Jiss din tum ussay dekh lo gay her doodh pilaney wali apnay doodh peetay bachay ko bhool jayegi aur tamam hamal waliyon kay hamal girr jayen gay aur tu dekhay ga kay log madhosh dikhaee den gay halankay dar-haqeeqat who matwalay na hongay lekin Allah ka azab bara hi sakht hai
Logo agar tumhen marney kay baad ji uthney mein shak hai to socho hum ney tumhen mitti say peda kiya phir nutfay say phir khoon basta say phir gosht kay lothray say jo soorat diya gaya tha aur bey naqsha tha. Yeh hum tum per zahir ker detay hain aur hum jissay chahayen aik thehraye huye waqt tak reham-e-madir mein rakhtay hain phir tumhen bachpan ki halat mein duniya mein latay hain phir takay tum apni poori jawani ko phoncho tum mein say baaz to woh hain jo fot ker liye jatay hain aur baaz bey gharz umar ki taraf phir say lota diye jatay hain kay woh aik cheez say ba-khabar honey kay baad phir bey khabar hojaye. Tu dekhta hai kay zamin (banjar aur) khusk hai phir jab hum uss per barishen barsatay hain to woh ubharti hai aur phoolti hai aur her qisam ki ronaq daar nabataat ugati hai
Jo apni pehloo morney wala bann ker iss liye kay Allah ki raah say behka dey ussay duniya mein bhi ruswaee hogi aur qayamat kay din bhi hum ussay jahannum mein jalney ka azab chakhayen gay
Baaz log aisay bhi hain kay aik kinaray per (kharay) ho ker Allah ki ibadat kertay hain. Agar koi nafa mill gaya to dilchaspi leney lagtay hain aur agar koi aafat aagaee to ussi waqt mun pher letay hain enhon ney dono jahan ka nuksan utha liya. Waqaee yeh khulla nuksan hai
Jiss ka yeh khayal ho kay Allah Taalaa apnay rasool ki madad dono jahan mein na keray ga woh unchaee per aik rassa bandh ker (apnay halaq mein phanda daal ker apna gala ghont ley) phir dekh ley kay uss ki chalakkiyon say woh baat hat jati hai jo ussay tarpa rahi hai
Be-shak ehal-e-emaan aur yahoodi aur saabi aur nasrani aur majoosi aur mushtikeen inn sab kay darmiyan qayamat kay din khud Allah Taalaa faislay ker dey ga Allah Taalaa her her cheez per gawah hai
Kiya tu nahi dekh raha kay Allah kay samney sajday mein hain sab aasmano walay aur sab zamino walay aur sooraj aur chand aur sitaray aur pahar aur darakht aur janwar aur boht say insan bhi. Haan boht say woh bhi hain jin per azab ka maqoola sabit ho chuka hai jisay rab zaleel ker dey ussay koi izzat deney wala nahi Allah jo chahata hai kerta hai
Yeh dono apnay rab kay baray mein ikhtilaf kerney walay hain pus kafiron kay liye to aag kay kapray beywant ker katay jayen gay aur unn kay siron kay upper say sakht kholta hua pani bahaya jayega
eman walon aur nek kaam walon ko Allah Taalaa inn jannaton mein ley jayega jin kay darakhton talay say nehren lehren ley rahi hain jahan woh soney kay kanggan pehnaye jayen gay aur sachay moti bhi. Wahan unn ka libas khlis resham hoga
Jin logon ney kufur kiya aur Allah ki raah rokney lagay aur uss hurmat wali masjid say bhi jissay hum ney tamam logon kay liye masavi ker diya hai wahin kay rehney walay hon ya bahir kay hon jo bhi zulm kay sath wahan ilhaad ka irada keray hum ussay dard-naak azab chakhayen gay
Aur jabkay hum ney ibrahim (alh-e-salam) ko kaba kay makan ki jagah muqarrar kerdi iss shart per kay meray sath kissi ko shareek na kerna aur meray ghar ko tawaf qayam rukoo sajda kerney walon kay liye pak saaf rakhna
Apnay faeeday hasil kerney ko aajyen aur unn muqarrara dino mein Allah ka naam yaad keren unn chopayon per jo paltoo hain pus tum aap bhi khao aur bhookay faqeeron ko bhi khilao
