Verse 1 — Surah An-Nur 24:1
Yeh hai woh surat jo hum ney nazil farmaee hai aur muqarrar ker di hai aur jiss mein hum ney khulli aayaten (ehkaam) utaray hain takay tum yaad rakho
Verse 2 — Surah An-Nur 24:2
Zina kaar aurat-o-mard mein say her aik ko so koray lagao. Inn per Allah ki shareeat ki hadd jari kertay huye tumhen hergiz tars na khana chahaye agar tumhen Allah per aur qayamat kay din per eman ho. Inn ki saza kay waqt musalmano ki aik jamatmojood honi chahaye
Verse 3 — Surah An-Nur 24:3
Zaani mard ba-juz zaaniya ya mushrika aurat kay aur say nikah nahi kerta aur zina kaar aurat bhi bajuz zaani ya mushrik mard kay aur nikah nahi kerti aur eman walon per yeh haram ker diya gaya
Verse 4 — Surah An-Nur 24:4
Jo log pak daman aurton per zina ki tohmat lagayen phir char gawah na paish ker saken to unhen assi koray lagao aur kabhi bhi unn ki gawahee qabool na kero. Yeh fasiq log hain
Verse 5 — Surah An-Nur 24:5
Haan jo log iss kay baad toba aur islah ker len to Allah Taalaa bakshney wala aur meharbani kerney wala hai
Verse 6 — Surah An-Nur 24:6
Jo log apni biwiyon per bad-kaari ki tohmat lagayen aur unn ka koi gawah ba-juz khud unn ki zaat kay na ho to aisay logon mein say her aik ka saboot yeh hai kay char martaba Allah ki qasam kha ker kahen kay woh sachon mein say hain
Verse 7 — Surah An-Nur 24:7
Aur paanchwen martaba kahey kay uss per Allah ki lanat ho agar woh jhooton mein say ho
Verse 8 — Surah An-Nur 24:8
Aur uss aurat say saza iss tarah door hosakti hai kay woh char martaba Allah ki qasam kha ker kahey kay yaqeenan iss ka mard jhoot bolney walon mein say hai
Verse 9 — Surah An-Nur 24:9
Aur paanchwen dafa kahey kay uss per Allah Taalaa ka azab ho agar uss ka khawind sachon mein say ho
Verse 10 — Surah An-Nur 24:10
Agar Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum per na hota (to tum per mushaqqat utarti) aur Allah Taalaa toba qabool kerney wala ba-hikmat hai
Verse 11 — Surah An-Nur 24:11
Jo log yeh boht bara bohtan bandh laye hain yeh bhi tum mein say hi aik giroh hai. Tum issay apnay liye bura na samjho bulkay yeh to tumharay haq mein behtar hai. Haan inn mein say her aik shaks per itna gunah hai jitna uss ney kamaya hai aur inn mein say jiss ney iss kay boht baray hissay ko sir anjam diya hai uss kay liye azab bhi boht hi bara hai
Verse 12 — Surah An-Nur 24:12
Issay suntay hi momin mard-o-aurton ney apnay haq mein nek gumani kiyon na ki aur kiyon na keh diya kay yeh to khullam khulla sareeh bohtan hai
Verse 13 — Surah An-Nur 24:13
Woh iss per char gawah kiyon na laye? Aur jab gawah nahi laye to yeh bohtan baaz log yaqeenan Allah kay nazdeek mehaz jhootay hain
Verse 14 — Surah An-Nur 24:14
Agar Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum per duniya aur aakhirat mein na hota to yaqeenan tum ney jiss baat kay charchay shuroo ker rakhay thay iss baray mein tumhen boht bara azab phonchta
Verse 15 — Surah An-Nur 24:15
Jabkay tum issay apni zabano say naqal dar naqal kerney lagay aur apnay mun say woh baat nikalney lagay jiss ki tumhen mutlaq khabar na thi go tum issay halki baat samajhtay rahey lekin Allah Taalaa kay nazdeek woh boht bari baat thi
