Back to Languages

Urdu - Chapter 27 - An-Naml

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah An-Naml 27:1

Tua-Seen yeh aayaten hain quran ki (yani wazeh) aur roshan kitab ki

Verse 2 — Surah An-Naml 27:2

Hidayat aur khushkhabri eman walon kay liye

Verse 3 — Surah An-Naml 27:3

Jo namaz qaeem kertay hain aur zakat ada kertay hain aur aakhirat per yaqeen rakhtay hain

Verse 4 — Surah An-Naml 27:4

Jo log qayamat per eman nahi latay hum ney unhen unn kay kartoot zeenat daar ker dikhaye hain pus woh bhataktay phirtay hain

Verse 5 — Surah An-Naml 27:5

Yehi log hain jin kay liye bura azab hai aur aakhirat mein bhi woh sakht nuksan yaafta hain

Verse 6 — Surah An-Naml 27:6

Be-shak aap ko Allah hakeem-o-aleem ki taraf say quran sikhaya ja raha hai

Verse 7 — Surah An-Naml 27:7

(yaad hoga) jab musa (alh-e-salam) ney apnay ghar walon say kaha mein ney aag dekhi hai mein wahan say ya to koi khabar ley ker ya aag ka koi sulagta hua angara ley ker abhi tumharay pass aajaonga takay tum seenk taap kerlo

Verse 8 — Surah An-Naml 27:8

Jab wahan phonchay to aawaz di gaee kay ba-barkat hai woh jo iss aag mein hai aur barkat diya gaya hai woh jo uss kay aas pass hai aur pak hai Allah jo tamam jahano ka palney wala hai

Verse 9 — Surah An-Naml 27:9

Musa! Sunn baat yeh hai kay mein hi Allah hun ghalib ba-hikmat

Verse 10 — Surah An-Naml 27:10

Tu apni laathi daal dey musa ney jab ussay hilta julta dekha iss tarah kay goya woh aik saanp hai to mun moray huye peeth pher ker bhagay aur palat ker bhi na dekha aey musa! Khof na kha meray huzoor mein payghumber dara nahi kertay

Verse 11 — Surah An-Naml 27:11

Lekin jo log zulm keren phir uss kay ewaz neki keren uss buraee kay peechay to mein bhi bakshney wala meharbaan hun

Verse 12 — Surah An-Naml 27:12

Aur apna hath apney girbaan mein daal woh safaid chamkeela hoker niklay ga baghair kissi aib kay tu no nishaniyan ley ker firaon aur uss ki qom ki taraf jaa yaqeenan woh bad-kaaron ka giroh hai

Verse 13 — Surah An-Naml 27:13

Pus jab unn kay pass aankhen khol denay walay humaray moajzzay phonchay to woh kehney lagay yeh to sareeh jadoo hai

Verse 14 — Surah An-Naml 27:14

Unhon ney inkar ker diya halankay unn kay dil yaqeen ker chukay thay sirf zulm aur takabbur ki bina per. Pus dekh lijiye kay inn fitna perdaaz logon ka anjam kaisa kuch hua

Verse 15 — Surah An-Naml 27:15

Aur hum ney yaqeenan dawood aur suleman ko ilm dey rakha thaaur dono ney kaha tareef uss Allah kay liye hai jiss ney humen apnay boht say eman daar bandon per fazeelat ata farmaee hai

Verse 16 — Surah An-Naml 27:16

Aur dawood kay waris suleman huye aur kehney lagay logo! Humen perindon ki boli sikhaee gaee hai aur hum sab kuch mein say diye gaye hain. Be-shak yeh bilkul khula hua fazal-e-elahee hai

Verse 17 — Surah An-Naml 27:17

Suleman kay samney unn kay tamam lashkar jinnaat aur insan aur perind mein say jama kiye gaye (her her qisam ki) alag alag darja bandi kerdi gaee

Verse 18 — Surah An-Naml 27:18

Jab woh chewuntiyon kay maidan mein phonchay to aik chewunti ney kaha aey chewuntiyon! Apnay apnay gharon mein ghus jao aisa na ho kay bey khabri mein suleman aur uss ka lashkar tumhen rond dalay

Verse 19 — Surah An-Naml 27:19

Uss ki iss baat per suleman muskura ker hans diye aur dua kerney lagay kay aey perwerdigaar! Tu mujhay tofiq dey kay mein teri inn nematon ka shukar baja laaon jo tu ney mujh per inam ki hain aur meray maa baap per aur mein aisay nek amal kerta rahon jin say tu khush rahey mujhay apni rehmat say nek bandon mein shamil kerlay