Yeh hai aur jo koi Allah ki hurmaton ki tazeem keray uss kay apnay liye uss kay rab kay pass behtari hai. Aur tumharay liye chopaye janwar halal ker diya gaye ba-juz unn kay jo tumharay samney biyan kiye gaye hain pus tumhen buton ki gandagi say bachtay rehna chahiye aur jhooti baat say bhi perhez kerna chahiye
Allah ki toheed ko mantay huye uss kay sath kissi ko shareek na kertay huye. Suno! Allah kay sath shareek kerney wala goya aasman say gir para abb ya to ussay parinday uchak ley jayen gay ya hawa kissi door daraz ki jagah per phenk dey gi
Aur her ummat kay liye hum ney qurbani kay tareeqay muqarrar farmaye hain takay woh inn chopaye janwaron per Allah ka naam len jo Allah ney unhen dey rakhay hain. Samajh lo kay tum sab ka mabood-e-bar haq sirf aik hi hai tum ussi kay tabey farmaan ho jao aajzi kerney walon ko khuskhabri suna dijiye
Unhen kay jab Allah ka zikar kiya jaye unn kay dil tharra jatay hain unhen jo buraee phonchay uss per sabar kertay hain namaz qaeem kerney walay hain aur jo kuch hum ney unhen dey rakha hai woh uss mein say bhi detay rehtay hain
Qurbani kay oont hum ney tumharay liye Allah Taalaa ki nishaniyan muqarrar ker di hain inn mein tumhen nafa hai. Pus unhen khara ker kay unn per Allah ka naam lo phir jab unn kay pehloo zamin say lag jayen ussay (khud bhi) khao aur miskeen sawal say rukney walon aur sawal kerney walon ko bhi khilao issi tarah hum ney chopayon ko tumharay ma-tehat ker diya hai kay tum shukar guzari kero
Allah Taalaa ko qurbaniyon kay gosht nahi phonchtay na unn kay khoon bulkay ussay to tumharay dil ki perhezgari phonchti hai. Issi tarah Allah ney inn janwaron ko tumhara mutee ker diya hai kay tum uss ki rehnumaee kay shuriye mein uss ki baraiyan biyan kero aur nek logon ko khuskhabri suna dijiye
Sunn rakho! Yaqeenan sachay momino kay duhmano ko khud Allah Taalaa hata deta hai. Koi khayanat kerney wala na shukra Allah Taalaa ko hergiz pasand nahi
Jin (musalmano) say (kafir) jang ker rahey hain unhen bhi muqablay ki ijazat di jati hai kiyon kay woh mazloom hain. Be-shak unn ki madad per Allah qadir hai
Yeh woh hain jinhen na-haq apnay gharon say nikala gaya sirf unn kay iss qol per ker humara perwerdigar faqat Allah hai. Agar Allah Taalaa logon ko aapas mein aik doosray say na hatata rehta to ibadat khaney aur girjay aur masjiden aur yahoodiyon kay maabad aur woh masjiden bhi dha di jaten jahan Allah ka naam ba-kasrat liya jata hai. Jo Allah ki madad keray ga Allah bhi zaroor uss ki madad keray ga. Be-shak Allah Taalaa bari qooaton wala baray ghalbay wala hai
Yeh woh log hain kay agar hum zamin mein inn kay paaon jama den to yeh poori pabandi say namazen qaeem keren aur zakaten den aur achay kaamon ka hukum keren aur burray kaamon say mana keren. Tamam kaamon ka anjam Allah kay ikhtiyar mein hai
Aur madiyan walay bhi apnay apnay nabiyon ko jhutla chukay hain. Musa (alh-e-salam) bhi jhutlaye ja chukay hain pus mein ney kafiron ko yun hi si mohlat di phir dhar dabaya phir mera azab kaisa hua
Boht si bastiyan hain jinhen hum ney teh-o-bala kerdiya iss liye kay woh zalim thay pus woh apni chaton kay bal ondhi hui pari hain aur boht say abad koonwen beykaar paray hain aur boht say pakkay aur buland mehal weeran paray hain
Kiya enhon ney zamin mein sair-o-sayyaahat nahi ki jo inn kay dil inn baton kay samajhney walay hotay ya kano say hi inn (waqeeyaat) ko sunn letay baat yeh hai kay sirf aankhen hi andhi nahi hotin bulkay woh dil andhay ho jatay hain jo seeno mein hain
Aur azab ko aap say jaldi talab ker rahey hain Allah hergiz apna wada nahi talay ga. Haan albata aap kay rab kay nazdeek aik din tumhari ginti kay aitbar say aik hazar saal ka hai
