Back to Languages

Urdu - Chapter 17 - Al-Isra

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Isra 17:1

Pak hai woh Allah Taalaa jo apney bandey ko raat hi raat mein masjid-e-haram say masjid-e-aqsa tak ley gaya jiss kay aas pass hum ney barkat dey rakhi hai iss liye kay ussay apni qudrat kay baaz namoney deikhayen yaqeenan Allah Taalaa hi khoob sunnay dekhney wala hai

Verse 2 — Surah Al-Isra 17:2

Hum ney musa ko kitab di aur ussay bani israeel kay liye hidayat bana diya kay tum meray siwa kissi ko apna kaarsaaz na banana

Verse 3 — Surah Al-Isra 17:3

Aey unn logon ki aulad! Jinhen hum ney nooh kay sath sawar ker diya tha woh humara bara hi shukar guzaar banda tha

Verse 4 — Surah Al-Isra 17:4

Hum ney bano islraeel kay liye unn ki kitab mein saaf faisla ker diya tha kay tum zamin mein doobara fasad barpa kero gay aur tum bari zabardast ziyadtiyan kero gay

Verse 5 — Surah Al-Isra 17:5

Inn dono wadon mein say pehlay kay aatay hi hum ney tumharay muqabley per apney banday bhej diye jo baray hi larakay thay. Pus woh tumharay gharon kay andar tak phel gaye aur Allah ka yeh wada poora hona hi tha

Verse 6 — Surah Al-Isra 17:6

Phir hum ney unn per tumhara ghalba dey ker tumharay din pheray aur maal aur aulad say tumhari madad ki aur tumehn baray juthay wala bana diya

Verse 7 — Surah Al-Isra 17:7

Agar tum ney achay kaam kiye to khud apney hi faeeday kay liye aur agar tum ney buraiyan kin to bhi apney hi liye phir jab doosray waday ka waqt aaya (to hum ney doosray bandon ko bhej diya takay) woh tumharay chehray bigar den aur pehli dafa ki tarah phir ussi masjid mein ghuss jayen. Aur jiss jiss cheez per qaboo payen tor phor ker jarr say ukhar den

Verse 8 — Surah Al-Isra 17:8

Umeed hai kay tumhara rab tum per reham keray. Haan agar tum phir bhi wohi kerney lagay to hum bhi doobara aisa hi keren gay aur hum ney munkiron kay qaid khana jahannum ko bana rakha hai

Verse 9 — Surah Al-Isra 17:9

Yaqeenan yeh quran woh raasta dikhata hai jo boht hi seedha hai aue eman walon ko jo nek aemaal kertay hain iss baat ki khushkhabri deta hai kay unn kay liye boht bara ajar hai

Verse 10 — Surah Al-Isra 17:10

Aur yeh kay jo log aakhirat per yaqeen nahi rakhtay unn kay liye hum ney dardnaak azab tayyar ker rakha hai

Verse 11 — Surah Al-Isra 17:11

Aur insan buraee ki duayen mangney lagta hai bilkul iss ki apni bhalaee ki dua ki tarah insan hai hi bara jald baaz

Verse 12 — Surah Al-Isra 17:12

Hum ney raat aur din ko apni qudrat ki nishaniyan banaee hain raat ki nishani ko to hum ney bey noor ker diya hai aur din ki nishani ko roshan banaya hai takay tum apney rab ka fazal talash ker sako aur iss liye bhi kay barson ka shumar aur hisab maloom ker sako aur her her cheez ko hum ney boht tafseel say biyan farma diya hai

Verse 13 — Surah Al-Isra 17:13

Hum ney her insan ki buraee bhalaee ko uss kay galay laga diya hai aur baroz qayamat hum uss kay samney uss ka naam-e-aemaal nikalen gay jissay woh apney upper khulla hua paa ley ga

Verse 14 — Surah Al-Isra 17:14

Ley! Khus hi apni kitab aap parh ley. Aaj to tu aap hi apna khud hisab lenay ko kafi hai

Verse 15 — Surah Al-Isra 17:15

Jo raah-e-raast hasil kerley woh khud apney hi bhalay kay liye raah yafta hota hai aur jo bhatak jaye uss ka bojh ussi kay upper hai koi bojh wala kissi aur ka bojh apney upper na laaday ga aur humari sunnat nahi kay rasool bhejney say pehlay hi azab kerney lagen

