Back to Languages
Urdu - Chapter 84
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Verse 1
jab asmaan phat jayega
Verse 2
aur apne rab ke hukm par kaan lagaayega aur osi ke laayeq wo hai
Verse 3
aur jab zameen (kheench kar) phaayla di jayegi
Verse 4
aur us mein jo hai ose wo ugal degi aur khaali ho jayegi
Verse 5
aur apne rab ke hukm par kaan lagayegi aur osi ke laayeq wo hai
Verse 6
aye insaan! tu apne rab se milne tak, ye koshish aur tamaam kaam, mehnate kar ke, us se mulaqaath karne wala hai
Verse 7
to (us waqt) jis shaqs ke daahne haath mein amaal naama diya jayega
Verse 8
us ka hisaab to badi asaani se liya jayega
Verse 9
aur wo apne ahal ki taraf hasi khushi laut ayega
Verse 10
haan jis shaqs ka amaal naama us ki peet ke piche se diya jayega
Verse 11
to wo mauth ko bulaane lagega
Verse 12
aur bhadakti hoyi jahannam mein dakhil hoga
Verse 13
ye shaqs apne mutaalleqeen mein (dunya mein) khush tha
Verse 14
us ka qayaal tha ke Allah ki taraf laut kar hee na jayega
Verse 15
kyo nahi, halaan ke us ka rab ose ba qoobi dekh raha tha
Verse 16
mujhe shafaq1 ki qasam! aur raath ki
Verse 17
aur us ki jama karda chizo ki qasam
Verse 18
aur chaandh ki jab ke wo, kaamil ho jaata hai
Verse 19
yaqinan tum ek haalath se dosri haalath par pahonchoge
Verse 20
unhe kya ho gaya hai ke imaan nahi laate
Verse 21
aur jab un ke paas Qur’aan pada jaata hai to sajda nahi karte
Verse 22
balke jinhone kufr kiya wo jhutla rahe hai
Verse 23
aur Allah ta’ala qoob jaanta hai, jo kuch ye dilo mein rakhte hai
Verse 24
unhe alm’naak azaabo ki khush qabri suna do
Verse 25
haan imaan waalo aur nek amaal waalo ko be’shumaar aur na qatam hone waala ajr hai