Verse 16 — Surah An-Nur 24:16
Tum ney aisi baat ko suntay hi kiyon na keh diya kay humen aisi baat mun say nikalni bhi laeeq nahi. Ya-Allah! Tu pak hai yeh to boht bara bohtan hai aur tohmat hai
Verse 17 — Surah An-Nur 24:17
Allah Taalaa tumhen naseehat kerta hai kay phir kabhi bhi aisa kaam na kerna agar tum sachay momin ho
Verse 18 — Surah An-Nur 24:18
Allah Taalaa tumharay samney apni aayaten biyan farma raha hai aur Allah Taalaa ilm-o-hikmat wala hai
Verse 19 — Surah An-Nur 24:19
Jo log musalmano mein bay hayaee phelaney kay aarzoo mand rehtay hain unn kay liye duniya aur aakhirat mein dard-naak azab hain Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantay
Verse 20 — Surah An-Nur 24:20
Agar tum per Allah Taalaa ka fazal aur uss ki rehmat na hoti aur yeh bhi kay Allah Taalaa bari shafqat rakhney wala meharban hai. (to tum per azab utar jata)
Verse 21 — Surah An-Nur 24:21
eman walo! Shetan kay qadam-ba-qadam na chalo. Jo shaks shetani qadmon ki pairwee keray to woh to bey hayaee aur buray kaamon ka hi hukum keray ga. Aur agar Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum per na hota to tum mein say koi bhi kabhi bhi pak saaf na hota. Lekin Allah Taalaa jissay pak kerna chahaye ker deta hai aur Allah sab sunnay wala sab jannay wala hai
Verse 22 — Surah An-Nur 24:22
Tum mein say jo buzurgi aur kushadgi walay hain unhen apnay qarabat daron aur miskeeno aur mohajiron ko fi sabeelillah denay say qasam na kha leni chahaye bulkay moaf ker dena aur dar-guzar ker lena chahaye. Kiya tum nahi chahtay kay Allah Taalaa tumharay qasoor moaf farma dey? Allah qasooron ko moaf farmaney wala meharban hai
Verse 23 — Surah An-Nur 24:23
Jo log pak daman bholi bhali ba-emaan aurton per tohmat lagatay hain woh duniya-o-aakhirat mein malaoon hain aur unn kay liye bara bhari azab hai
Verse 24 — Surah An-Nur 24:24
Jabkay unn kay muqablay mein unn ki zabaney aur unn kay hath paon unn kay aemaal ki gawahee den gay
Verse 25 — Surah An-Nur 24:25
Uss din Allah Taalaa unhen poora poora badla haq-o-insaf kay sath dey ga aur woh jaan len gay kay Allah Taalaa hi haq hai (aur wohi) zahir kerney wala hai
Verse 26 — Surah An-Nur 24:26
Khabees aurten khabees mardon kay laeeq hain aur khabees mard khabees aurton kay laeeq hain aur pak aurten pak mardon kay laqeeq hain aur pak mard pak aurton kay laeeq hain. Aisay pak logon kay mutalliq jo kuch bakwas (bohtan baaz) ker rahey hain woh inn say bilkul bari hain inn kay liye bakhsish hai aur izzat wali rozi
Verse 27 — Surah An-Nur 24:27
Aey eman walo! Apnay gharon kay siwa aur gharon mein na jao jab tak kay ijazat na ley lo aur wahan kay rehney walon ko salam na kerlo yehi tumharay liye sara sir behtar hai takay tum naseehat hasil kero
Verse 28 — Surah An-Nur 24:28
Agar wahan tumhen koi bhi na mill sakay to phir ijazat milay baghair andar na jao. Aur agar tum say lot janey ko kaha jaye to tum lot hi jao yehi baat tumharay liye pakeeza hai jo kuch tum ker rahey ho Allah Taalaa khoob janta hai