Verse 16 — Surah Al-Isra 17:16

Aur jab hum kissi basti ki halakat ka irada ker letay hain to wahan kay khushaal logon ko (kuch) hukum detay hain aur woh uss basti mein khulli na-farmani kerney lagtay hain to unn per (azab) ki baat sabit hojati hai phir hum ussay tabah-o-barbad ker detay hain

Verse 17 — Surah Al-Isra 17:17

Hum ney nooh kay baad bhi boht si qomen halak kin aur tera rab apney bandon kay gunahon say kafi khabardaar aur khoob dekhney wala hai

Verse 18 — Surah Al-Isra 17:18

Jiss ka irada sirf iss jaldi wali duniya (fori faeeda) ka hi ho ussay hum yahan jiss qadar jiss kay liye chahayen sirdast detay hain bil aakhir uss kay liye jahannum muqarrar ker detay hain jahan woh burray halon dhutkara hua dakhil hoga

Verse 19 — Surah Al-Isra 17:19

Aur jiss ka irada aakhirat ka ho aur jaisi kosish uss kay liye honi chahaye woh kerta bhi ho aur woh baa eman bhi ho pus yehi log hain jin ki kosish ki Allah kay haan poori qadar daani ki jaye gi

Verse 20 — Surah Al-Isra 17:20

Her aik ko hum ba-hum phonchaye jatay hain enhen bhi aur unhen bhi teray perwerdigar kay inamaat mein say. Teray perwerdigar ki bakhsish ruki hui nahi hai

Verse 21 — Surah Al-Isra 17:21

Dekhlay kay inn mein aik ko aik per hum ney kiss tarah fazilat dey rakhi hai aur aakhirat to darjon mein aur bhi barh ker hai aur fazilat kay aetbaar say bhi boht bari hai

Verse 22 — Surah Al-Isra 17:22

Allah kay sath kissi aur ko mabood na thehra kay aakhirish tu buray halon bey kus hoker beht rahey ga

Verse 23 — Surah Al-Isra 17:23

Aur tera perwerdigar saaf saaf hukum dey chuka hai kay tum uss kay siwa kissi aur ki ibadat na kerna aur maa baap kay sath ehsan kerna. Agar teri mojoodgi mein inn mein say aik ya yeh dono burhapay ko phonch jayen to unn kay aagay uff tak na kehna na unhen daant dapat kerna bulkay unn kay sath adab-o-ehtram say baat cheet kerna

Verse 24 — Surah Al-Isra 17:24

Aur aajzi aur mohabbat kay sath unn kay samney tawazo ka bazoo pust rakhay rakhna aur dua kertay rehna kay aey meray perwerdigar! Inn per waisa hi reham ker jaisa enhon ney meray bachpan mein meri perwerish ki hai

Verse 25 — Surah Al-Isra 17:25

Jo kuch tumharay dilon mein hai ussay tumhara rab bakhoobi janta hai agar tum nek ho to woh to tujoo kerney walon ko bakhshney wala hai

Verse 26 — Surah Al-Isra 17:26

Aur rishtay daaron ka aur miskeenon aur musafiron ka haq ada kertay raho aur israaf aur bey jaa kharch say bacho

Verse 27 — Surah Al-Isra 17:27

Bey jaa kharch kerney walay shetano kay bhai hain. Aur shetan apney perwerdigar ka bara hi na shukra hai

Verse 28 — Surah Al-Isra 17:28

Aur agar tujhay inn say mun pher lena paray apney rab ki iss rehmat ki justujoo mein jiss ki tu umeed rakhta hai to bhi tujhay chahiye kay umdagi aur narmi say unhen samjha dey

Verse 29 — Surah Al-Isra 17:29

Apna hath apni gardan say bandha hua na rakh aur na ussay bilkul hi khol dey kay phir malamat kiya hua dar manda beth jaye

Verse 30 — Surah Al-Isra 17:30

Yaqeenan tera rab jiss kay liye chahaye rozi kushada ker deta hai aur jiss kay liye chahaye tang. Yaqeenan woh apney bandon say baa khabar aur khoob dekhney wala hai

Verse 31 — Surah Al-Isra 17:31

Aur muflisi kay khof say apni aulado ko naa maar dalo unn ko aur tum ko hum rozi detay hain . yaqeenan inn ka qatal kerna kabeera gunah hai

