Back to Languages

Urdu - Chapter 18 - Al-Kahf

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Kahf 18:1

Tamam tareefen ussi Allah kay liye saza waar hain jiss ney apney bandey per yeh quran utara aur iss mein koi kasar baqi na chori

Verse 2 — Surah Al-Kahf 18:2

Bulkay her tarah say theek thaak rakha takay apney pass ki saza sakht saza say hoshiyar ker dey aur eman laney aur nek amal kerney walon ko khushkhabriyan suna dey kay unn kay liye behtareen badla hai

Verse 3 — Surah Al-Kahf 18:3

Jiss mein woh hamesha hamesha rahen gay

Verse 4 — Surah Al-Kahf 18:4

Aur unn logon ko bhi dara dey jo kehtay hain kay Allah Taalaa aulad rakhta hai

Verse 5 — Surah Al-Kahf 18:5

Dar-haqeeqat na to khud unhen iss ka ilm hai na unn kay baap dadon ko. Yeh tohmat bari buri hai jo inn kay mun say nikal rahi hai woh nira jhoot bak rahey hain

Verse 6 — Surah Al-Kahf 18:6

Pus agar yeh log iss baat per eman na layen to kiya aap inn kay peechay issi ranj mein apni jaan halak ker dalen gay

Verse 7 — Surah Al-Kahf 18:7

Rooy-e-zamin per jo kuch hai hum ney ussay zamin ki ronaq ka baees banaya hai kay hum enhen aazma len kay inn mein say kaun nek aemaal wala hai

Verse 8 — Surah Al-Kahf 18:8

Iss per jo kuch hai hum ussay aik humwaar saaf maidan ker dalney walay hain

Verse 9 — Surah Al-Kahf 18:9

Kiya tu apney khayal mein ghaar aur katbay walon ko humari nishaniyon mein say koi boht ajeeb nishani samjha raha hai

Verse 10 — Surah Al-Kahf 18:10

Unn chand no-jawano ney jab ghaar mein panah li to dua ki kay aey humaray perwerdigar! Humen apney pass say rehmat ata farma aur humaray kaam mein humaray liye raah yabi ko aasan ker dey

Verse 11 — Surah Al-Kahf 18:11

Pus hum ney unn kay kano per ginti kay kaee saal tak issi ghaar mein pardey daal diye

Verse 12 — Surah Al-Kahf 18:12

Phir hum ney unehn utha khara kiya kay hum yeh maloom ker len kay dono giroh mein say uss intehaee muddat ko jo unhon ney guzari kiss ney ziyada yaad rakhi hai

Verse 13 — Surah Al-Kahf 18:13

Hum unn ka sahih waqiya teray samney biyan farma rahey hain. Yeh chand no-jawan apney rab per eman laye thay aur hum ney unn ki hodayat mein taraqqi di thi

Verse 14 — Surah Al-Kahf 18:14

Hum ney unn kay dil mazboot ker diye thay jabkay yeh uth kharay huye aur kehney lagay kay humara perwerdigar to wohi hai jo aasman-o-zamin ka perwerdigar hai na mumkin hai kay hum uss kay siwa kissi aur mabood ko pukaren agar aisa kiya to hum ney nihayat hi ghalat baat kahi

Verse 15 — Surah Al-Kahf 18:15

Yeh hai humari qom jiss ney iss kay siwa aur mabood bana rakhen hain. Inn ki khudaee ki yeh koi saaf daleel kiyon paish nahi kertay Allah per jhoot iftra bandhney walay say ziyada zalim kaun hai

Verse 16 — Surah Al-Kahf 18:16

Jabkay tum unn say aur Allah kay unn kay maboodon say kinara kash hogaye to abb tum kissi ghaar mein jaa behto tumhara rab tum per apni rehmat phela dey ga aur tumharay liye tumharay kaam mein sahoolat mohiyya ker dey ga

