Back to Languages

Urdu - Chapter 22 - Al-Hajj

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Hajj 22:1

Logo! Apnay perwerdigar say daro! Bilshuba qayamat ka zalzala boht hi bari cheez hai

Verse 2 — Surah Al-Hajj 22:2

Jiss din tum ussay dekh lo gay her doodh pilaney wali apnay doodh peetay bachay ko bhool jayegi aur tamam hamal waliyon kay hamal girr jayen gay aur tu dekhay ga kay log madhosh dikhaee den gay halankay dar-haqeeqat who matwalay na hongay lekin Allah ka azab bara hi sakht hai

Verse 3 — Surah Al-Hajj 22:3

Baaz log Allah kay baray mein batein banatay hain aur woh bhi bey ilmi kay sath aur her sirkash shetan ki pairwee kertay hain

Verse 4 — Surah Al-Hajj 22:4

Jiss per (qazay-e-elahee) likh di gaee hai kay jo koi uss ki rafaqat keray ga woh ussay gumrah ker dey ga aur ussay aag kay azab ki taraf ley jayeg

Verse 5 — Surah Al-Hajj 22:5

Logo agar tumhen marney kay baad ji uthney mein shak hai to socho hum ney tumhen mitti say peda kiya phir nutfay say phir khoon basta say phir gosht kay lothray say jo soorat diya gaya tha aur bey naqsha tha. Yeh hum tum per zahir ker detay hain aur hum jissay chahayen aik thehraye huye waqt tak reham-e-madir mein rakhtay hain phir tumhen bachpan ki halat mein duniya mein latay hain phir takay tum apni poori jawani ko phoncho tum mein say baaz to woh hain jo fot ker liye jatay hain aur baaz bey gharz umar ki taraf phir say lota diye jatay hain kay woh aik cheez say ba-khabar honey kay baad phir bey khabar hojaye. Tu dekhta hai kay zamin (banjar aur) khusk hai phir jab hum uss per barishen barsatay hain to woh ubharti hai aur phoolti hai aur her qisam ki ronaq daar nabataat ugati hai

Verse 6 — Surah Al-Hajj 22:6

Yeh iss liye kay Allah hi haq hai aur wohi murdon ko jilata hai aur woh her her cheez per qudrat rakhney wala hai

Verse 7 — Surah Al-Hajj 22:7

Aur yeh kay qayamat qata’an aaney wali hai jiss mein koi shak-o-shuba nahi aur yaqeenan Allah Taalaa qabron walon ko doobara zinda farmaye ga

Verse 8 — Surah Al-Hajj 22:8

Baaz log Allah kay baray mein baghari ilm kay aur baghair hidayat kay aur baghair roshan kitab kay jhagartay hain

Verse 9 — Surah Al-Hajj 22:9

Jo apni pehloo morney wala bann ker iss liye kay Allah ki raah say behka dey ussay duniya mein bhi ruswaee hogi aur qayamat kay din bhi hum ussay jahannum mein jalney ka azab chakhayen gay

Verse 10 — Surah Al-Hajj 22:10

Yeh unn aemaal ki waja say hai jo teray hathon ney aagay bhej rakhay thay. Yaqeen mano kay Allah Taalaa apnay bando per zulm kerney wala nahi

Verse 11 — Surah Al-Hajj 22:11

Baaz log aisay bhi hain kay aik kinaray per (kharay) ho ker Allah ki ibadat kertay hain. Agar koi nafa mill gaya to dilchaspi leney lagtay hain aur agar koi aafat aagaee to ussi waqt mun pher letay hain enhon ney dono jahan ka nuksan utha liya. Waqaee yeh khulla nuksan hai

Verse 12 — Surah Al-Hajj 22:12

Allah kay siwa unhen pukara kertay hain jo na unhen nuksan phoncha saken na nafa. Yehi to door daraz ki gumrahi hai

