Bulkay her tarah say theek thaak rakha takay apney pass ki saza sakht saza say hoshiyar ker dey aur eman laney aur nek amal kerney walon ko khushkhabriyan suna dey kay unn kay liye behtareen badla hai
Dar-haqeeqat na to khud unhen iss ka ilm hai na unn kay baap dadon ko. Yeh tohmat bari buri hai jo inn kay mun say nikal rahi hai woh nira jhoot bak rahey hain
Unn chand no-jawano ney jab ghaar mein panah li to dua ki kay aey humaray perwerdigar! Humen apney pass say rehmat ata farma aur humaray kaam mein humaray liye raah yabi ko aasan ker dey
Phir hum ney unehn utha khara kiya kay hum yeh maloom ker len kay dono giroh mein say uss intehaee muddat ko jo unhon ney guzari kiss ney ziyada yaad rakhi hai
Hum unn ka sahih waqiya teray samney biyan farma rahey hain. Yeh chand no-jawan apney rab per eman laye thay aur hum ney unn ki hodayat mein taraqqi di thi
Hum ney unn kay dil mazboot ker diye thay jabkay yeh uth kharay huye aur kehney lagay kay humara perwerdigar to wohi hai jo aasman-o-zamin ka perwerdigar hai na mumkin hai kay hum uss kay siwa kissi aur mabood ko pukaren agar aisa kiya to hum ney nihayat hi ghalat baat kahi
Yeh hai humari qom jiss ney iss kay siwa aur mabood bana rakhen hain. Inn ki khudaee ki yeh koi saaf daleel kiyon paish nahi kertay Allah per jhoot iftra bandhney walay say ziyada zalim kaun hai
Jabkay tum unn say aur Allah kay unn kay maboodon say kinara kash hogaye to abb tum kissi ghaar mein jaa behto tumhara rab tum per apni rehmat phela dey ga aur tumharay liye tumharay kaam mein sahoolat mohiyya ker dey ga
Aap dekhen gay kay aftab ba-waqt tuloo unn kay ghaar say dayne janob ko jhuk jata hai aur ba-waqt-e-ghuroob unn kay bayen janib katra jata hai aur woh iss ghaar ki kushada jaga mein hain. Yeh Allah ki nishaniyon mein say hai. Allah Taalaa jiss ki raahbari farmaye woh raah-e-raast per hai aur jissay woh gumraah ker dey na mumkin hai kay aap uss ka koi kaar saaz aur rehnuma paa saken
Aap khayal kertay hain kay woh beydaar hain halankay woh soye huye thay khud hum hi unhen dayen bayen kerwaten dilaya kertay thay unn ka kutta bhi chokhat per apney hath paon phelaye huye tha. Agar aap jhank ker unhen dekhna chahatay to zaroor ultay paon bhag kharay hotay aur unn kay rob say aap per dehshat chah jati
Issi tarah hum ney unhen jaga ker utha diya kay aapas meinpooch gooch kerlen. Aik kehney walay ney kaha kay kiyon bhaee tum kitney dair thehray rahey? Unhon ney jawab diya kay aik din ya aik din say bhi kum. Kehney lagay kay tumharay thehray rehney ka ilm ba-khoobi Allah Taalaa hi ko hai. Abb to tum apney mein say kissi ko apni yeh chandi dey ker shehar bhejo woh khoob dekh bhaal ley kay shehar ka kaun say khana pakeeza tar hai phir ussi mein say tumharay liye khaney kay liye ley aaye aur boht ehtiyat aur narmi barttay aur kissi ko tumhari khabar na honey dey
Agar yeh kafir tum per ghalba paa len to tumhen sangsaar ker den gay ya tumhen phir apney deen mein lota len gay aur phir tum kabhi bhi kaamyaab na hosako gay
Hum ney iss tarah logon ko unn kay haal say aagah ker diya kay woh jaan len kay Allah ka wada bilkul sacha hai aur qayamat mein koi shuba nahi. Jabkay woh apney amar mein aapas mein ikhtilaf ker rahey thay kehney lagay inn kay ghaar per aik emaarat bana lo. Unn ka rab hi unn kay haal ka ziyada aalim hai. Jin logon ney unn kay baray mein ghalba paya woh kehney lagay kay hum to inn kay aas pass masjod bana len gay