Verse 29 — Surah An-Nur 24:29
Haan ghair abad gharon mein jahan tumhara koi faeeda ya asbaab ho janey mein tum per koi gunah nahi. Tum jo kuch bhi zahir kertay ho aur jo chupatay ho Allah Taalaa sab kuch janta hai
Verse 30 — Surah An-Nur 24:30
Musalman mardon say kaho apni nigahen neechi rakhen aur apni sharam gahon ki hifazat rakhen. Yeh hi unn kay liye pakeezgi hai log jo kuch keren Allah Taalaa sab say khabra daar hai
Verse 31 — Surah An-Nur 24:31
Musalman aurton say kaho kay woh bhi apni nigahen neechi rakhen aur apni ismat mein farq na aaney den aur apni zeenat ko zahir na keren siwaye uss kay hi zahir hai aur apnay girbano per apni orhniyan dalay rahen aur apni aaraeesh ko kissi kay samney zahir na kerensiwaye apnay khawindo kay ya apnay walid kay ya apnay khusar kay ya apnay larkon kay ya apnay khawind kay larkon kay ya apnay bhaiyon kay ya apnay bhatijon kay ya apnay bhanjon kay ya apnay mail jol ki aurton kay ya ghulamon kay ya aisay naukar chaakar mardon kay jo shewat walay na hon ya aisay bachon kay jo aurton kay parday ki baaton kay baray mein mutlaa nahi.aur iss tarah zor zor say paon maar ker na chalen kay unn ki posheeda zeenat maloom ho jaye aey musalmano! Tum sab kay sab Allah ki janab mein toba kero takay tum nijat pao
Verse 32 — Surah An-Nur 24:32
Tum mein say jo mard-o-aurat bey nikah kay hon unn ka nikah ker do aur apnay nek bakht ghulamon aur londiyon ka bhi agar woh muflis bhi hongay to Allah Taalaa unhen apnay fazal say ghani ker bana dey ga. Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai
Verse 33 — Surah An-Nur 24:33
Aur unn logon ko pak daman rehna chahaye jo apna nikah kerney ka maqdoor nahi rakhtay yahan tak kay Allah Taalaa unhen apnay fazal say maal daar bana dey tumharay ghulamon mein say jo koi kuch tumhen dey ker azadi ki tehreer kerani chahaye to tum aisi tehreer unhen ker diya kero agar tum ko inn mein koi bhalaee nazar aati ho aur Allah ney jo maal tumhen dey rakha hai uss mein sya unhen bhi do tumhari jo londiyan pak daman rehna chahati hain unhen duniya ki zindagi kay faeeday ki gharaz say bad-kaari per majboor na kero aur jo unhen majboor ker dey to Allah Taalaa unn per jabar kay baad bakhsish denay wala aur meharbaani kerney wala hai
Verse 34 — Surah An-Nur 24:34
Hum ney tumhari taraf khulli aur roshan aayaten utar di hain aur unn logon ki kahwaten jo tum say pehlay guzar chukay hain aur perhezgaron kay liye naseehat
Verse 35 — Surah An-Nur 24:35
Allah noor hai aasmanon ka aur zamin ka uss kay noor ki misal misil aik taaq kay hai jiss mein chiragh ho aur chiragh seeshay ki qandeel mein ho aur seesha misil chamaktay huye roshan sitaray kay ho woh chiragh aik ba-barkat darakht zaitoon kay tel say jalaya jata ho jo darakht na mashriqi hai na maghribi khud woh tel qareeb hai kay aap hi roshni denay lagay agarcheh ussay aag na bhi chuye noor per noor hai Allah Taalaa apnay noor ki taraf rehnumaee kerta hai jissay chahaye logon (kay samjhaney) ko yeh misalen Allah Taalaa biyan farma raha hai aur Allah Taalaa her cheez kay haal say bakhoobi waqif hai
