Back to Languages

Urdu - Chapter 14 - Ibrahim

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Ibrahim 14:1

Alif-laam-raa! Yeh aali shaan kitab hum ney aap ki taraf utari hai kay aap logon ko andheron say ujalay ki taraf layen inn kay perwerdigar kay hukum say zabardast aur tareefon walay Allah ki taraf

Verse 2 — Surah Ibrahim 14:2

Jiss Allah ka hai jo kuch aamano aur zamin mein hai.aur kafiron kay liye to sakht azab ki kharabi hai

Verse 3 — Surah Ibrahim 14:3

Jo aakhirat kay muqablay mein dunyawi zindagi ko pasand rakhtay hain aur Allah ki raah say roktay hain aur iss mein terh pann peda kerna chahatay hain. Yehi log parli darjay ki gumrahi mein hain

Verse 4 — Surah Ibrahim 14:4

Hum ney her her nabi ko uss ki qomi zaban mein hi bheja hai takay unn kay samney wazahat say biyan ker dey. Abb Allah Taalaa jisay chahaye gumrah ker dey aur jisay chahaye raah dikha dey woh ghalba aur hikmat wala hai

Verse 5 — Surah Ibrahim 14:5

(yaad rakho jabkay) hum ney musa ko apni nishaniyan dey ker bheja kay tu apni qom ko andheron say roshni mein nikal aur enhen Allah kay ehsanaat yaad dila. Iss mein nishaniyan hain her aik sabar shukar kerney wlay kay liye

Verse 6 — Surah Ibrahim 14:6

Jiss waqt musa ney apni qom say kaha kay Allah kay woh ehsanaat yaad kero jo uss ney tum per kiye hain jabkay uss ney tumhen firaoniyon say nijat di jo tumhen baray dukh phonchatay thay. Tumharay larkon ko qatal kertay thay aut tumhari larkiyon ko zinda chortay thay iss mein tumharay rab ki taraf say tum per boht bari aamaeesh thi

Verse 7 — Surah Ibrahim 14:7

Aur jab tumharay perwerdigar ney tumhen aagah kerdiya kay agar tum shukar guzari kero gay to be-shak mein tumhen ziyada doon ga aur agar tum na shukri kero gay to yaqeenan mera azab boht sakht hai

Verse 8 — Surah Ibrahim 14:8

Musa (alh-e-salam) ney kaha kay agar tum sab aur ruy-e-zamin kay tamam insan Allah ki na shukri keren to bhi Allah bey niyaz aur tareefon wala hai

Verse 9 — Surah Ibrahim 14:9

Kiya tumharay pass tum say pehlay kay logon ki khabren nahi aaen? Yani qom-e-nooh ki aur aad-o-samood ki aur unn kay baad walon ki jinhen siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi janta unn kay pass unn kay rasool moajzzay laye lekin unhon ney apney hath apney mun mein daba liye aur saaf keh diya kay jo kuch tumhen dey ker bheja gaya hai hum uss kay munkir hain aur jiss cheez ki taraf tum humen bula rahey ho humen to iss mein bara bhari shuba hai

Verse 10 — Surah Ibrahim 14:10

Unn kay rasoolon ney unhen kaha kay kiya haq taalaa kay baray mein tumhen shak hai jo aasmano aur zamin ka bananey wala hai woh to tumhen iss liye bula raha hai kay tumharay tamam gunah moaf farma dey aur aik muqarrara waqt tak tumhen mohlat ata farmaye unhon ney kaha kay tum to hum jaisay hi insan ho tum chahatay ho kay humen unn khudaon ki ibadat say rok do jin ki ibadat humaray baap dada kertay rahey acha to humaray samney koi khulli daleel paish kero

