(yaad hoga) jab musa (alh-e-salam) ney apnay ghar walon say kaha mein ney aag dekhi hai mein wahan say ya to koi khabar ley ker ya aag ka koi sulagta hua angara ley ker abhi tumharay pass aajaonga takay tum seenk taap kerlo
Jab wahan phonchay to aawaz di gaee kay ba-barkat hai woh jo iss aag mein hai aur barkat diya gaya hai woh jo uss kay aas pass hai aur pak hai Allah jo tamam jahano ka palney wala hai
Tu apni laathi daal dey musa ney jab ussay hilta julta dekha iss tarah kay goya woh aik saanp hai to mun moray huye peeth pher ker bhagay aur palat ker bhi na dekha aey musa! Khof na kha meray huzoor mein payghumber dara nahi kertay
Aur apna hath apney girbaan mein daal woh safaid chamkeela hoker niklay ga baghair kissi aib kay tu no nishaniyan ley ker firaon aur uss ki qom ki taraf jaa yaqeenan woh bad-kaaron ka giroh hai
Unhon ney inkar ker diya halankay unn kay dil yaqeen ker chukay thay sirf zulm aur takabbur ki bina per. Pus dekh lijiye kay inn fitna perdaaz logon ka anjam kaisa kuch hua
Aur hum ney yaqeenan dawood aur suleman ko ilm dey rakha thaaur dono ney kaha tareef uss Allah kay liye hai jiss ney humen apnay boht say eman daar bandon per fazeelat ata farmaee hai
Aur dawood kay waris suleman huye aur kehney lagay logo! Humen perindon ki boli sikhaee gaee hai aur hum sab kuch mein say diye gaye hain. Be-shak yeh bilkul khula hua fazal-e-elahee hai
Jab woh chewuntiyon kay maidan mein phonchay to aik chewunti ney kaha aey chewuntiyon! Apnay apnay gharon mein ghus jao aisa na ho kay bey khabri mein suleman aur uss ka lashkar tumhen rond dalay
Uss ki iss baat per suleman muskura ker hans diye aur dua kerney lagay kay aey perwerdigaar! Tu mujhay tofiq dey kay mein teri inn nematon ka shukar baja laaon jo tu ney mujh per inam ki hain aur meray maa baap per aur mein aisay nek amal kerta rahon jin say tu khush rahey mujhay apni rehmat say nek bandon mein shamil kerlay
Kuch ziyada dare na guzri thi kay aaker uss ney kaha mein aik aisi cheez ki khabar laya hun kay tujhay uss ki khabar hi nahi mein saba ki aik sachi khabar teray pass laya hun
Mein ney dekha kay unn ki badshaat aik aurat ker rahi hai jissay her qisam ki cheez say kuch na kuch diya gaya hai aur uss ka takht bhi bari azmat wala hai
Mein ney ussay aur uss ki qom ko Allah Taalaa ko chor ker sorraj ko sajda kertay huye paya shetan ney unn kay kaam unhen bhalay ker kay dikhla ker sahih raah say rok diya hai pus woh hidayat per nahi aatay
Kay ussi Allah kay liye sajday keren jo aasmano aur zaminon ki posheeda cheezon ko bahir nikalata hai aur jo kuch tum chupatay ho aur zahir kertay ho woh sab kuch janta hai
Uss ney kaha aey meray sardaro! Tum meray iss moamlay mein mujhay mashwara do. Mein kissi amar ka qataee faisla jab tak tumhari mojoodgi aur raye na ho nahi kiya kerti
Inn sab ney jawab diya kay hum taqat aur qooat walay sakht bhirney walay hain. Aagay aap ko ikhtiyar hai aap khud hi soch lijiye kay humen aap kiya kuch hukum farmati hain
Uss ney kaha badshah jab kissi basti mein ghustay hain to ussay ujaar detay hain aur wahan kay ba-izzat logon ko zaleel ker detay hain. Aur yeh log bhi aisa hi keren gay
Pus jab qasid hazrat suleman kay pass phoncha to aap ney farmaya kiya tum maal say mujhay madad lena chahatay ho? Mujhay to meray rab ney iss say boht behtar dey rakha hai jo uss ney tumhen diya hai pus tum hi apnay tohfay say khush raho
Jaa unn ki taraf wapis lot jaa hum unn (kay muqablay) per woh lashkar layen gay jin kay samney parney ki unn mein taqat nahi aur hum unhen zaleel-o-pust ker kay wahan say nikal bahir keren gay
Aik qavi hekal jinn kehney laga aap apni majlis say uthen uss say pehlay mein ussay aap kay pass laa deta hun yaqeen maniye kay mein iss per qadir hun aur hun bhi amanat daar
Jiss kay pass kitab ka ilm tha woh bol utha kay aap palak jhapkayen uss say bhi pehlay mein ussay aap kay pass phoncha sakta hun. Jab aap ney ussay apnay pass mojood paya to farmaney lagay yehi meray rab ka fazal hai takay woh mujhay aazmaye kay mein shukar guzari kerta hun aur jo na shukri keray to mera perwerdigar (bay perwa aur buzurg) ghani aur kareem hai
Phir jab woh aagaee to uss say kaha (daryaft kiya) gaya kay aisa hi tera (bhi) takht hai? Uss ney jawab diya kay yeh goya wohi hai humen iss say pehlay hi ilm diya gaya tha aur hum musalman thay
Uss say kaha gaya kay mehal mein chali jao jissay dekh ker yeh samajh ker kay yeh hoz hai uss ney apni pindliyan khol din farmay yeh to seeshay say mundhi hui emaarat hai kehnay lagi aey meray perwerdigar! Mein ney apnay aap per zulm kiya. Abb mein suleman kay sath Allah rab-ul-aalameen ki mootiy aur farmanbardaar banti hun
