Inn kay dil bilkul ghafil hain aur inn zalimon ney chupkay chupkay sirgoshiyan kin kay woh tum hi jesa insan hai phir kiya waja hai jo tum aankhon dekhtay jadoo mein aajatay ho
Itna hi nahi bulkay yeh to kehtay hain kay yeh quran peraganda khuwabon ka majmooa hai bulkay iss ney az-khud issay ghar liya hai bulkay yeh shaeer hai werna humaray samney yeh koi aisi nishani latay jesay kay aglay payghumber bhejay gaye thay
Tujh say pehlay bhi jitney payghumber hum ney bhejay sabhi mard thay jin ki taraf hum wahee utartay thay pus tum ehal-e-kitab say pooch lo agar khud tumhen ilm na ho
Phir hum ney unn say kiye huye sab waday sachay kiye unhen aur jin jin ko hum ney chaha nijat ata farmaee aur hadd say nikal janey walon ko gharat ker diya
Bulkay hum sach ko jhoot per phenk maartay hain pus sach jhoot ka sir tor deta hai aur woh ussi waqt nabood ho jata hai tum jo baten banatay ho woh tumharay liye baees-e-kharabi hain
Agar aasman-o-zamin mein siwaye Allah Taalaa kay aur bhi mabood hotay to yeh dono darhum barhum ho jatay pus Allah Taalaa arsh ka rab her uss wasf say pak hai jo yeh mushrik biyan kertay hain
Kiya inn logon ney Allah kay siwa aur mabood bana rakhay hain inn say keh do laao apni daleel paish kero. Yeh hain meray sath walon ki kitab aur mujh say aglon ki daleel. Baat yeh hain kay inn mein kay aksar log haq ko nahi jantay issi waja say mun moray huye hain
Tujh say pehlay bhi jo rasool hum ney bheja uss ki taraf yehi wahee nazil farmaee kay meray siwa koi mabood bar-haq nahi pus tum sab meri hi ibadat kero
Woh inn kay aagay peechay kay tamam umoor say waqif hai woh kissi ki bhi sifarish nahi kertay ba-juz unn kay jin say Allah khush ho woh to khud haibat-e-elahee say larzan-o-tarsan hain
Kiya kafir logon ney yeh nahi dekha kay aasman-o-zamin ba-hum milay julay thay phir hum ney unhen juda kiya aur her zinda cheez ko hum ney pani say peda kiya kiya yeh log phir bhi eman nahi latay
Her jaandaar mot ka maza chakhney wala hai. Hum ba-tareeq imtehan tum say her aik ko buraee bhalaee mein mubtila kertay hain aur tum sab humari hi taraf lotaye jaogay
Yeh munkireen tujhay jab bhi dekhtay hain to tumhara mazaq hi uratay hain kay kiya yehi woh hai jo tumharay maboodon ka zikar buraee say kerta hai aur woh khud hi rehman ki yaad kay bilkul hi munkir hain
(Haan haan!) waday ki ghari unn kay pass achanak aajayegi aur enhen hakka bakka ker dey gi phir na to yeh log ussay taal saken gay aur na zara si mohlat diye jayengay
Kiya humaray siwa inn kay aur mabood hain jo enhen musibaton say bacha len. Koi bhi khud apni madad ki taqat nahi rakhta aur na koi humari taraf say rafaqat diya jata hai
Bulkay hum ney enhen aur inn kay baap dadon ko zindagi kay saro saman diye yahan tak kay unn ki muddat-e-umar guzar gaee. Kiya woh nahi dekhtay kay hum zamin ko iss kay kinaron say ghatatay chalay aarahey hain abb kiya wohi ghalib hain?keh dijiye! Mein to tumhen Allah ki wahee kay zariye aagah ker raha hun magar behray log baat nahi suntay jabkay unhen aagah kiya jaye
Qayamat kay din hum darmiyan mein laa rakhen gay theek theek tolney wali tarazoo ko. Phir kissi per kuch bhi zulm na kiya jayega. Aur agar aik raaee kay daney kay barabar bhi amal hoga hum ussay laa hazir keren gay aur hum kafi hain hisab kerney walay
Aap ney farmaya nahi dar-haqeeqat tum sab ka perwerdigar to woh hai jo aasmano aur zamin ka malik hai jiss ney unehn peda kiya hai mein to issi baat ka gawah aur qaeel hun
