Back to Languages

Urdu - Chapter 25 - Al-Furqan

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Furqan 25:1

Bohat ba-barkat hai woh Allah Taalaa jiss ney apnay banday per furqan utara takay woh tamam logon kay liye aagah kerney wala bann jaye

Verse 2 — Surah Al-Furqan 25:2

Ussi Allah ki saltanat hai aasmano aur zamin ki aur woh koi aulad nahi rakhta na uss ki saltanat mein koi uss ka sajhi hai aur her cheez ko uss ney peda ker kay aik munasib andaza thera diya hai

Verse 3 — Surah Al-Furqan 25:3

Inn logon ney Allah kay siwa jinhen apnay mabood thera rakhay hain woh kissi cheez ko peda nahi ker saktay bulkay woh khud peda kiye jatay hain yeh to apni jaan kay nuksan nafay ka bhi ikhtiyar nahi rakhtay aur na maut-o-hayat kay aur na doobara ji uthney kay woh malik hain

Verse 4 — Surah Al-Furqan 25:4

Aur kafiron ney kaha yeh to bus khud issi ka ghara gharaya jhoot hai jiss per aur logon ney bhi iss ki madad ki hai dar-asal yeh kafir baray hi zulm aur sir-ta-sir jhoot kay murtakib huye hain

Verse 5 — Surah Al-Furqan 25:5

Aur yeh bhi kaha kay yeh to aglon kay afsaney hain jo iss ney likha rakhay hain bus wohi subha-o-shaam iss kay samney parhay jatay hain

Verse 6 — Surah Al-Furqan 25:6

Keh dijiye kay issay to uss Allah ney utara hai jo aasman-o-zamin ki tamam posheeda baaton ko janta hai. Be-shak woh bara hi bakhshney wala meharbaan hai

Verse 7 — Surah Al-Furqan 25:7

Aur enhon ney kaha yeh kaisa rasool hai kay khana khata hai aur bazaron mein chlta phirta hai iss kay pass koi farishta kiyon nahi bheja jata? Kay woh bhi iss kay sath ho ker daraney wala bann jata

Verse 8 — Surah Al-Furqan 25:8

Ya iss kay pass koi khazana hi daal diya jata ya iss ka koi baagh hi hota jiss mein say yeh khata. Aur inn zalimon ney kaha kay tum aisay aadmi kay peechay ho liye ho jiss per jadoo ker diya gaya hai

Verse 9 — Surah Al-Furqan 25:9

Khayal to kijiye! Kay yeh log aap ki nisbat kaisi kaisi baaten banatay hain. Pus jiss say khud hi behak rahey hain aur kissi tarah raah per nahi aa saktay

Verse 10 — Surah Al-Furqan 25:10

Allah Taalaa to aisa ba-barkat hai kay agar chahaye to aap ko boht say aisay baghaat inayat farma dey jo inn kay kahey huye bagh say boht hi behar hon jin kay neechay nehren lehren ley rahi hon aur aap ko boht (pukhta) mehal bhi dey dey

Verse 11 — Surah Al-Furqan 25:11

Baat yeh hai kay yeh log qayamat ko jhoot samajhtay hain aur qayamat kay jhutlaney walon kay liye hum ney bharakti hui aag tayyar ker rakhi hai

Verse 12 — Surah Al-Furqan 25:12

Jab woh enhen door say dekhay gi to yeh uss ka gussay say bipharna aur dharna sunen gay

Verse 13 — Surah Al-Furqan 25:13

Aur jab yeh jahannum ki kissi tang jagah mein mashken kus ker phenk diye jayengay to wahan apnay liye maut hi maut pukaren gay

Verse 14 — Surah Al-Furqan 25:14

(inn say kaha jayega) aaj aik hi maut ko na pukaro bulkay boht si ammwaat ko pukaro

Verse 15 — Surah Al-Furqan 25:15

Aap keh dijiye kay kiya yeh behtar hai ya woh hameshgi wali jannat jiss ka wada perhezgaron say kiya gaya hai jo inn ka badla hai aur inn kay lotney ki asli jagah hai

Verse 16 — Surah Al-Furqan 25:16

Woh jo chahayen gay unn kay liye wahan mojood hoga hamesha rehney walay. Yeh to aap kay rab kay zimmay wada hai jo qabil-e-talab hai

Verse 17 — Surah Al-Furqan 25:17

Aur jiss din Allah Taalaa enhen aur siwaye Allah kay jinhen yeh poojtay rahey unhen jama keray ga kay kiya meray inn bandon ko tum ney gumrah kiya ya yeh khud hi raah say gumm hogaye

