Ussi Allah ki saltanat hai aasmano aur zamin ki aur woh koi aulad nahi rakhta na uss ki saltanat mein koi uss ka sajhi hai aur her cheez ko uss ney peda ker kay aik munasib andaza thera diya hai
Inn logon ney Allah kay siwa jinhen apnay mabood thera rakhay hain woh kissi cheez ko peda nahi ker saktay bulkay woh khud peda kiye jatay hain yeh to apni jaan kay nuksan nafay ka bhi ikhtiyar nahi rakhtay aur na maut-o-hayat kay aur na doobara ji uthney kay woh malik hain
Aur kafiron ney kaha yeh to bus khud issi ka ghara gharaya jhoot hai jiss per aur logon ney bhi iss ki madad ki hai dar-asal yeh kafir baray hi zulm aur sir-ta-sir jhoot kay murtakib huye hain
Keh dijiye kay issay to uss Allah ney utara hai jo aasman-o-zamin ki tamam posheeda baaton ko janta hai. Be-shak woh bara hi bakhshney wala meharbaan hai
Aur enhon ney kaha yeh kaisa rasool hai kay khana khata hai aur bazaron mein chlta phirta hai iss kay pass koi farishta kiyon nahi bheja jata? Kay woh bhi iss kay sath ho ker daraney wala bann jata
Ya iss kay pass koi khazana hi daal diya jata ya iss ka koi baagh hi hota jiss mein say yeh khata. Aur inn zalimon ney kaha kay tum aisay aadmi kay peechay ho liye ho jiss per jadoo ker diya gaya hai
Khayal to kijiye! Kay yeh log aap ki nisbat kaisi kaisi baaten banatay hain. Pus jiss say khud hi behak rahey hain aur kissi tarah raah per nahi aa saktay
Allah Taalaa to aisa ba-barkat hai kay agar chahaye to aap ko boht say aisay baghaat inayat farma dey jo inn kay kahey huye bagh say boht hi behar hon jin kay neechay nehren lehren ley rahi hon aur aap ko boht (pukhta) mehal bhi dey dey
Aap keh dijiye kay kiya yeh behtar hai ya woh hameshgi wali jannat jiss ka wada perhezgaron say kiya gaya hai jo inn ka badla hai aur inn kay lotney ki asli jagah hai
Aur jiss din Allah Taalaa enhen aur siwaye Allah kay jinhen yeh poojtay rahey unhen jama keray ga kay kiya meray inn bandon ko tum ney gumrah kiya ya yeh khud hi raah say gumm hogaye
Woh jawab den gay kay tu pak zaat hai khud humen hi yeh zaiba na tha kay teray siwa auron ko apna kaar saaz banatay baat yeh hai kay tu ney enhen aur inn kay baap dadon ko aasoodgiyan ata farmaeen yahan tak kay woh naseehat bhula bethay yeh log thay hi halak honey walay
To enhon ney to tumhen tumhari tamam baton mein jhutlaya abb na to tum mein azabon kay pherney ki taqat hai na madad kerney ki tum say jiss jiss ney zulm kiya hai hum ussay bara azab chakhayen gay
Hum ney aap say pehlay jitnay rasool bhejay sab kay sab khana bhi khatay thay aur bazaron mein bhi chaltay phirtay thay aur hum ney tum say her aik ko doosray ki aazmaeesh ka zariya bana diya. Kiya tum sabar kero gay? Tera rab sab kuch dekhney wala hai
Aur jinhen humari mulaqat ki tawaqqa nahi unhon ney kaha kay hum per farishtay kiyon nahi utaray jatay? Ya hum apni aankhon say apnay rab ko dekh letay? Inn logon ney apnay aap ko ho boht bara samajh rakha hai aur sakht sirkashi ker li hai
Aur kafiron ney kaha kay iss per quran sara ka sara aik sath hi kiyon na utara gaya issi tarah hum ney (thora thora ker kay) utara takay iss say hum aap ka dil qavi rakhen hum ney issay thehar thehar ker hi parh sunaya hai
Aur qom-e-nooh ney bhi jab rasoolon ko jhoota kaha to hum ney unhen gharaq ker diya aur logon kay liye unhen nishan-e-ibrat bana diya. Aur hum ney zalimon kay liye dard-naak azab mohiyya ker rakha hai
