Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 26 - Ash-Shuara
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Ash-Shuara 26:1
Tuaa-seen-meem
Verse 2 — Surah Ash-Shuara 26:2
Yeh aayaten roshan kitab ki hain
Verse 3 — Surah Ash-Shuara 26:3
Inn kay eman na laaney per shayad aap to apni jaan kho den gay
Verse 4 — Surah Ash-Shuara 26:4
Agar hum chahatay to inn per aasman say koi aisi nishani utartay kay jiss kay samney inn ki gardaney khum ho jatin
Verse 5 — Surah Ash-Shuara 26:5
Aur inn kay pass rehman ki taraf say jo bhi naee naseehat aaee yeh uss say roo-gardani kerney walay bann gaye
Verse 6 — Surah Ash-Shuara 26:6
Inn logon ney jhutlaya hai abb inn kay pass jaldi say iss ki khabren aajyen gi jiss kay sath woh maskhara pann ker rahey hain
Verse 7 — Surah Ash-Shuara 26:7
Kiya enhon ney zamin per nazaren nahi daalen? Kay hum ney iss mein her tarah kay nafees joray kiss qadar ugaye hain
Verse 8 — Surah Ash-Shuara 26:8
Be-shak iss mein yaqeenan nishani hai aur inn mein kay aksar log momin nahi hain
Verse 9 — Surah Ash-Shuara 26:9
Aur tera rab yaqeenan wohi ghalib aur meharbaan hai
Verse 10 — Surah Ash-Shuara 26:10
Aur jabb aap kay rab ney musa (alh-e-salam) ko aawaz di kay tu zalim qom kay pass jaa
Verse 11 — Surah Ash-Shuara 26:11
Qom-e-firaon kay pass kiya woh perhezgari na keren gay
Verse 12 — Surah Ash-Shuara 26:12
Musa (alh-e-salam) ney kaha meray perwerdigar! Mujhay to khof hai kay kahin woh mujhay jhutla (na) den
Verse 13 — Surah Ash-Shuara 26:13
Aur mera seena tang horaha hai meri zaban chal nahi rahi pus tu haroon ki taraf bhi (wahee) bhej
Verse 14 — Surah Ash-Shuara 26:14
Aur unn ka meray aik qasoor ka (dawa) bhi hai mujhay darr hai kay kahin woh mujhay maar na dalen
Verse 15 — Surah Ash-Shuara 26:15
Janab-e-baari ney farmaya! Hergiz aisa na hoga tum dono humari nishaniyan ley ker jao hum khud sunnay walay tumharay sath hain
Verse 16 — Surah Ash-Shuara 26:16
Tum dono firaon kay pass ja ker kaho kay bila shuba hum rab-ul-aalamaeen kay bhejay huye hain
Verse 17 — Surah Ash-Shuara 26:17
Kay tu humaray sath bani israeel ko rawana ker dey
Verse 18 — Surah Ash-Shuara 26:18
Fairaon ney kaha kiya hum ney tujhay teray bachpan kay zamaney mein apnay haan nahi pala tha? Aur tu ney apni umar kay boht say saal hum mein nahi guzaray
Verse 19 — Surah Ash-Shuara 26:19
Phir tu apna woh kaam ker gaya jo ker gaya aur tu na shukro mein hai
Verse 20 — Surah Ash-Shuara 26:20
(hazrat) musa (alh-e-salam) ney jawab diya kay mein ney uss kaam ko uss waqt kiya tha jabkay mein raah bhoolay huye logon mein say tha
Verse 21 — Surah Ash-Shuara 26:21
Phir tum say khof kha ker mein tum mein say bhaag gaya phir mujhay meray rab ney hukum-o-ilm ata farmaya aur mujhay apnay payghumbaron mein say ker diya
Verse 22 — Surah Ash-Shuara 26:22
Mujh per tera kiya yehi woh ehsan hai? Jissay tu jata raha hai kay tu ney bani israeel ko ghulam bana rakha hai
Verse 23 — Surah Ash-Shuara 26:23
Firaon ney kaha rab-ul-aalameen kiya cheez hai
Verse 24 — Surah Ash-Shuara 26:24
(hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya woh aasamano aur zamin aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon ka rab hai agar tum yaqeen rakhney walay ho
