Pak hai woh Allah Taalaa jo apney bandey ko raat hi raat mein masjid-e-haram say masjid-e-aqsa tak ley gaya jiss kay aas pass hum ney barkat dey rakhi hai iss liye kay ussay apni qudrat kay baaz namoney deikhayen yaqeenan Allah Taalaa hi khoob sunnay dekhney wala hai
Hum ney bano islraeel kay liye unn ki kitab mein saaf faisla ker diya tha kay tum zamin mein doobara fasad barpa kero gay aur tum bari zabardast ziyadtiyan kero gay
Inn dono wadon mein say pehlay kay aatay hi hum ney tumharay muqabley per apney banday bhej diye jo baray hi larakay thay. Pus woh tumharay gharon kay andar tak phel gaye aur Allah ka yeh wada poora hona hi tha
Agar tum ney achay kaam kiye to khud apney hi faeeday kay liye aur agar tum ney buraiyan kin to bhi apney hi liye phir jab doosray waday ka waqt aaya (to hum ney doosray bandon ko bhej diya takay) woh tumharay chehray bigar den aur pehli dafa ki tarah phir ussi masjid mein ghuss jayen. Aur jiss jiss cheez per qaboo payen tor phor ker jarr say ukhar den
Umeed hai kay tumhara rab tum per reham keray. Haan agar tum phir bhi wohi kerney lagay to hum bhi doobara aisa hi keren gay aur hum ney munkiron kay qaid khana jahannum ko bana rakha hai
Yaqeenan yeh quran woh raasta dikhata hai jo boht hi seedha hai aue eman walon ko jo nek aemaal kertay hain iss baat ki khushkhabri deta hai kay unn kay liye boht bara ajar hai
Hum ney raat aur din ko apni qudrat ki nishaniyan banaee hain raat ki nishani ko to hum ney bey noor ker diya hai aur din ki nishani ko roshan banaya hai takay tum apney rab ka fazal talash ker sako aur iss liye bhi kay barson ka shumar aur hisab maloom ker sako aur her her cheez ko hum ney boht tafseel say biyan farma diya hai
Hum ney her insan ki buraee bhalaee ko uss kay galay laga diya hai aur baroz qayamat hum uss kay samney uss ka naam-e-aemaal nikalen gay jissay woh apney upper khulla hua paa ley ga
Jo raah-e-raast hasil kerley woh khud apney hi bhalay kay liye raah yafta hota hai aur jo bhatak jaye uss ka bojh ussi kay upper hai koi bojh wala kissi aur ka bojh apney upper na laaday ga aur humari sunnat nahi kay rasool bhejney say pehlay hi azab kerney lagen
Aur jab hum kissi basti ki halakat ka irada ker letay hain to wahan kay khushaal logon ko (kuch) hukum detay hain aur woh uss basti mein khulli na-farmani kerney lagtay hain to unn per (azab) ki baat sabit hojati hai phir hum ussay tabah-o-barbad ker detay hain
Jiss ka irada sirf iss jaldi wali duniya (fori faeeda) ka hi ho ussay hum yahan jiss qadar jiss kay liye chahayen sirdast detay hain bil aakhir uss kay liye jahannum muqarrar ker detay hain jahan woh burray halon dhutkara hua dakhil hoga
Aur jiss ka irada aakhirat ka ho aur jaisi kosish uss kay liye honi chahaye woh kerta bhi ho aur woh baa eman bhi ho pus yehi log hain jin ki kosish ki Allah kay haan poori qadar daani ki jaye gi
Her aik ko hum ba-hum phonchaye jatay hain enhen bhi aur unhen bhi teray perwerdigar kay inamaat mein say. Teray perwerdigar ki bakhsish ruki hui nahi hai
Dekhlay kay inn mein aik ko aik per hum ney kiss tarah fazilat dey rakhi hai aur aakhirat to darjon mein aur bhi barh ker hai aur fazilat kay aetbaar say bhi boht bari hai
Aur tera perwerdigar saaf saaf hukum dey chuka hai kay tum uss kay siwa kissi aur ki ibadat na kerna aur maa baap kay sath ehsan kerna. Agar teri mojoodgi mein inn mein say aik ya yeh dono burhapay ko phonch jayen to unn kay aagay uff tak na kehna na unhen daant dapat kerna bulkay unn kay sath adab-o-ehtram say baat cheet kerna