Verse 17 — Surah Al-Kahf 18:17

Aap dekhen gay kay aftab ba-waqt tuloo unn kay ghaar say dayne janob ko jhuk jata hai aur ba-waqt-e-ghuroob unn kay bayen janib katra jata hai aur woh iss ghaar ki kushada jaga mein hain. Yeh Allah ki nishaniyon mein say hai. Allah Taalaa jiss ki raahbari farmaye woh raah-e-raast per hai aur jissay woh gumraah ker dey na mumkin hai kay aap uss ka koi kaar saaz aur rehnuma paa saken

Verse 18 — Surah Al-Kahf 18:18

Aap khayal kertay hain kay woh beydaar hain halankay woh soye huye thay khud hum hi unhen dayen bayen kerwaten dilaya kertay thay unn ka kutta bhi chokhat per apney hath paon phelaye huye tha. Agar aap jhank ker unhen dekhna chahatay to zaroor ultay paon bhag kharay hotay aur unn kay rob say aap per dehshat chah jati

Verse 19 — Surah Al-Kahf 18:19

Issi tarah hum ney unhen jaga ker utha diya kay aapas meinpooch gooch kerlen. Aik kehney walay ney kaha kay kiyon bhaee tum kitney dair thehray rahey? Unhon ney jawab diya kay aik din ya aik din say bhi kum. Kehney lagay kay tumharay thehray rehney ka ilm ba-khoobi Allah Taalaa hi ko hai. Abb to tum apney mein say kissi ko apni yeh chandi dey ker shehar bhejo woh khoob dekh bhaal ley kay shehar ka kaun say khana pakeeza tar hai phir ussi mein say tumharay liye khaney kay liye ley aaye aur boht ehtiyat aur narmi barttay aur kissi ko tumhari khabar na honey dey

Verse 20 — Surah Al-Kahf 18:20

Agar yeh kafir tum per ghalba paa len to tumhen sangsaar ker den gay ya tumhen phir apney deen mein lota len gay aur phir tum kabhi bhi kaamyaab na hosako gay

Verse 21 — Surah Al-Kahf 18:21

Hum ney iss tarah logon ko unn kay haal say aagah ker diya kay woh jaan len kay Allah ka wada bilkul sacha hai aur qayamat mein koi shuba nahi. Jabkay woh apney amar mein aapas mein ikhtilaf ker rahey thay kehney lagay inn kay ghaar per aik emaarat bana lo. Unn ka rab hi unn kay haal ka ziyada aalim hai. Jin logon ney unn kay baray mein ghalba paya woh kehney lagay kay hum to inn kay aas pass masjod bana len gay

Verse 22 — Surah Al-Kahf 18:22

Kuch log to kahen gay kay ashaab-e-kahaf teen thay aut chotha unn ka kuta tha. Kuch kahen gay kay panch thay aur chata unn ka kuta tha ghaib ki baton mein atkal (kay teer tukkay) chalatay hain kuch kahen gay woh saat hain aur aathwaa unn ka kuta hai. Aap keh dijiye kay mera perwerdigar unn ki tadaad ko ba-khoobi jannay wala hai unhen boht hi kum log jantay hain. Pus aap inn kay muqadmay mein sirf sirsari guftugoo hi keren aur inn mein say kissi say unn kay baray mein pooch gooch bhi na keren

Verse 23 — Surah Al-Kahf 18:23

Aur hergiz hergiz kissi kaam yun na kehna kay mein issay kal keroon ga

Verse 24 — Surah Al-Kahf 18:24

Magar sath hi inshaAllah keh lena. Aur jab bhi bhoolay apney perwerdigar ko yaad ker liya kerna aur kehtay rehna mujhay poosi umeed hai kay mera rab mujhay iss say bhi ziyada hidayat kay qareeb ki baat ki rehbari keray