Verse 32 — Surah Al-Isra 17:32

Khabrdaar zinna kay qareeb bhi na phatakna kiyon kay woh bari bey hayaee hai aur boht hi buri raah hai

Verse 33 — Surah Al-Isra 17:33

Aur kissi jaan ko jiss ka maarna Allah ney haram ker diya hai hergiz na haq qatal na kerna aur jo shaks mazloom honey ki soorat mein maar dala jaye hum ney uss kay waris ko taqat dey rakhi hai pus ussay chahiye kay maar dalney mein ziyadti na keray be-shak woh madad kiya gaya hai

Verse 34 — Surah Al-Isra 17:34

Aur yateem kay maal kay qareeb bhi na jao ba-juz uss tareeqay kay jo boht hi behtar ho yahan tak kay woh apni balooghat ko phonch jaye aur waday pooray kero kiyon kay qol-o-qarar ki baaz purs honey wali hai

Verse 35 — Surah Al-Isra 17:35

Aur jab naapney lago to bharpoor paymaney say naapo aur seedhi tarazoo say tola kero. Yehi behtar hai aur anjam kay lehaz say bhi boht acha hai

Verse 36 — Surah Al-Isra 17:36

Jiss baat ki tujhay khabar hi na ho uss kay peechay mat parr. Kiyon kaan aur aankh aur dil inn mein say her aik say pooch gooch ki janey wali hai

Verse 37 — Surah Al-Isra 17:37

Aur zamin mein akar ker na chal kay na to tu zamin ko phaar sakta hai aur na lambai mein paharon ko phonch sakta hai

Verse 38 — Surah Al-Isra 17:38

Inn sab kaamon ki buraee teray rab kay nazdeek (sakht) na pasand hai

Verse 39 — Surah Al-Isra 17:39

Yeh bhi munjmila uss wahee kay hai jo teri janib teray rab ney hikmat say utari hai tu Allah kay sath kissi aur ko mabood na banana kay malamat khorda aur raand-e-dargah hoker dozakh mein daal diya jaye

Verse 40 — Surah Al-Isra 17:40

Kiya beton kay liye to Allah ney tumhen chant liya aur khud apney liye farishton ko larkiyan bana lin? Be-shak tum boht bara bol bol rahey ho

Verse 41 — Surah Al-Isra 17:41

Hum ney to iss quran mein her her tarah biyan farma diya kay log samajh jayen lekin iss say enhen to nafrat hi barhti hai

Verse 42 — Surah Al-Isra 17:42

Keh dijiye! Kay Allah kay siwa aur mabood bhi hotay jaisay kay yeh log kehtay hain to zaroor woh abb tak malik-e-arsh ki janib raah dhoond nikaltay

Verse 43 — Surah Al-Isra 17:43

Jo kuch yeh kehtay hain iss say woh pak aur bala tar boht door aur boht buland hai

Verse 44 — Surah Al-Isra 17:44

Saton aasman aur zamin aur jo bhi inn mein hai ussi ki tasbeeh ker rahey hain. Aisi koi cheez nahi jo ussay pakeezgi aur tareef kay sath yaad na kerti ho.haan yeh sahih hai kay tum uss ki tasbeeh samajh nahi saktay. Woh bara burbaar aur bakhshney wala hai

Verse 45 — Surah Al-Isra 17:45

Tu jab quran parhta hai hum teray aur unn logon kay darmiyan jo aakhirat per yaqeen nahi rakhtay aik posheeda hijab daal detay hain

Verse 46 — Surah Al-Isra 17:46

Aur inn kay dilon per hum ney pardey daal diye hain kay woh issay samjhen aur inn kay kano mein bojh aur jab tu sirf Allah hi ka zikar uss ki toheed kay sath iss quran mein kerta hai to woh roo gardani kertay peeth pher ker bhag kharay hotay hain

Verse 47 — Surah Al-Isra 17:47

Jiss gharz say woh log issay suntay hain unn (ki niyaton) say hum khoob aagah hain jab yeh aap ki taraf kaan lagaye huye hotay hain tab bhi aur yeh mashwara kertay hain tab bhi jab kay zalim kehtay hain kay tum uss ki tabeydaari mein lagay huye ho jin per jadoo ker diya gaya hai

Verse 48 — Surah Al-Isra 17:48

Dekhen to sahih aap kay liye kiya kiya misalen biyan kertay hain pus woh behak rahey hain. Abb to raah pana inn kay bus mein nahi raha

