Alif-laam-raa! Yeh aali shaan kitab hum ney aap ki taraf utari hai kay aap logon ko andheron say ujalay ki taraf layen inn kay perwerdigar kay hukum say zabardast aur tareefon walay Allah ki taraf
Jo aakhirat kay muqablay mein dunyawi zindagi ko pasand rakhtay hain aur Allah ki raah say roktay hain aur iss mein terh pann peda kerna chahatay hain. Yehi log parli darjay ki gumrahi mein hain
Hum ney her her nabi ko uss ki qomi zaban mein hi bheja hai takay unn kay samney wazahat say biyan ker dey. Abb Allah Taalaa jisay chahaye gumrah ker dey aur jisay chahaye raah dikha dey woh ghalba aur hikmat wala hai
(yaad rakho jabkay) hum ney musa ko apni nishaniyan dey ker bheja kay tu apni qom ko andheron say roshni mein nikal aur enhen Allah kay ehsanaat yaad dila. Iss mein nishaniyan hain her aik sabar shukar kerney wlay kay liye
Jiss waqt musa ney apni qom say kaha kay Allah kay woh ehsanaat yaad kero jo uss ney tum per kiye hain jabkay uss ney tumhen firaoniyon say nijat di jo tumhen baray dukh phonchatay thay. Tumharay larkon ko qatal kertay thay aut tumhari larkiyon ko zinda chortay thay iss mein tumharay rab ki taraf say tum per boht bari aamaeesh thi
Aur jab tumharay perwerdigar ney tumhen aagah kerdiya kay agar tum shukar guzari kero gay to be-shak mein tumhen ziyada doon ga aur agar tum na shukri kero gay to yaqeenan mera azab boht sakht hai
Kiya tumharay pass tum say pehlay kay logon ki khabren nahi aaen? Yani qom-e-nooh ki aur aad-o-samood ki aur unn kay baad walon ki jinhen siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi janta unn kay pass unn kay rasool moajzzay laye lekin unhon ney apney hath apney mun mein daba liye aur saaf keh diya kay jo kuch tumhen dey ker bheja gaya hai hum uss kay munkir hain aur jiss cheez ki taraf tum humen bula rahey ho humen to iss mein bara bhari shuba hai
Unn kay rasoolon ney unhen kaha kay kiya haq taalaa kay baray mein tumhen shak hai jo aasmano aur zamin ka bananey wala hai woh to tumhen iss liye bula raha hai kay tumharay tamam gunah moaf farma dey aur aik muqarrara waqt tak tumhen mohlat ata farmaye unhon ney kaha kay tum to hum jaisay hi insan ho tum chahatay ho kay humen unn khudaon ki ibadat say rok do jin ki ibadat humaray baap dada kertay rahey acha to humaray samney koi khulli daleel paish kero
Unn kay payghumbaron ney unn say kaha yeh to sach hai kay hum tum jaisay hi insan hain lekin Allah Taalaa apney bandon mein say jiss per chahata hai apna fazal kerta hai. Allah kay hukum kay baghair humari majal nahi kay hum koi moajzza tumhen laa dikhayen aur eman walon ko sirf Allah Taalaa hi per bharosa rakhna chahiye
Aakhir kiya waja hai kay hum Allah Taalaa per bharosa na rakhen jabkay ussi ney humen humari rahen sujhaee hain. Wallah jo ezayen tum humen do gay hum unn per sabar hi keren gay. Tawakkal kerney walon ko yehi laeeq hai kay Allah hi per tawakkal keren
Kafiron ney apney rasoolon say kaha kay hum tumhen mulk badar ker den gay ya tum phir say humaray mazhab mein lot aao. To unn kay perwerdigar ney unn ki taraf waahee bheji kay hum inn zalimon ko hi ghaarat ker den gay
Aur inn kay baad hum khud tumhen iss zamin mein basayen gay. Yeh hai unn kay liye jo meray samney kharay honey ka darr rakhen aur meri waeed say khofzada rahen
Jisay ba mushkil ghoont ghoont piye ga. Phir bhi ussay galay say utaar na sakay ga aur ussay her jagah say maut aati dikhaee dey gi lekin woh marney wala nahi. Phir uss kay peechay bhi sakhta azab hai
Unn logon ki misal jihon ney apney paalney walay say kufur kiya unn kay aemaal misil uss raakh kay hain jiss per tez hawa aandhi walay din chalay. Jo bhi unhon ney kiya uss mein say kissi cheez per qadir na hongay yehi door ki gumrahi hai
Kiya tu ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney aasmano ko aur zamin ko behtareen tedbeer kay sath peda kiya hai. Agar woh chahaye to tum sab ko fana ker dey aur naee makhlooq laye
Sab kay sab Allah kay samney roo-baroo kharay hongay uss waqt kamzor log baraee walon say kahen gay hum to tumharay tabeydaar thay to kiys tum Allah kay azabon mein say kuch azab hum say door ker sakney walay ho? Woh jawab den gay kay agar Allah humen hidayat deta to hum bhi zaroor tumhari rehnumaee kertay abb to hum per bey qarari kerna aur sabar kerna dono hi barabar hai humaray liye koi chutkara nahi