Verse 25 — Surah Ash-Shuara 26:25
Firaon ney apney ird-gird walon say kaha kay kiya tum sunn nahi rahey
Verse 26 — Surah Ash-Shuara 26:26
(hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya woh tumhara aur tumharay aglay baap dadon ka perwerdigar hai
Verse 27 — Surah Ash-Shuara 26:27
Firaon ney kaha (logo!) tumhara yeh rasool jo tumhari taraf bheja gaya hai yeh to yaqeenan deewana hai
Verse 28 — Surah Ash-Shuara 26:28
(hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya! Wohi mashriq-o-maghrib ka aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon ka rab hai agar tum aqal rakhtay ho
Verse 29 — Surah Ash-Shuara 26:29
Firaon kehney laga sunn ley! Agar tu ney meray siwa kissi aur ko mabood banaya tu mein tujhay qaidiyon mein daal doon ga
Verse 30 — Surah Ash-Shuara 26:30
Musa (alh-e-salam) ney kaha agar cheh mein teray pass koi khulli cheez ley aaon
Verse 31 — Surah Ash-Shuara 26:31
Firaon ney kaha agar tum sachon mein say hai to issay paish ker
Verse 32 — Surah Ash-Shuara 26:32
Aap ney (ussi waqt) apni laathi daal di jo achanak khullam khulla (zabardast) azdaha bann gaee
Verse 33 — Surah Ash-Shuara 26:33
Aur apna hath khench nikala to woh bhi ussi waqt her dekhney walay ko safaid chamkeela nazar aaney laga
Verse 34 — Surah Ash-Shuara 26:34
Firaon apnay aas pass kay sardaron say kehney laga bhaee yeh to koi bara dana jadoogar hai
Verse 35 — Surah Ash-Shuara 26:35
Yeh to chahata hai kay apnay jadoo kay zor say tumhen tumhari sirzameen say nikal dey batao abb tum kiya hukum detay ho
Verse 36 — Surah Ash-Shuara 26:36
Unn sab ney kaha aap issay aur iss kay bhai ko mohlat dijiye aur tamam shehron mein harkaaray bhej dijiye
Verse 37 — Surah Ash-Shuara 26:37
Jo aap kay pass zee ilm jadoogaron ko ley aayen
Verse 38 — Surah Ash-Shuara 26:38
Phir aik muqarrara din kay waday per tamam jadoogar jama kiye gaye
Verse 39 — Surah Ash-Shuara 26:39
Aur aam logon say bhi keh diya gaya kay tum bhi majmay mein hazir hojao gay
Verse 40 — Surah Ash-Shuara 26:40
Takay agar jadoogar ghalib aajayen to hum unhi ki pairwee keren
Verse 41 — Surah Ash-Shuara 26:41
Jadoogar agar firaon say kehney lagay kay agar hum jeet gaye to humen kuch inam bhi milay ga
Verse 42 — Surah Ash-Shuara 26:42
Firaon ney kaha haan! (bari khushi say) bulkay aisi soorat mein tum meray khas darbari bann jao gay
Verse 43 — Surah Ash-Shuara 26:43
(hazrat) musa (alh-e-salam) ney jadoogaron say farmaya jo kuch tumhen dalna hai daal do
Verse 44 — Surah Ash-Shuara 26:44
Unhon ney apni rassiyan aur laathiyan daal den aur kehney lagay izzat firaon ki qasam! Hum yaqeenan ghalib hi rahen gay
Verse 45 — Surah Ash-Shuara 26:45
Abb (hazrat) musa (alh-e-salam) ney bhi apni laathi maidan mein daal di jiss ney ussi waqt unn kay jhoot moot kay kartab ko nigalna shuroo ker diya
Verse 46 — Surah Ash-Shuara 26:46
Yeh dekhtay hi jadoogar bay ikhtiyar sajday mein gir gaye
Verse 47 — Surah Ash-Shuara 26:47
Aur unhon ney saaf keh diya kay hum to Allah rab-ul-aalameen per eman laye
Verse 48 — Surah Ash-Shuara 26:48
Yani musa (alh-e-salam) aur haroon kay rab per
Verse 49 — Surah Ash-Shuara 26:49