Verse 49 — Surah Al-Isra 17:49

Enhon ney kaha kay kiya jab hum haddiyan aur (mitti hoker) reza reza hojayen gay to kiya hum azz sir-e-no peda ker kay phir doobara utha kharay kerdiye jayen gay

Verse 50 — Surah Al-Isra 17:50

Jawab dijiye kay tum pathar bann jao ya loha

Verse 51 — Surah Al-Isra 17:51

Ya koi aur aisi khulqat jo tumharay dilon mein boht hi sakht maloom ho phir woh yeh poochen kay kaun hai jo doobara humari zindagi lotaye? Aap jawab dey den kay wohi Allah jiss ney tumhen awal martaba peda kiya iss per woh apney sir hila hila ker aap say daryaft keren gay kay acha yeh hai kab? To aap jawab dey den kay kiya ajab kay woh (sa’at) qareeb hi aan lagi ho

Verse 52 — Surah Al-Isra 17:52

Jiss din woh tumhen bulaye ga tum uss ki tareef kertay huye tameel-e-irshad kero gay aur gumaan kero gay kay tumhara rehna boht hi thora hai

Verse 53 — Surah Al-Isra 17:53

Aur meray bandon say keh dijiye kay woh boht hi achi baat mun say nikala keren kiyon kay shetan aapas mein fasad dalwata hai. Be-shak shetan insan ka khulla dushman hai

Verse 54 — Surah Al-Isra 17:54

Tumhara rab tum say ba-nisbat tumharay boht ziyada jannay wala hai woh agar chahaye to tum per reham ker dey ya agar woh chahaye tumhen azab dey. Hum ney aap ko inn ka zaimay daar thehra ker nahi bheja

Verse 55 — Surah Al-Isra 17:55

Aasamno-o-zamin mein jo bhi hai aap ka rab sab ko bakhoobi janta hai. Hum ney baaz payghumbaron ko baaz per behtari aur bartari di hai aur dawood ko zaboor hum ney ata farmaee hai

Verse 56 — Surah Al-Isra 17:56

Keh dijiye kay Allah kay siwa jinhen tum mabood samajh rahey ho unhen pukaro lekin na to woh tum say kissi takleef ko door ker saktay hain aur na badal saktay hain

Verse 57 — Surah Al-Isra 17:57

Jinhen yeh log pukartay hain khud woh apney rab kay taqarrub ki justujoo mein rehtay hain kay inn mein say kaun ziyada nazdeek hojaye woh khud uss ki rehmat ki umeed rakhtay aur uss kay azab say khifzada rehtay hain (baat bhi yehi hai) kay teray rab ka azab darney ki cheez hi hai

Verse 58 — Surah Al-Isra 17:58

Jitni bhi bastiyan hain hum qayamat kay din say pehlay pehlay ya to unhen halak ker denay walay hain ya sakht tar azab denay walay hain. Yeh to kitab mein likha ja chuka hai

Verse 59 — Surah Al-Isra 17:59

Humen nishanaat (mojzaat) kay nazil kerney say rok sirf issi ki hai kay aglay log enhen jhutla chuken hain hum ney samoodiyon ko bator baseerat kay oontni di lekin unhon ney uss per zulm kiya hum to logon ko dhamkaney kay liye hi nishaniyan bhejtay hain

Verse 60 — Surah Al-Isra 17:60

Aur yaad kero jabkay hum ney aap say farma diya kay aap kay rab ney logon ko gher liya hai. Jo roya (any royat) hum ney aap ko dikhaee thi woh logon kay liye saaf aazmaeesh hi thi aur issi tarah woh darakht bhi jiss say quran mein izhar-e-nafrat kiya gaya hai. Hum unehn dara rahey hain lekin yeh unhen aur bari sirkashi mein barha raha hai

Verse 61 — Surah Al-Isra 17:61

Aur jab hum ney farishton ko hukum diya kay adam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney kiya uss ney kaha kiya mein ussay sajda keroon jissay tu ney mitti say peda kiya hai

Verse 62 — Surah Al-Isra 17:62

Acha dekh ley issay tu ney mujh per buzrugi to di hai lekin agar mujhay bhi qayamat tak tu ney dheel di to mein iss ki aulad ko ba-juz boht thoray logon kay apney bus mein kerloon ga

Verse 63 — Surah Al-Isra 17:63

Irshad hua kay jaa inn mein say jo bhi tera tabeydaar hojayega to tum sab ki saza jahannum hai jo poora poora badla hai