Verse 20 — Surah An-Naml 27:20

Aap ney paerindon ka jaeeza liya aur farmaney lagay yeh kiya baat hai kay mein hud hud ko nahi dekhta? Kiya waqaee woh ghair hazir hai

Verse 21 — Surah An-Naml 27:21

Yaqeenan mein ussay sakht saza doon ga ya ussay zibah ker daloon ga ya meray samney koi sareeh daleel biyan keray

Verse 22 — Surah An-Naml 27:22

Kuch ziyada dare na guzri thi kay aaker uss ney kaha mein aik aisi cheez ki khabar laya hun kay tujhay uss ki khabar hi nahi mein saba ki aik sachi khabar teray pass laya hun

Verse 23 — Surah An-Naml 27:23

Mein ney dekha kay unn ki badshaat aik aurat ker rahi hai jissay her qisam ki cheez say kuch na kuch diya gaya hai aur uss ka takht bhi bari azmat wala hai

Verse 24 — Surah An-Naml 27:24

Mein ney ussay aur uss ki qom ko Allah Taalaa ko chor ker sorraj ko sajda kertay huye paya shetan ney unn kay kaam unhen bhalay ker kay dikhla ker sahih raah say rok diya hai pus woh hidayat per nahi aatay

Verse 25 — Surah An-Naml 27:25

Kay ussi Allah kay liye sajday keren jo aasmano aur zaminon ki posheeda cheezon ko bahir nikalata hai aur jo kuch tum chupatay ho aur zahir kertay ho woh sab kuch janta hai

Verse 26 — Surah An-Naml 27:26

Uss kay siwa koi mabood bar-haq nahi wohi azmat walay arsh ka malik hai

Verse 27 — Surah An-Naml 27:27

Suleman ney kaha abb hum dekhen gay kay tu ney sach kaha hai ya tu jhoota hai

Verse 28 — Surah An-Naml 27:28

Meray iss khat ko ley ja ker unhen dey dey phir unn kay pass say hut aa aur dekh kay woh kiya jawab detay hain

Verse 29 — Surah An-Naml 27:29

Woh kehney lagi aey sardaro! Meri taraf aik ba-wuqa’at khat daala gaya hai

Verse 30 — Surah An-Naml 27:30

Jo suleman ki taraf say hai aur jo bakhsish kerney walay meharbaan Allah kay naam say shuroo hai

Verse 31 — Surah An-Naml 27:31

Yeh kay tum meray samney sirkashi na kero aur musalman bann ker meray pass aajao

Verse 32 — Surah An-Naml 27:32

Uss ney kaha aey meray sardaro! Tum meray iss moamlay mein mujhay mashwara do. Mein kissi amar ka qataee faisla jab tak tumhari mojoodgi aur raye na ho nahi kiya kerti

Verse 33 — Surah An-Naml 27:33

Inn sab ney jawab diya kay hum taqat aur qooat walay sakht bhirney walay hain. Aagay aap ko ikhtiyar hai aap khud hi soch lijiye kay humen aap kiya kuch hukum farmati hain

Verse 34 — Surah An-Naml 27:34

Uss ney kaha badshah jab kissi basti mein ghustay hain to ussay ujaar detay hain aur wahan kay ba-izzat logon ko zaleel ker detay hain. Aur yeh log bhi aisa hi keren gay

Verse 35 — Surah An-Naml 27:35

Mein unhen aik hadiya bhejney wali hun phir dekh loon gi kay qasid kiya jawab ley ker lot’tay hain

Verse 36 — Surah An-Naml 27:36

Pus jab qasid hazrat suleman kay pass phoncha to aap ney farmaya kiya tum maal say mujhay madad lena chahatay ho? Mujhay to meray rab ney iss say boht behtar dey rakha hai jo uss ney tumhen diya hai pus tum hi apnay tohfay say khush raho

Verse 37 — Surah An-Naml 27:37

Jaa unn ki taraf wapis lot jaa hum unn (kay muqablay) per woh lashkar layen gay jin kay samney parney ki unn mein taqat nahi aur hum unhen zaleel-o-pust ker kay wahan say nikal bahir keren gay

Verse 38 — Surah An-Naml 27:38

Aap ney farmaya aey sardaro! Tum mein koi hai jo unn kay musalman ho ker phonchney say pehlay hi uss ka takht mujhay laa dey

Verse 39 — Surah An-Naml 27:39

Aik qavi hekal jinn kehney laga aap apni majlis say uthen uss say pehlay mein ussay aap kay pass laa deta hun yaqeen maniye kay mein iss per qadir hun aur hun bhi amanat daar