Aur aajzi aur mohabbat kay sath unn kay samney tawazo ka bazoo pust rakhay rakhna aur dua kertay rehna kay aey meray perwerdigar! Inn per waisa hi reham ker jaisa enhon ney meray bachpan mein meri perwerish ki hai
Aur agar tujhay inn say mun pher lena paray apney rab ki iss rehmat ki justujoo mein jiss ki tu umeed rakhta hai to bhi tujhay chahiye kay umdagi aur narmi say unhen samjha dey
Yaqeenan tera rab jiss kay liye chahaye rozi kushada ker deta hai aur jiss kay liye chahaye tang. Yaqeenan woh apney bandon say baa khabar aur khoob dekhney wala hai
Aur kissi jaan ko jiss ka maarna Allah ney haram ker diya hai hergiz na haq qatal na kerna aur jo shaks mazloom honey ki soorat mein maar dala jaye hum ney uss kay waris ko taqat dey rakhi hai pus ussay chahiye kay maar dalney mein ziyadti na keray be-shak woh madad kiya gaya hai
Aur yateem kay maal kay qareeb bhi na jao ba-juz uss tareeqay kay jo boht hi behtar ho yahan tak kay woh apni balooghat ko phonch jaye aur waday pooray kero kiyon kay qol-o-qarar ki baaz purs honey wali hai
Yeh bhi munjmila uss wahee kay hai jo teri janib teray rab ney hikmat say utari hai tu Allah kay sath kissi aur ko mabood na banana kay malamat khorda aur raand-e-dargah hoker dozakh mein daal diya jaye
Saton aasman aur zamin aur jo bhi inn mein hai ussi ki tasbeeh ker rahey hain. Aisi koi cheez nahi jo ussay pakeezgi aur tareef kay sath yaad na kerti ho.haan yeh sahih hai kay tum uss ki tasbeeh samajh nahi saktay. Woh bara burbaar aur bakhshney wala hai
Aur inn kay dilon per hum ney pardey daal diye hain kay woh issay samjhen aur inn kay kano mein bojh aur jab tu sirf Allah hi ka zikar uss ki toheed kay sath iss quran mein kerta hai to woh roo gardani kertay peeth pher ker bhag kharay hotay hain
Jiss gharz say woh log issay suntay hain unn (ki niyaton) say hum khoob aagah hain jab yeh aap ki taraf kaan lagaye huye hotay hain tab bhi aur yeh mashwara kertay hain tab bhi jab kay zalim kehtay hain kay tum uss ki tabeydaari mein lagay huye ho jin per jadoo ker diya gaya hai
Ya koi aur aisi khulqat jo tumharay dilon mein boht hi sakht maloom ho phir woh yeh poochen kay kaun hai jo doobara humari zindagi lotaye? Aap jawab dey den kay wohi Allah jiss ney tumhen awal martaba peda kiya iss per woh apney sir hila hila ker aap say daryaft keren gay kay acha yeh hai kab? To aap jawab dey den kay kiya ajab kay woh (sa’at) qareeb hi aan lagi ho
Aur meray bandon say keh dijiye kay woh boht hi achi baat mun say nikala keren kiyon kay shetan aapas mein fasad dalwata hai. Be-shak shetan insan ka khulla dushman hai
Tumhara rab tum say ba-nisbat tumharay boht ziyada jannay wala hai woh agar chahaye to tum per reham ker dey ya agar woh chahaye tumhen azab dey. Hum ney aap ko inn ka zaimay daar thehra ker nahi bheja
Aasamno-o-zamin mein jo bhi hai aap ka rab sab ko bakhoobi janta hai. Hum ney baaz payghumbaron ko baaz per behtari aur bartari di hai aur dawood ko zaboor hum ney ata farmaee hai
Keh dijiye kay Allah kay siwa jinhen tum mabood samajh rahey ho unhen pukaro lekin na to woh tum say kissi takleef ko door ker saktay hain aur na badal saktay hain
Jinhen yeh log pukartay hain khud woh apney rab kay taqarrub ki justujoo mein rehtay hain kay inn mein say kaun ziyada nazdeek hojaye woh khud uss ki rehmat ki umeed rakhtay aur uss kay azab say khifzada rehtay hain (baat bhi yehi hai) kay teray rab ka azab darney ki cheez hi hai