Firaon ney kaha kay meri ijazat say pehlay tum iss per eman ley aaye? Yaqeenan yehi tumhara woh bara (sardar) hai jiss ney tum sab ko jadoo sikhaya hai so tumhen abhi abhi maloom ho jaye ga qasam hai mein abhi tumharay haath paon ultay tor per kaat doon ga aur tum sab ko sooli per latka doon ga
Verse 50 — Surah Ash-Shuara 26:50
Unhon ney kaha koi haraj nahi hum to apnay rab ki taraf lotney walay hain hi
Verse 51 — Surah Ash-Shuara 26:51
Iss bina per kay hum sab say pehlay eman walay banay hain humen umeed parti hai kay humara rab humari sab khatayen moaaf farma dey ga
Verse 52 — Surah Ash-Shuara 26:52
Aur hum ney musa ko wahee ki kay raaton raat meray bandon ko nikal ley chal tum sab peecha kiye jao gay
Verse 53 — Surah Ash-Shuara 26:53
Firaon ney shehron mein harkaaron ko bhej diya
Verse 54 — Surah Ash-Shuara 26:54
Kay yaqeenan yeh giroh boht hi kum tadaad mein hai
Verse 55 — Surah Ash-Shuara 26:55
Aur iss per yeh humen sakht gazab-naak ker rahey hain
Verse 56 — Surah Ash-Shuara 26:56
Aur yaqeenan hum bari jamaat hain inn say chokanna rehnay walay
Verse 57 — Surah Ash-Shuara 26:57
Bil-aakhir hum ney enhen baghaat say aur chashmon say
Verse 58 — Surah Ash-Shuara 26:58
Aur khazano say. Aur achay achay muqamaat say nikal bahir kiya
Verse 59 — Surah Ash-Shuara 26:59
Issi tarah hua aur hum ney unn (tamam) cheezon ka waris bani israeel ko bana diya
Verse 60 — Surah Ash-Shuara 26:60
Pus fiaroni sooraj nikaltay hi unn kay taaqqub mein niklay
Verse 61 — Surah Ash-Shuara 26:61
Pus jab dono ney aik doosray ko dekh liya to musa kay saathiyon ney kaha hum to yaqeenan pakar liye gaye
Verse 62 — Surah Ash-Shuara 26:62
Musa ney kaha hergiz nahi. Yaqeen mano mera rab meray sath hai jo zaroor mujhay raah dikhaye ga
Verse 63 — Surah Ash-Shuara 26:63
Hum ney musa ki taraf wahee bheji kay darya per apni laathi maar pus ussi waqt darya phat gaya aur her aik hissa paani ka misil baray pahar kay hogaya
Verse 64 — Surah Ash-Shuara 26:64
Aur hum ney ussi jagah doosron ko nazdeek laa khara ker diya
Verse 65 — Surah Ash-Shuara 26:65
Aur musa (alh-e-salam) ko aur uss kay tamam saathiyon ko nijat dey di
Verse 66 — Surah Ash-Shuara 26:66
Phir aur sab doosron ko dobo diya
Verse 67 — Surah Ash-Shuara 26:67
Yaqeenan iss mein bari ibrat hai aur inn mein kay aksar log eman walay nahi
Verse 68 — Surah Ash-Shuara 26:68
Aur be-shak aap ka rab bara hi ghalib aur meharbaan hai
Verse 69 — Surah Ash-Shuara 26:69
Enhen ibrahim (alh-e-salam) ka waqiya bhi suna do
Verse 70 — Surah Ash-Shuara 26:70
Jabkay unhon ney apnay baap aur pani qom say farmaya kay tum kiss ki ibadat kertay ho
Verse 71 — Surah Ash-Shuara 26:71
Unhon ney jawab diya kay ibadat kertay hain buton ki hum to barbar inn kay mujawar bann bethay hain
Verse 72 — Surah Ash-Shuara 26:72
Aap ney farmaya jab tum enhen pukartay ho to kiya woh suntay bhi hain
Verse 73 — Surah Ash-Shuara 26:73
Ya tumhen nafa nuksan bhi phoncha saktay hain
Verse 74 — Surah Ash-Shuara 26:74
Unhon ney kaha yeh (hum kuch nahi jantay) hum ney to apnay baap dadon ko issi tarah kertay paya
Verse 75 — Surah Ash-Shuara 26:75
Aap ney farmaya kuch khabar bhi hai jinhen tum pooj rahey ho
Verse 76 — Surah Ash-Shuara 26:76