Jab aur kaam ka faisla ker diya hayega to shetan kahey ga kay Allah ney to tumhen sacha wada diya tha aur mein ney tum say jo waday kiye thay unn ka khilaf kiya mera tum per koi dabao to tha hi nahi haan mein ney tumhen pukara aur tum ney meri maan li pus tum mujhay ilzam na lagao bulkay khud apney aap ko malamat kero na mein tumhara faryad rus aur na tum meri faryad ko phonchney walay mein to siray say manta hi nahi kay tum mujhay iss say pehlay Allah ka shareek mantay rahey yaqeenan zalimon kay liye dard naak azab hai
Jo log eman laye aur nek amal kiye woh inn jannaton mein dakhil kiye jayen gay jin kay neechay chashmay jari hain jahan unhen hameshgi hogi apney rab kay hukum say. Jahan unn ka khair maqdam salam say hoga
Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney pakeeza baat ki misal kiss tarah biyan farmaee misil aik pakeeza darakht kay jiss ki jarr mazboot hai aur jiss ki tehniyan aasman mein hain
Jo apney perwerdigar kay hukum say her waqt apney phal laata hai aur Allah Taalaa logon kay samney misalen biyan farmata hai takay woh nasheehat hasil keren
Eman walon ko Allah Taalaa pakki baat kay sath mazboot rakhta hai duniya ki zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi haan na insaf logon ko Allah behka deta hai aur Allah jo chahaye ker guzray
Enhon ney Allah kay humsar bana liye kay logon ko Allah ki raah say behkayen. Aap keh dijiye kay khair mazay kerlo tumhari baaz gasht to aakhir jahannum hi hai
Meray eman walay bandon say keh dijiye kay namazon ko qaeem rakhen aur jo kuch hum ney dey rakha hai uss mein say kuch na kuch posheeda aur zahir kharach kertay rahen iss say pehlay kay woh din aajaye jiss mein na kharid-o-farokht hogi na dosti aur mohabbat
Allah woh hai jiss ney aasmanon aur zamin ko peda kiya hai aur aasmanon say barish barsa ker iss kay zariye say tumhari rozi kay liye phal nikaley hain aur kashtiyon ko tumharay bus mein ker diya hai kay daryaon mein uss kay hukum say chalen phiren. Ussi ney nadiyan aur nehren tumharay ikhtiyar mein ker di hain
Ussi ney tumhen tumhari mun mangi kul cheezon mein say dey rakha hai. Agar tum Allah kay ehsan ginna chahao to unhen pooray ginn bhi nahi saktay. Yaqeenan insan bara hi bey insaf aur na shukra hai
(Ibrahim ki yeh dua bhi yaad kero) jab unhon ney kaha kay aey meray perwerdigar! Iss shehar ko aman wala bana dey aur mujhay aur meri aulad ko butt parasti say panah dey
Aey meray paalney walay mabood! Enhon ney boht say logon ko raah say bhatka diya hai. Pus meri tabeydaari kerney wala mera hai aur jo meri na farmani keray to tu boht hi moaf aur karam kerney wala hai
Aey humaray perwerdigar! Mein ney apni kuch aulad iss bey kheti ki wadi mein teray hurmat walay ghar kay pass basaee hai. Aey humaray perwerdigar! Yeh iss liye kay woh namaz qaeem rakhen pus to kuch logon kay dilon ko inn ki taraf maeel ker dey. Aur enhen phalon ki roiziyan inayat farma takay yeh shukar guzari keren
Allah ka shukar hai jiss ney mujhay iss burhapay mein ismail (alh-e-salam) aur ishaq (alh-e-salam) ata farmaye. Kuch shak nahi kay mera palanhaar Allah duaon ka sunnay wala hai
Logon ko uss din say hoshiyaar ker dey jab kay unn kay pass azab aajaye ga aur zalim kahen gay aey humaray rab humen boht thoray qarib kay waqt tak ki hi mohlat dey kay hum teri tableegh maan len aur teray payghumbaron ki tabeydaari mein lagg jayen. Kiya tum iss say pehlay bhi qasmen nahi kha rahey thay? Kay tumharay liye duniya say talna hi nahi
Aur kiya tum inn logon kay gharon mein rehtay sehtay na thay jinhon ney apni jano per zulm kiya aur kiya tum per woh moamla khula nahi kay hum ney unn kay sath kaisa kuch kiya. Hum ney (to tumharay samjhaney ko) boht si misalen biyan ker di thin
Yeh apni apni chalen chal rahey hain aur Allah ko inn ki tamam chalon ka ilm hai aur inn ki chalen aisi na thin kay unn say pahar apni jagah say tal jayen
Yeh quran tamam logon kay liye itlaa naama hai kay iss kay zariye say woh hoshiyaar ker diye jayen aur bakhoobhi maloom kerlen kay Allah aik hi mabood hai aur takay aqal mand log soch samajh len