Verse 25 — Surah Al-Kahf 18:25

Woh log apney ghaar mein teen so saal tak rahey aur no saal aur ziyada guzaray

Verse 26 — Surah Al-Kahf 18:26

Aap keh den Allah hi ko unn kay thehray rehney ki muddat ka ba-khoobi ilm hai aasmanon aur zaminon ka ghaib sirf ussi ko hasil hai woh kiya hi acha dekhney aur sunnay wala hai. Siwaye Allah kay unn ka koi madadgaar nahi Allah Taalaa apney hukum mein kissi ko shareeq nahi kerta

Verse 27 — Surah Al-Kahf 18:27

Teri janib jo teray rab ki kitab wahee ki gaee hai ussay parhta reh uss ki baton ko koi badalney wala nahi tu uss kay siwa hergiz hergiz koi panah ki jagah na paye ga

Verse 28 — Surah Al-Kahf 18:28

Aur apney aap ko unhin kay sath rakha ker jo apney perwerdigar ko subha shaam pukartay hain aur ussi kay chehray kay iraday rakhtay hain (raza mandi chahatay hain) khabardaar! Teri nigahen unn say na hatney payen kay dunyawi zindagi kay thaath kay iraday mein lag jaa. Dekh uss ka kehna na manna jiss kay dil ko hum ney apney zikar say ghafil ker diya hai aur jo apni khuwaishon kay peechay para hua hai aur jiss ka kaam hadd say guzar chuka hai

Verse 29 — Surah Al-Kahf 18:29

Aur ailaan ker dey kay yeh sirasar bar-haq quran tumharay rab ki taraf say hai. Abb jo chahaye eman laye aur jo chahaye kufur keray. Zalimon kay liye hum ney woh aag tayyar ker rakhi hai jiss ki qanaten unhen gher len gi agar woh faryad rasi chahayen gay to unn ki faryad rasi uss pani say ki jayegi jo tel ki talchat jaisa hoga jo chehray bhoon dey ga bara hi bura pani hai aur bari buri aaram gaah (dozakh) hai

Verse 30 — Surah Al-Kahf 18:30

Yaqeenan jo log eman layen aur nek aemaal keren to hum kissi nek amal kerney walay ka sawab zaya nahi kertay

Verse 31 — Surah Al-Kahf 18:31

Unn kay liye hameshgi wali jannaten hain inn kay neechay nehren jari hongi wahan yeh soney kay kangan pehnayen jayen gay aur sabz rang kay narm-o-bareek aur motay resham kay libas pehnen gay wahan takhton kay upper takiye lagaye huye hongay. Kiya khoob badla hai aur kiss qadar umdah aaram gaah hai

Verse 32 — Surah Al-Kahf 18:32

Aur enhen unn do shakson ki misal bhi suna dey jin mein say aik ko hum ney do baagh angooron kay dey rakhay thay aur jinhen khujooron kay darakhton say hum ney gher rakha tha aur dono kay darmiyan kheti laga rakhi thi

Verse 33 — Surah Al-Kahf 18:33

Dono baagh apna phal khoob laye aur iss mein kissi tarah ki kami na ki aur hum ney inn baaghon kay darmiyan nehar jari ker rakhi thi

Verse 34 — Surah Al-Kahf 18:34

Al-gharz uss kay pass meway thay aik din uss ney baton hi baton mein apney sathi say kaha kay mein tujh say ziyada maaldaar hun aur juthay kay aitbaar say bhi ziyada mazboot hun

Verse 35 — Surah Al-Kahf 18:35

Aur yeh apney baagh mein gaya aur tha apni jaan per zulm kerney wala. Kehney laga kay mein khayal nahi ker sakta kay kissi waqt bhi yeh barbaad hojaye

Verse 36 — Surah Al-Kahf 18:36

Aur na mein qayamat ko qaeem honey wali khayal kerta hun aur agar (bil farz) mein apney rab ki taraf lotaya bhi gaya to yaqeenan mein (uss lotney ki jagah) iss say bhi ziyada behtar paon ga