Verse 40 — Surah An-Naml 27:40

Jiss kay pass kitab ka ilm tha woh bol utha kay aap palak jhapkayen uss say bhi pehlay mein ussay aap kay pass phoncha sakta hun. Jab aap ney ussay apnay pass mojood paya to farmaney lagay yehi meray rab ka fazal hai takay woh mujhay aazmaye kay mein shukar guzari kerta hun aur jo na shukri keray to mera perwerdigar (bay perwa aur buzurg) ghani aur kareem hai

Verse 41 — Surah An-Naml 27:41

Hukum diya kay iss kay takht mein kuch pher badal kerdo takay maloom hojaye kay yeh raah paa leti hai ya unn mein say hoti hai jo raah nahi patay

Verse 42 — Surah An-Naml 27:42

Phir jab woh aagaee to uss say kaha (daryaft kiya) gaya kay aisa hi tera (bhi) takht hai? Uss ney jawab diya kay yeh goya wohi hai humen iss say pehlay hi ilm diya gaya tha aur hum musalman thay

Verse 43 — Surah An-Naml 27:43

Ussay unhon ney rok rakha tha jin ki woh Allah kay siwa perastish kerti rahi thi yaqeenan woh kafir logon mein say thi

Verse 44 — Surah An-Naml 27:44

Uss say kaha gaya kay mehal mein chali jao jissay dekh ker yeh samajh ker kay yeh hoz hai uss ney apni pindliyan khol din farmay yeh to seeshay say mundhi hui emaarat hai kehnay lagi aey meray perwerdigar! Mein ney apnay aap per zulm kiya. Abb mein suleman kay sath Allah rab-ul-aalameen ki mootiy aur farmanbardaar banti hun

Verse 45 — Surah An-Naml 27:45

Yaqeenan hum ney samood ki taraf unn kay bhai saleh ko bheja kay tum sab Allah ki ibadat kero phir bhi woh do fareeq bann ker aapas mein larney jhagarney lagay

Verse 46 — Surah An-Naml 27:46

Aap ney farmaya aey meri qom kay logo! Tum neki say pehlay buraee ki jaldi kiyon macha rahey ho? Tum Allah Taalaa say istaghfaar kiyon nahi kertay takay tum per reham kiya jaye

Verse 47 — Surah An-Naml 27:47

Woh kehnay lagay hum to teri aur teray sathiyon ki bad-shagooni ley rahey hain? Aap ney farmaya tumhari bad-shagooni Allah kay haan hai bulkay tum fitney mein paray huye log ho

Verse 48 — Surah An-Naml 27:48

Uss shehar mein no sardar thay jo zamin mein fasad phelatay rehtay thay aur islaah nahi kertay thay

Verse 49 — Surah An-Naml 27:49

Unhon ney aapas mein bari qasmen kha kha ker ehad kiya kay raat hi ko saleh aur uss kay ghar walon per hum chapa maaren gay aur uss kay warison say saaf keh den gay kay hum uss kay ehal ki halakat kay waqt mojood na thay aur hum bilkul sachay hain

Verse 50 — Surah An-Naml 27:50

Unhon ney makar (khufiya tadbeer) aur hum ney bhi aur woh issay samajhtay hi na thay

Verse 51 — Surah An-Naml 27:51

(abb) dekh ley unn kay makar ka anjam kaisa kuch hua Kay hum ney unn ko aur unn ki qom ko sab ko ghaarat ker diya

Verse 52 — Surah An-Naml 27:52

Yeh hain unn kay makanaat jo unn kay zulm ki waja say ujray paray hain jo log ilm rakhtay hain unn kay liye iss mein bari nishani hai

Verse 53 — Surah An-Naml 27:53

Hum ney unn ko jo eman laye thay aur perhezgaar thay baal baal bacha liya

Verse 54 — Surah An-Naml 27:54

Aur loot ka (zikar ker) jabkay uss ney apni qom say kaha kay kiya bawajood dekhney bhalney kay phir bhi tum bad-kaari ker rahey ho

Verse 55 — Surah An-Naml 27:55

Yeh kiya baat hai kay tum aurton ko chor ker mardon kay pass shewat say aatay ho? Haq yeh hai kay tum bari hi nadani ker rahey ho

Verse 56 — Surah An-Naml 27:56

Qom ka jawab ba-juz iss kehnay kay aur kuch na tha kay aal-e-loot ko apnay shehar say shahar badar kerdo yeh to baray pak baaz bann rahey hain