Yeh log uss basti kay pass say bhi aatay jatay hain jin per buri tarah ki barish barsaee gaee kiya yeh phir bhi issay dekhtay nahi? Haqeeqat yeh hai kay enhen marr ker ji uthney ki umeed hi nahi
Aur tumhen jab kabhi dekhtay hain to tum say maskhara pann kerney lagtay hain. Kay kiya yehi woh shaks hain jinehn Allah Taalaa ney rasool bana ker bheja hai
(woh to kahiye) kay hum iss per jama rahey werna enhon ney to humen humaray maboodon say behka denay mein koi kasar nahi chori thi. Aur yeh jab azabon ko dekhen gay to enhen saaf maloom hojaye ga kay poori tarah raah say bhatka hua kaun tha
Kiya aap issi khayal mein hain kay inn mein say aksar suntay ya samajhtay hain. Woh to niray chopayon jaisay hain bulkay inn say bhi ziyada bhatkay huye
Kiya aap ney nahi dekha kay aap kay rab ney saye ko kiss tarah phela diya hai? Agar chahata to issay thehra hua hi ker deta. Phir hum ney aftab ko issi per daleel banaya
Aur be-shak hum ney issay unn kay darmiyan tarah tarah say biyan kiya takay woh naseehat hasil keren magar phir bhi aksar logon ney siwaye na-shukri kay mana nahi
Aur wohi hai jiss ney do samandar aapas mein mila rakhay hain yeh hai meetha aur mazedaar aur yeh hai khaari kerwa aur inn dono kay darmiyan aik hijab aur mazboot oot kerdi
Woh hai jiss ney pani say insan ko peda kiya phir issay nasab wala aur susrali rishton wala ker diya. Bila shuba aap ka perwerdigar (her cheez per) qadir hai
Yeh Allah ko chor ker unn ki ibadat kertay hain jo na to enhen koi nafa dey saken na koi nuksan phonca saken aur kafir to hay hi apna rab kay khilaf (shetan ki) madad kerney wala
Uss hamesha zinda rehnay walay Allah Taalaa per tawakkal keren jissay kabhi maut nahi aur uss ki tareef kay sath pakeezgi biyan kertay rahen woh apnay gunahon say kafi khabardaar hai
Wohi hai jiss aasmano aur zamin aur inn kay darmiyan ki sab cheezon ko cheh din mein peda ker diya hai phir arsh per mustawi hua woh rehman hai aap iss ka baray mein kissi khabar daar say pooch len
Inn say jabb bhi kaha jata hai kay rehman ko sajda kero to jawab detay hain rehman hai kiya? Kiya hum ussay sajda keren jiss ka tu humen hukum dey raha hai aur iss (tableegh) ney unn ki nafrat mein mazeed izafa ker diya
Aur ussi ney raat aur din ko aik doosray kay peechay aaney janey wala banaya uss shaks ki naseehat kay liye jo naseehat hasil kerney ya shukar guzari kerney ka irada rakhta ho
Rehman kay (sachay) banday woh hain jo zamin per farotni kay sath chaltay hain aur jab bey ilm log inn say baten kerney lagtay hain to woh keh detay hain kay salam hai
Aur Allah kay sath kissi doosray ko mabood nahi pukartay aur kissi aisay shaks ko jissay qatal kerna Allah Taalaa ney mana ker diya ho woh ba-juz haq kay qatal nahi kertay na woh zinah kay muratkib hotay hain aur jo koi yeh kaam keray woh apnay upper sakht wabaal laye ga
Siwaye unn logon kay jo tauba keren aur eman layen aur nek kaam keren aisay logon kay gunahon ko Allah Taalaa nekiyon say badal deta hai Allah bakhshney wala meharbaani kernay wala hai
Aur yeh dua kertay hain kay aey humaray perwerdigar! Tu humen humari biwiyon aur aulad say aankhon ki thandak ata farma aur humen perhezgaron ka paishwa bana
Keh dijiye! agar tumhari dua iltija (pukarna) na hoti to mera rab tumhari mutlaq perwa na kerta tum to jhutla chukay abb un-qareeb iss ki saza tumhen chimat janey wali hogi