Back to Languages

Urdu - Chapter 21 - Al-Anbiya

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Anbiya 21:1

Logon kay hisab ka waqt qareeb aagaya phir bhi woh bey khabri mein mun pheray huye hain

Verse 2 — Surah Al-Anbiya 21:2

Inn kay pass inn kay rab ki taraf say jo bhi naee naee naseehat aati hai issay woh khel kood mein hi suntay hain

Verse 3 — Surah Al-Anbiya 21:3

Inn kay dil bilkul ghafil hain aur inn zalimon ney chupkay chupkay sirgoshiyan kin kay woh tum hi jesa insan hai phir kiya waja hai jo tum aankhon dekhtay jadoo mein aajatay ho

Verse 4 — Surah Al-Anbiya 21:4

Payghumber ney kaha mera perwerdigar her uss baat ko jo zamin-o-aasman mein hai ba-khoobi janta hai woh boht hi sunnay wala aur jannay wala hai

Verse 5 — Surah Al-Anbiya 21:5

Itna hi nahi bulkay yeh to kehtay hain kay yeh quran peraganda khuwabon ka majmooa hai bulkay iss ney az-khud issay ghar liya hai bulkay yeh shaeer hai werna humaray samney yeh koi aisi nishani latay jesay kay aglay payghumber bhejay gaye thay

Verse 6 — Surah Al-Anbiya 21:6

Inn say pehlay jitni bastiyan hum ney ujarin sab eman say khali thin. To kiya abb yeh eman layen gay

Verse 7 — Surah Al-Anbiya 21:7

Tujh say pehlay bhi jitney payghumber hum ney bhejay sabhi mard thay jin ki taraf hum wahee utartay thay pus tum ehal-e-kitab say pooch lo agar khud tumhen ilm na ho

Verse 8 — Surah Al-Anbiya 21:8

Hum ney inn kay aisay jism nahi banaye thay kay woh khana na khayen aur na woh hamesha rehney walay thay

Verse 9 — Surah Al-Anbiya 21:9

Phir hum ney unn say kiye huye sab waday sachay kiye unhen aur jin jin ko hum ney chaha nijat ata farmaee aur hadd say nikal janey walon ko gharat ker diya

Verse 10 — Surah Al-Anbiya 21:10

Yaqeenan hum ney tumhari janib kitab nazil farmaee hai jiss mein tumharay liye zikar hai kiya phir bhi tum aqal nahi rakhtay

Verse 11 — Surah Al-Anbiya 21:11

Aure boht si bastiyan hum ney tabah ker din jo zalim thin aur unn kay baad hum ney doosri qom ko peda ker diya

Verse 12 — Surah Al-Anbiya 21:12

Jab unhon ney humaray azab ka ehsas ker liya to lagay uss say bhagney

Verse 13 — Surah Al-Anbiya 21:13

Bhag dor na kero aur jahan tumhen aasoodgi di gaee thi wahin wapis loto aur apney makanaat ki taraf jao takay tum say sawal to ker liya jaye

Verse 14 — Surah Al-Anbiya 21:14

Kehney lagay haaye humari kharabi! Be-shak hum zalim thay

Verse 15 — Surah Al-Anbiya 21:15

Phir to unn ka yehi qol raha yahan tak kay hum ney unhen jarr say kati hui kheti aur bujhi pari aag (ki tarah) ker diya

Verse 16 — Surah Al-Anbiya 21:16

Hum ney aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki cheezon ko kheltay huye nahi banaya

Verse 17 — Surah Al-Anbiya 21:17

Agar hum yun hi khel tamashay ka irada kertay to to ussay apnay pass say hi bana letay agar hum kerney walay hi hotay

Verse 18 — Surah Al-Anbiya 21:18

Bulkay hum sach ko jhoot per phenk maartay hain pus sach jhoot ka sir tor deta hai aur woh ussi waqt nabood ho jata hai tum jo baten banatay ho woh tumharay liye baees-e-kharabi hain

Verse 19 — Surah Al-Anbiya 21:19

Aasmano aur zamin mein jo hai ussi Allah ka hai aur jo uss kay pass hain woh uss ki ibadat say na sirkashi kertay hain aur na thaktay hain

Verse 20 — Surah Al-Anbiya 21:20

Woh din raat tasbeeh biyan kertay hain aur zara si bhi susti nahi kertay

Verse 21 — Surah Al-Anbiya 21:21

Kiya inn logon ney zamin (ki makhlooqaat mein) say jinhen mabood bana rakha hai woh zinda ker detay hain