Verse 37 — Surah Al-Kahf 18:37

Uss kay sathi ney uss say baten kertay huye kaha kay kiya to uss (mabood) say kufur kerta hai jiss ney tujhay mitti say peda kiya. Phir nutfay say phir tujhay poora aadmi bana diya

Verse 38 — Surah Al-Kahf 18:38

Lekin mein to aqeedah rakhta hun kay wohi Allah mera perwerdigar hai mein apney rab kay sath kissi ko shareeq na keroon ga

Verse 39 — Surah Al-Kahf 18:39

Tu ney apney baagh mein jatay waqt kiyon na kaha kay Allah ka chaha honey wala hai koi taqat nahi magar Allah ki madad say agar tu mujhay maal-o-aulad mein apney say kam dekh raha hai

Verse 40 — Surah Al-Kahf 18:40

Boht mumkin hai kay mera rab mujhay teray iss baagh say bhi behtar dey aur iss per aasmani azab bhej dey to yeh chatyal aur chikna maidan bann jaye

Verse 41 — Surah Al-Kahf 18:41

Ya iss ka pani neechay utar jaye aur teray bus mein na rahey kay tu issay dhoond laye

Verse 42 — Surah Al-Kahf 18:42

Aur uss kay (saray) phal gher liye gaye pus woh apney uss kharach per jo uss ney iss mein kiya tha apney hath malney laga aur woh baagh to ondha ulta para tha aur (woh shaks) yeh keh raha tha kay kaash! Mein apney rab kay sath kissi ko bhi shareeq na kerta

Verse 43 — Surah Al-Kahf 18:43

Uss ki himayat mein koi jamat na uthi kay Allah say uss ka bachao kerti aur na woh khud hi badla lenay wala bann saka

Verse 44 — Surah Al-Kahf 18:44

Yahin say (sabit hai) kay ikhtiyaraat Allah bar-haq kay liye hain woh sawab denay aur anjam kay aitbaar say both hi behtar hai

Verse 45 — Surah Al-Kahf 18:45

Inn kay samney duniya ki zindagi ki misal (bhi) biyan kero jaisay pani jisay hum aasman say utartay hain iss say zamin ka sabza mila jula (nikla) hai phir akhir kaar woh choora choora hojata hai jisay hawayen urayen liye phirti hain. Allah Taalaa her cheez per qadir hai

Verse 46 — Surah Al-Kahf 18:46

Maal-o-aulad to duniya ki hi zeenat hai aur (haan) albatta baqi rehney wali nekiyan teray rab kay nazdeek azrooy-e-sawab aur (aaeenda ki) achi tawaqqa kay boht behtar hain

Verse 47 — Surah Al-Kahf 18:47

Aur jiss din hum paharon ko chalayen gay aur zamin ko tu saaf khuli hui dekhay ga aur tamam logon ko hum ikhatta keren gay inn mein say aik ko bhi baqi na choren gay

Verse 48 — Surah Al-Kahf 18:48

Aur sab kay sab teray rab kay samney saff basta hazir kiye jayen gay. Yaqeenan tum humaray pass ussi tarah aaye jiss tarah hum ney tumhen pehli martaba peda kiya tha lekin tum to issi khayal mein rahey kay hum hergiz tumharay liye koi waday ka waqt muqarrar keren gay bhi nahi

Verse 49 — Surah Al-Kahf 18:49

Aur naam-e-aemaal samney rakh diye jayen gay. Pus tu dekhay ga kay gunhegar iss ki tehreer say khofzada horahey hongay aur keh rahey hongay haaye humari kharabi yeh kaisi kitab hai jiss ney koi chota bara baghair gheray kay baqi hi nahi chora aur jo kuch enhon ney kiya tha sab mojood payen gay aur tera rab kissi per zulm-o-sitam na keray ga

Verse 50 — Surah Al-Kahf 18:50

Aur jab hum ney farishton ko hukum diya kay tum adam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney sajda kiya yeh jinnon mein say tha uss ney apney perwerdigar ki na-farmani ki kiya phir bhi tum ussay aur uss ki aulad ko mujhay chor ker apna dost bana rahey ho? Halankay woh tum sab ka dushman hai. Aisay zalimon ka kiya hi bura badal hai