Kuch log to kahen gay kay ashaab-e-kahaf teen thay aut chotha unn ka kuta tha. Kuch kahen gay kay panch thay aur chata unn ka kuta tha ghaib ki baton mein atkal (kay teer tukkay) chalatay hain kuch kahen gay woh saat hain aur aathwaa unn ka kuta hai. Aap keh dijiye kay mera perwerdigar unn ki tadaad ko ba-khoobi jannay wala hai unhen boht hi kum log jantay hain. Pus aap inn kay muqadmay mein sirf sirsari guftugoo hi keren aur inn mein say kissi say unn kay baray mein pooch gooch bhi na keren
Magar sath hi inshaAllah keh lena. Aur jab bhi bhoolay apney perwerdigar ko yaad ker liya kerna aur kehtay rehna mujhay poosi umeed hai kay mera rab mujhay iss say bhi ziyada hidayat kay qareeb ki baat ki rehbari keray
Aap keh den Allah hi ko unn kay thehray rehney ki muddat ka ba-khoobi ilm hai aasmanon aur zaminon ka ghaib sirf ussi ko hasil hai woh kiya hi acha dekhney aur sunnay wala hai. Siwaye Allah kay unn ka koi madadgaar nahi Allah Taalaa apney hukum mein kissi ko shareeq nahi kerta
Teri janib jo teray rab ki kitab wahee ki gaee hai ussay parhta reh uss ki baton ko koi badalney wala nahi tu uss kay siwa hergiz hergiz koi panah ki jagah na paye ga
Aur apney aap ko unhin kay sath rakha ker jo apney perwerdigar ko subha shaam pukartay hain aur ussi kay chehray kay iraday rakhtay hain (raza mandi chahatay hain) khabardaar! Teri nigahen unn say na hatney payen kay dunyawi zindagi kay thaath kay iraday mein lag jaa. Dekh uss ka kehna na manna jiss kay dil ko hum ney apney zikar say ghafil ker diya hai aur jo apni khuwaishon kay peechay para hua hai aur jiss ka kaam hadd say guzar chuka hai
Aur ailaan ker dey kay yeh sirasar bar-haq quran tumharay rab ki taraf say hai. Abb jo chahaye eman laye aur jo chahaye kufur keray. Zalimon kay liye hum ney woh aag tayyar ker rakhi hai jiss ki qanaten unhen gher len gi agar woh faryad rasi chahayen gay to unn ki faryad rasi uss pani say ki jayegi jo tel ki talchat jaisa hoga jo chehray bhoon dey ga bara hi bura pani hai aur bari buri aaram gaah (dozakh) hai
Unn kay liye hameshgi wali jannaten hain inn kay neechay nehren jari hongi wahan yeh soney kay kangan pehnayen jayen gay aur sabz rang kay narm-o-bareek aur motay resham kay libas pehnen gay wahan takhton kay upper takiye lagaye huye hongay. Kiya khoob badla hai aur kiss qadar umdah aaram gaah hai
Aur enhen unn do shakson ki misal bhi suna dey jin mein say aik ko hum ney do baagh angooron kay dey rakhay thay aur jinhen khujooron kay darakhton say hum ney gher rakha tha aur dono kay darmiyan kheti laga rakhi thi
Al-gharz uss kay pass meway thay aik din uss ney baton hi baton mein apney sathi say kaha kay mein tujh say ziyada maaldaar hun aur juthay kay aitbaar say bhi ziyada mazboot hun
Aur na mein qayamat ko qaeem honey wali khayal kerta hun aur agar (bil farz) mein apney rab ki taraf lotaya bhi gaya to yaqeenan mein (uss lotney ki jagah) iss say bhi ziyada behtar paon ga
Uss kay sathi ney uss say baten kertay huye kaha kay kiya to uss (mabood) say kufur kerta hai jiss ney tujhay mitti say peda kiya. Phir nutfay say phir tujhay poora aadmi bana diya
Tu ney apney baagh mein jatay waqt kiyon na kaha kay Allah ka chaha honey wala hai koi taqat nahi magar Allah ki madad say agar tu mujhay maal-o-aulad mein apney say kam dekh raha hai
Aur uss kay (saray) phal gher liye gaye pus woh apney uss kharach per jo uss ney iss mein kiya tha apney hath malney laga aur woh baagh to ondha ulta para tha aur (woh shaks) yeh keh raha tha kay kaash! Mein apney rab kay sath kissi ko bhi shareeq na kerta
Inn kay samney duniya ki zindagi ki misal (bhi) biyan kero jaisay pani jisay hum aasman say utartay hain iss say zamin ka sabza mila jula (nikla) hai phir akhir kaar woh choora choora hojata hai jisay hawayen urayen liye phirti hain. Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Maal-o-aulad to duniya ki hi zeenat hai aur (haan) albatta baqi rehney wali nekiyan teray rab kay nazdeek azrooy-e-sawab aur (aaeenda ki) achi tawaqqa kay boht behtar hain