Verse 13 — Surah Al-Hajj 22:13

Ussay pukartay hain jiss ka nuksan uss kay nafay say ziyada qareeb hai yaqeenan buray wali hain aur buray sathi

Verse 14 — Surah Al-Hajj 22:14

eman aur nek aemaal walon ko Allah Taalaa lehren leti hui nehron wali jannaton mein ley jaye ga. Allah jo irada keray ussay ker kay rehta hai

Verse 15 — Surah Al-Hajj 22:15

Jiss ka yeh khayal ho kay Allah Taalaa apnay rasool ki madad dono jahan mein na keray ga woh unchaee per aik rassa bandh ker (apnay halaq mein phanda daal ker apna gala ghont ley) phir dekh ley kay uss ki chalakkiyon say woh baat hat jati hai jo ussay tarpa rahi hai

Verse 16 — Surah Al-Hajj 22:16

Hum ney issi tarah iss quran ko wazeh aayaton mein utara hai. Jissay Allah chahaye hidayat naseeb farmata hai

Verse 17 — Surah Al-Hajj 22:17

Be-shak ehal-e-emaan aur yahoodi aur saabi aur nasrani aur majoosi aur mushtikeen inn sab kay darmiyan qayamat kay din khud Allah Taalaa faislay ker dey ga Allah Taalaa her her cheez per gawah hai

Verse 18 — Surah Al-Hajj 22:18

Kiya tu nahi dekh raha kay Allah kay samney sajday mein hain sab aasmano walay aur sab zamino walay aur sooraj aur chand aur sitaray aur pahar aur darakht aur janwar aur boht say insan bhi. Haan boht say woh bhi hain jin per azab ka maqoola sabit ho chuka hai jisay rab zaleel ker dey ussay koi izzat deney wala nahi Allah jo chahata hai kerta hai

Verse 19 — Surah Al-Hajj 22:19

Yeh dono apnay rab kay baray mein ikhtilaf kerney walay hain pus kafiron kay liye to aag kay kapray beywant ker katay jayen gay aur unn kay siron kay upper say sakht kholta hua pani bahaya jayega

Verse 20 — Surah Al-Hajj 22:20

Jiss say unn kay pet ki sab cheezen aur khalen gala di jayen gi

Verse 21 — Surah Al-Hajj 22:21

Aur unn ki saza kay liye lohay kay hathoray hain

Verse 22 — Surah Al-Hajj 22:22

Yeh jab bhi wahan kay ghum say nikal bhagney ka irada keren gay wahin lota diye jayen gay aur (kaha jayega) jalney ka azab chakho

Verse 23 — Surah Al-Hajj 22:23

eman walon aur nek kaam walon ko Allah Taalaa inn jannaton mein ley jayega jin kay darakhton talay say nehren lehren ley rahi hain jahan woh soney kay kanggan pehnaye jayen gay aur sachay moti bhi. Wahan unn ka libas khlis resham hoga

Verse 24 — Surah Al-Hajj 22:24

Unn ko pakeeza baat ki rehnumaee kerdi gaee aur qabil-e-sadd tareef raah ki rehnumee kerdi gaee

Verse 25 — Surah Al-Hajj 22:25

Jin logon ney kufur kiya aur Allah ki raah rokney lagay aur uss hurmat wali masjid say bhi jissay hum ney tamam logon kay liye masavi ker diya hai wahin kay rehney walay hon ya bahir kay hon jo bhi zulm kay sath wahan ilhaad ka irada keray hum ussay dard-naak azab chakhayen gay

Verse 26 — Surah Al-Hajj 22:26

Aur jabkay hum ney ibrahim (alh-e-salam) ko kaba kay makan ki jagah muqarrar kerdi iss shart per kay meray sath kissi ko shareek na kerna aur meray ghar ko tawaf qayam rukoo sajda kerney walon kay liye pak saaf rakhna

Verse 27 — Surah Al-Hajj 22:27

Aur logon mein hajj ki manadi ker dey log teray pass paa piyada bhi aayen gay aur dublay patley oonton per bhi door daraz ki tamam rahon say aayen gay