Verse 11 — Surah Ibrahim 14:11

Unn kay payghumbaron ney unn say kaha yeh to sach hai kay hum tum jaisay hi insan hain lekin Allah Taalaa apney bandon mein say jiss per chahata hai apna fazal kerta hai. Allah kay hukum kay baghair humari majal nahi kay hum koi moajzza tumhen laa dikhayen aur eman walon ko sirf Allah Taalaa hi per bharosa rakhna chahiye

Verse 12 — Surah Ibrahim 14:12

Aakhir kiya waja hai kay hum Allah Taalaa per bharosa na rakhen jabkay ussi ney humen humari rahen sujhaee hain. Wallah jo ezayen tum humen do gay hum unn per sabar hi keren gay. Tawakkal kerney walon ko yehi laeeq hai kay Allah hi per tawakkal keren

Verse 13 — Surah Ibrahim 14:13

Kafiron ney apney rasoolon say kaha kay hum tumhen mulk badar ker den gay ya tum phir say humaray mazhab mein lot aao. To unn kay perwerdigar ney unn ki taraf waahee bheji kay hum inn zalimon ko hi ghaarat ker den gay

Verse 14 — Surah Ibrahim 14:14

Aur inn kay baad hum khud tumhen iss zamin mein basayen gay. Yeh hai unn kay liye jo meray samney kharay honey ka darr rakhen aur meri waeed say khofzada rahen

Verse 15 — Surah Ibrahim 14:15

Aur unhon ney faisla talab kiya aur tamam sirkash ziddi log na murad hogaye

Verse 16 — Surah Ibrahim 14:16

Uss kay samney dozakh hai jahan woh peep ka pani pilaya jaye ga

Verse 17 — Surah Ibrahim 14:17

Jisay ba mushkil ghoont ghoont piye ga. Phir bhi ussay galay say utaar na sakay ga aur ussay her jagah say maut aati dikhaee dey gi lekin woh marney wala nahi. Phir uss kay peechay bhi sakhta azab hai

Verse 18 — Surah Ibrahim 14:18

Unn logon ki misal jihon ney apney paalney walay say kufur kiya unn kay aemaal misil uss raakh kay hain jiss per tez hawa aandhi walay din chalay. Jo bhi unhon ney kiya uss mein say kissi cheez per qadir na hongay yehi door ki gumrahi hai

Verse 19 — Surah Ibrahim 14:19

Kiya tu ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney aasmano ko aur zamin ko behtareen tedbeer kay sath peda kiya hai. Agar woh chahaye to tum sab ko fana ker dey aur naee makhlooq laye

Verse 20 — Surah Ibrahim 14:20

Allah per yeh kaam kuch bhi mushkil nahi

Verse 21 — Surah Ibrahim 14:21

Sab kay sab Allah kay samney roo-baroo kharay hongay uss waqt kamzor log baraee walon say kahen gay hum to tumharay tabeydaar thay to kiys tum Allah kay azabon mein say kuch azab hum say door ker sakney walay ho? Woh jawab den gay kay agar Allah humen hidayat deta to hum bhi zaroor tumhari rehnumaee kertay abb to hum per bey qarari kerna aur sabar kerna dono hi barabar hai humaray liye koi chutkara nahi

Verse 22 — Surah Ibrahim 14:22

Jab aur kaam ka faisla ker diya hayega to shetan kahey ga kay Allah ney to tumhen sacha wada diya tha aur mein ney tum say jo waday kiye thay unn ka khilaf kiya mera tum per koi dabao to tha hi nahi haan mein ney tumhen pukara aur tum ney meri maan li pus tum mujhay ilzam na lagao bulkay khud apney aap ko malamat kero na mein tumhara faryad rus aur na tum meri faryad ko phonchney walay mein to siray say manta hi nahi kay tum mujhay iss say pehlay Allah ka shareek mantay rahey yaqeenan zalimon kay liye dard naak azab hai

Verse 23 — Surah Ibrahim 14:23

Jo log eman laye aur nek amal kiye woh inn jannaton mein dakhil kiye jayen gay jin kay neechay chashmay jari hain jahan unhen hameshgi hogi apney rab kay hukum say. Jahan unn ka khair maqdam salam say hoga