Verse 51 — Surah Al-Kahf 18:51

Mein ney enhen aasmanon-o-zamin ki pedaeesh kay waqt mojood nahi rakha tha aur na khud inn ki apni pedaeesh mein aur mein gumraah kerney walon ko apna madadgaar bananey wala bhi nahi

Verse 52 — Surah Al-Kahf 18:52

Aur jiss woh farmaye ga kay tumharay khayal mein jo meray shareeq thay unhen pukaro! Yeh pukaren gay lekin unn mein say koi bhi jawab na dey ga hum unn kay darmiyan halakat ka saman ker den gay

Verse 53 — Surah Al-Kahf 18:53

Aur gunehgar jahannum ko dekh ker samajh len gay kay woh issi mein jhonkay janey walay hain lekin uss say bachney ki jagah na payen gay

Verse 54 — Surah Al-Kahf 18:54

Hum ney iss quran mein her her tareeqay say tamam ki tamam misalen logon kay liye biyan ker di hain lekin insan sab say ziyada jhagraloo hai

Verse 55 — Surah Al-Kahf 18:55

Logon kay pass hidayat aa chukney ka baad unhen eman laney aur apney rab say isataghfaar kerney say sirf issi cheez ney roka kay aglay logon ka sa moamla unhen bhi paish aaye ye unn kay samney khullam khulla azab aa mojood hojaye

Verse 56 — Surah Al-Kahf 18:56

Hum to apney rasoolon ko sirf iss liye bhejtay hain kay woh khushkhabriyan suna den aur dara den. Kafir log baatil kay saharay jhagartay hain aur (chahatay hain kay) iss say haq ko larkhara den enhon ney meri aayaton ko aur jis cheez say daraya jaye ussay mazaq bana dala hai

Verse 57 — Surah Al-Kahf 18:57

Uss say barh ker zalim kaun hai? Jissay uss kay rab ki aayaton say naseehat ki jaye woh phir bhi mun moray rahey aur jo kuch uss kay hathon ney aagay bhej rakha hai ussay bhool jaye be-shak hum ney unn kay dilon per parday daal diye hain kay woh issay (na) samajhen aur unn kay kanon mein girani hai go tu unhen hidayat ki taraf bulata rahey lekin yeh kabhi bhi hidayat nahi paney kay

Verse 58 — Surah Al-Kahf 18:58

Tera perwerdigar boht hi baskhsish wala aur meharbani wala hai woh agar inn kay aemaal ki saza mein pakray to be-shak enhen jald hi azab ker dey bulkay inn kay liye aik waday ki ghari muqarrar hai jiss say woh sirakney ki hergiz jagah nahi payen gay

Verse 59 — Surah Al-Kahf 18:59

Yeh hain woh bastiyan jinhen hum ney unn kay mazalim ki bina per ghaarat ker diya aur inn ki tabahi ki bhi hum ney aik miyaad muqarrar ker rakhi thi

Verse 60 — Surah Al-Kahf 18:60

Jabkay musa ney apney no-jawan say kaha kay mein to chalta hi rahoon ga yahan tak kay do dariyaon kay sangum per phonchon khua mujhay saal-ha-saal chalne paray

Verse 61 — Surah Al-Kahf 18:61

Jab woh dono darya kay sangum per phonchay wahan apni machli bhool gaye jiss ney darya mein surang jaisa apna raasta bana liya

Verse 62 — Surah Al-Kahf 18:62

Jab yeh dono wahan say aagay barhay to musa ney apney no-jawan say kaha laa humara khana dey humen to apney iss safar say sakht takleef uthani pari