Verse 28 — Surah Al-Hajj 22:28

Apnay faeeday hasil kerney ko aajyen aur unn muqarrara dino mein Allah ka naam yaad keren unn chopayon per jo paltoo hain pus tum aap bhi khao aur bhookay faqeeron ko bhi khilao

Verse 29 — Surah Al-Hajj 22:29

Phir woh apna mail kuchail door keren aur apni nazren poori keren aur Allah kay qadeem ghar ka tawaf keren

Verse 30 — Surah Al-Hajj 22:30

Yeh hai aur jo koi Allah ki hurmaton ki tazeem keray uss kay apnay liye uss kay rab kay pass behtari hai. Aur tumharay liye chopaye janwar halal ker diya gaye ba-juz unn kay jo tumharay samney biyan kiye gaye hain pus tumhen buton ki gandagi say bachtay rehna chahiye aur jhooti baat say bhi perhez kerna chahiye

Verse 31 — Surah Al-Hajj 22:31

Allah ki toheed ko mantay huye uss kay sath kissi ko shareek na kertay huye. Suno! Allah kay sath shareek kerney wala goya aasman say gir para abb ya to ussay parinday uchak ley jayen gay ya hawa kissi door daraz ki jagah per phenk dey gi

Verse 32 — Surah Al-Hajj 22:32

Yeh sunn liya abb aur suno! Allah ki nishaniyon ki jo izzat-o-hurmat keray uss kay dil ki perhezgari ki waja say yeh hai

Verse 33 — Surah Al-Hajj 22:33

Inn mein tumharay liye aik muqarrara waqt tak faeeda hai phir inn kay halal honey ki jagah khan-e-kaaba hai

Verse 34 — Surah Al-Hajj 22:34

Aur her ummat kay liye hum ney qurbani kay tareeqay muqarrar farmaye hain takay woh inn chopaye janwaron per Allah ka naam len jo Allah ney unhen dey rakhay hain. Samajh lo kay tum sab ka mabood-e-bar haq sirf aik hi hai tum ussi kay tabey farmaan ho jao aajzi kerney walon ko khuskhabri suna dijiye

Verse 35 — Surah Al-Hajj 22:35

Unhen kay jab Allah ka zikar kiya jaye unn kay dil tharra jatay hain unhen jo buraee phonchay uss per sabar kertay hain namaz qaeem kerney walay hain aur jo kuch hum ney unhen dey rakha hai woh uss mein say bhi detay rehtay hain

Verse 36 — Surah Al-Hajj 22:36

Qurbani kay oont hum ney tumharay liye Allah Taalaa ki nishaniyan muqarrar ker di hain inn mein tumhen nafa hai. Pus unhen khara ker kay unn per Allah ka naam lo phir jab unn kay pehloo zamin say lag jayen ussay (khud bhi) khao aur miskeen sawal say rukney walon aur sawal kerney walon ko bhi khilao issi tarah hum ney chopayon ko tumharay ma-tehat ker diya hai kay tum shukar guzari kero

Verse 37 — Surah Al-Hajj 22:37

Allah Taalaa ko qurbaniyon kay gosht nahi phonchtay na unn kay khoon bulkay ussay to tumharay dil ki perhezgari phonchti hai. Issi tarah Allah ney inn janwaron ko tumhara mutee ker diya hai kay tum uss ki rehnumaee kay shuriye mein uss ki baraiyan biyan kero aur nek logon ko khuskhabri suna dijiye

Verse 38 — Surah Al-Hajj 22:38

Sunn rakho! Yaqeenan sachay momino kay duhmano ko khud Allah Taalaa hata deta hai. Koi khayanat kerney wala na shukra Allah Taalaa ko hergiz pasand nahi

Verse 39 — Surah Al-Hajj 22:39

Jin (musalmano) say (kafir) jang ker rahey hain unhen bhi muqablay ki ijazat di jati hai kiyon kay woh mazloom hain. Be-shak unn ki madad per Allah qadir hai