Verse 22 — Surah Al-Anbiya 21:22

Agar aasman-o-zamin mein siwaye Allah Taalaa kay aur bhi mabood hotay to yeh dono darhum barhum ho jatay pus Allah Taalaa arsh ka rab her uss wasf say pak hai jo yeh mushrik biyan kertay hain

Verse 23 — Surah Al-Anbiya 21:23

Woh apney kaamon key liye (kissi kay aagay) jawab deh nahi aur sab (uss kay aagay) jawab deh hain

Verse 24 — Surah Al-Anbiya 21:24

Kiya inn logon ney Allah kay siwa aur mabood bana rakhay hain inn say keh do laao apni daleel paish kero. Yeh hain meray sath walon ki kitab aur mujh say aglon ki daleel. Baat yeh hain kay inn mein kay aksar log haq ko nahi jantay issi waja say mun moray huye hain

Verse 25 — Surah Al-Anbiya 21:25

Tujh say pehlay bhi jo rasool hum ney bheja uss ki taraf yehi wahee nazil farmaee kay meray siwa koi mabood bar-haq nahi pus tum sab meri hi ibadat kero

Verse 26 — Surah Al-Anbiya 21:26

(Mushrik log) kehtay hain kay rehman aulad wala hai (ghalat hai) uss ki zaat pak hai bulkay woh sab uss kay ba-izzat banday hain

Verse 27 — Surah Al-Anbiya 21:27

Kiss baat mein Allah per paish dasti nahi kertay bulkay uss kay farmaan per kaar band hain

Verse 28 — Surah Al-Anbiya 21:28

Woh inn kay aagay peechay kay tamam umoor say waqif hai woh kissi ki bhi sifarish nahi kertay ba-juz unn kay jin say Allah khush ho woh to khud haibat-e-elahee say larzan-o-tarsan hain

Verse 29 — Surah Al-Anbiya 21:29

Inn mein say agar koi bhi keh day kay Allah kay siwa mein laeeq-e-ibadat hun to hum ussay dozakh ki saza den hum zalimon ko issi tarah saza detay hain

Verse 30 — Surah Al-Anbiya 21:30

Kiya kafir logon ney yeh nahi dekha kay aasman-o-zamin ba-hum milay julay thay phir hum ney unhen juda kiya aur her zinda cheez ko hum ney pani say peda kiya kiya yeh log phir bhi eman nahi latay

Verse 31 — Surah Al-Anbiya 21:31

Aur hum ney zamin mein pahar bana diye takay woh makhlooq ko hila na sakay aur hum ney iss mein kushada raahen bana den takay woh raasta hasil keren

Verse 32 — Surah Al-Anbiya 21:32

Aasman ko mehfooz chat bhi hum ney hi banaya hai. Lekin log iss ki qudrat kay namoono per dehan hi nahi dhartay

Verse 33 — Surah Al-Anbiya 21:33

Wohi Allah hai jiss ney raat aur din aur sooraj aur chand ko peda kiya hai. Inn mein say her aik apney apney madaar mein tertay phirtay hain

Verse 34 — Surah Al-Anbiya 21:34

Aap say pehlay kissi insan ko bhi hum ney hameshgi nahi di kiya agar aap marr gaye to woh hamesha kay liye reh jayen gay

Verse 35 — Surah Al-Anbiya 21:35

Her jaandaar mot ka maza chakhney wala hai. Hum ba-tareeq imtehan tum say her aik ko buraee bhalaee mein mubtila kertay hain aur tum sab humari hi taraf lotaye jaogay

Verse 36 — Surah Al-Anbiya 21:36

Yeh munkireen tujhay jab bhi dekhtay hain to tumhara mazaq hi uratay hain kay kiya yehi woh hai jo tumharay maboodon ka zikar buraee say kerta hai aur woh khud hi rehman ki yaad kay bilkul hi munkir hain

Verse 37 — Surah Al-Anbiya 21:37

Insan jald baaz makhlooq hai. Mein tumhen apni nishaniyan abhi abhi dikhaoon ga tum mujh say jald baazi na kero

Verse 38 — Surah Al-Anbiya 21:38

Kehtay hain kay agar sachay ho to bata do kay yeh wada kab hai

Verse 39 — Surah Al-Anbiya 21:39

Kaash! Yeh kafir jantay kay uss waqt na to yeh kafir aag ko apney chehron say hata saken gay aur na apni peethon say aur na unn ki madad ki jayegi