Verse 57 — Surah An-Naml 27:57

Pus hum ney ussay aur uss kay ehal ko ba-juz uss ki biwi kay sab ko bacha liya uss ka andaza to baqi reh janey walon mein hum laga hi chukay thay

Verse 58 — Surah An-Naml 27:58

Aur unn per aik (khas qisam ki) barish barsa di pus unn dhamkaye huye logon per buri barish hui

Verse 59 — Surah An-Naml 27:59

Tu keh dey kay tamam tareef Allah hi kay liye hai aur uss kay bar-gazeeda bandon per salam hai. Kiya Allah Taalaa behtar hai ya woh jinhen yeh log shareek thera rahey hain

Verse 60 — Surah An-Naml 27:60

Bhala batao to? Kay aasamano ko aur zamin ko kiss ney peda kiya? Kiss ney aasman say barish barsaee? Phir uss say haray bharay ba-ronaq baghaat uga diye? Unn baghon kay darakhton ko tum hergiz na uga saktay kiya Allah kay sath aur koi mabood bhi hai? Bulkay yeh log hut jatay hain (seedhi raah say)

Verse 61 — Surah An-Naml 27:61

Kiya woh jiss ney zamin ko qarar gaah banaya aur uss kay darmiyan nehren jari kerdin aur uss kay liye pahar banaye aur do samandaron kay darmiyan rok bana di kiya Allah kay sath koi aur mabood bhi hai? Bulkay inn mein say aksar kuch jantay hi nahi

Verse 62 — Surah An-Naml 27:62

Bay kus ki pukar ko jab kay woh pukaray kaun qabool ker kay sakhti ko door ker deta hai? Aur tumhen zamin ka khalfa banata hai kiya Allah Taalaa kay sath koi aur mabood hai? Tum boht kum naseehat-o-ibrat hasil kertay ho

Verse 63 — Surah An-Naml 27:63

Kiya woh jo tumhen khushki aur tari ki tareekiyon mein raah dikhata hai aur jo apni rehmat say pehlay hi khushkhabriyan denay wali hawayen chalata hai kiya Allah kay sath koi aur mabood bhi hai jinhen yeh shareek kertay hain unn sab say Allah buland-o-bala-tar hai

Verse 64 — Surah An-Naml 27:64

Kiya woh jo makhlooq ki awwal dafa pedaeesh kerta hai phir ussay lotaye ga aur jo tumhen aasman aur zamin say roziyan dey raha hai kiya Allah kay sath koi aur mabood hai keh dijiye kay agar sachay hoto apni daleel lao

Verse 65 — Surah An-Naml 27:65

Keh dijiye kay aasmano walon mein say zamin walon mein say siwaye Allah kay koi ghaib nahi janta unhen to yeh bhi nahi maloom kay kab utha kharay kiye jayen gay

Verse 66 — Surah An-Naml 27:66

Bulkay aakhirat kay baray mein unn ka ilm khatam ho chuka hai bulkay yeh iss ki taraf say shak mein hain. Bulkay yeh iss say andhay hain

Verse 67 — Surah An-Naml 27:67

Kafiron ney kaha kay kiya jab hum mitti ho jayen gay aur humaray baap dada bhi kiya hum phir nikalay jayen gay

Verse 68 — Surah An-Naml 27:68

Hum aur humaray baap dadon ko boht pehlay say yeh waday diye jatay rahey. Kuch nahi yeh to sirf aglon kay afsaney hain

Verse 69 — Surah An-Naml 27:69

Keh dijiye kay zamin mein chal phir ker zara dekho to sahi kay gunehgaron ka kaisa anjam hua

Verse 70 — Surah An-Naml 27:70

Aap inn kay baray mein ghum na keren aur inn kay dao ghaat say tang dil na hon

Verse 71 — Surah An-Naml 27:71

Kehtay hain kay yeh wada kab hai agar sachay ho to batla do

Verse 72 — Surah An-Naml 27:72

Jawab dijiye! kay shayad baaz woh cheezen jin ki tum jaldi macha rahey ho tum say boht hi qareen hogaee hon

Verse 73 — Surah An-Naml 27:73

Yaqeenan aap ka perwerdigar tamam logon per baray hi fazal wala hai lekin aksar log na-shukri kertay hain

Verse 74 — Surah An-Naml 27:74

Be-shak aap ka rab unn cheezon ko bhi janta hai jinhen unn kay seenay chupa rahey hain aur jinhen zahir ker rahey hain

Verse 75 — Surah An-Naml 27:75

Aasman-o-zamin ki koi posheeda cheez bhi aisi nahi jo roshan aur khulli kitab mein na ho