Verse 36 — Surah An-Nur 24:36
Unn gharon mein jin kay buland kerney aur jin mein apnay naam ki yaad ka Allah Taalaa ney hukum diya hai wahan subha-o-shaam Allah Taalaa ki tasbeeh biyan kertay hain
Verse 37 — Surah An-Nur 24:37
Aisay log jinhen tijarat aur khareed-o-farokht Allah kay zikar say aur namaz kay qaeem kerney aur zakat ada kerney say ghafil nahi kerti uss din say dartay hain jiss din boht say dil aur boht si aankhen ulat pulat hojyen gi
Verse 38 — Surah An-Nur 24:38
Iss iraday say kay Allah unhen unn kay aemaal ka behtareen badla dey bulkay apnay fazal say aur kuch ziyadti ata faramye. Allah Taalaa jissay chahaye bey shumaar roziyan deta hai
Verse 39 — Surah An-Nur 24:39
Aur kafiron kay aemaal misil uss chamakti hui rait kay hain jo chatyal maidan mein ho jissay piyasa shaks door say pani samjhta hai lekin jab uss kay pass phonchta hai to ussay kuch bhi nahi pata haan Allah ko apnay pass pata hai jo uss ka hisab poora poora chuka deta hai. Allah boht jald hisab ker denay wala hai
Verse 40 — Surah An-Nur 24:40
Ya misil unn andheron kay hai jo nihayat gehray samandar ki teh mein hon jissay upper talay ki mojon ney dhaanp rakha ho phir upper say badal chaye huye hon. Al-gharz andheriyan hain jo upper talay pay dar pay hain. Jab apna hath nikalay to ussay bhi qareeb hai kay na dekh sakay aur (baat yeh hai kay) jissay Allah Taalaa hi noor na dey uss kay pass koi roshni nahi hoti
Verse 41 — Surah An-Nur 24:41
Kiya aap ney nahi dekha kay aasmano aur zamin ki kul makhlooq aur par phelaye urney walay kul parind Allah ki tasbeeh mein masghool hain. Her aik ki namaz aur tasbeeh ussay maloom hai log jo kuch keren uss say Allah bakhoobi waqif hai
Verse 42 — Surah An-Nur 24:42
Zamin-o-aasman ki badshaat Allah hi ki hai aur Allah Taalaa hi ki taraf lotna hai
Verse 43 — Surah An-Nur 24:43
Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa badlon ko chalata hai phir unhen milata hai phir unhen teh ba teh ker deta hai phir aap dekhtay hain kay unn kay darmiyan mein say meenh barasta hai. Wohi aasman ki janib say olon kay pahar mein say olay barsata hai phir jinhen chahaye unn kay pass unhen barsaye aur jin say chahaye unn say enhen hata dey.Badal hi say nikalney wali bijli ki chamak aisi hoti hai kay goya abb aankhon ki roshni ley chali
Verse 44 — Surah An-Nur 24:44
Allah Taalaa hi din aur raat ko rad-o-badal kerta rehta hai aankhon walon kay liye to iss mein yaqeenan bari bari ibraten hain
Verse 45 — Surah An-Nur 24:45
Tamam kay tamam chalney phirney walay jaandaaron ko Allah Taalaa hi ney pani say peda kiya hai inn mein say baaz to apnay pet kay bal chaltay hain baaz do paon per chaltay hain. Baaz char paon per chaltay hain Allah Taalaa jo chahata hai peda kerta hai. Be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Verse 46 — Surah An-Nur 24:46
Bila shak-o-shuba hum ney roshan aur wazeh aayaten utar di hain Allah Taalaa jissay chahaye seedhi raah dikha deta hai
Verse 47 — Surah An-Nur 24:47
Aur kehtay hain kay hum Allah Taalaa aur rasool per eman laye aur faman bardaar huye phir unn mein say aik firqa iss kay baad bhi phir jata hai. Yeh eman walay hain (hi) nahi