Jitni bhi bastiyan hain hum qayamat kay din say pehlay pehlay ya to unhen halak ker denay walay hain ya sakht tar azab denay walay hain. Yeh to kitab mein likha ja chuka hai
Humen nishanaat (mojzaat) kay nazil kerney say rok sirf issi ki hai kay aglay log enhen jhutla chuken hain hum ney samoodiyon ko bator baseerat kay oontni di lekin unhon ney uss per zulm kiya hum to logon ko dhamkaney kay liye hi nishaniyan bhejtay hain
Aur yaad kero jabkay hum ney aap say farma diya kay aap kay rab ney logon ko gher liya hai. Jo roya (any royat) hum ney aap ko dikhaee thi woh logon kay liye saaf aazmaeesh hi thi aur issi tarah woh darakht bhi jiss say quran mein izhar-e-nafrat kiya gaya hai. Hum unehn dara rahey hain lekin yeh unhen aur bari sirkashi mein barha raha hai
Aur jab hum ney farishton ko hukum diya kay adam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney kiya uss ney kaha kiya mein ussay sajda keroon jissay tu ney mitti say peda kiya hai
Acha dekh ley issay tu ney mujh per buzrugi to di hai lekin agar mujhay bhi qayamat tak tu ney dheel di to mein iss ki aulad ko ba-juz boht thoray logon kay apney bus mein kerloon ga
Inn mein say tu jissay bhi apni aawaz say behka sakay behka ley aur inn per apney sawar aur piyaday charha laa aur inn kay maal aur aulad mein say apna bhi sajha laga aur enhen jhootay waday dey ley. Inn say jitney bhi waday shetan kay hotay hain sab kay sab sirasir fareb hain
Tera perwerdigar woh hai jo tumharay liye darya mein kashtiyan chalata hai takay tum uss ka fazal talash kero. Won tumharay upper boht hi meharbaan hai
Aur samandaron mein musibat phonchtay hi jinhen tum pukartay thay sab gumm hojatay hain sirf wohi Allah baqi reh jata hai. Phir jab woh tumhen khushki ki taraf bacha laata hai to tum mun pher letay ho aur insan bara hi na shukra hai
To kiya tum iss say bey khof hogaye ho kay tumhen khushki ki taraf (ley jaa ker zamin) mein dhansa dey ya tum per pathron ki aandhi bhej dey. Phir tum apney liye kissi nigehbaan ko na paa sako
Kiya tum iss baat say bey khof hogaye ho kay Allah Taalaa phir tumhen doobara darya kay safar mein ley aaye aur tum per tez-o-tund hawaon kay jhonkay bhej dey aur tumharay kufur kay baees tumhen dobo dey. Phir tum apney liye hum per iss ka dawa (peecha) kerney wala kissi ko na pao
Yaqeenan hum ney aulad-e-adam ko bari izzat di aur unhen khuski aur tari ki sawariyan din aur unhen pakeeza cheezon ki roziyan din aur apni boht si makhlooq per unhen fazilat ata farmaee
Jiss din hum her jamat ko uss kay paishwa samet bulayen gay. Phir jin ka bhi aemaal nama dayen hath mein dey diya gaya woh to shoq say apna naam-e-aemaal parheny lagen gay aur dhagay kay barabar (zarra barabar) bhi zulm na kiye jayen gay
Yeh log aap ko iss wahee say jo hum ney aap per utari hai behkana chahtay hain kay aap iss kay siwa kuch aur hi humaray naam say ghar ghara len tab to aap ko yeh log apna wali dost bana letay
Namaz ko qaeem keren aftab kay dhalney say ley ker raat ki tareeki tak aur fajar ka quran parhna bhi yaqeenan fajar kay waqt ka quran parhna hazir kiya gaya hai
Raat kay kuch hissay mein tahajjud ki namaz mein quran ki tilawat keren yeh ziyadti aap kay liye hai un-qarib aap ka rab aap ko muqam-e-mehmood mein khara keray ga
Aur insan per jab hum apna inam kertay hain to mun mor leta hai aur kerwat badal leta hai aur jab issay koi takleef phonchti hai to woh mayus ho jata hai