Verse 63 — Surah Al-Kahf 18:63

Uss ney jawab diya kay kiya aap ney dekha bhi? Jabkay hum pathar say take laga ker aaram ker rahey thay wahin mein machli bhool gaya tha dar-asal shetan ney hi mujhay bhula diya kay mein aap say iss ka zikar keroon. Uss machli ney aik anokhay tor per darya mein apna raasta bana liya

Verse 64 — Surah Al-Kahf 18:64

Musa ney kaha yehi tha jiss ki talash mein hum thay chunacha wahin say apney qadmon kay nishan dhoondtay huye wapis lotay

Verse 65 — Surah Al-Kahf 18:65

Pus humaray bandon mein say aik banday ko paya jissay hum ney apney pass ki khas rehmat ata farma rakhi thi aur ussay apney pass say khas ilm sikha rakha tha

Verse 66 — Surah Al-Kahf 18:66

Iss say musa ney kaha kay mein aap ki tabeydaari keroon? Kay aap mujhay iss nek ilm ko sikha den jo aap ko sikhaya gaya hai

Verse 67 — Surah Al-Kahf 18:67

Uss ney kaha aap meray sath hergiz sabar nahi ker saktay

Verse 68 — Surah Al-Kahf 18:68

Aur jiss cheez ko aap ney apney ilm mein na liya ho uss per sabar ker bhi kaisay saktay hain

Verse 69 — Surah Al-Kahf 18:69

Musa ney jawab diya kay inshaAllah aap mujhay sabar kerney wala payen gay aur kissi baat mein , mein aap ki na-farmani na keroon ga

Verse 70 — Surah Al-Kahf 18:70

Uss ney kaha acha agar aap meray sath hi chalney per israr kertay hain to yaad rahey kissi cheez ki nisbat mujh say kuch na poochna jabtak kay mein khud uss ki nisbat koi tazkara na keroon

Verse 71 — Surah Al-Kahf 18:71

Phir woh dono chalay yahan tak kay aik kashti mein sawar huye to uss ney kashti kay takhtay tor diye musa ney kaha kiya aap issay tor rahey hain takay kashti walon ko dobo den yeh to aap ney bari (khatarnaak) baat ker di

Verse 72 — Surah Al-Kahf 18:72

Uss ney jawab diya kay mein ney to pehlay hi tujh say keh diya tha kay tu meray sath hergiz sabar na ker sakay ga

Verse 73 — Surah Al-Kahf 18:73

Musa ney jawab diya kay meri bhool per mujhay na pakriye aur mujhay apney kaam mein tangi na daliye

Verse 74 — Surah Al-Kahf 18:74

Phir dono chalay yahan tak kay aik larkay ko paya iss ney ussay maar dala musa ney kaha kay kiya aap ney aik pak jaan ko baghair kissi jaan kay ewaz maar dala? Be-shak aap ney to bari na pasandeedah harkat ki

Verse 75 — Surah Al-Kahf 18:75

Woh kehney lagay kay mein ney tum say nahi kaha tha kay tum meray humraah reh ker hergiz sabar nahi ker saktay

Verse 76 — Surah Al-Kahf 18:76

Musa (alh-e-salam) ney jawab diya agar abb iss kay baad mein aap say kissi cheez kay baray mein sawal keroon to be-shak aap mujhay apney sath na rakhna yaqeena aap meri taraf say (hadd) uzur ko phonch chukay

Verse 77 — Surah Al-Kahf 18:77

Phir dono chalay aik gaaon walon kay pass aaker unn say khana talab kiya to unhon ney unn ki mehmandaari say saaf inkar ker diya dono ney wahan aik deewar paee jo gira hi chahati thi uss ney ussay theek aur durust ker diya musa (alh-e-salam) kehney lagay agar aap chahatay to iss per ujrat ley letay

Verse 78 — Surah Al-Kahf 18:78

Uss ney kaha bus yeh judaee hai meray aur teray darmiyan abb mein tujhay inn baton ki asliyat bhi bata doon ga jiss per tujh say sabar na ho saka

