Back to Languages

Urdu - Chapter 96 - Al-Alaq

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Alaq 96:1

pad apne rab ke naam se jis ne paida kiya

Verse 2 — Surah Al-Alaq 96:2

jis ne insaan ko qoon ke lothde se paida kiya

Verse 3 — Surah Al-Alaq 96:3

tu padta reh, tera rab bade karam waala hai

Verse 4 — Surah Al-Alaq 96:4

js ne qalam ke zariye (ilm) sikhaaya

Verse 5 — Surah Al-Alaq 96:5

jis ne insaan ko wo sikhaaya jise wo nahi jaanta tha

Verse 6 — Surah Al-Alaq 96:6

sach moch insaan to aape se baaher ho jaata hai

Verse 7 — Surah Al-Alaq 96:7

is liye ke wo apne aap ko be-parvaah ya tawangar samajhta hai

Verse 8 — Surah Al-Alaq 96:8

yaqinan lautna tere rab ki taraf hai

Verse 9 — Surah Al-Alaq 96:9

(bhala) ose bhi tu ne dekha jo bandhe ko rokta hai

Verse 10 — Surah Al-Alaq 96:10

jab ke wo bandha namaaz adaa karta hai

Verse 11 — Surah Al-Alaq 96:11

bhala bathla to, agar wo hidaayath par ho

Verse 12 — Surah Al-Alaq 96:12

ya parhezgaari ka hukm deta ho

Verse 13 — Surah Al-Alaq 96:13

bhala dekho to agar ye jhutlaata ho aur mu pherta ho, to

Verse 14 — Surah Al-Alaq 96:14

kya us ne nahi jaana ke Allah ta’ala ose qoob dekh raha hai

Verse 15 — Surah Al-Alaq 96:15

yaqinan agar ye baaz na raha, to hum us ki peshaani ke baal pakad kar ghasitenge

Verse 16 — Surah Al-Alaq 96:16

aisi peshaani jo jhoti qata-kaar hai

Verse 17 — Surah Al-Alaq 96:17

ye apni majlis walo ko bulaale

Verse 18 — Surah Al-Alaq 96:18

hum bhi (dozakh ke) pyaado ko bula lenge

Verse 19 — Surah Al-Alaq 96:19

qabar-daar! us ka kehna har giz na maanna aur sajda kar aur qareeb ho ja