Verse 48 — Surah An-Nur 24:48
Jab yeh iss baat ki taraf bulaye jatay hain kay Allah aur iss ka rasool unn kay jharay chuka dey to bhi inn ki aik jamat mun morney wali bann jati hai
Verse 49 — Surah An-Nur 24:49
Haan agar inhi ko haq phonchta ho to mutee-o-farma bardaar ho ker iss ki taraf chalay aatay hain
Verse 50 — Surah An-Nur 24:50
Kiya inn kay dilon mein beemari hai? Ya yeh shak-o-shuba mein paray huye hain? Ya enhen iss baat ka darr hai kay Allah Taalaa aur uss ka rasool inn ki haq talfi na keren? Baat yeh hai kay yeh log khud hi baray zalim hain
Verse 51 — Surah An-Nur 24:51
eman walon ka qol to yeh hai kay jab unhen iss liye bulaya jata hai kay Allah aur iss ka rasool inn mein faisal ker dey to woh kehtay hain kay hum ney suna aur maan liya. Yehi log kaamyaab honey walay hain
Verse 52 — Surah An-Nur 24:52
Jo bhi Allah Taalaa ki uss kay rasool ki farman bardaari keren khof-e-elahee rakhen aur uss kay azabon say dartay rahen wohi nijat paney walay hain
Verse 53 — Surah An-Nur 24:53
Bari pukhtagi kay sath Allah Taalaa ki qasmen kha kha ker kehtay hain kay aap ka hukum hotay hi nikal kharay hongay. Keh dijiy kay bus qasmen na khao (tumhari) ita’at ki haqeeqat maloom hai. Jo kuch tum ker rahey ho Allah Taalaa uss say ba-khabar hai
Verse 54 — Surah An-Nur 24:54
Keh dijiye kay Allah Taalaa ka hukum mano rasoolullah ki ita’at kero phir bhi agar tum ney roo gardani ki to rasool kay zimmay to sirf wohi hai jo iss per lazim ker diya gaya hai aur tum per iss ki jawab dahee hai jo tum per rakha gaya hai hidayat to tumhen ussi waqt milay gi jab rasool ki ma-tehati kero. Suno rasool kay zimmay to sirf saaf tor per phoncha dena hai
Verse 55 — Surah An-Nur 24:55
Tum mein say unn logon say jo eman laye hain aur nek aemaal kiye hain Allah Taalaa wada farma chuka hai kay unhen zaroor zamin mein khalifa banaye ga jaisay kay unn logon ko khalifa banaya tha jo inn say pehlay thay aur yaqeenan inn kay liye inn kay iss deen ko mazbooti kay sath mohkum ker kay jama dey ga jissay unn kay liye woh pasand farma chuka hai aur inn kay iss khof-o-khatar ko woh aman-o-amaan mein badal dey ga woh meri ibadat keren gay meray sath kissi ko bhi shareek na therayen gay. Iss kay baad bhi jo log na-shukri aur kufur keren yaqeenan fasiq hain
Verse 56 — Surah An-Nur 24:56
Namaz ki pabandi kero zakat ada kero aur Allah Taalaa kay rasool ki farman bardaari mein lagay raho takay tum per reham kiya jaye
Verse 57 — Surah An-Nur 24:57
Yeh khayal kabhi bhi na kerna kay munkir log zamin mein (idhar udhar bhaag ker) humen hara denay walay hain inn ka asli thikana to jahannum hai jo yaqeenan boht hi bura thikana hai
Verse 58 — Surah An-Nur 24:58
eman walo! Tum say tumhari milkiyat kay ghulamon ko aur unhen bhi jo tum mein say balooghat ko na phonchay hon (apnay aaney ki) teen waqton mein ijazat hasil kerni zaroori hai. Namaz-e-fajar say pehlay aur zohar kay waqt jab kay tum apnay kapray utar rakhtay ho aur isha ki namaz kay baad yeh teeno waqt tumhari (khilwat) aur parday kay hain. Inn waqton kay ma-siwa na to tum per koi gunah hai na unn per. Tum sab aapas mein aik doosray kay pass ba-kasrat aaney janey walay ho (hi) Allah iss tarah khol khol ker apnay ehkaam tum say biyan farma raha hai. Allah Taalaa pooray ilm aur kamil hikmat wala hai