Verse 79 — Surah Al-Kahf 18:79

Kashti to chand miskeeno ki thi jo daya mein kaam kaaj kertay thay. Mein ney uss mein kuch tor phor kerney ka irada ker liya kiyon kay unn kay aagay aik badshah tha jo her aik (sahih saalim) kashti ko jabran zabt ler leta tha

Verse 80 — Surah Al-Kahf 18:80

Aur uss larkay kay maa baap eman walay thay. Humen khof hua kay kahin yeh unhen apni sirkashi aur kufur say aajiz-o-pareshan na kerdey

Verse 81 — Surah Al-Kahf 18:81

Iss liye hum ney chaha kay unhen unn ka perwerdigar iss kay badlay iss say behtar pakeezgi wala aur iss say ziyada mohabbat aur piyar wala bacha inayat farmaye

Verse 82 — Surah Al-Kahf 18:82

Deewar ka qissa yeh hai kay iss shehar mein do yateem bachay hain jin ka khazana inn ki iss deewar kay neechay dafan hai inn ka baap bara nek shaks tha to teray rab ki chahat thi kay yeh dono yateem apni jawani ki umar mein aaker apna yeh khazana teray rab ki meharbani aur rehmat say nikal len mein ney apni raye say koi kaam nahi kiya yeh thi asal haqeeqat unn waqiyaat ki jin per aap say sabar na hosaka

Verse 83 — Surah Al-Kahf 18:83

Aap say zulqarnain ka waqiya yeh log daryaft ker rahey hain aap keh dijiye kay mein unn ka thora sa haal tumhen parh ker sunata hun

Verse 84 — Surah Al-Kahf 18:84

Hum ney ussay zamin mein qooat ata farmaee thi aur ussay her cheez kay saman bhi inayat ker diye thay

Verse 85 — Surah Al-Kahf 18:85

Woh aik raah kay peechay laga

Verse 86 — Surah Al-Kahf 18:86

Yahan tak kay sooraj doobney ki jagah phonch gaya aur ussay aik daldal kay chashmay mein ghuroob hota hua paya aur iss chashmay kay pass aik qom ko bhi paya hum ney farma diya kay aey zulqarnain! Ya to tu enhen takleef phonchaye ya inn kay baray mein tu koi behtareen ravish ikhtiyar keray

Verse 87 — Surah Al-Kahf 18:87

Uss ney kaha jo zulm keray ga ussay to hum bhi abb saza den gay phir woh apney perwerdigar ki taraf lotaya jayega aur woh ussay sakht tar azab dey ga

Verse 88 — Surah Al-Kahf 18:88

Haan jo eman laye aur nek aemaal keray uss kay liye to badlay mein bhalaee hai aur hum ussay apney kaam mein bhi aasani hi ka hukum den gay

Verse 89 — Surah Al-Kahf 18:89

Phir woh aur raah kay peechay laga

Verse 90 — Surah Al-Kahf 18:90

Yahan tak kay jab sooraj nikalney ki jagah tak phoncha to ussay aik aisi qom per nikalta hua paya kay unn kay liye hum ney uss say aur koi oat nahi banaee

Verse 91 — Surah Al-Kahf 18:91

Waqiya aisa hi hai aur hum ney uss kay pass ki kul khabron ka ehaata ker rakha hai

Verse 92 — Surah Al-Kahf 18:92

Woh phir aik safar kay saman mein laga

Verse 93 — Surah Al-Kahf 18:93

Yahan tak kay jab do deewaron kay darmiyan phoncha unn dono kay paray uss ney aik aisi qom paee jo baat samjhney ka qareeb bhi na thi

Verse 94 — Surah Al-Kahf 18:94

Unhon ney kaha aey zulqarnain! Yajoob majooj iss mulk mein (baray bhari) fasadi hain to kiya hum aap kay liye kuch kharch ka intizam ker den? (iss shart per kay) aap humaray aur unn kay darmiyan aik deewat bana den