Verse 64 — Surah Al-Isra 17:64

Inn mein say tu jissay bhi apni aawaz say behka sakay behka ley aur inn per apney sawar aur piyaday charha laa aur inn kay maal aur aulad mein say apna bhi sajha laga aur enhen jhootay waday dey ley. Inn say jitney bhi waday shetan kay hotay hain sab kay sab sirasir fareb hain

Verse 65 — Surah Al-Isra 17:65

Meray sachay bandon per tera koi qaboo aur bus nahi. Tera rab kaarsaazi kerney wala kafi hai

Verse 66 — Surah Al-Isra 17:66

Tera perwerdigar woh hai jo tumharay liye darya mein kashtiyan chalata hai takay tum uss ka fazal talash kero. Won tumharay upper boht hi meharbaan hai

Verse 67 — Surah Al-Isra 17:67

Aur samandaron mein musibat phonchtay hi jinhen tum pukartay thay sab gumm hojatay hain sirf wohi Allah baqi reh jata hai. Phir jab woh tumhen khushki ki taraf bacha laata hai to tum mun pher letay ho aur insan bara hi na shukra hai

Verse 68 — Surah Al-Isra 17:68

To kiya tum iss say bey khof hogaye ho kay tumhen khushki ki taraf (ley jaa ker zamin) mein dhansa dey ya tum per pathron ki aandhi bhej dey. Phir tum apney liye kissi nigehbaan ko na paa sako

Verse 69 — Surah Al-Isra 17:69

Kiya tum iss baat say bey khof hogaye ho kay Allah Taalaa phir tumhen doobara darya kay safar mein ley aaye aur tum per tez-o-tund hawaon kay jhonkay bhej dey aur tumharay kufur kay baees tumhen dobo dey. Phir tum apney liye hum per iss ka dawa (peecha) kerney wala kissi ko na pao

Verse 70 — Surah Al-Isra 17:70

Yaqeenan hum ney aulad-e-adam ko bari izzat di aur unhen khuski aur tari ki sawariyan din aur unhen pakeeza cheezon ki roziyan din aur apni boht si makhlooq per unhen fazilat ata farmaee

Verse 71 — Surah Al-Isra 17:71

Jiss din hum her jamat ko uss kay paishwa samet bulayen gay. Phir jin ka bhi aemaal nama dayen hath mein dey diya gaya woh to shoq say apna naam-e-aemaal parheny lagen gay aur dhagay kay barabar (zarra barabar) bhi zulm na kiye jayen gay

Verse 72 — Surah Al-Isra 17:72

Aur jo koi iss jahan mein andha raha woh aakhirat mein bhi andha aur raastay say boht hi bhatka hua rahey ga

Verse 73 — Surah Al-Isra 17:73

Yeh log aap ko iss wahee say jo hum ney aap per utari hai behkana chahtay hain kay aap iss kay siwa kuch aur hi humaray naam say ghar ghara len tab to aap ko yeh log apna wali dost bana letay

Verse 74 — Surah Al-Isra 17:74

Agar hum aap ko sabit qadam na rakhtay to boht mumkin tha kay inn ki taraf qadray qaleel maeel ho hi jatay

Verse 75 — Surah Al-Isra 17:75

Phir to hum bhi aap ko dohra azab duniya ka kertay aur dohra hi maut ka phir aap to apney liye humaray muqablay mein kissi ko madadgar bhi na patay

Verse 76 — Surah Al-Isra 17:76

Yeh to aap kay qadam iss sir zamin say ukharaney hi lagay thay kay aap ko iss say nikal den. Phir yeh bhi aap kay baad boht hi kum thehar patay

Verse 77 — Surah Al-Isra 17:77

Aisa hi dastoor unn ka tha jo aap say pehlay rasool hum ney bhejay aur aap humaray dastoor mein kabhi radd-o-badal na payen gay

Verse 78 — Surah Al-Isra 17:78

Namaz ko qaeem keren aftab kay dhalney say ley ker raat ki tareeki tak aur fajar ka quran parhna bhi yaqeenan fajar kay waqt ka quran parhna hazir kiya gaya hai

Verse 79 — Surah Al-Isra 17:79

Raat kay kuch hissay mein tahajjud ki namaz mein quran ki tilawat keren yeh ziyadti aap kay liye hai un-qarib aap ka rab aap ko muqam-e-mehmood mein khara keray ga

