Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 75 - Al-Qiyamah
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Qiyamah 75:1
main qasam khaata hoon qayaamath ke din ki
Verse 2 — Surah Al-Qiyamah 75:2
aur qasam khaata hoon us nafs ki jo malaamath karne waala ho
Verse 3 — Surah Al-Qiyamah 75:3
kya insaan ye qayaal karta hai ke hum us ki haddiyaa jama karenge hee nahi
Verse 4 — Surah Al-Qiyamah 75:4
haan zaroor karenge, hum to qaadir hai, ke us ki por por tak durusth karde
Verse 5 — Surah Al-Qiyamah 75:5
balke insaan to chahta hai ke aage aage na farmaaniya karta jaaye
Verse 6 — Surah Al-Qiyamah 75:6
pochta hai ke qayaamath ka din kab aayega
Verse 7 — Surah Al-Qiyamah 75:7
pas jis waqth ke nigaah pathra jayegi
Verse 8 — Surah Al-Qiyamah 75:8
aur chaandh be-noor ho jayega
Verse 9 — Surah Al-Qiyamah 75:9
aur suraj aur chaandh jama kar diye jayenge
Verse 10 — Surah Al-Qiyamah 75:10
us din insaan kahega ke aaj bhaagne ki jagah kahaa hai
Verse 11 — Surah Al-Qiyamah 75:11
nahi nahi koyi panaah gaah nahi
Verse 12 — Surah Al-Qiyamah 75:12
aaj to tere parvardigaar ki taraf hee qaraar gaah hai
Verse 13 — Surah Al-Qiyamah 75:13
aaj insaan ko us ke aage bheje hoye aur piche chohde hoye se agaah kiya jayega
Verse 14 — Surah Al-Qiyamah 75:14
balke insaan khud apne upar aap hujjath hai
Verse 15 — Surah Al-Qiyamah 75:15
agar che kitne hee bahaane pesh kare
Verse 16 — Surah Al-Qiyamah 75:16
ye Nabi(sallallahu alaihi wasallam) aap Qur’aan ko jaldi (yaad karne) ke liye apni zabaan ko harkath na de
Verse 17 — Surah Al-Qiyamah 75:17
us ka jama karna aur (aap ki zabaan se) padna hamaare zimme hai
Verse 18 — Surah Al-Qiyamah 75:18
hum jab ise padle to aap us ke padne ki pairvi kare
Verse 19 — Surah Al-Qiyamah 75:19
phir us ka waazeh kar dena hamaare zimme hai
Verse 20 — Surah Al-Qiyamah 75:20
nahi nahi, tum jaldi milne waali (dunya) ki muhabbath rakhte ho
Verse 21 — Surah Al-Qiyamah 75:21
aur aaqirath ko chohd baithe ho
Verse 22 — Surah Al-Qiyamah 75:22
us roz bahuth se chehre taro taaza aur ba-raunaq honge
Verse 23 — Surah Al-Qiyamah 75:23
apne rab ki taraf dekhte honge
Verse 24 — Surah Al-Qiyamah 75:24
aur kitne chehre us din (badh raunaq aur) udaas honge
Verse 25 — Surah Al-Qiyamah 75:25
samjhte honge ke un ke saath kamar tod dene waala maamla kiya jayega
Verse 26 — Surah Al-Qiyamah 75:26
nahi nahi, jab ruh hansali1 tak pahonchegi
Verse 27 — Surah Al-Qiyamah 75:27
aur kaha jayega ke koyi jhaad phok karne waala hai
Verse 28 — Surah Al-Qiyamah 75:28
aur jaan liya us ne ke ye waqte judaayi hai
Verse 29 — Surah Al-Qiyamah 75:29
aur pindli se pindli lipat jayegi
Verse 30 — Surah Al-Qiyamah 75:30
aaj tere parvardigaar ki taraf chalna hai
Verse 31 — Surah Al-Qiyamah 75:31
us ne na to tasdeeq ki na namaaz adaa ki
Verse 32 — Surah Al-Qiyamah 75:32
balke jhutlaaya aur ru-gardaani ki
Verse 33 — Surah Al-Qiyamah 75:33
phir apne ghar waalo ke paas itraata hoa gaya
Verse 34 — Surah Al-Qiyamah 75:34
afsoos hai tujh par hasrath hai tujh par
Verse 35 — Surah Al-Qiyamah 75:35
waay hai aur qaraabi hai tere liye
Verse 36 — Surah Al-Qiyamah 75:36
kya insaan ye samajhta hai ke ose bekaar chohd diya jayega
Verse 37 — Surah Al-Qiyamah 75:37
kya wo ek gaade paani ka qatra na tha, jo tapkaya gaya tha
Verse 38 — Surah Al-Qiyamah 75:38
phir wo laho ka lothda ho gaya, phir Allah ne ose payda kiya aur durusth banaya
Verse 39 — Surah Al-Qiyamah 75:39
phir us se jode yaani nar wa mada banaaye
Verse 40 — Surah Al-Qiyamah 75:40
kya (Allah ta’ala) us amr par qaadir nahi ke murde ko zinda karde