Verse 40 — Surah Al-Anbiya 21:40

(Haan haan!) waday ki ghari unn kay pass achanak aajayegi aur enhen hakka bakka ker dey gi phir na to yeh log ussay taal saken gay aur na zara si mohlat diye jayengay

Verse 41 — Surah Al-Anbiya 21:41

Aur tujh say pehlay rasoolon kay sath bhi hansi mazaq kiya gaya pus hansi kerney walon ko hi uss cheez ney gher liya jiss ki woh hansi uratay thay

Verse 42 — Surah Al-Anbiya 21:42

Inn say poochiye kay rehman say din aur raat tumhari hifazat kaun ker sakta hai? Baat yeh hai kay yeh log apnay rab kay zikar say phiray huye hain

Verse 43 — Surah Al-Anbiya 21:43

Kiya humaray siwa inn kay aur mabood hain jo enhen musibaton say bacha len. Koi bhi khud apni madad ki taqat nahi rakhta aur na koi humari taraf say rafaqat diya jata hai

Verse 44 — Surah Al-Anbiya 21:44

Bulkay hum ney enhen aur inn kay baap dadon ko zindagi kay saro saman diye yahan tak kay unn ki muddat-e-umar guzar gaee. Kiya woh nahi dekhtay kay hum zamin ko iss kay kinaron say ghatatay chalay aarahey hain abb kiya wohi ghalib hain?keh dijiye! Mein to tumhen Allah ki wahee kay zariye aagah ker raha hun magar behray log baat nahi suntay jabkay unhen aagah kiya jaye

Verse 45 — Surah Al-Anbiya 21:45

Keh dijiye! Mein to tumhen Allah ki wahee kay zariye aagah ker raha hun magar behray log baat nahi suntay jabkay unhen aagah kiya jaye

Verse 46 — Surah Al-Anbiya 21:46

Agar enhen teray rab kay kissi azab ka jhonka bhi lag jaye to pukar uthen kay haye humari bad-bakhti! Yeqeenan hum gunehgar thay

Verse 47 — Surah Al-Anbiya 21:47

Qayamat kay din hum darmiyan mein laa rakhen gay theek theek tolney wali tarazoo ko. Phir kissi per kuch bhi zulm na kiya jayega. Aur agar aik raaee kay daney kay barabar bhi amal hoga hum ussay laa hazir keren gay aur hum kafi hain hisab kerney walay

Verse 48 — Surah Al-Anbiya 21:48

Yeh bilkul sach hai kay hum ney musa-o-haroon ko faislay kerney wali noorani aur perhezgaron kay liye waaz-o-naseehat wali kitab ata farmaee hai

Verse 49 — Surah Al-Anbiya 21:49

Woh log jo apney rab say bin dekhay khof khatay hain aur qayamat (kay tasawwur) say kaanptay rehtay hain

Verse 50 — Surah Al-Anbiya 21:50

Aur yeh naseehat-o-barkat wala quran bhi humin ney nazil farmaya hai kiya phir bhi tum iss kay munkir ho

Verse 51 — Surah Al-Anbiya 21:51

Yaqeenan hum ney iss say pehlay ibrahim ko iss ki samajh boojh bakhshi thi aur hum iss kay ehwaal say ba-khoobi waqif thay

Verse 52 — Surah Al-Anbiya 21:52

Jabkay uss ney apney baap say aur pani qom say kaha kay yeh moortiyan jin kay tum mujawar bann bethay ho kiya hain

Verse 53 — Surah Al-Anbiya 21:53

Sab ney jawab diya kay hum ney apnay baap dada ko enhi ki ibadat kertay huye paya

Verse 54 — Surah Al-Anbiya 21:54

Aap ney farmaya! Phir to tum aur tumharay baap dada sabhi yaqeenan khulli gumrahi mein mubtila rahey

Verse 55 — Surah Al-Anbiya 21:55

Kehnay lagay kiya aap humaray pass sach much haq laye hain ya yun hi mazaq ker rahey hain

Verse 56 — Surah Al-Anbiya 21:56

Aap ney farmaya nahi dar-haqeeqat tum sab ka perwerdigar to woh hai jo aasmano aur zamin ka malik hai jiss ney unehn peda kiya hai mein to issi baat ka gawah aur qaeel hun