Verse 40 — Surah Al-Hajj 22:40

Yeh woh hain jinhen na-haq apnay gharon say nikala gaya sirf unn kay iss qol per ker humara perwerdigar faqat Allah hai. Agar Allah Taalaa logon ko aapas mein aik doosray say na hatata rehta to ibadat khaney aur girjay aur masjiden aur yahoodiyon kay maabad aur woh masjiden bhi dha di jaten jahan Allah ka naam ba-kasrat liya jata hai. Jo Allah ki madad keray ga Allah bhi zaroor uss ki madad keray ga. Be-shak Allah Taalaa bari qooaton wala baray ghalbay wala hai

Verse 41 — Surah Al-Hajj 22:41

Yeh woh log hain kay agar hum zamin mein inn kay paaon jama den to yeh poori pabandi say namazen qaeem keren aur zakaten den aur achay kaamon ka hukum keren aur burray kaamon say mana keren. Tamam kaamon ka anjam Allah kay ikhtiyar mein hai

Verse 42 — Surah Al-Hajj 22:42

Agar yeh log aap ko jhutlayen (to koi tajjub ki baat nahi) to inn say pehlay nooh (alh-e-salam) ki qom aur aad aur samood

Verse 43 — Surah Al-Hajj 22:43

Aur qom-e-ibrahim aur qom-e-loot

Verse 44 — Surah Al-Hajj 22:44

Aur madiyan walay bhi apnay apnay nabiyon ko jhutla chukay hain. Musa (alh-e-salam) bhi jhutlaye ja chukay hain pus mein ney kafiron ko yun hi si mohlat di phir dhar dabaya phir mera azab kaisa hua

Verse 45 — Surah Al-Hajj 22:45

Boht si bastiyan hain jinhen hum ney teh-o-bala kerdiya iss liye kay woh zalim thay pus woh apni chaton kay bal ondhi hui pari hain aur boht say abad koonwen beykaar paray hain aur boht say pakkay aur buland mehal weeran paray hain

Verse 46 — Surah Al-Hajj 22:46

Kiya enhon ney zamin mein sair-o-sayyaahat nahi ki jo inn kay dil inn baton kay samajhney walay hotay ya kano say hi inn (waqeeyaat) ko sunn letay baat yeh hai kay sirf aankhen hi andhi nahi hotin bulkay woh dil andhay ho jatay hain jo seeno mein hain

Verse 47 — Surah Al-Hajj 22:47

Aur azab ko aap say jaldi talab ker rahey hain Allah hergiz apna wada nahi talay ga. Haan albata aap kay rab kay nazdeek aik din tumhari ginti kay aitbar say aik hazar saal ka hai

Verse 48 — Surah Al-Hajj 22:48

Boht si zulm kerney wali bastiyon ko mein ney dheel di phir aakhir unhen pakar liya aur meri hi taraf lot ker aana hai

Verse 49 — Surah Al-Hajj 22:49

Ailaan kerdo kay logo! Mein tumhen khullam khulla chokanna kerney wala hi hun

Verse 50 — Surah Al-Hajj 22:50

Pus jo eman laye hain aur jinhon ney nek amal kiye hain unn hi kay liye bakhsish hai aur izzat wali rozi

Verse 51 — Surah Al-Hajj 22:51

Aur jo log humari nishaniyon ko pust kerney kay darpay rehtay hain wohi dozakhi hain

Verse 52 — Surah Al-Hajj 22:52

Hum ney aap say pehlay jiss rasool aur nabi ko bheja uss kay sath yeh hua kay jab woh apnay dil mein koi aarzoo kerney laga shetan ney uss ki aarzoo mein kuch mila diya pus shetan ki milawat ko Allah Taalaa door ker deta hai phir apni baten pakki ker deta hai. Allah Taalaa dana aur ba-hikmat hai