Verse 18 — Surah Al-Furqan 25:18

Woh jawab den gay kay tu pak zaat hai khud humen hi yeh zaiba na tha kay teray siwa auron ko apna kaar saaz banatay baat yeh hai kay tu ney enhen aur inn kay baap dadon ko aasoodgiyan ata farmaeen yahan tak kay woh naseehat bhula bethay yeh log thay hi halak honey walay

Verse 19 — Surah Al-Furqan 25:19

To enhon ney to tumhen tumhari tamam baton mein jhutlaya abb na to tum mein azabon kay pherney ki taqat hai na madad kerney ki tum say jiss jiss ney zulm kiya hai hum ussay bara azab chakhayen gay

Verse 20 — Surah Al-Furqan 25:20

Hum ney aap say pehlay jitnay rasool bhejay sab kay sab khana bhi khatay thay aur bazaron mein bhi chaltay phirtay thay aur hum ney tum say her aik ko doosray ki aazmaeesh ka zariya bana diya. Kiya tum sabar kero gay? Tera rab sab kuch dekhney wala hai

Verse 21 — Surah Al-Furqan 25:21

Aur jinhen humari mulaqat ki tawaqqa nahi unhon ney kaha kay hum per farishtay kiyon nahi utaray jatay? Ya hum apni aankhon say apnay rab ko dekh letay? Inn logon ney apnay aap ko ho boht bara samajh rakha hai aur sakht sirkashi ker li hai

Verse 22 — Surah Al-Furqan 25:22

Jiss din yeh farishton ko dekh len gay uss din inn gunehgaron ko koi khushi na hogi aur kahen gay yeh mehroom hi mehroom kiye gaye

Verse 23 — Surah Al-Furqan 25:23

Aur enhon ney jo amal kiye thay hum ney unn ki taraf barh ker enhen paraganda zarron ki tarah ker diya

Verse 24 — Surah Al-Furqan 25:24

Albatta uss din jannatiyon ka thikana behtar hoga aur khuwab gaah bhi umdah hogi

Verse 25 — Surah Al-Furqan 25:25

Aur jiss din aasman badal samet phat jayega aur farishtay laga taar utaray jayengay

Verse 26 — Surah Al-Furqan 25:26

Uss din sahih tor per mulk sirf rehman ka hi hoga aur yeh din kafiron per bara bhari hoga

Verse 27 — Surah Al-Furqan 25:27

Aur uss din zalim shaks apnay hathon ko chaba chaba ker kahey ga haye kaash kaye mein ney rasool (PBUH) ki raah ikhtiyar ki hoti

Verse 28 — Surah Al-Furqan 25:28

Haye afsos kaash kay mein ney falan ko dost na banaya hota

Verse 29 — Surah Al-Furqan 25:29

Iss ney to mujhay iss kay baad gumrah ker diya kay naseehat meray pass aa phonci thi aur shetan to insan ko (waqt per) dagha denay wala hai

Verse 30 — Surah Al-Furqan 25:30

Aur rasool kahey ga kay aey meray perwerdigar! Be-shak meri ummat ney iss quran ko chor rakha tha

Verse 31 — Surah Al-Furqan 25:31

Aur iss tarah hum ney her nabi kay dushman baaz gunehgaron ko bana diya hai. Aur tera rab hi hidayat kerney wala aur madad kerney wala kafi hai

Verse 32 — Surah Al-Furqan 25:32

Aur kafiron ney kaha kay iss per quran sara ka sara aik sath hi kiyon na utara gaya issi tarah hum ney (thora thora ker kay) utara takay iss say hum aap ka dil qavi rakhen hum ney issay thehar thehar ker hi parh sunaya hai

Verse 33 — Surah Al-Furqan 25:33

Yeh aap kay pass jo koi misal layen gay hum uss ka sacha jawab aur umdah tojeeh aap ko bata den gay

Verse 34 — Surah Al-Furqan 25:34

Jo log apnay mun kay bal jahannum ki taraf jama kiye jayengay. Wohi bad-tar makaan walay aur gumrah tar raastay walay hain

Verse 35 — Surah Al-Furqan 25:35

Aur bila shuba hum ney musa ko kitab di aur unn kay humrah unn kay bhai haroon ko unn ka wazir bana diya

Verse 36 — Surah Al-Furqan 25:36

Aur keh diya kay tum dono unn logon ki taraf jao jo humari aayaton ko jhutla rahey hain. Phir hum ney unhen bilkul hi paamaal ker diya

Verse 37 — Surah Al-Furqan 25:37

Aur qom-e-nooh ney bhi jab rasoolon ko jhoota kaha to hum ney unhen gharaq ker diya aur logon kay liye unhen nishan-e-ibrat bana diya. Aur hum ney zalimon kay liye dard-naak azab mohiyya ker rakha hai