Verse 57 — Surah Al-Anbiya 21:57

Aur Allah ki qasam mein tumharay inn maboodon kay sath jab tum alehda peeth pher ker chal do gay aik chaal chalon ga

Verse 58 — Surah Al-Anbiya 21:58

Pus uss ney unn sab kay tukray tukray ker diye haan sirf baray butt ko chor diya yeh bhi iss liye kay woh sab uss ki taraf hi loten

Verse 59 — Surah Al-Anbiya 21:59

Kehney lagay kay humaray khudaon kay sath yeh kiss ney kiya? Aisa shaks to yaqeenan zalimon mein say hai

Verse 60 — Surah Al-Anbiya 21:60

Bolay hum ney aik no-jawan ko innk a tazkara kertay huye suna tha jissay ibrahim (alh-e-salam) kaha jata hai

Verse 61 — Surah Al-Anbiya 21:61

Sab ney kaha acha ussay majmay mein logon ki nigahon kay samney lao takay sab dekhen

Verse 62 — Surah Al-Anbiya 21:62

Kehnay lagay! Aey ibrahim (alh-e-salam) kiya tu ney hi humaray khudaon kay sath yeh harkat ki hai

Verse 63 — Surah Al-Anbiya 21:63

Aap ney jawab diya bulkay iss kaam ko inn kay baray ney kiya hai tum apney khudaon say hi pooch lo agar yeh boltay chaltay hon

Verse 64 — Surah Al-Anbiya 21:64

Pus yeh log apney dilon mein qaeel hogaye aur kehney lagay waqaee zalim to tum hi ho

Verse 65 — Surah Al-Anbiya 21:65

Phir apney saron kay bal ondhay hogaye (aur kehnay lagay kay) yeh to tujhay bhi maloom hai kay yeh bolney chaalney walay nahi

Verse 66 — Surah Al-Anbiya 21:66

Allah kay khalil ney ussi waqt farmaya afsos! Kiya tum Allah kay ilawa unn ki ibadat kertay ho jo na tumhen kuch bhi nafa phoncha saken na nuksan

Verse 67 — Surah Al-Anbiya 21:67

Tuff hai tum per aur inn per jin ki tum Allah kay siwa ibadat kertay ho. Kiya tumhen itni si aqal bhi nahi

Verse 68 — Surah Al-Anbiya 21:68

Kehney lagay issay jala do aur apney khudaon ki madad kero agar tumhen kuch kerna hi hai

Verse 69 — Surah Al-Anbiya 21:69

Hum ney farma diya aey aag! Tu thandi parr jaa aur ibrahim (alh-e-salam) kay liye salamti (aur aaram ki cheez) bann jaa

Verse 70 — Surah Al-Anbiya 21:70

Go unhon ney ibrahim (alh-e-salam) ka bura chaha lekin hum ney unhen nakaam bana diya

Verse 71 — Surah Al-Anbiya 21:71

Aur hum ibrahim aur loot ko bacha ker uss zamin ki taraf ley chalay jiss mein hum ney tamam jahan walon kay liye barkat rakhi thi

Verse 72 — Surah Al-Anbiya 21:72

Aur hum ney ussay ishaq ata farmaya aur yaqoob iss per mazeed. Aur her aik ko hum ney saleh banaya

Verse 73 — Surah Al-Anbiya 21:73

Aur hum ney unehn paishwa bana diya kay humaray hukum say logon ki rehbari keren aur hum ney unn ki taraf nek kaamon kay kerney aur namazon kay qaeem rakhney aur zakat denay ki wahee (talqeen) ki aur woh sab kay sab humaray ibadat guzaar banday thay

Verse 74 — Surah Al-Anbiya 21:74

Hum ney loot (alh-e-salam) ko bhi hukum aur ilm diya aur ussay uss basti say nijat di jahan kay log ganday kaamon mein mubtila thay. Aur thay bhi woh bad-tareen gunehgaar

Verse 75 — Surah Al-Anbiya 21:75

Aur hum ney loot (alh-e-salam) ko apni rehmat mein dakhil ker liya bey shak woh neko kaar logon mein say tha

Verse 76 — Surah Al-Anbiya 21:76

Nooh kay uss waqt ko yaad kijiye jabkay uss ney iss say pehlay dua ki hum ney uss ki dua qabool farmaee aur ussay aur uss kay ghar walon ko baray karb say nijat di