Verse 53 — Surah Al-Hajj 22:53

Yeh iss liye kay shetani milawat ko Allah Taalaa unn logon ki aazmaeesh ka zariya bana dey jin kay dilon mein beemari hai aur jin kay dil sakht hain. Be-shak zalim log gehri mukhalifat mein hain

Verse 54 — Surah Al-Hajj 22:54

Aur iss liye bhi kay jinhen ilm ata farmaya gaya hai woh yaqeen kerlen kay yeh aap kay rab hi ki taraf say sirasir haq hi hai phir woh iss per eman layen aur unn kay dil uss ki taraf jhuk jayen. Yaqeenan Allah Taalaa eman daron ko raah-e-raast ki taraf rehbari kerney wala hi hai

Verse 55 — Surah Al-Hajj 22:55

Kafir iss wahee-e-elahee mein hamesha shak-o-shuba hi kertay rahen gay hatta kay achanak unn kay saron per qayamat aajaye ya unn kay pass uss din ka azab aajaye jo manhoos hai

Verse 56 — Surah Al-Hajj 22:56

Uss din sirf Allah hi ki badshaat hogi wohi unn mein faislay farmaye ga. eman aur nek amal walay to nematon say bhari jannaton mein hongay

Verse 57 — Surah Al-Hajj 22:57

Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaton ko jhutlaya unn kay liye zaleel kerney walay azab hain

Verse 58 — Surah Al-Hajj 22:58

Aur jin logon ney raah-e-khuda mein tarq-e-watan kiya phir woh shaheed ker diye gaye ya apni maut marr gaye Allah Taalaa unhen behtareen rizq ata farmaye ga. Aur be-shak Allah Taalaa rozi denay walon mein sab say behtar hai

Verse 59 — Surah Al-Hajj 22:59

Unhen Allah Taalaa aisi jagah phonchaye ga kay woh iss say razi ho jayen gay be-shak Allah Taalaa ilm aur burdbari wala hai

Verse 60 — Surah Al-Hajj 22:60

Baat yehi hai aur jiss ney badla liya ussi kay barabar jo uss kay sath kiya gaya tha phir agar uss say ziyadti ki jaye to yaqeenan Allah Taalaa khud uss ki madad farmaye ga. Be-shak Allah darguzar kerney wala bakshney wala hai

Verse 61 — Surah Al-Hajj 22:61

Yeh iss liye kay Allah raat ko din mein dakhil kerta hai aur din ko raat mein dakhil kerta hai aur be-shak Allah sunnay wala dekhney wala hai

Verse 62 — Surah Al-Hajj 22:62

Yeh sab iss liye kay Allah hi haq hai aur uss kay siwa jisay bhi yeh pukartay hain woh batil hai aur be-shak Allah hi bulandi wlaa kibriyaee wala hai

Verse 63 — Surah Al-Hajj 22:63

Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa aasman say pani barsata hai pus zamin sirsabz ho jati hai. Be-shak Allah Taalaa meharban aur ba-khabar hai

Verse 64 — Surah Al-Hajj 22:64

Aasman aur zamin mein jo kuch hai ussi ka hai aur yaqeenan Allah wohi hai bey niaz tareefon wala

Verse 65 — Surah Al-Hajj 22:65

Kiya aap ney nahi dekha kay Allah hi ney zamin ki tamam cheezen tumharay liye musakkhar ker di hain aur uss kay farmaan say pani mein chalti hui kashtiyan bhi. Wohi aasaman ko thamay huye hai kay zamin per uss ki ijazat kay baghair girr na paray be-shak Allah Taalaa logon per shafqat-o-narmi kerney wala aur meharban hai

Verse 66 — Surah Al-Hajj 22:66

Ussi ney tumhen zindagi bakhshi phir wohi tumhen maar daley ga phir wohi tumhen zinda keray ga be-shak insan albatta na shukra hai