Verse 95 — Surah Al-Kahf 18:95

Uss ney jawab diya kay meray ikhtiyar mein meray perwerdigar ney jo dey rakha hai wohi behtar hai tum sirf qooat taqat say meri madad kero

Verse 96 — Surah Al-Kahf 18:96

Mein tum mein aur inn mein mazboot hijab bana deta hun. Mujhay lohay ki chadaren laa do. Yahan tak kay jab inn dono paharon kay darmiyan deewar barabar kerdi to hukum diya kay aag tez jalao ta-waqt-e-kay lohay ki inn chadaron ko bilkul aag ker diyato farmaya meray pass laao iss per pighla hua tanbaa daal doon

Verse 97 — Surah Al-Kahf 18:97

Pus to inn mein iss deewar kay upper charhney ki taqat thi aur na iss mein koi soorakh ker saktay thay

Verse 98 — Surah Al-Kahf 18:98

Kaha yeh sab meray rab ki meharbani hai haan jab meray rab ka wada aayega to issay zamin boss ker dey ga be-shak meray rab ka wada sacha aur haq hai

Verse 99 — Surah Al-Kahf 18:99

Uss din hum enhen aapas mein aik doosray mein gudd madd hotay huye chor den gay aur soor phoonk diya jayega pus sab ko ikhatha ker kay hum jama ker len gay

Verse 100 — Surah Al-Kahf 18:100

Uss din hum jahannum ko (bhi) kafiron kay samney laa khara keren gay

Verse 101 — Surah Al-Kahf 18:101

Jin ki aankhen meri yaad say pardey mein thi aur (amar haq) sunn bhi nahi saktay thay

Verse 102 — Surah Al-Kahf 18:102

Kiya kafir yeh khayal kiye bethay hain? Kay meray siwa woh meray bandon ko apna himayati bana len gay? (Suno) hum ney to inn kuffaar ki mehmani kay liye jahannum ko tayyar ker rakha hai

Verse 103 — Surah Al-Kahf 18:103

Keh dijiye kay agar (tum kaho to) mein tumhen bata doon kay ba-aetbaar aemaal sab say ziyada khasaray mein kaun hain

Verse 104 — Surah Al-Kahf 18:104

Woh hain kay jinki dunyawi zindagi ki tamam tar kosishen bekar hogaeen aur woh issi gumaan mein rahey kay woh boht achay kaam ker rahey hain

Verse 105 — Surah Al-Kahf 18:105

Yehi woh log hain jinhon ney apney perwerdigar ki aayaton aur uss ki mulaqat say kufur kiya iss liye unn kay aemaal ghaarat hogaye pus qayamat kay din hum unn ka koi wazan qaeem na keren gay

Verse 106 — Surah Al-Kahf 18:106

Haal yeh hai kay inn ka badla jahannum hai kiyon kay enhon nay kufur kiya aur meri aayaton aur meray rasoolon ko mazaq mein uaraya

Verse 107 — Surah Al-Kahf 18:107

Jo log eman laye aur unhon ney kaam bhi achay kiye yaqeenan unn kay liye al-firdous kay baaghaat ki mehmani hai

Verse 108 — Surah Al-Kahf 18:108

Jahan woh humesha raha keren gay jiss jagah ko badalney ka kabhi bhi unn ka irada hi na hoga

Verse 109 — Surah Al-Kahf 18:109

Keh dijiye kay agar meray perwerdigar ki baton kay likhney kay liye samandar sihaee bann jayen to woh bhi meray rab ki baton kay khatam honey say pehlay hi khatam hojaye ga go hum issi jaisa aur bhi iss ki madad ko ley aayen

Verse 110 — Surah Al-Kahf 18:110

Aap keh dijiye kay mein to tum jaisa hi aik insan hun. (haan) meri janib wahee ki jati hai kay sab ka mabood aik hi mabood hai to jisay bhi apney perwerdigar say milney ki aarzoo ho ussay chahaye kay nek aemaal keray aur apney perwerdigar ki ibadat mein kissi ko bhi shareeq na keray