Aur agar hum chahayen to jo wahee aap ki taraf hum ney utari hai sab salb ker len phir aap ko iss kay liye humaray muqablay mein koi himayati mayassar na aa sakay
Keh dijiye kay agar tamam insan aur kul jinnat mill ker iss quran kay misil lana chahayen to inn sab say iss kay misil lana na mumkin hai qo woh (aapas mein) aik doosray kay madadgar bhi bann jayen
Ya aap aasman ko hum per tukray tukray ker kay gira den jaisa kay aap ka guman hai ya aap khud Allah Taalaa ko aur farishton ko humaray samney laa khara keren
Ya aap kay apney liye koi soney ka ghar ho jaye ya aap aasman per charh jayen aur hum to aap kay charh janey ka bhi uss waqt tak hergiz yaqeen nahi keren gay jab tak aap hum per koi kitab na utaar layen jissay hum khud parh len aap jawab dey den kay mera perwerdigar pak hai mein to sirf aik insan hi hun jo rasool banaya gaya hun
Logon kay pass hidayat phonch chukney kay baad eman say rokney wali sirf yehi cheez rahi kay unhon ney kaha kiya Allah ney aik insan ko hi rasool bana ker bheja
Aap keh den kay agar zamin mein farishtay chaltay phirtay aur rehtay bastay hotay to hum bhi inn kay pass kissi aasmani farishtay ho ko rasool bana ker bhejtay
Allah jiss ki rehnumaee keray woh to hidayat yafta hai aur jissay woh raah say bhatka dey na mumkin hai kay tu uss ka madadgar uss kay siwa kissi aur ko paye aisay logon ko hum baroz qayamat ondhay mun hashar keren gay daran halankay woh andhay goongay aur behray hongay unn ka thikana jahannum hoga. Jab kabhi woh bujhney lagay gi hum unn per ussay aur bharka den gay
Kiya enhon ney iss baat per nazar nahi ki jiss Allah ney aasman-o-zamin ko peda kiya hai woh inn jaison ki pedaeesh per poora qadir hai ussi ney inn kay liye aik aisa waqt muqarrar ker rakha hai jo shak-o-shubay say yaksar khali hai lekin zalim log inkar kiye baghair rehtay hi nahi
Keh dijiye kay agar bil farz tum meray rab ki rehmaton kay khazanon kay malik bann jatay to tum uss waqt bhi uss kay kharch ho janey kay khof say uss ko rokay rakhtay aur insan hai hi tang dil
Hum ney musa ko no moajzzay bilkul saaf saaf ata farmaye tu khud hi bani isaeel say pooch ley kay jab woh inn kay pass phonchay to firaon bola kay aey musa! Meray khayal mein to tujh per jadoo ker diya gaya hai
Musa ney jawab diya kay yeh to tujhay ilm ho chuka hai kay aasman-o-zamin kay perwerdigar hi ney yeh moajzzay dikhaney samjhaney ko nazil farmaye hain aey firaon! Mein to samajh raha hun kay tu yaqeenan barbad-o-halak kiya gaya hai
Iss ka baad hum ney bani isaraeel say farma diya kay iss sir zamin per tum raho saho haan jab aakhirat ka wada aaye ga hum tum sab ko samet aur lapet ker ley aayen gay
Aur hum ney iss quran ko haq kay sath utara aur yeh bhi haq kay sath utra. Hum ney aap ko sirf khushkhabri sunaney wala aur daraney wala bana ker bheja hai
Keh dijiye! Tum iss per eman laao ya na laao jinehn iss say pehlay ilm diya gaya hai unn kay pass to jab bhi iss ki tilawat ki jati hai to woh thoriyon kay bal sajda mein gir partay hain
Keh dijiye kay Allah ko Allah keh ker pulkaro ya rehman keh ker jiss naam say bhi pukaro tamam achay naam ussi kay hain. Na to tu apni namaz boht buland aawaz say parh aur na bilkul posheeda balkay iss kay darmiyan ka raasta talash kerley
Aur yeh keh dijiye kay tamam tareefen Allah hi kay liye hain jo na aulad rakhta hai na apni badshaat mein kissi ko shareek aur saajhi rakhta hai aur na woh kamzor hai kay ussay kissi himayati ki zaroorat ho aur tu uss ki poori poori baraee biyan kerta reh