Tum aur tumharay aglay baap dada woh sab meray dushman hain
Verse 77 — Surah Ash-Shuara 26:77
Ba-juz sachay Allah Taalaa kay jo tamam jahaan ka palanhaar hai
Verse 78 — Surah Ash-Shuara 26:78
Jiss ney mujhay peda kiya hai aur wohi meri rehbari farmata hai
Verse 79 — Surah Ash-Shuara 26:79
Wohi hai jo mujhay khilata pilata hai
Verse 80 — Surah Ash-Shuara 26:80
Aur jab mein beemar par jaon to mujhay shifa ata farmata hai
Verse 81 — Surah Ash-Shuara 26:81
Aur wohi mujhay maar dalay ga phir zinda ker dey ga
Verse 82 — Surah Ash-Shuara 26:82
Aur jiss say umeed bandhi hui hai kay woh roz-e-jaza mein meray gunahon ko bakhsh dey ga
Verse 83 — Surah Ash-Shuara 26:83
Aey meray rab! Mujhay qooat-e-faisla ata farma aur mujhay nek logon mein mila dey
Verse 84 — Surah Ash-Shuara 26:84
Aur mera ziker-e-khair pichlay logon mein bhi baqi rakh
Verse 85 — Surah Ash-Shuara 26:85
Mujhay nematon wali jannat kay warison mein say bana dey
Verse 86 — Surah Ash-Shuara 26:86
Aur meray baap ko bakhsh dey yaqeenan woh gumrahon mein say tha
Verse 87 — Surah Ash-Shuara 26:87
Aur jiss sin kay log doobara jilaye jayen mujhay ruswa na ker
Verse 88 — Surah Ash-Shuara 26:88
Jiss din kay maal aur aulad kuch kaam na aaye gi
Verse 89 — Surah Ash-Shuara 26:89
Lekin faeeday wala wohi hoga jo Allah Taalaa kay samney bay aib dil ley ker jaye
Verse 90 — Surah Ash-Shuara 26:90
Aur perhezgaron kay liye jannat bilkul nazdeek laa di jaye gi
Verse 91 — Surah Ash-Shuara 26:91
Aur gumrah logon kay liye jahannum zahir ker di jaye gi
Verse 92 — Surah Ash-Shuara 26:92
Aur unn say poocha jayega kay jin ki tum pooja kertay rahey woh kahan hain
Verse 93 — Surah Ash-Shuara 26:93
Jo Allah Taalaa kay siwa thay kiya woh tumhari madad kertay hain? Ya koi badla ley saktay hain
Verse 94 — Surah Ash-Shuara 26:94
Pus woh sab aur kul gumrah log jahannum mein ondhay mun daal diye jayen gay
Verse 95 — Surah Ash-Shuara 26:95
Aur iblees kay tamam kay tamam lashkar bhi wahan
Verse 96 — Surah Ash-Shuara 26:96
Aapas mein lartay jhagartay huye kahen gay
Verse 97 — Surah Ash-Shuara 26:97
Kay qasam Allah ki! Yaqeenan hum to khulli ghalati per thay
Verse 98 — Surah Ash-Shuara 26:98
Jabkay tumhen rab-ul-aalameen kay barabar samajh bethay thay
Verse 99 — Surah Ash-Shuara 26:99
Aur humen to siwa inn badkaaron kay kissi aur ney gumrah nahi kiya tha
Verse 100 — Surah Ash-Shuara 26:100
Abb to humara koi sifarshi bhi nahi
Verse 101 — Surah Ash-Shuara 26:101
Aur na koi (sacha) ghum khuwar dost
Verse 102 — Surah Ash-Shuara 26:102
Agar kaash kay humen aik martaba phir jana milta to hum pakkay sachay momin bann jatay
Verse 103 — Surah Ash-Shuara 26:103
Yeh majra yaqeena aik bari zabardast nishani hai inn mein say aksar log eman laney walay nahi
Verse 104 — Surah Ash-Shuara 26:104
Yaqeenan aap ka perwerdigar hi ghalib meharbaan hai
Verse 105 — Surah Ash-Shuara 26:105
Qom-e-nooh ney bhi nabiyon ko jhutlaya
Verse 106 — Surah Ash-Shuara 26:106
Jabkay unn kay bhai nooh (alh-e-salam) ney kaha kay kiya tumhen Allah ka khof nahi
Verse 107 — Surah Ash-Shuara 26:107
Suno! Mein tumhari taraf Allah ka amanat daar rasool hun
Verse 108 — Surah Ash-Shuara 26:108
Pus tumhen Allah say darna chahaye aur meri baat manni chahaye