Verse 24 — Surah Ibrahim 14:24

Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney pakeeza baat ki misal kiss tarah biyan farmaee misil aik pakeeza darakht kay jiss ki jarr mazboot hai aur jiss ki tehniyan aasman mein hain

Verse 25 — Surah Ibrahim 14:25

Jo apney perwerdigar kay hukum say her waqt apney phal laata hai aur Allah Taalaa logon kay samney misalen biyan farmata hai takay woh nasheehat hasil keren

Verse 26 — Surah Ibrahim 14:26

Aur na pak baat ki misal ganday darakht jaisi hai jo zamin kay kuch hi upper say ukhaar liya gaya. Issay kuch sabaat to hai hi nahi

Verse 27 — Surah Ibrahim 14:27

Eman walon ko Allah Taalaa pakki baat kay sath mazboot rakhta hai duniya ki zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi haan na insaf logon ko Allah behka deta hai aur Allah jo chahaye ker guzray

Verse 28 — Surah Ibrahim 14:28

Kiya aap ney unn ki taraf nazar nahi daali jinhon ney Allah ki nemat kay badley na shukri ki aur apni qom ko halakat kay ghar mein laa utara

Verse 29 — Surah Ibrahim 14:29

Yani dozakh mein jiss mien yeh sab jayen gay jo bad tareen thikana hai

Verse 30 — Surah Ibrahim 14:30

Enhon ney Allah kay humsar bana liye kay logon ko Allah ki raah say behkayen. Aap keh dijiye kay khair mazay kerlo tumhari baaz gasht to aakhir jahannum hi hai

Verse 31 — Surah Ibrahim 14:31

Meray eman walay bandon say keh dijiye kay namazon ko qaeem rakhen aur jo kuch hum ney dey rakha hai uss mein say kuch na kuch posheeda aur zahir kharach kertay rahen iss say pehlay kay woh din aajaye jiss mein na kharid-o-farokht hogi na dosti aur mohabbat

Verse 32 — Surah Ibrahim 14:32

Allah woh hai jiss ney aasmanon aur zamin ko peda kiya hai aur aasmanon say barish barsa ker iss kay zariye say tumhari rozi kay liye phal nikaley hain aur kashtiyon ko tumharay bus mein ker diya hai kay daryaon mein uss kay hukum say chalen phiren. Ussi ney nadiyan aur nehren tumharay ikhtiyar mein ker di hain

Verse 33 — Surah Ibrahim 14:33

Ussi ney tumharay liye sooraj chand ko musakhar kerdiya hai kay barabar hi chal rahey hain aur raat din ko bhi tumharay kaam mein laga rakha hai

Verse 34 — Surah Ibrahim 14:34

Ussi ney tumhen tumhari mun mangi kul cheezon mein say dey rakha hai. Agar tum Allah kay ehsan ginna chahao to unhen pooray ginn bhi nahi saktay. Yaqeenan insan bara hi bey insaf aur na shukra hai

Verse 35 — Surah Ibrahim 14:35

(Ibrahim ki yeh dua bhi yaad kero) jab unhon ney kaha kay aey meray perwerdigar! Iss shehar ko aman wala bana dey aur mujhay aur meri aulad ko butt parasti say panah dey

Verse 36 — Surah Ibrahim 14:36

Aey meray paalney walay mabood! Enhon ney boht say logon ko raah say bhatka diya hai. Pus meri tabeydaari kerney wala mera hai aur jo meri na farmani keray to tu boht hi moaf aur karam kerney wala hai

Verse 37 — Surah Ibrahim 14:37

Aey humaray perwerdigar! Mein ney apni kuch aulad iss bey kheti ki wadi mein teray hurmat walay ghar kay pass basaee hai. Aey humaray perwerdigar! Yeh iss liye kay woh namaz qaeem rakhen pus to kuch logon kay dilon ko inn ki taraf maeel ker dey. Aur enhen phalon ki roiziyan inayat farma takay yeh shukar guzari keren

