi kaafir ko rehne sehne waale na chohd
Verse 27 — Surah Nuh 71:27
agar tu unhe chohd dega to (yaqinan) ye tere aur bandho ko (bhi) gumraah kar denge aur ye faajiro aur dheet kaafiro hee ko janam denge
Verse 28 — Surah Nuh 71:28
aye mere parvardigaar! tu mujhe aur mere maa baap aur jo imaan ki haalath mein mere ghar mein aaye aur tamaam momin mardo aur aurto ko baqsh de aur kaafiro ko sivaaye barbaadhi ke, aur kisi baath mein na bada