Verse 80 — Surah Al-Isra 17:80

Aur dua kiya keren kay aey meray perwerdigar mujhay jahan ley jaa achi tarah ley jaa aur jahan say nikal achi tarah nikal aur meray liye apney pass say ghalba aur imdad muqarrar farma dey

Verse 81 — Surah Al-Isra 17:81

Aur ailaan kerdey kay haq aa chuka aur na haq nabood hogaya. Yaqeenan baatil tha bhi nabood honey wala

Verse 82 — Surah Al-Isra 17:82

Yeh quran jo hum nazil ker rahey hain momino kay liye to sirasir shifa aur rehmat hai. Haan zalimon kay ba-juz nuksan kay aur koi ziyadti nahi hoti

Verse 83 — Surah Al-Isra 17:83

Aur insan per jab hum apna inam kertay hain to mun mor leta hai aur kerwat badal leta hai aur jab issay koi takleef phonchti hai to woh mayus ho jata hai

Verse 84 — Surah Al-Isra 17:84

Keh dijiye! Kay her shaks apney tareeqay per aamil hai jo poori hidayat kay raastay per hain unhen tumhara rab hi bakhoobi jannay wala hai

Verse 85 — Surah Al-Isra 17:85

Aur yeh log aap say rooh ki babat sawal kertay hain aap jawab dey dijiye kay rooh meray rab kay hukum say hai aur tumhen boht hi kum ilm diya gaya hai

Verse 86 — Surah Al-Isra 17:86

Aur agar hum chahayen to jo wahee aap ki taraf hum ney utari hai sab salb ker len phir aap ko iss kay liye humaray muqablay mein koi himayati mayassar na aa sakay

Verse 87 — Surah Al-Isra 17:87

Siwaye aap kay rab ki rehmat kay yaqeenan aap per uss ka bara hi fazal hai

Verse 88 — Surah Al-Isra 17:88

Keh dijiye kay agar tamam insan aur kul jinnat mill ker iss quran kay misil lana chahayen to inn sab say iss kay misil lana na mumkin hai qo woh (aapas mein) aik doosray kay madadgar bhi bann jayen

Verse 89 — Surah Al-Isra 17:89

Hum ney to iss quran mein logon kay samjhney kay liye her tarah say tamam misalen biyan ker di hain magar aksat log inkar say baaz nahi aatay

Verse 90 — Surah Al-Isra 17:90

Enhon ney kaha hum aap per hergiz eman laney kay nahi ta-waqt-e-kay aap humaray liye zamin say koi chashma jari na ker den

Verse 91 — Surah Al-Isra 17:91

Ya khud aap kay liye hi koi baagh ho khujooron aur anguron ka aur iss kay darmiyan aap boht si nehren jari ker dikhayen

Verse 92 — Surah Al-Isra 17:92

Ya aap aasman ko hum per tukray tukray ker kay gira den jaisa kay aap ka guman hai ya aap khud Allah Taalaa ko aur farishton ko humaray samney laa khara keren

Verse 93 — Surah Al-Isra 17:93

Ya aap kay apney liye koi soney ka ghar ho jaye ya aap aasman per charh jayen aur hum to aap kay charh janey ka bhi uss waqt tak hergiz yaqeen nahi keren gay jab tak aap hum per koi kitab na utaar layen jissay hum khud parh len aap jawab dey den kay mera perwerdigar pak hai mein to sirf aik insan hi hun jo rasool banaya gaya hun

Verse 94 — Surah Al-Isra 17:94

Logon kay pass hidayat phonch chukney kay baad eman say rokney wali sirf yehi cheez rahi kay unhon ney kaha kiya Allah ney aik insan ko hi rasool bana ker bheja

Verse 95 — Surah Al-Isra 17:95

Aap keh den kay agar zamin mein farishtay chaltay phirtay aur rehtay bastay hotay to hum bhi inn kay pass kissi aasmani farishtay ho ko rasool bana ker bhejtay

Verse 96 — Surah Al-Isra 17:96

Keh dijiye kay meray aur tumharay darmiyan Allah Taalaa ka gawah hona kafi hai. Woh apney bandon say khoob aagah aur bakhoobi dekhney wala hai