Hum ney aap say pehlay jiss rasool aur nabi ko bheja uss kay sath yeh hua kay jab woh apnay dil mein koi aarzoo kerney laga shetan ney uss ki aarzoo mein kuch mila diya pus shetan ki milawat ko Allah Taalaa door ker deta hai phir apni baten pakki ker deta hai. Allah Taalaa dana aur ba-hikmat hai
Yeh iss liye kay shetani milawat ko Allah Taalaa unn logon ki aazmaeesh ka zariya bana dey jin kay dilon mein beemari hai aur jin kay dil sakht hain. Be-shak zalim log gehri mukhalifat mein hain
Aur iss liye bhi kay jinhen ilm ata farmaya gaya hai woh yaqeen kerlen kay yeh aap kay rab hi ki taraf say sirasir haq hi hai phir woh iss per eman layen aur unn kay dil uss ki taraf jhuk jayen. Yaqeenan Allah Taalaa eman daron ko raah-e-raast ki taraf rehbari kerney wala hi hai
Kafir iss wahee-e-elahee mein hamesha shak-o-shuba hi kertay rahen gay hatta kay achanak unn kay saron per qayamat aajaye ya unn kay pass uss din ka azab aajaye jo manhoos hai
Aur jin logon ney raah-e-khuda mein tarq-e-watan kiya phir woh shaheed ker diye gaye ya apni maut marr gaye Allah Taalaa unhen behtareen rizq ata farmaye ga. Aur be-shak Allah Taalaa rozi denay walon mein sab say behtar hai
Baat yehi hai aur jiss ney badla liya ussi kay barabar jo uss kay sath kiya gaya tha phir agar uss say ziyadti ki jaye to yaqeenan Allah Taalaa khud uss ki madad farmaye ga. Be-shak Allah darguzar kerney wala bakshney wala hai
Kiya aap ney nahi dekha kay Allah hi ney zamin ki tamam cheezen tumharay liye musakkhar ker di hain aur uss kay farmaan say pani mein chalti hui kashtiyan bhi. Wohi aasaman ko thamay huye hai kay zamin per uss ki ijazat kay baghair girr na paray be-shak Allah Taalaa logon per shafqat-o-narmi kerney wala aur meharban hai
Her ummat kay liye hum ney ibadat ka aik tareeqa muqarrar ker diya hai jissay woh baja laney walay hain pus enhen iss amar mein aap say jhagra na kerna chahiye aap apnay perwerdigar ki taraf logon ko buliye. Yaqeenan aap theek hidayat per hi hain
Kiya aap ney nahi jana kay aasman-o-zamin ki her cheez Allah kay ilm mein hai. Yeh sab likhi hui kitab mein mehfooz hai. Allah Taalaa per to yeh amar bilkul aasan hai
Aur yeh Allah kay siwa unn ki ibadat ker rahey hain jiss ki koi khudaee daleel nazil nahi hui na woh khud hi iss ka koi ilm rakhtay hain. Zalimon ka koi madadgar nahi
Jab inn kay samney humaray kalaam ki khulli hui aayaton ki tilawat ki jati hai to aap kafiron kay chehron per na khushi kay saaf aasaar pehchan letay hain. Woh to qareeb hotay hain kay humari aayaten sunaney walon per hamla ker bethen keh dijiye kay kiya mein tumhen iss say bhi ziyada bad tar khabar doon. Woh aag hai jiss ka wada Allah ney kafiron say ker rakha hai aur woh boht hi buri jagah hai
Logo! Aik misal biyan ki jarahi hai zara kaan laga ker suno! Allah kay siwa jin jin ko tum pukartay ho woh aik makkhi bhi to peda nahi ker saktay go saray kay saray hi jama ho jayen bulkay agar makkhi unn say koi cheez ley bhagay to yeh to ussay bhi uss say cheen nahi saktay bara boda hai talab kerney wala aur bara boda hai woh jiss say talab kiya jaraha hai
Aur Allah ki raah mein wesa hi jihad kero jesay jihad ka haq hai ussi ney tumhen bargazeedah banaya hai aur tum per deen kay baray mein koi tangi nahi daali deen apnay baap ibrahim (alh-e-salam) ka qaeem rakho ussi Allah ney tumhara naam musalman rakha hai iss quran say pehlay aur iss mein bhi takay payghumbar tum per gawah hojaye aur tum tamam logon kay gawah bann jao. Pus tumhen chahiye kay namazen qaeen rakho aur zakat ada kertay raho aur Allah ko mazboor thaam lo wohi tumhara wali aur malik hai. Pus kiya hi acha malik hai aur kitna hi behtar madadgar hai