Verse 77 — Surah Al-Anbiya 21:77

Aur jo log humari aayaton ko jhutla rahey thay unn kay muqablay mein hum ney uss ki madad ki yaqeenan woh buray log thay pus hum ney unn sab ko dobo diya

Verse 78 — Surah Al-Anbiya 21:78

Aur dawood (alh-e-salam) aur suleman (alh-e-salam) ko yaad kijiye jabkay woh khet kay moamlay mein faisla ker rahey thay kay kuch logon ki bakriyan raat ko iss mein char chug gaee thin aur unn kay faislay mein hum mojood thay

Verse 79 — Surah Al-Anbiya 21:79

Hum ney iss ka sahih faisla suleman ko samjha diya. Haan her aik ko hum ney hukum-o-ilm dey rakha tha aur dawood kay tabey hum ney pahar ker diye thay jo tasbeeh kertay thay aur parind bhi. Hum kerney walay hi thay

Verse 80 — Surah Al-Anbiya 21:80

Aur hum ney ussay tumharay liye libaas bananey ki kaari gari sikhaee takay laraee kay zarar say tumhara bachao ho. Kiya tum shukar guzar bano gay

Verse 81 — Surah Al-Anbiya 21:81

Hum ney tund-o-tez hawa ko suleman (alh-e-salam) kay tabey ker diya jo uss kay farmaan kay mutabiq uss zamin ki taraf chalti thi jahan hum ney barkat dey rakhi thi aur hum her cheez say ba-khabar aur dana hain

Verse 82 — Surah Al-Anbiya 21:82

Issi tarah say boht say shayateen bhi hum ney uss kay tabey kiye thay jo uss kay farmaan say ghotay lagatay thay aur iss kay siwa bhi boht say kaam kiya kertay thay inn kay nigehbaan hum hi thay

Verse 83 — Surah Al-Anbiya 21:83

Ayub (alh-e-salam) ki uss halat ko yaad kero jabkay uss ney apney perwerdigar ko pukara kay mujhay yeh beemari lag gaee hai aur tu reham kerney walon say ziyada reham kerney wala hai

Verse 84 — Surah Al-Anbiya 21:84

To hum ney uss ki sunn li aur jo dukh unhen tha ussay door ker diya aur uss ko ehal-o-ayaal ata farmaye bulkay unn kay sath waisay hi aur apni khaas meharbaani say takay sachay bandon kay liye sabab naseehat ho

Verse 85 — Surah Al-Anbiya 21:85

Aur ismail (alh-e-salam) aur idris (alh-e-salam) aur zulkifl (alh-e-salam) yeh sab sabir log thay

Verse 86 — Surah Al-Anbiya 21:86

Hum ney unhen apni rehmat mein dakhil ker liya. Yeh sab log nek thay

Verse 87 — Surah Al-Anbiya 21:87

Machli walay (hazrat younus alh-e-salam) ko yaad kero! Jabkay woh gussay say chal diya aur khayal kiya kay hum ussay na pakar saken gay. Bil-aakhir woh andheron kay andar say pukar utha kay elahee teray siwa koi mabood nahi tu pak hai be-shak mein zalimon mein say tha

Verse 88 — Surah Al-Anbiya 21:88

To hum ney uss ki pukar sunn li aur ussay ghum say nijat dey di aur hum eman walon ko issi tarah bacha liya kertay hain

Verse 89 — Surah Al-Anbiya 21:89

Aur zakariya (alh-e-salam) ko yaad kero jab uss ney apney rab say dua ki aey meray perwerdigar! Mujhay tanah na chor tu sab say behtar waris hai

Verse 90 — Surah Al-Anbiya 21:90

Hum ney uss ki dua ko qabool farma ker ussay yahya (alh-e-salam) ata farmaya aur unn ki biwi ko unn kay liye durust ker diya. Yeh buzrug log nek kaamon ki taraf jaldi kiya kertay thay aur humen lalach tama aur darr khof say pukartay thay. Aur humaray samney aajzi kerney walay thay

Verse 91 — Surah Al-Anbiya 21:91

Aur woh pak daman bibi jis ney apni asmat ki hifazat ki hum ney uss kay andar apni rooh say phoonk di aur khud unhen aur unn kay larkay ko tamam jahan kay liye nishani bana diya

Verse 92 — Surah Al-Anbiya 21:92

Yeh tumhari ummat hai jo haqeeqat mein aik hi ummat hai aur mein tum sab ka perwerdigar hun pus tum meri hi ibadat kero