Verse 97 — Surah Al-Isra 17:97

Allah jiss ki rehnumaee keray woh to hidayat yafta hai aur jissay woh raah say bhatka dey na mumkin hai kay tu uss ka madadgar uss kay siwa kissi aur ko paye aisay logon ko hum baroz qayamat ondhay mun hashar keren gay daran halankay woh andhay goongay aur behray hongay unn ka thikana jahannum hoga. Jab kabhi woh bujhney lagay gi hum unn per ussay aur bharka den gay

Verse 98 — Surah Al-Isra 17:98

Yeh sab humari aayaton say kufur kerney aur uss kehney ka badla hai kay kiya jab hum hadiyan aur rezay rezay hojayen gay phir hum naee pedaeesh mein utha kharay kiye jayen gay

Verse 99 — Surah Al-Isra 17:99

Kiya enhon ney iss baat per nazar nahi ki jiss Allah ney aasman-o-zamin ko peda kiya hai woh inn jaison ki pedaeesh per poora qadir hai ussi ney inn kay liye aik aisa waqt muqarrar ker rakha hai jo shak-o-shubay say yaksar khali hai lekin zalim log inkar kiye baghair rehtay hi nahi

Verse 100 — Surah Al-Isra 17:100

Keh dijiye kay agar bil farz tum meray rab ki rehmaton kay khazanon kay malik bann jatay to tum uss waqt bhi uss kay kharch ho janey kay khof say uss ko rokay rakhtay aur insan hai hi tang dil

Verse 101 — Surah Al-Isra 17:101

Hum ney musa ko no moajzzay bilkul saaf saaf ata farmaye tu khud hi bani isaeel say pooch ley kay jab woh inn kay pass phonchay to firaon bola kay aey musa! Meray khayal mein to tujh per jadoo ker diya gaya hai

Verse 102 — Surah Al-Isra 17:102

Musa ney jawab diya kay yeh to tujhay ilm ho chuka hai kay aasman-o-zamin kay perwerdigar hi ney yeh moajzzay dikhaney samjhaney ko nazil farmaye hain aey firaon! Mein to samajh raha hun kay tu yaqeenan barbad-o-halak kiya gaya hai

Verse 103 — Surah Al-Isra 17:103

Aakhri firaon ney pukhta irada ker liya kay unhen zamin say hi ukher dey to hum ney khud ussay aur uss kay tamam sathiyon ko gharq ker diya

Verse 104 — Surah Al-Isra 17:104

Iss ka baad hum ney bani isaraeel say farma diya kay iss sir zamin per tum raho saho haan jab aakhirat ka wada aaye ga hum tum sab ko samet aur lapet ker ley aayen gay

Verse 105 — Surah Al-Isra 17:105

Aur hum ney iss quran ko haq kay sath utara aur yeh bhi haq kay sath utra. Hum ney aap ko sirf khushkhabri sunaney wala aur daraney wala bana ker bheja hai

Verse 106 — Surah Al-Isra 17:106

Quran ko hum ney thora thora ker kay iss liye utara hai kay aap issay ba-mohlat logon ko sunayen aur hum ney khud bhi issay ba-tadreej nazil farmaya

Verse 107 — Surah Al-Isra 17:107

Keh dijiye! Tum iss per eman laao ya na laao jinehn iss say pehlay ilm diya gaya hai unn kay pass to jab bhi iss ki tilawat ki jati hai to woh thoriyon kay bal sajda mein gir partay hain

Verse 108 — Surah Al-Isra 17:108

Aur kehtay hain kay humara rab pak hai humaray rab ka wada bila shak-o-shuba poora ho ker rehney wala hi hai

Verse 109 — Surah Al-Isra 17:109

Woh apni thoriyon kay bal rotay huye sajday mein gir partay hain aur yeh quran unn ki aajzi aur khushoo aur khuzoo barha deta hai

Verse 110 — Surah Al-Isra 17:110

Keh dijiye kay Allah ko Allah keh ker pulkaro ya rehman keh ker jiss naam say bhi pukaro tamam achay naam ussi kay hain. Na to tu apni namaz boht buland aawaz say parh aur na bilkul posheeda balkay iss kay darmiyan ka raasta talash kerley

Verse 111 — Surah Al-Isra 17:111

Aur yeh keh dijiye kay tamam tareefen Allah hi kay liye hain jo na aulad rakhta hai na apni badshaat mein kissi ko shareek aur saajhi rakhta hai aur na woh kamzor hai kay ussay kissi himayati ki zaroorat ho aur tu uss ki poori poori baraee biyan kerta reh