Back to Languages

Urdu - Chapter 73 - Al-Muzzammil

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Muzzammil 73:1

aye kapde mein lipatne waale

Verse 2 — Surah Al-Muzzammil 73:2

raath (ke waqt namaaz) mein khade ho jaao magar kam

Verse 3 — Surah Al-Muzzammil 73:3

aadhi raath ya us se bhi kuch kam karle

Verse 4 — Surah Al-Muzzammil 73:4

ya us par badha de aur Qur’aan ko teher teher kar (saaf) padha kar

Verse 5 — Surah Al-Muzzammil 73:5

yaqinan hum tujh par bahuth bhaari baath an qareen naazil karenge

Verse 6 — Surah Al-Muzzammil 73:6

beshak raath ka uthna dil jamyi ke liye intehaayi munaasib hai aur baath ko bahuth durusth kar dene waala hai

Verse 7 — Surah Al-Muzzammil 73:7

yaqinan tujhe din mein bahuth shughal rehta hai

Verse 8 — Surah Al-Muzzammil 73:8

tu apne rab ke naam ka zikr kiya kar aur tamaam qalaayeq se kat kar us ki taraf mutawajjeh ho ja

Verse 9 — Surah Al-Muzzammil 73:9

mashriq wa maghrib ka parvardigaar, jis ke siva koyi maboodh nahi, tu osi ko apna kaar-saaz bana le

Verse 10 — Surah Al-Muzzammil 73:10

aur jo kuch wo kahe, tu sehta reh aur wafa daari ke saath un se alag thalag reh

Verse 11 — Surah Al-Muzzammil 73:11

aur mujhe un jhutlaane waale aasoda haal logo ko chohd de aur unhe zara si muhullath de

Verse 12 — Surah Al-Muzzammil 73:12

yaqinan hamaare haan saqth bediyaa hai aur sulagti hoyi jahannam hai

Verse 13 — Surah Al-Muzzammil 73:13

aur halaq mein atakne waala khaana hai aur dard dene waala azaab hai

Verse 14 — Surah Al-Muzzammil 73:14

jis din zameen aur pahaad thar thara jayenge aur pahaad misl bhar bhari reth ke tilo ke ho jayenge

Verse 15 — Surah Al-Muzzammil 73:15

beshak hum ne tumhaari taraf bhi, tum par gawaahi dene waala rasool bhej diya hai, jaise ke hum ne feraun ke paas rasool bheja tha

Verse 16 — Surah Al-Muzzammil 73:16

to feraun ne us rasool ki na-farmaani ki, to hum ne ose saqth (wabaal ki) pakad mein pakad liya

Verse 17 — Surah Al-Muzzammil 73:17

tum agar kaafir rahe to, us din kaise panaah paoge jo din baccho ko buda kar dega

Verse 18 — Surah Al-Muzzammil 73:18

jis din asmaan phat jayega, Allah ta’ala ka ye waada ho kar hee rehne waala hai

Verse 19 — Surah Al-Muzzammil 73:19

beshak ye nasihath hai, pas jo chaahe apne rab ki taraf raah eqtiyaar kare

Verse 20 — Surah Al-Muzzammil 73:20

aap ka rab ba-qoobi jaanta hai ke, aap aur aap ke saath ke logo ki, ek jamaath qareeb do tihaayi raath ke aur aadhi raath ke aur ek tihaayi raath ke tahajjud padti hai aur raath din ka pura andaaza Allah ta’ala ko hee hai, wo (qoob) jaanta hai ke tum ose hargiz na nibha sakoge, pas us ne tum par meherbaani ki, lehaaza jitna Qur’aan padna tumhaare liye asaan ho, utna hee pado, wo jaanta hai ke tum mein baaz bimaar bhi honge, baaz zameen mein chal phir kar Allah ta’ala ka fazl (yani rozi bhi) talaash karenge, aur kuch log Allah ta’ala ki raah mein jihaad bhi karenge, so tum ba-asaani jitna Qur’aan pad sako padho aur namaaz ki paabandi rakho aur zakaath dete raha karo aur Allah ta’ala ko accha qarz do aur jo neki tum apne liye aage bhejoge, ose Allah ta’ala ke haan behtar se behtar aur sawaab mein bahuth zyaada paoge, Allah ta’ala se maafi maangte raho, yaqinan Allah ta’ala baqshne waala meherbaan hai