Verse 67 — Surah Al-Hajj 22:67

Her ummat kay liye hum ney ibadat ka aik tareeqa muqarrar ker diya hai jissay woh baja laney walay hain pus enhen iss amar mein aap say jhagra na kerna chahiye aap apnay perwerdigar ki taraf logon ko buliye. Yaqeenan aap theek hidayat per hi hain

Verse 68 — Surah Al-Hajj 22:68

Phir bhi agar yeh log aap say ulajhney lagen to aap keh den kay tumhary aemaal say Allah ba-khoobi waqif hai

Verse 69 — Surah Al-Hajj 22:69

Be-shak tumharay sab kay ikhtilaf ka faisla qayamat walay din Allah Taalaa aap keray ga

Verse 70 — Surah Al-Hajj 22:70

Kiya aap ney nahi jana kay aasman-o-zamin ki her cheez Allah kay ilm mein hai. Yeh sab likhi hui kitab mein mehfooz hai. Allah Taalaa per to yeh amar bilkul aasan hai

Verse 71 — Surah Al-Hajj 22:71

Aur yeh Allah kay siwa unn ki ibadat ker rahey hain jiss ki koi khudaee daleel nazil nahi hui na woh khud hi iss ka koi ilm rakhtay hain. Zalimon ka koi madadgar nahi

Verse 72 — Surah Al-Hajj 22:72

Jab inn kay samney humaray kalaam ki khulli hui aayaton ki tilawat ki jati hai to aap kafiron kay chehron per na khushi kay saaf aasaar pehchan letay hain. Woh to qareeb hotay hain kay humari aayaten sunaney walon per hamla ker bethen keh dijiye kay kiya mein tumhen iss say bhi ziyada bad tar khabar doon. Woh aag hai jiss ka wada Allah ney kafiron say ker rakha hai aur woh boht hi buri jagah hai

Verse 73 — Surah Al-Hajj 22:73

Logo! Aik misal biyan ki jarahi hai zara kaan laga ker suno! Allah kay siwa jin jin ko tum pukartay ho woh aik makkhi bhi to peda nahi ker saktay go saray kay saray hi jama ho jayen bulkay agar makkhi unn say koi cheez ley bhagay to yeh to ussay bhi uss say cheen nahi saktay bara boda hai talab kerney wala aur bara boda hai woh jiss say talab kiya jaraha hai

Verse 74 — Surah Al-Hajj 22:74

Unhon ney Allah kay martabay kay mutabiq uss ki qadar jani hi nahi Allah Taalaa bara hi zor-o-qooat wala aur ghalib-o-zabardast hai

Verse 75 — Surah Al-Hajj 22:75

Farishton mein say aur insano mein say payghaam phonchney walon ko Allah hi chaant leta hai be-shak Allah Taalaa sunnay wala dekhney wala hai

Verse 76 — Surah Al-Hajj 22:76

Woh ba-khoobi janta hai jo kuch inn kay aagay hai aur jo kuch inn kay peechay hai aur Allah hi ki taraf sab kaam lotaye jatay hain

Verse 77 — Surah Al-Hajj 22:77

Aey eman walo! Rukoo sajda ketay raho aur apnay perwerdigar ki ibadat mein lagay raho aur nek kaam kertay raho takay tum kaamyaab hojao

Verse 78 — Surah Al-Hajj 22:78

Aur Allah ki raah mein wesa hi jihad kero jesay jihad ka haq hai ussi ney tumhen bargazeedah banaya hai aur tum per deen kay baray mein koi tangi nahi daali deen apnay baap ibrahim (alh-e-salam) ka qaeem rakho ussi Allah ney tumhara naam musalman rakha hai iss quran say pehlay aur iss mein bhi takay payghumbar tum per gawah hojaye aur tum tamam logon kay gawah bann jao. Pus tumhen chahiye kay namazen qaeen rakho aur zakat ada kertay raho aur Allah ko mazboor thaam lo wohi tumhara wali aur malik hai. Pus kiya hi acha malik hai aur kitna hi behtar madadgar hai