Yaqeenan hum ney samood ki taraf unn kay bhai saleh ko bheja kay tum sab Allah ki ibadat kero phir bhi woh do fareeq bann ker aapas mein larney jhagarney lagay
Aap ney farmaya aey meri qom kay logo! Tum neki say pehlay buraee ki jaldi kiyon macha rahey ho? Tum Allah Taalaa say istaghfaar kiyon nahi kertay takay tum per reham kiya jaye
Woh kehnay lagay hum to teri aur teray sathiyon ki bad-shagooni ley rahey hain? Aap ney farmaya tumhari bad-shagooni Allah kay haan hai bulkay tum fitney mein paray huye log ho
Unhon ney aapas mein bari qasmen kha kha ker ehad kiya kay raat hi ko saleh aur uss kay ghar walon per hum chapa maaren gay aur uss kay warison say saaf keh den gay kay hum uss kay ehal ki halakat kay waqt mojood na thay aur hum bilkul sachay hain
Tu keh dey kay tamam tareef Allah hi kay liye hai aur uss kay bar-gazeeda bandon per salam hai. Kiya Allah Taalaa behtar hai ya woh jinhen yeh log shareek thera rahey hain
Bhala batao to? Kay aasamano ko aur zamin ko kiss ney peda kiya? Kiss ney aasman say barish barsaee? Phir uss say haray bharay ba-ronaq baghaat uga diye? Unn baghon kay darakhton ko tum hergiz na uga saktay kiya Allah kay sath aur koi mabood bhi hai? Bulkay yeh log hut jatay hain (seedhi raah say)
Kiya woh jiss ney zamin ko qarar gaah banaya aur uss kay darmiyan nehren jari kerdin aur uss kay liye pahar banaye aur do samandaron kay darmiyan rok bana di kiya Allah kay sath koi aur mabood bhi hai? Bulkay inn mein say aksar kuch jantay hi nahi
Bay kus ki pukar ko jab kay woh pukaray kaun qabool ker kay sakhti ko door ker deta hai? Aur tumhen zamin ka khalfa banata hai kiya Allah Taalaa kay sath koi aur mabood hai? Tum boht kum naseehat-o-ibrat hasil kertay ho
Kiya woh jo tumhen khushki aur tari ki tareekiyon mein raah dikhata hai aur jo apni rehmat say pehlay hi khushkhabriyan denay wali hawayen chalata hai kiya Allah kay sath koi aur mabood bhi hai jinhen yeh shareek kertay hain unn sab say Allah buland-o-bala-tar hai
Kiya woh jo makhlooq ki awwal dafa pedaeesh kerta hai phir ussay lotaye ga aur jo tumhen aasman aur zamin say roziyan dey raha hai kiya Allah kay sath koi aur mabood hai keh dijiye kay agar sachay hoto apni daleel lao
Keh dijiye kay aasmano walon mein say zamin walon mein say siwaye Allah kay koi ghaib nahi janta unhen to yeh bhi nahi maloom kay kab utha kharay kiye jayen gay
Aur na aap andhon ko unn ki gumrahee say hata ker rehnumaee ker saktay hain aap to sirf unhen suna saktay hain jo humari aayaton per eman laye hain phir woh farmanbardaar ho jatay hain
Jab unn kay upper azab ka wada sabit hojaye ga hum zamin say unn kay liye aik janwar nikalen gay jo unn say batein kerta hoga kay log humari aayaton per yaqeen nahi kertay thay
Aur jiss din her ummat mein say unn logon kay giroh ko jo humari aayaton ko jhutlatay thay gher ghaar ker layen gay phir woh sab kay sab alaga ker diye jayen gay
Jab sab kay sab aa phonchen gay to Allah Taalaa farmaye ga kay tum ney meri aayaton ko bawajood yeh kay tumhen unn ka poora ilm na tha kiyon jhutlaya? Aur yeh bhi batlao kay tum kiya kuch kertay rahey
Kiya woh dekh nahi rahey hain kay hum ney raat ko iss liye banaya hai kay woh iss mein aaram hasil kerlen aur din ko hum ney dikhlaney wala banaya hai yaqeenan iss mein unn logon kay liye nishaniyan hain jo emaan-o-yaqeen rakhtay hain
Jiss din soor phooka jayega tum sab kay sab aasmanon walay aur zmain walay ghabra uthen gay magar jissay Allah Taalaa chahaye aur saray kay saray aajiz-o-pust ho ker uss kay samney hazir hongay
Aur aap paharon ko dekh ker apni jagah jamay huye khayal kertay hain lekin woh bhi badal ki tarah urtay phiren gay yeh hai san’at Allah ki jiss ney her cheez ko mazboot banaya hai jo kuch tum kertay ho uss say woh ba-khabar hai
Mujhay to bus yehi hukum diya gaya hai kay mein iss shehar kay perwerdigar ki ibadat kerta rahon jiss ney issay hurmat wala banaya hai jiss ki milkiyat her cheez hai aur mujhay yeh bhi farmaya gaya hai kay mein farmanbardaron mein say ho jaon
Aur mein quran ki tilawat kerta rahon jo raah-e-raast per aajaye woh apnay nafay kay liye raah-e-raast per aayega. Aur jo behak jaye to keh dijiye! kay mein to sirf hoshiyaar kerney walon mein say hun
Keh dijiye! kay tamam tareefen Allah hi ko saza waar hain woh un-qareeb apni nishaniyan dikhaye ga jinhen tum (khud) pehchan lo gay aur jo kuch tum kertay ho uss say aap ka rab ghafil nahi