Verse 38 — Surah Ibrahim 14:38

Aey humaray perwerdigar! Tu khoob janta hai jo hum chupayen aur jo zahir keren. Zamin-o-aasman ki koi cheez Allah per posheeda nahi

Verse 39 — Surah Ibrahim 14:39

Allah ka shukar hai jiss ney mujhay iss burhapay mein ismail (alh-e-salam) aur ishaq (alh-e-salam) ata farmaye. Kuch shak nahi kay mera palanhaar Allah duaon ka sunnay wala hai

Verse 40 — Surah Ibrahim 14:40

Aey meray paalney walay! Mujhay namaz ka paband rakh aur meri aulad say bhi aey humaray rab meri dua qabool farma

Verse 41 — Surah Ibrahim 14:41

Aey humaray perwerdigar! Mujhay bakhsh dey aur meray maa baap ko bhi bakhsh aur digar momino ko bhi bakhsh jiss din hisab honey lagay

Verse 42 — Surah Ibrahim 14:42

Na insafon kay aemaal say Allah ko ghafil na samajh woh to enhen uss din tak mohlat diye huye hai jiss din aankhen phati ki phati reh jayen gi

Verse 43 — Surah Ibrahim 14:43

Woh apney sir upper uthaye dor bhaag ker rahey hongay khud apni taraf bhi inn ki nighayen na loten gi aur inn kay dil khali aur array huye hongay

Verse 44 — Surah Ibrahim 14:44

Logon ko uss din say hoshiyaar ker dey jab kay unn kay pass azab aajaye ga aur zalim kahen gay aey humaray rab humen boht thoray qarib kay waqt tak ki hi mohlat dey kay hum teri tableegh maan len aur teray payghumbaron ki tabeydaari mein lagg jayen. Kiya tum iss say pehlay bhi qasmen nahi kha rahey thay? Kay tumharay liye duniya say talna hi nahi

Verse 45 — Surah Ibrahim 14:45

Aur kiya tum inn logon kay gharon mein rehtay sehtay na thay jinhon ney apni jano per zulm kiya aur kiya tum per woh moamla khula nahi kay hum ney unn kay sath kaisa kuch kiya. Hum ney (to tumharay samjhaney ko) boht si misalen biyan ker di thin

Verse 46 — Surah Ibrahim 14:46

Yeh apni apni chalen chal rahey hain aur Allah ko inn ki tamam chalon ka ilm hai aur inn ki chalen aisi na thin kay unn say pahar apni jagah say tal jayen

Verse 47 — Surah Ibrahim 14:47

Aap hergiz yeh khayal na keren kay Allah apney nabiyon say wada khilafi keray ga Allah bara hi ghalib aur badla lenay wala hai

Verse 48 — Surah Ibrahim 14:48

Jiss din zamin iss zamin kay siwa aur hi badal dijayegi aur aasman bhi aur sab kay sab Allah wahid ghalbay walay kay roo-baroo hongay

Verse 49 — Surah Ibrahim 14:49

Aap uss din gunehgaron ko dekhen gay kay zanjeeron mein milay julay aik jagah jakray huye hongay

Verse 50 — Surah Ibrahim 14:50

Unn kay libad gandhak kay hongay aur aag unn kay chehron per bhi charhi hui hogi

Verse 51 — Surah Ibrahim 14:51

Yeh iss liye kay Allah Taalaa her shaks ko uss kay kiye huye aemaal ka badla dey be-shak Allah Taalaa ko hisab letay kuch dair nahi lagney ki

Verse 52 — Surah Ibrahim 14:52

Yeh quran tamam logon kay liye itlaa naama hai kay iss kay zariye say woh hoshiyaar ker diye jayen aur bakhoobhi maloom kerlen kay Allah aik hi mabood hai aur takay aqal mand log soch samajh len