Aur hum ney unehn paishwa bana diya kay humaray hukum say logon ki rehbari keren aur hum ney unn ki taraf nek kaamon kay kerney aur namazon kay qaeem rakhney aur zakat denay ki wahee (talqeen) ki aur woh sab kay sab humaray ibadat guzaar banday thay
Hum ney loot (alh-e-salam) ko bhi hukum aur ilm diya aur ussay uss basti say nijat di jahan kay log ganday kaamon mein mubtila thay. Aur thay bhi woh bad-tareen gunehgaar
Nooh kay uss waqt ko yaad kijiye jabkay uss ney iss say pehlay dua ki hum ney uss ki dua qabool farmaee aur ussay aur uss kay ghar walon ko baray karb say nijat di
Aur jo log humari aayaton ko jhutla rahey thay unn kay muqablay mein hum ney uss ki madad ki yaqeenan woh buray log thay pus hum ney unn sab ko dobo diya
Aur dawood (alh-e-salam) aur suleman (alh-e-salam) ko yaad kijiye jabkay woh khet kay moamlay mein faisla ker rahey thay kay kuch logon ki bakriyan raat ko iss mein char chug gaee thin aur unn kay faislay mein hum mojood thay
Hum ney iss ka sahih faisla suleman ko samjha diya. Haan her aik ko hum ney hukum-o-ilm dey rakha tha aur dawood kay tabey hum ney pahar ker diye thay jo tasbeeh kertay thay aur parind bhi. Hum kerney walay hi thay
Hum ney tund-o-tez hawa ko suleman (alh-e-salam) kay tabey ker diya jo uss kay farmaan kay mutabiq uss zamin ki taraf chalti thi jahan hum ney barkat dey rakhi thi aur hum her cheez say ba-khabar aur dana hain
Issi tarah say boht say shayateen bhi hum ney uss kay tabey kiye thay jo uss kay farmaan say ghotay lagatay thay aur iss kay siwa bhi boht say kaam kiya kertay thay inn kay nigehbaan hum hi thay
Ayub (alh-e-salam) ki uss halat ko yaad kero jabkay uss ney apney perwerdigar ko pukara kay mujhay yeh beemari lag gaee hai aur tu reham kerney walon say ziyada reham kerney wala hai
To hum ney uss ki sunn li aur jo dukh unhen tha ussay door ker diya aur uss ko ehal-o-ayaal ata farmaye bulkay unn kay sath waisay hi aur apni khaas meharbaani say takay sachay bandon kay liye sabab naseehat ho
Machli walay (hazrat younus alh-e-salam) ko yaad kero! Jabkay woh gussay say chal diya aur khayal kiya kay hum ussay na pakar saken gay. Bil-aakhir woh andheron kay andar say pukar utha kay elahee teray siwa koi mabood nahi tu pak hai be-shak mein zalimon mein say tha
Hum ney uss ki dua ko qabool farma ker ussay yahya (alh-e-salam) ata farmaya aur unn ki biwi ko unn kay liye durust ker diya. Yeh buzrug log nek kaamon ki taraf jaldi kiya kertay thay aur humen lalach tama aur darr khof say pukartay thay. Aur humaray samney aajzi kerney walay thay
Aur woh pak daman bibi jis ney apni asmat ki hifazat ki hum ney uss kay andar apni rooh say phoonk di aur khud unhen aur unn kay larkay ko tamam jahan kay liye nishani bana diya
Aur sacha wada qareeb aa lagay ga uss waqt kafirion ki nigahen phati ki phati reh jayen gi kay haye afsos! Hum iss haal say ghafil thay bulkay fil-waqey hum qusoor waar thay
Woh bari ghabrahat (bhi) unhen ghumgeen na ker sakay gi aur farishtay unhen hathon haath len gay kay yehi tumhara woh din hai jiss kay tum wada diye jatay rahey
Jiss din hum aasman ko yun lapet len gay jaisay toomaar mein auraaq lapet diye jatay hain jaisay kay hum ney awwal dafa pedaeesh ki thi issi tarah doobara keren gay. Yeh humarayu zimmay wada hai aur hum issay zaroor ker kay (hi) rahen gay
Phir agar yeh mun mor len to keh dijiye kay mein ney tumhen yaksan tor per khabardaar ker diya hai. Mujhay ilm nahi kay jiss ka wada tum say kiya jaraha hai woh qareeb hai ya door
Khud nabi ney kaha aey rab! Insaf kay sath faisla farma aur humara rab bara meharbaan hai jiss say madad talab ki jati hai unn baaton per jo tum biyan kertay ho