Verse 59 — Surah An-Nur 24:59
Aur tumharay bachay (bhi) jab balooghat ko phonch jayen to jiss tarah unn kay aglay log ijazat mangtay hain unhen bhi ijazat maang ker aana chahaye Allah Taalaa tum say issi tarah apni aayaten biyan farmata hai. Allah Taalaa hi ilm-o-hikmat wala hai
Verse 60 — Surah An-Nur 24:60
Bari boorhi aurten jinhen nikah ki umeed (aur khuwaish hi) na rahi ho woh apnay agar apnay kapray utar rakhen to unn per koi gunah nahi ba-shart-e-kay woh apna banao singhaar zahir kerney waliyan na hon tahum inn say bhi ehtiyaat rakhen to inn kay liye boht afzal hai aur Allah Taalaa sunta janta hai
Verse 61 — Surah An-Nur 24:61
Andhay per langray per beemar per aur khud tum per (mutlaqan) koi harj nahi kay tum apnay gharon say khalo ya apnay bapon kay gharon say ya apni maaon kay gharon say ya apnay bhiyon kay gharon say ya apni behno kay gharon say ya apnay chachaon kay gharon say ya apni phoophiyon kay gharon say ya apnay mamoo’on kay gharon say ya apni khalaon kay gharon say ya unn kay gharon say jin ki kunjiyon kay tum malik ho ya apnay doston kay gharon say. Tum per iss mein bhi koi gunah nahi kay tum sab sath beht ker khana khao ya alag alag. Pus jab tum gharon mein janey lago to apnay ghar walon ko salam ker liya kero duya-e-khair hai jo ba-barkat aur pakeeza hai Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda yun hi Allah Taalaa khol khol ker tum say apnay ehkaam biyan farma raha hai takay tum samajh lo
Verse 62 — Surah An-Nur 24:62
Ba-emaan log to wohi hain jo Allah Taalaa per aur uss kay rasool per yaqeen rakhtay hain aur jab aisay moamlay mein jiss mein logon kay jama honey ki zaroorat hoti hai nabi kay sath hotay hain to jab tak aap say ijazt na len kahin nahi jatay. Jo log aisay moqay per aap say ijazat ley letay hain haqeeqat mein yehi hain jo Allah Taalaa per aur uss kay rasool per eman laa chukay hain.pus jab aisay log aap say apnay kissi kaam kay liye ijazat talab keren to aap inn mein say jissay chahayen ijazat dey den aur inn kay liye Allah Taalaa say baksish ki dua mangen be-shak Allah bakshney wala meharbaan hai
Verse 63 — Surah An-Nur 24:63
Tum Allah Taalaa kay nabi kay bulney ko aisa bulawa na kerlo jaisa kay aapas mein aik doosray ko hota hai. Tum mein say unhen Allah khoob janta hai jo nazar bacha ker chupkay say sirak jatay hain suno jo log hukum-e-rasool ki mukhlifat kertay hain unhen dartay rehna chahaye kay kahin unn per koi zabardast aafat na aa paray ya unhen dard-naak azab na phonchay
Verse 64 — Surah An-Nur 24:64
Aagah hojao kay aasma-o-zamin mein jo kuch hai sab Allah Taalaa hi ka hai. Jiss ravish per tum ho woh issay bakhoobi janta hai aur jiss din yeh sab uss ki taraf lotaye jayen gay uss din inn ko inn kay kiye say woh khabardaar ker dey ga. Allah Taalaa sab kuch jannay wala hai