Aur jiss din hum paharon ko chalayen gay aur zamin ko tu saaf khuli hui dekhay ga aur tamam logon ko hum ikhatta keren gay inn mein say aik ko bhi baqi na choren gay
Aur sab kay sab teray rab kay samney saff basta hazir kiye jayen gay. Yaqeenan tum humaray pass ussi tarah aaye jiss tarah hum ney tumhen pehli martaba peda kiya tha lekin tum to issi khayal mein rahey kay hum hergiz tumharay liye koi waday ka waqt muqarrar keren gay bhi nahi
Aur naam-e-aemaal samney rakh diye jayen gay. Pus tu dekhay ga kay gunhegar iss ki tehreer say khofzada horahey hongay aur keh rahey hongay haaye humari kharabi yeh kaisi kitab hai jiss ney koi chota bara baghair gheray kay baqi hi nahi chora aur jo kuch enhon ney kiya tha sab mojood payen gay aur tera rab kissi per zulm-o-sitam na keray ga
Aur jab hum ney farishton ko hukum diya kay tum adam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney sajda kiya yeh jinnon mein say tha uss ney apney perwerdigar ki na-farmani ki kiya phir bhi tum ussay aur uss ki aulad ko mujhay chor ker apna dost bana rahey ho? Halankay woh tum sab ka dushman hai. Aisay zalimon ka kiya hi bura badal hai
Mein ney enhen aasmanon-o-zamin ki pedaeesh kay waqt mojood nahi rakha tha aur na khud inn ki apni pedaeesh mein aur mein gumraah kerney walon ko apna madadgaar bananey wala bhi nahi
Aur jiss woh farmaye ga kay tumharay khayal mein jo meray shareeq thay unhen pukaro! Yeh pukaren gay lekin unn mein say koi bhi jawab na dey ga hum unn kay darmiyan halakat ka saman ker den gay
Logon kay pass hidayat aa chukney ka baad unhen eman laney aur apney rab say isataghfaar kerney say sirf issi cheez ney roka kay aglay logon ka sa moamla unhen bhi paish aaye ye unn kay samney khullam khulla azab aa mojood hojaye
Hum to apney rasoolon ko sirf iss liye bhejtay hain kay woh khushkhabriyan suna den aur dara den. Kafir log baatil kay saharay jhagartay hain aur (chahatay hain kay) iss say haq ko larkhara den enhon ney meri aayaton ko aur jis cheez say daraya jaye ussay mazaq bana dala hai
Uss say barh ker zalim kaun hai? Jissay uss kay rab ki aayaton say naseehat ki jaye woh phir bhi mun moray rahey aur jo kuch uss kay hathon ney aagay bhej rakha hai ussay bhool jaye be-shak hum ney unn kay dilon per parday daal diye hain kay woh issay (na) samajhen aur unn kay kanon mein girani hai go tu unhen hidayat ki taraf bulata rahey lekin yeh kabhi bhi hidayat nahi paney kay
Tera perwerdigar boht hi baskhsish wala aur meharbani wala hai woh agar inn kay aemaal ki saza mein pakray to be-shak enhen jald hi azab ker dey bulkay inn kay liye aik waday ki ghari muqarrar hai jiss say woh sirakney ki hergiz jagah nahi payen gay
Jabkay musa ney apney no-jawan say kaha kay mein to chalta hi rahoon ga yahan tak kay do dariyaon kay sangum per phonchon khua mujhay saal-ha-saal chalne paray
Uss ney jawab diya kay kiya aap ney dekha bhi? Jabkay hum pathar say take laga ker aaram ker rahey thay wahin mein machli bhool gaya tha dar-asal shetan ney hi mujhay bhula diya kay mein aap say iss ka zikar keroon. Uss machli ney aik anokhay tor per darya mein apna raasta bana liya
Pus humaray bandon mein say aik banday ko paya jissay hum ney apney pass ki khas rehmat ata farma rakhi thi aur ussay apney pass say khas ilm sikha rakha tha
Uss ney kaha acha agar aap meray sath hi chalney per israr kertay hain to yaad rahey kissi cheez ki nisbat mujh say kuch na poochna jabtak kay mein khud uss ki nisbat koi tazkara na keroon