Verse 109 — Surah Ash-Shuara 26:109
Mein tum say iss per koi ajar nahi chahata mera badla to sirf rab-ul-aalameen kay haan hai
Verse 110 — Surah Ash-Shuara 26:110
Pus tum Allah ka khof rakho aur meri farmanbardari kero
Verse 111 — Surah Ash-Shuara 26:111
Qom ney jawab diya kay kiya hum tujh per eman layen! Teri tabey daari to razeel logon ney ki hai
Verse 112 — Surah Ash-Shuara 26:112
Aap ney farmaya! Mujhay kiya khabar kay woh pehlay kiya kertay rahey
Verse 113 — Surah Ash-Shuara 26:113
Unn ka hisab to meray rab kay zimmay hai agar tumhen shaoor ho to
Verse 114 — Surah Ash-Shuara 26:114
Mein eman walon ko dhakkay denay wala nahi
Verse 115 — Surah Ash-Shuara 26:115
Mein to saaf tor per dara denay wala hun
Verse 116 — Surah Ash-Shuara 26:116
Unhon ney kaha aey nooh! Agar tu baaz na aaya to yaqeenan tujhay sangsaar ker diya jaye ga
Verse 117 — Surah Ash-Shuara 26:117
Aap ney kaha aey meray perwerdigar! Meri qom ney mujhay jhutla diya
Verse 118 — Surah Ash-Shuara 26:118
Pus tu mujh mein aur inn mein koi qataee faisla ker dey aur mujha aur meray ba-emaan saathiyon ko nijat dey
Verse 119 — Surah Ash-Shuara 26:119
Chunacha hum ney ussay aur uss kay saathiyon ko bhari hui kashti mein (sawar kera ker) nijat dey di
Verse 120 — Surah Ash-Shuara 26:120
Bad-e-azan baqi kay tamam logon ko hum ney dobo diya
Verse 121 — Surah Ash-Shuara 26:121
Yaqeenan iss mein boht bari ibrat hai. Unn mein say aksar log eman laney walay thay bhi nahi
Verse 122 — Surah Ash-Shuara 26:122
Aur be-shak aap ka perwerdigar albatta wohi hai zabardast reham kerney wala
Verse 123 — Surah Ash-Shuara 26:123
Aadiyon ney bhi rasoolon ko jhutlaya
Verse 124 — Surah Ash-Shuara 26:124
Jabkay unn say unn kay bhai hood ney kaha kay kiya tum dartay nahi
Verse 125 — Surah Ash-Shuara 26:125
Mein tumhara amanatdaar payghumbar hun
Verse 126 — Surah Ash-Shuara 26:126
Pus Allah say daro aur mera kaha mano
Verse 127 — Surah Ash-Shuara 26:127
Mein iss per tum say koi ujrat talab nahi kerta mera sawab to tamam jahaan kay perwerdigar kay pass hi hai
Verse 128 — Surah Ash-Shuara 26:128
Kiya tum aik aik teelay per bator khel tamasha yaadgar (emaarat) bana rahey ho
Verse 129 — Surah Ash-Shuara 26:129
Aur bari san’at walay (mazboot mehal tameer) ker rahey ho goya kay tum hamesha yahin raho gay
Verse 130 — Surah Ash-Shuara 26:130
Aur jab kissi per hath daaltay ho to sakhti aur zulm say pakartay ho
Verse 131 — Surah Ash-Shuara 26:131
Allah say daro aur meri pairwee kero
Verse 132 — Surah Ash-Shuara 26:132
Uss say daro jiss ney unn cheezon say tumhari imdad ki jinhen tum jantay ho
Verse 133 — Surah Ash-Shuara 26:133
Uss ney tumahri madad ki maal say aur aulad say
Verse 134 — Surah Ash-Shuara 26:134
Baghaat say aur chashmon say
Verse 135 — Surah Ash-Shuara 26:135
Mujhay to tumhari nisbat baray din kay azab ka andesha hai
Verse 136 — Surah Ash-Shuara 26:136
Unhon ney kaha kay aap waaz kehn ya waaz kehney walon mein na hon hum per yaksan hai
Verse 137 — Surah Ash-Shuara 26:137
Yeh to bus puraney logon ki aadat hai
Verse 138 — Surah Ash-Shuara 26:138
Aur hum hergiz azab nahi diye jayen gay
Verse 139 — Surah Ash-Shuara 26:139