Verse 76 — Surah An-Naml 27:76

Yaqeena yeh quran bani israeel kay samney unn aksar cheezon ka biyan ker raha hai jin mein yeh ikhtilaf kertay hain

Verse 77 — Surah An-Naml 27:77

Aur yeh quran eman walon kay liye yaqeenan hidayat aur rehmat hai

Verse 78 — Surah An-Naml 27:78

Aap ka rab unn kay darmiyan apnay hukum say sab faislay ker dey ga woh bara hi ghalib aur dana hai

Verse 79 — Surah An-Naml 27:79

Pus aap yaqeenan Allah hi per bharosa rakhiye yaqeenan aap sachay aur khullay deen per hain

Verse 80 — Surah An-Naml 27:80

Be-shak aap murdon ko nahi suna saktay hain aur na behron ko apni pukar suna saktay hain jabkay woh peeth pheray roo gardaan ja rahey hon

Verse 81 — Surah An-Naml 27:81

Aur na aap andhon ko unn ki gumrahee say hata ker rehnumaee ker saktay hain aap to sirf unhen suna saktay hain jo humari aayaton per eman laye hain phir woh farmanbardaar ho jatay hain

Verse 82 — Surah An-Naml 27:82

Jab unn kay upper azab ka wada sabit hojaye ga hum zamin say unn kay liye aik janwar nikalen gay jo unn say batein kerta hoga kay log humari aayaton per yaqeen nahi kertay thay

Verse 83 — Surah An-Naml 27:83

Aur jiss din her ummat mein say unn logon kay giroh ko jo humari aayaton ko jhutlatay thay gher ghaar ker layen gay phir woh sab kay sab alaga ker diye jayen gay

Verse 84 — Surah An-Naml 27:84

Jab sab kay sab aa phonchen gay to Allah Taalaa farmaye ga kay tum ney meri aayaton ko bawajood yeh kay tumhen unn ka poora ilm na tha kiyon jhutlaya? Aur yeh bhi batlao kay tum kiya kuch kertay rahey

Verse 85 — Surah An-Naml 27:85

Ba-sabab iss kay kay unhon ney zulm kiya tha unn per baat jum jayegi aur woh kuch na bol saken gay

Verse 86 — Surah An-Naml 27:86

Kiya woh dekh nahi rahey hain kay hum ney raat ko iss liye banaya hai kay woh iss mein aaram hasil kerlen aur din ko hum ney dikhlaney wala banaya hai yaqeenan iss mein unn logon kay liye nishaniyan hain jo emaan-o-yaqeen rakhtay hain

Verse 87 — Surah An-Naml 27:87

Jiss din soor phooka jayega tum sab kay sab aasmanon walay aur zmain walay ghabra uthen gay magar jissay Allah Taalaa chahaye aur saray kay saray aajiz-o-pust ho ker uss kay samney hazir hongay

Verse 88 — Surah An-Naml 27:88

Aur aap paharon ko dekh ker apni jagah jamay huye khayal kertay hain lekin woh bhi badal ki tarah urtay phiren gay yeh hai san’at Allah ki jiss ney her cheez ko mazboot banaya hai jo kuch tum kertay ho uss say woh ba-khabar hai

Verse 89 — Surah An-Naml 27:89

Jo log nek amal layen gay unhen uss say behtar badla milay ga aur woh uss din ki ghabrahat say bey khof hongay

Verse 90 — Surah An-Naml 27:90

Aur jo buraee ley ker aayen gay woh ondhay mun aag mein jhonk diye jayen gay. Sirf wohi badla diye jao gay jo tum kertay rahey

Verse 91 — Surah An-Naml 27:91

Mujhay to bus yehi hukum diya gaya hai kay mein iss shehar kay perwerdigar ki ibadat kerta rahon jiss ney issay hurmat wala banaya hai jiss ki milkiyat her cheez hai aur mujhay yeh bhi farmaya gaya hai kay mein farmanbardaron mein say ho jaon

Verse 92 — Surah An-Naml 27:92

Aur mein quran ki tilawat kerta rahon jo raah-e-raast per aajaye woh apnay nafay kay liye raah-e-raast per aayega. Aur jo behak jaye to keh dijiye! kay mein to sirf hoshiyaar kerney walon mein say hun

Verse 93 — Surah An-Naml 27:93

Keh dijiye! kay tamam tareefen Allah hi ko saza waar hain woh un-qareeb apni nishaniyan dikhaye ga jinhen tum (khud) pehchan lo gay aur jo kuch tum kertay ho uss say aap ka rab ghafil nahi