Phir woh dono chalay yahan tak kay aik kashti mein sawar huye to uss ney kashti kay takhtay tor diye musa ney kaha kiya aap issay tor rahey hain takay kashti walon ko dobo den yeh to aap ney bari (khatarnaak) baat ker di
Phir dono chalay yahan tak kay aik larkay ko paya iss ney ussay maar dala musa ney kaha kay kiya aap ney aik pak jaan ko baghair kissi jaan kay ewaz maar dala? Be-shak aap ney to bari na pasandeedah harkat ki
Musa (alh-e-salam) ney jawab diya agar abb iss kay baad mein aap say kissi cheez kay baray mein sawal keroon to be-shak aap mujhay apney sath na rakhna yaqeena aap meri taraf say (hadd) uzur ko phonch chukay
Phir dono chalay aik gaaon walon kay pass aaker unn say khana talab kiya to unhon ney unn ki mehmandaari say saaf inkar ker diya dono ney wahan aik deewar paee jo gira hi chahati thi uss ney ussay theek aur durust ker diya musa (alh-e-salam) kehney lagay agar aap chahatay to iss per ujrat ley letay
Kashti to chand miskeeno ki thi jo daya mein kaam kaaj kertay thay. Mein ney uss mein kuch tor phor kerney ka irada ker liya kiyon kay unn kay aagay aik badshah tha jo her aik (sahih saalim) kashti ko jabran zabt ler leta tha
Iss liye hum ney chaha kay unhen unn ka perwerdigar iss kay badlay iss say behtar pakeezgi wala aur iss say ziyada mohabbat aur piyar wala bacha inayat farmaye
Deewar ka qissa yeh hai kay iss shehar mein do yateem bachay hain jin ka khazana inn ki iss deewar kay neechay dafan hai inn ka baap bara nek shaks tha to teray rab ki chahat thi kay yeh dono yateem apni jawani ki umar mein aaker apna yeh khazana teray rab ki meharbani aur rehmat say nikal len mein ney apni raye say koi kaam nahi kiya yeh thi asal haqeeqat unn waqiyaat ki jin per aap say sabar na hosaka
Yahan tak kay sooraj doobney ki jagah phonch gaya aur ussay aik daldal kay chashmay mein ghuroob hota hua paya aur iss chashmay kay pass aik qom ko bhi paya hum ney farma diya kay aey zulqarnain! Ya to tu enhen takleef phonchaye ya inn kay baray mein tu koi behtareen ravish ikhtiyar keray
Yahan tak kay jab sooraj nikalney ki jagah tak phoncha to ussay aik aisi qom per nikalta hua paya kay unn kay liye hum ney uss say aur koi oat nahi banaee
Unhon ney kaha aey zulqarnain! Yajoob majooj iss mulk mein (baray bhari) fasadi hain to kiya hum aap kay liye kuch kharch ka intizam ker den? (iss shart per kay) aap humaray aur unn kay darmiyan aik deewat bana den
Mein tum mein aur inn mein mazboot hijab bana deta hun. Mujhay lohay ki chadaren laa do. Yahan tak kay jab inn dono paharon kay darmiyan deewar barabar kerdi to hukum diya kay aag tez jalao ta-waqt-e-kay lohay ki inn chadaron ko bilkul aag ker diyato farmaya meray pass laao iss per pighla hua tanbaa daal doon
Uss din hum enhen aapas mein aik doosray mein gudd madd hotay huye chor den gay aur soor phoonk diya jayega pus sab ko ikhatha ker kay hum jama ker len gay
Kiya kafir yeh khayal kiye bethay hain? Kay meray siwa woh meray bandon ko apna himayati bana len gay? (Suno) hum ney to inn kuffaar ki mehmani kay liye jahannum ko tayyar ker rakha hai
Yehi woh log hain jinhon ney apney perwerdigar ki aayaton aur uss ki mulaqat say kufur kiya iss liye unn kay aemaal ghaarat hogaye pus qayamat kay din hum unn ka koi wazan qaeem na keren gay
Keh dijiye kay agar meray perwerdigar ki baton kay likhney kay liye samandar sihaee bann jayen to woh bhi meray rab ki baton kay khatam honey say pehlay hi khatam hojaye ga go hum issi jaisa aur bhi iss ki madad ko ley aayen
Aap keh dijiye kay mein to tum jaisa hi aik insan hun. (haan) meri janib wahee ki jati hai kay sab ka mabood aik hi mabood hai to jisay bhi apney perwerdigar say milney ki aarzoo ho ussay chahaye kay nek aemaal keray aur apney perwerdigar ki ibadat mein kissi ko bhi shareeq na keray