Chunkay aadiyon ney hazrat hood ko jhutlaya iss liye hum ney unhen tabah ker diya yaqeenan iss mein nishani hai aur inn mein say aksar bey eman thay
Verse 140 — Surah Ash-Shuara 26:140
Be-shak aap ka rab wohi hai ghalib meharbaan
Verse 141 — Surah Ash-Shuara 26:141
Samoodiyon ney bhi payghumbaron ko jhutlaya
Verse 142 — Surah Ash-Shuara 26:142
Unn kay bhai saleh ney unn say farmaya kay kiya tum Allah say nahi dartay
Verse 143 — Surah Ash-Shuara 26:143
Mein tumhari taraf Allah ka amanatdaar payghumbar hun
Verse 144 — Surah Ash-Shuara 26:144
To tum Allah say daro aur mera kaha mano
Verse 145 — Surah Ash-Shuara 26:145
Mein iss per tum say koi ujrat nahi mangta meri ujrat to bus perwerdigar-e-aalam per hi hai
Verse 146 — Surah Ash-Shuara 26:146
Kiya inn cheezon mein jo yahan hain tum aman kay sath chor diye jao gay
Verse 147 — Surah Ash-Shuara 26:147
Yaani inn baghon aur inn chashmon
Verse 148 — Surah Ash-Shuara 26:148
Aur inn kheton aur inn khajooron kay baghon mein jin kay shagoofay naram-o-nazuk hain
Verse 149 — Surah Ash-Shuara 26:149
Aur tum paharon ko taraash taraash ker pur takalluf makannat bana rahey ho
Verse 150 — Surah Ash-Shuara 26:150
Pus Allah say daro aur meri ita’at kero
Verse 151 — Surah Ash-Shuara 26:151
Bey baak hadd say guzar janey walon ki ita’at say baaz aajao
Verse 152 — Surah Ash-Shuara 26:152
Jo mulk mein fasad phela rahey hain aur islah nahi kertay
Verse 153 — Surah Ash-Shuara 26:153
Woh bolay kay bus tu unn mein say hai jin per jadoo ker diya gaya hai
Verse 154 — Surah Ash-Shuara 26:154
Tu to hum jaisa insan hai. Agar tu sachon say hai to koi moajza ley aa
Verse 155 — Surah Ash-Shuara 26:155
Aap ney farmaya yeh hai oontni pani peenay ki aik bari iss ki aur aik muqarrar din ki bari pani peenay ki tumhari
Verse 156 — Surah Ash-Shuara 26:156
(khabardar!) issay buraee say hath na lagana werna aik baray bhari din ka azab tumhari girift ker ley ga
Verse 157 — Surah Ash-Shuara 26:157
Phir bhi enhon ney uss ki koonchen kaat daalen bus woh pasheymaan hogaye
Verse 158 — Surah Ash-Shuara 26:158
Aur azab ney unhen aa dabocha. Be-shak iss mein ibrat hai. Aur inn mein say aksar log momin na thay
Verse 159 — Surah Ash-Shuara 26:159
Aur be-shak aap ka rab bara zabardast aur meharbaan hai
Verse 160 — Surah Ash-Shuara 26:160
Qom-e-loot ney bhi nabiyon ko jhutlaya
Verse 161 — Surah Ash-Shuara 26:161
Unn say unn kay bhai loot (alh-e-salam) ney kaha kiya tum Allah ka khof nahi rakhtay
Verse 162 — Surah Ash-Shuara 26:162
Mein tumhari taraf amanatdaar rasool hun
Verse 163 — Surah Ash-Shuara 26:163
Pus tum Allah Taalaa say daro aur meri ita’at kero
Verse 164 — Surah Ash-Shuara 26:164
Mein tum say iss per koi badla nahi maangta mera ajar to sirf Allah Taalaa per hai jo tamam jahaan ka rab hai
Verse 165 — Surah Ash-Shuara 26:165
Kiya tamam jahaan walon mein say mardon kay sath shehwat raani kertay ho
Verse 166 — Surah Ash-Shuara 26:166
Aur tumahri jin aurton ko Allah Taalaa ney tumhara jora banaya hai unn ko chor detay ho bulkay tum ho hi hadd say guzar janey walay
Verse 167 — Surah Ash-Shuara 26:167
Unhon ney jawab diya kay aey loot! Agar tu baaz na aaya to yaqeenan nikal diya jayega
Verse 168 — Surah Ash-Shuara 26:168