Verse 93 — Surah Al-Anbiya 21:93

Magar logon ney aapas mein apney deen mein firqa bandiyan ker len sab kay sab humari hi taraf lotney walay hain

Verse 94 — Surah Al-Anbiya 21:94

Phir jo bhi nek kaam keray aur woh momin (bhi) ho to uss ki kosish ki bey qadri nahi ki jayegi. Hum to iss kay likhney walay hain

Verse 95 — Surah Al-Anbiya 21:95

Aur jis basti ko hum ney halak ker diya uss per lazim hai kay wahan kay log palat ker nahi aayen gay

Verse 96 — Surah Al-Anbiya 21:96

Yahan tak kay yajooj aur majooj khol diye jayen gay aur woh her bulandi say dortay huye aayen gay

Verse 97 — Surah Al-Anbiya 21:97

Aur sacha wada qareeb aa lagay ga uss waqt kafirion ki nigahen phati ki phati reh jayen gi kay haye afsos! Hum iss haal say ghafil thay bulkay fil-waqey hum qusoor waar thay

Verse 98 — Surah Al-Anbiya 21:98

Tum aur Allah kay siwa jin jin ki tum ibadat kertay ho sab dozakh ka endhan bano gay tum sab dozakh mein janey walay ho

Verse 99 — Surah Al-Anbiya 21:99

Agar yeh (sachay) mabood hotay to jahannum mein dakhil na hotay aur sab kay sab ussi mein hamesha rehnay walay hain

Verse 100 — Surah Al-Anbiya 21:100

Aur woh wahan chilla reahey hongay aur wahan kuch bhi na sunn saken gay

Verse 101 — Surah Al-Anbiya 21:101

Albatta bey-shak jin kay liye humari taraf say neki pehlay hi ther chuki hai. Woh sab jahannum say door hi rakhay jayen gay

Verse 102 — Surah Al-Anbiya 21:102

Woh to dozakh ki aahat tak na sunen gay aur pani mann bhati cheezon mein hamesha rehney walay hongay

Verse 103 — Surah Al-Anbiya 21:103

Woh bari ghabrahat (bhi) unhen ghumgeen na ker sakay gi aur farishtay unhen hathon haath len gay kay yehi tumhara woh din hai jiss kay tum wada diye jatay rahey

Verse 104 — Surah Al-Anbiya 21:104

Jiss din hum aasman ko yun lapet len gay jaisay toomaar mein auraaq lapet diye jatay hain jaisay kay hum ney awwal dafa pedaeesh ki thi issi tarah doobara keren gay. Yeh humarayu zimmay wada hai aur hum issay zaroor ker kay (hi) rahen gay

Verse 105 — Surah Al-Anbiya 21:105

Hum zaboor mein pind-o-naseehat kay baad yeh likh chukay hain kay zamin kay waris meray nek banday (hi) hongay

Verse 106 — Surah Al-Anbiya 21:106

Ibadat guzaar bandon kay liye to iss mein aik bara payghaam hai

Verse 107 — Surah Al-Anbiya 21:107

Aur hum ney aap ko tamam jahan walon kay rehmat bana ker hi bheja hai

Verse 108 — Surah Al-Anbiya 21:108

Keh dijiye! Meray pass to pus wahee ki jati hai kay tum sab ka mabood aik hi hai to kiya tum bhi uss ki farmanbardaari kerney walay ho

Verse 109 — Surah Al-Anbiya 21:109

Phir agar yeh mun mor len to keh dijiye kay mein ney tumhen yaksan tor per khabardaar ker diya hai. Mujhay ilm nahi kay jiss ka wada tum say kiya jaraha hai woh qareeb hai ya door

Verse 110 — Surah Al-Anbiya 21:110

Albatta Allah Taalaa to khulli aur zahir baat ko bhi janta hai aur jo tum chupatay ho ussay bhi janta hai

Verse 111 — Surah Al-Anbiya 21:111

Mujhay iss ka bhi ilm nahi mumkin hai yeh tumhari aazmaeesh ho aur aik muqarrara waqt tak ka faeeda (phonchana) hai

Verse 112 — Surah Al-Anbiya 21:112

Khud nabi ney kaha aey rab! Insaf kay sath faisla farma aur humara rab bara meharbaan hai jiss say madad talab ki jati hai unn baaton per jo tum biyan kertay ho