Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 76 - Al-Insan
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Insan 76:1
yaqinan guzra hai insaan par ek waqth zamaane mein, jab ke ye koyi qaabile zikr cheez na tha
Verse 2 — Surah Al-Insan 76:2
beshak hum ne insaan ko mile jhule natfe se imtehaan ke liye payda kiya aur us ko sunta dekhta banaya
Verse 3 — Surah Al-Insan 76:3
hum ne ose raah dikhaayi, ab qaah wo shukr guzaar bane, qaah na shukra
Verse 4 — Surah Al-Insan 76:4
yaqinan hum ne kaafiro ke liye zanjire aur tauq aur shulo waali aag tayyaar kar rakhi hai
Verse 5 — Surah Al-Insan 76:5
beshak nek log wo jaam piyenge jis ki aamizash kaafoor ki hai
Verse 6 — Surah Al-Insan 76:6
jo ek chashma hai, jis se Allah ke bandhe piyenge, us ki nehre nikaal le jayenge (jidhar chaahe)
Verse 7 — Surah Al-Insan 76:7
jo nazar puri karte hai aur us din se darte hai jis ki buraayi chaaro taraf phail jaane waali hai
Verse 8 — Surah Al-Insan 76:8
aur Allah ta’ala ki muhabbath mein khaana khilaate hai, miskeen, yateem aur khaidiyo ko
Verse 9 — Surah Al-Insan 76:9
hum to tumhe sirf Allah ta’ala ki raza mandhi ke liye khilaate hai, na tum se badhla chaahte hai, na shukr guzaari
Verse 10 — Surah Al-Insan 76:10
beshak hum apne parvardigaar se us din ka khauf karte hai, jo udaasi aur saqti waala hoga
Verse 11 — Surah Al-Insan 76:11
pas unhe Allah ta’ala ne us din ki buraayi se bacha liya aur unhe taazgi aur khushi pahonchaayi
Verse 12 — Surah Al-Insan 76:12
aur unhe un ke sabr ke badhle jannath aur reshmi libaas ataa farmaaye
Verse 13 — Surah Al-Insan 76:13
ye wahaan taqto par takye lagaaye hoye baithenge, na wahaa aftaab ki garmi dekhenge, na jaade ki saqti
Verse 14 — Surah Al-Insan 76:14
un jannato ke saaye un par jhuke hoye honge aur un ke (mewe aur) gucche niche latkaaye hoye honge
Verse 15 — Surah Al-Insan 76:15
aur un par chaandi ke bartano aur jaamo ka daur karaaya jayega jo shishe ke honge
Verse 16 — Surah Al-Insan 76:16
shishe bhi chaandi ke jin ko (saaqi ne) andaaze se naap rakha hoga
Verse 17 — Surah Al-Insan 76:17
aur unhe wahaa wo jaam pilaaye jayenge, jin ki aamizash zanjabeel1 ki hogi
Verse 18 — Surah Al-Insan 76:18
jannath ki ek neher se jis ka naam sal sabeel hai
Verse 19 — Surah Al-Insan 76:19
aur un ke ird gird ghumte phirte honge, wo kamsin bacche jo hamesha rehne waale hai, jab tu unhe dekhe to samjhe ke wo bikhre hoye sacche moti hai
Verse 20 — Surah Al-Insan 76:20
tu wahaa jahaan kahi bhi nazar daalega saraasar nemate aur azeemo shaan saltanath bhi dekhega
Verse 21 — Surah Al-Insan 76:21
un ke jismo par sabz baareek aur mote reshmi kapde honge aur unhe chaandi ke kangan ka zewar pehnaaya jayega aur unhe un ka rab paak saaf sharaab pilaayega
Verse 22 — Surah Al-Insan 76:22
(kaha jayega) ke ye hai tumhaare amaal ka badhla aur tumhaari koshish ki qadar ki gayi hai
Verse 23 — Surah Al-Insan 76:23
beshak hum ne tujh par ba-tadhreej Qur’aan naazil kiya hai
Verse 24 — Surah Al-Insan 76:24
pas tu apne rab ke hukm par qaayam reh aur un mein se kisi gunehgaar ya na shukre ka kaha na maan
Verse 25 — Surah Al-Insan 76:25
aur apne rab ke naam ka subaah wa shaam zikr kiya kar
Verse 26 — Surah Al-Insan 76:26
aur raath ke waqth us ke saamne sajde kar aur bahuth raath tak us ki tasbih kiya kar
Verse 27 — Surah Al-Insan 76:27
beshak ye log jaldi milne waali (dunya) ko chaahte hai aur apne piche ek bade bhaari din ko chohde dete hai
Verse 28 — Surah Al-Insan 76:28
hum ne unhe payda kiya aur hum ne hee un ke jod aur bhandan mazbooth kiye aur hum jab chaahe un ke ewaz un jaise auro ko badal laaye
Verse 29 — Surah Al-Insan 76:29
yaqinan ye to ek nasihath hai, pas jo chaahe apne rab ki raah le le
Verse 30 — Surah Al-Insan 76:30
aur tum na chaahoge, magar ye ke Allah ta’ala hee chaahe, beshak Allah ta’ala ilm waala ba hikmath hai
Verse 31 — Surah Al-Insan 76:31
jise chaahe apni rahmath mein dakhil karle aur zaalimo ke liye us ne dardnaak azaab tayyaar kar rakha hai