Aap ney farmaya mein tumharay kaam say sakht na khush hun
Verse 169 — Surah Ash-Shuara 26:169
Meray perwerdigar! Mujhay aur meray gharaney ko iss (wabal) say bacha ley jo yeh kertay hain
Verse 170 — Surah Ash-Shuara 26:170
Pus hum ney ussay aur uss kay mutalaqqeen ko sab ko bacha liya
Verse 171 — Surah Ash-Shuara 26:171
Ba-juz aik burhiya kay kay woh peechay reh jaaney walon mein ho gaee
Verse 172 — Surah Ash-Shuara 26:172
Phir hum ney baqi aur sab ko halak ker diya
Verse 173 — Surah Ash-Shuara 26:173
Aur hum ney unn per aik khas qisam ka meenh barsaya pus boht hi bura meenh tha jo daraye gaye logon per barsa
Verse 174 — Surah Ash-Shuara 26:174
Yeh majra bhi sirasir ibrat hai. Inn mein say bhi aksat musalman na thay
Verse 175 — Surah Ash-Shuara 26:175
Be-shak tera perwerdigar wohi hai ghalbay wala meharbaani wala
Verse 176 — Surah Ash-Shuara 26:176
Aeeka walon ney bhi rasoolon ko jhutlaya
Verse 177 — Surah Ash-Shuara 26:177
Jabkay inn say shoaib (alh-e-salam) ney kaha kay kiya tumhen darr khof nahi
Verse 178 — Surah Ash-Shuara 26:178
Mein tumhari tarah amanatdaar rasool hun
Verse 179 — Surah Ash-Shuara 26:179
Allah ka khof khao aur meri farmanbardari kero
Verse 180 — Surah Ash-Shuara 26:180
Mein iss per tum say koi ujrat nahi chahata mera ajar tamam jahaano kay paalney walay kay pass hai
Verse 181 — Surah Ash-Shuara 26:181
Naap poora bhara kero kum denay walon mein shamooliyat na kero
Verse 182 — Surah Ash-Shuara 26:182
Aur seedhi sahih tarazoo say tola kero
Verse 183 — Surah Ash-Shuara 26:183
Logon ko unn ki cheezen kami say na do bey baki kay sath zamin mein fasad machatay na phiro
Verse 184 — Surah Ash-Shuara 26:184
Uss Allah ka khof rakho jiss ney khud tumhen aur agli makhlooq ko peda kiya hai
Verse 185 — Surah Ash-Shuara 26:185
Unhon ney kaha tu to unn mein say hai jin per jadoo ker diya jata hai
Verse 186 — Surah Ash-Shuara 26:186
Aur tu to hum hi jaisa aik insan hai aur hum to tujhay jhoot bolney walon mein say hi samajhtay hain
Verse 187 — Surah Ash-Shuara 26:187
Agar tum sachay logon mein say hai to hum per aasaman kay tukray gira dey
Verse 188 — Surah Ash-Shuara 26:188
Kaha kay mera rab khoob jannay wala hai jo kuch tum ker rahey ho
Verse 189 — Surah Ash-Shuara 26:189
Chunkay unhon nay issay jhutlaya to unhen saaibaan walay din kay azab ney pakar liya. Woh baray bhari din ka azab tha
Verse 190 — Surah Ash-Shuara 26:190
Yaqeena iss mein bari nishani hai aur inn mein kay aksar musalman na thay
Verse 191 — Surah Ash-Shuara 26:191
Aur yaqeenan tera perwerdigar albatta wohi hai ghalbay wala merharbani wala
Verse 192 — Surah Ash-Shuara 26:192
Aur be-shak-o-shuba yeh (quran) rab-ul-aalameen ka nazil farmaya hua hai
Verse 193 — Surah Ash-Shuara 26:193
Issay amanatdaar farishta ley ker aaya hai
Verse 194 — Surah Ash-Shuara 26:194
Aap kay dil per utra hai kay aap aagah ker denay walon mein say ho jayen
Verse 195 — Surah Ash-Shuara 26:195
Saaf arabi zaban mein
Verse 196 — Surah Ash-Shuara 26:196
Aglay nabiyon ki kitabon mein bhi iss quran ka tazkarah hai
Verse 197 — Surah Ash-Shuara 26:197
Kiya enhen yeh nishani kafi nahi kay haqqaniyat quran ko to bani-israeel kay ulamaa bhi jantay hain
Verse 198 — Surah Ash-Shuara 26:198