Verse 38 — Surah Al-Furqan 25:38

Aur aadiyon aur samoodiyon aur koonwen walon ko aur unn kay darmiyan ki boht si ummaton ko (halak ker diya)

Verse 39 — Surah Al-Furqan 25:39

Aur hum ney unn kay samney misalen biyan ken phir her aik bilkul tabah-o-barbaad ker diya

Verse 40 — Surah Al-Furqan 25:40

Yeh log uss basti kay pass say bhi aatay jatay hain jin per buri tarah ki barish barsaee gaee kiya yeh phir bhi issay dekhtay nahi? Haqeeqat yeh hai kay enhen marr ker ji uthney ki umeed hi nahi

Verse 41 — Surah Al-Furqan 25:41

Aur tumhen jab kabhi dekhtay hain to tum say maskhara pann kerney lagtay hain. Kay kiya yehi woh shaks hain jinehn Allah Taalaa ney rasool bana ker bheja hai

Verse 42 — Surah Al-Furqan 25:42

(woh to kahiye) kay hum iss per jama rahey werna enhon ney to humen humaray maboodon say behka denay mein koi kasar nahi chori thi. Aur yeh jab azabon ko dekhen gay to enhen saaf maloom hojaye ga kay poori tarah raah say bhatka hua kaun tha

Verse 43 — Surah Al-Furqan 25:43

Kiya aap ney ussay bhi dekha jo apni khwais-e-nafs ko apna mabood banaye huye hai kiya aap uss kay zimay daar ho saktay hain

Verse 44 — Surah Al-Furqan 25:44

Kiya aap issi khayal mein hain kay inn mein say aksar suntay ya samajhtay hain. Woh to niray chopayon jaisay hain bulkay inn say bhi ziyada bhatkay huye

Verse 45 — Surah Al-Furqan 25:45

Kiya aap ney nahi dekha kay aap kay rab ney saye ko kiss tarah phela diya hai? Agar chahata to issay thehra hua hi ker deta. Phir hum ney aftab ko issi per daleel banaya

Verse 46 — Surah Al-Furqan 25:46

Phir hum ney ussay aahista aahista apni taraf khench liya

Verse 47 — Surah Al-Furqan 25:47

Aur wohi hai jiss ney raat ko tumharay liye parda banaya aur neend ko rahat banaee aur din ko uth kharay honey ka waqt

Verse 48 — Surah Al-Furqan 25:48

Aur wohi hai jo baaraan-e-rehmat say pehlay khush khabri denay wali hawaon ko bhejta hai aur hum aasman say pak pani barsatay hain

Verse 49 — Surah Al-Furqan 25:49

Takay iss kay zariye say murda shehar ko zinda ker den aur issay hum apni makhlooqaat mein say boht say chopayon aur insano ko pilatay hain

Verse 50 — Surah Al-Furqan 25:50

Aur be-shak hum ney issay unn kay darmiyan tarah tarah say biyan kiya takay woh naseehat hasil keren magar phir bhi aksar logon ney siwaye na-shukri kay mana nahi

Verse 51 — Surah Al-Furqan 25:51

Agar hum chahatay to her her basti mein darney wala bhej detay

Verse 52 — Surah Al-Furqan 25:52

Pus aap kafiron ka kehna na manen aur quran kay zariye inn say poori taqat say bara jihad keren

Verse 53 — Surah Al-Furqan 25:53

Aur wohi hai jiss ney do samandar aapas mein mila rakhay hain yeh hai meetha aur mazedaar aur yeh hai khaari kerwa aur inn dono kay darmiyan aik hijab aur mazboot oot kerdi

Verse 54 — Surah Al-Furqan 25:54

Woh hai jiss ney pani say insan ko peda kiya phir issay nasab wala aur susrali rishton wala ker diya. Bila shuba aap ka perwerdigar (her cheez per) qadir hai

Verse 55 — Surah Al-Furqan 25:55

Yeh Allah ko chor ker unn ki ibadat kertay hain jo na to enhen koi nafa dey saken na koi nuksan phonca saken aur kafir to hay hi apna rab kay khilaf (shetan ki) madad kerney wala

Verse 56 — Surah Al-Furqan 25:56

Hum ney to aap ko khush khabri aur darr sunaney wala (nabi) bana ker bheja hai

Verse 57 — Surah Al-Furqan 25:57

Keh dijiye kay mein quran kay phonchaney per tum say koi badla nahi chahata magar jo shaks apnay rab ki taraf raah pakarna chahye