Aur agar hum issay kissi ajami shaks per nazil farmatay
Verse 199 — Surah Ash-Shuara 26:199
Pus woh inn kay samney iss ki tilawat kerta to yeh issay bawar kerney walay na hotay
Verse 200 — Surah Ash-Shuara 26:200
Issi tarah hum ney gunehgaron kay dilon mein iss inkar ko dakhil ker diya hai
Verse 201 — Surah Ash-Shuara 26:201
Woh jab tak dard-naal azabon ko mulahiza na kerlen eman na layen gay
Verse 202 — Surah Ash-Shuara 26:202
Pus woh azab unn ko na gahan aajaye ga unhen iss ka shaoor bhi na hoga
Verse 203 — Surah Ash-Shuara 26:203
Uss waqt kahen gay kiya humen kuch mohlat di jayegi
Verse 204 — Surah Ash-Shuara 26:204
Pus kiya yeh humaray azab ki jaldi macha rahey hain
Verse 205 — Surah Ash-Shuara 26:205
Acha yeh bhi batao kay agar hum ney enhen kaee saal bhi faeeda uthaney diya
Verse 206 — Surah Ash-Shuara 26:206
Phir enhen woh azab aa laga jin say yeh dhamkaye jatay thay
Verse 207 — Surah Ash-Shuara 26:207
To jo kuch bhi yeh barattay rahey iss mein say kuch bhi faeeda na phoncha sakay ga
Verse 208 — Surah Ash-Shuara 26:208
Hum ney kissi basti ko halak nahi kiya hai magar issi haal mein kay uss kay liye daraney walay thay
Verse 209 — Surah Ash-Shuara 26:209
Naseehat kay tor per aur hum zulm kerney walay nahi hain
Verse 210 — Surah Ash-Shuara 26:210
Iss quran ko shetan nahi laye
Verse 211 — Surah Ash-Shuara 26:211
Aur na woh iss qabil hain na unhen iss ki taqat hai
Verse 212 — Surah Ash-Shuara 26:212
Bulkay woh to sunnay say bhi mehroon ker diye gaye hain
Verse 213 — Surah Ash-Shuara 26:213
Pus tu Allah kay sath kissi aur mabood ko na pukar kay tu bhi saza paney walon mein say ho jaye
Verse 214 — Surah Ash-Shuara 26:214
Apnay qareebi rishtay walon ko dara dey
Verse 215 — Surah Ash-Shuara 26:215
Uss kay sath farotni say paisa aa jo bhi eman laaney wala ho ker teri tabey daari keray
Verse 216 — Surah Ash-Shuara 26:216
Agar yeh log teri na farmani keren to tu elaan ker dey kay mein inn kamon say beyzaar hun jo tum ker rahey ho
Verse 217 — Surah Ash-Shuara 26:217
Apna poora bharosa ghalib meharbaan Allah per rakh
Verse 218 — Surah Ash-Shuara 26:218
Jo tujhay dekhta rehta hai jabkay tu khara hota hai
Verse 219 — Surah Ash-Shuara 26:219
Aur sajda kerney walon kay darmiyan tera ghoomna phirna bhi
Verse 220 — Surah Ash-Shuara 26:220
Woh bara hi sunnay wala aur khoob jannay wala hai
Verse 221 — Surah Ash-Shuara 26:221
Kiya mein tumhen bataon kay shetan kiss per utartay hain
Verse 222 — Surah Ash-Shuara 26:222
Woh her aik jhootay gunehgaar per utartay hain
Verse 223 — Surah Ash-Shuara 26:223
(uchat’ti) hui suni sunaee phoncha detay hain aur inn mein say aksar jhootay hain
Verse 224 — Surah Ash-Shuara 26:224
Shaeeron ki pairwee woh kertay hain jo behkay huye hon
Verse 225 — Surah Ash-Shuara 26:225
Kiya aap ney nahi dekha kay shaeer aik aik bayabaan mein sir takratay phirtay hain
Verse 226 — Surah Ash-Shuara 26:226
Aur woh kehtay hain jo kertay nahi
Verse 227 — Surah Ash-Shuara 26:227
Siwaye unn kay jo eman laye aur nek amal kiye aur ba-kasrat Allah Taalaa ka ziker kiya aur apni mazloomi kay baad intiqam liya jinhon ney zulm kiya hai woh bhi abhi jaan len gay kay kiss kerwat ulat’tay hain