Verse 58 — Surah Al-Furqan 25:58

Uss hamesha zinda rehnay walay Allah Taalaa per tawakkal keren jissay kabhi maut nahi aur uss ki tareef kay sath pakeezgi biyan kertay rahen woh apnay gunahon say kafi khabardaar hai

Verse 59 — Surah Al-Furqan 25:59

Wohi hai jiss aasmano aur zamin aur inn kay darmiyan ki sab cheezon ko cheh din mein peda ker diya hai phir arsh per mustawi hua woh rehman hai aap iss ka baray mein kissi khabar daar say pooch len

Verse 60 — Surah Al-Furqan 25:60

Inn say jabb bhi kaha jata hai kay rehman ko sajda kero to jawab detay hain rehman hai kiya? Kiya hum ussay sajda keren jiss ka tu humen hukum dey raha hai aur iss (tableegh) ney unn ki nafrat mein mazeed izafa ker diya

Verse 61 — Surah Al-Furqan 25:61

Ba-barkat hai woh jiss ney aasman mein burj banaye aur iss mein aftab banaya aur munawar mahtab bhi

Verse 62 — Surah Al-Furqan 25:62

Aur ussi ney raat aur din ko aik doosray kay peechay aaney janey wala banaya uss shaks ki naseehat kay liye jo naseehat hasil kerney ya shukar guzari kerney ka irada rakhta ho

Verse 63 — Surah Al-Furqan 25:63

Rehman kay (sachay) banday woh hain jo zamin per farotni kay sath chaltay hain aur jab bey ilm log inn say baten kerney lagtay hain to woh keh detay hain kay salam hai

Verse 64 — Surah Al-Furqan 25:64

Aur jo apnay rab kay samney sajday aur qayam kertay huye raten guzar detay hain

Verse 65 — Surah Al-Furqan 25:65

Aur jo yeh dua kertay hain kay aey humaray perwerdigar! Hum say dozakh ka azab paray hi paray rakh kiyon kay iss ka azab chimat janey wala hai

Verse 66 — Surah Al-Furqan 25:66

Be-shak woh therney aur rehney kay lehaz say bad-tareen jagah hai

Verse 67 — Surah Al-Furqan 25:67

Aur jo kharach kertay waqt bhi na to israaf kertay hain na bakheeli bulkay inn dono kay darmiyan motadil tareeqay per kharach kertay hain

Verse 68 — Surah Al-Furqan 25:68

Aur Allah kay sath kissi doosray ko mabood nahi pukartay aur kissi aisay shaks ko jissay qatal kerna Allah Taalaa ney mana ker diya ho woh ba-juz haq kay qatal nahi kertay na woh zinah kay muratkib hotay hain aur jo koi yeh kaam keray woh apnay upper sakht wabaal laye ga

Verse 69 — Surah Al-Furqan 25:69

Issay qayamat kay din dogra azab kiya jayega aur woh zillat-o-khuwari kay sath hamesha ussi mein rahey ga

Verse 70 — Surah Al-Furqan 25:70

Siwaye unn logon kay jo tauba keren aur eman layen aur nek kaam keren aisay logon kay gunahon ko Allah Taalaa nekiyon say badal deta hai Allah bakhshney wala meharbaani kernay wala hai

Verse 71 — Surah Al-Furqan 25:71

Aur jo shaks toba keray aur nek amal keray woh to (haqeeqatan) Allah Taalaa ki taraf sacha rujoo kerta hai

Verse 72 — Surah Al-Furqan 25:72

Aur jo log jhooti gawahee nahi detay aur jab kissi laghaw cheez per unn ka guzar hota hai to sharafat say guzar jatay hain

Verse 73 — Surah Al-Furqan 25:73

Aur jab enhen unn kay rab kay kalam ki aayaten sunaee jati hain to woh andhay behray ho ker inn per nahi girtay

Verse 74 — Surah Al-Furqan 25:74

Aur yeh dua kertay hain kay aey humaray perwerdigar! Tu humen humari biwiyon aur aulad say aankhon ki thandak ata farma aur humen perhezgaron ka paishwa bana

Verse 75 — Surah Al-Furqan 25:75

Yehi woh log hain jinhen unn kay sabar kay badlay jannat kay buland-o-bala khaney diye jayen gay jahan unhen dua salam phonchaya jayega

Verse 76 — Surah Al-Furqan 25:76

Uss mein yeh hamesha rahen gay woh boht hi achi jagah aur umdah moqam hai

Verse 77 — Surah Al-Furqan 25:77

Keh dijiye! agar tumhari dua iltija (pukarna) na hoti to mera rab tumhari mutlaq perwa na kerta tum to jhutla chukay abb un-qareeb iss ki saza tumhen chimat janey wali hogi