Back to Languages

Urdu - Chapter 33 - Al-Ahzab

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Ahzab 33:1

Aey nabi Allah Taalaa say dartay rehna aur kafiron aur munafiqon ki baaton mein na aajana Allah Taalaa baray ilm wala aur bari hikmat wala hai

Verse 2 — Surah Al-Ahzab 33:2

Jo kuch aap ki janib aap kay rab ki taraf say wahee ki jati hai uss ki tabey daari keren (yaqeen mano) kay Allah tumharay her aik amal say ba-khabar hai

Verse 3 — Surah Al-Ahzab 33:3

Aap Allah hi per tawakkal rakhen woh kaar saazi kay liye kafi hai

Verse 4 — Surah Al-Ahzab 33:4

Kissi aadmi kay seenay mein Allah Taalaa ney do dil nahi rakhay aur apni jin biwiyon ko tum maa keh bethtay ho unhen Allah ney tumhari (sach much ki) maayen nahi banaya aur na tumharay ley paalak larkon ko (waqaee) tumharay betay banaya hai yeh to tumharay apnay mun ki baaten hain Allah Taalaa haq baat farmata hai aur woh (seedhi) raah sujhata hai

Verse 5 — Surah Al-Ahzab 33:5

Lay palakon ko unn kay (haqeeqi) baapon ki taraf nisbat kerkay bulao Allah kay nazdeek poora insaf yeh hi hai. Phir agar tumhen unn kay (haqeeqi) baapon ka ilm hi na ho to woh tumharay deeni bhai aur dost hain tum say bhool chook mein jo kuch hojaye uss mein tum per koi gunah nahi albata gunah woh hai jiss ka tum irada dil say kero. Allah Taalaa bara hi bakhshney wala meharbaan hai

Verse 6 — Surah Al-Ahzab 33:6

Payghumber momino per khud unn say bhi ziyada haq rakhney walay hain aur payghumber ki biwiyan momino ki maayen hain aur rishtay daar kitabullah ki roo say ba-nisbat doosray momino aur mohajiron kay aapas mein ziyada haq daar hain (haan) magar yeh kay tum apnay doston kay sath husn-e-salook kerna chahao. Yeh hukum kitab (elahee) mein likha hua hai

Verse 7 — Surah Al-Ahzab 33:7

Jabkay hum ney tamam nabiyon say ehad liya aur (bil-khusoos) aap say aur nooh say aur ibrahim say aur musa say aur mariyam kay betay essa say aur hum ney unn say (pakka aur) pukhta ehad liya

Verse 8 — Surah Al-Ahzab 33:8

Takay Allah Taalaa sachon say unn ki sachaee kay baray mein daryaft farmaye aur kafiron kay liye hum ney alamnaak azab tayyar ker rakhay hain

Verse 9 — Surah Al-Ahzab 33:9

Aey eman walo! Allah Taalaa ney jo ehsan tum per kiya ussay yaad kero jabkay tumharay muqablay ko fojon per fojen aaen phir hum ney unn per tez-o-tund aandhi aur aisay lashker bhejay jinhen tum ney dekha hi nahi aur jo kuch tum kertay ho Allah Taalaa sab kuch dekhta hai

Verse 10 — Surah Al-Ahzab 33:10

Jabkay (dushman) tumharay pass uper say aur neechay say charh aaye aur jabkay aankhen pathra gaen aur kalejay mun ko aagaye aur tum Allah Taalaa ki nisbat tarah tarah kay gumaan kerney lagay

Verse 11 — Surah Al-Ahzab 33:11

Yehi momin aazmaye gaye aur poori tarag woh jhanjhor diyey gaye

Verse 12 — Surah Al-Ahzab 33:12

Aur uss waqt munafiq aur woh log jin kay dilon mein (shak ka) rog tha kehney lagay Allah Taalaa aur uss kay rasool ney hum say mehaz dhoka faraib ka hi wada kiya tha

Verse 13 — Surah Al-Ahzab 33:13

Inn hi ki aik jamaat ney haank lagaee kay aey madina walon! Tumharay liye thikana nahi chalo lot chalo aur inn ki aik aur jamaat yeh keh ker nabi say ijazat maangney lagi kay humaray ghar ghair mehfooz hain halankay woh (khullat huyey aur) ghair mehfooz na thay (lekin) unn ka pukhta iradah bhaag kharay honey ka tha

Verse 14 — Surah Al-Ahzab 33:14

Aur agar madiney kay aitraaf say unn per (lashker) dakhil kiye jatay phir unn say fitna talab kiya jata to yeh zaroor issay barpa ker detay aur na lartay magar thori muddat

Verse 15 — Surah Al-Ahzab 33:15

Iss say pehlay to enhon ney Allah say ehad kiya tha kay peeth na pheren gay aur Allah Taalaa say kiye huyey waday ki baaz purs zaroor hogi

Verse 16 — Surah Al-Ahzab 33:16

Keh dijiye kay go tum maut say ya khof-e-qatal say bhago to yeh bhagna tumhen kuch bhi kaam na aaye ga aur uss waqt tum boht hi kum faeedah uthao gay

Verse 17 — Surah Al-Ahzab 33:17

Poochiye! To kay agar Allah Taalaa tumhen koi buraee phonchana chahaye ye tum per koi fazal kerna chahaye to kaun hai jo tumhen bacha sakay (ya tum say rok sakay?) apnay liye b-juz Allah Taalaa kay na koi humayati payen gay na madadgar

Verse 18 — Surah Al-Ahzab 33:18

Allah Taalaa tum mein say unhen (ba-khoobi) janta hai jo doosron ko roktay hain aur apnay bhai bando say kehtay hain kay humaray pass chalay aao. Au kabhi kabhi hi laraee mein aajatay hain

Verse 19 — Surah Al-Ahzab 33:19

Tumhari madad mein (pooray) bakheel hain phir jab khof-o-dehshat ka moqa aajaye to aap enhen dekhen gay kay aap ki taraf nazar jama detay hain aur inn ki aankhen iss tarah ghoomti hain jaisay uss shaks ki jiss per maut ki ghashi taari ho. Phir jab khof jata rehta hai to tum per apni tez zabano say bari baaten banatay hain maal kay baray hi harees hain yeh eman laye hi nahi hain Allah Taalaa ney inn kay tamam aemaal nabood ker diye hain aur Allah Taalaa per yeh boht hi aasan hai

Verse 20 — Surah Al-Ahzab 33:20

Samjhtay hain kay abb tak lashkar chalay aur agar fojen aajayen to tamannayen kertay hain kay kaash! Woh sehra mein badiya nashiniyon kay sath hotay kay tumhari khabren daryaft kiya kertay agar woh tum mein mojood hotay (to bhi kiya?) na lartay magar baraye naam

Verse 21 — Surah Al-Ahzab 33:21

Yaqeenan tumharay liye rasool Allah mein umdah namoona (mojood) hai her uss shaks kay liye jo Allah Taalaa ki aur qayamat kay din ki tawakka rakhta hai aur ba-kasrat Allah Taalaa ki yaad kerta hai

Verse 22 — Surah Al-Ahzab 33:22

Aur eman daron ney jab (kuffar kay) lashkaron ko dekha (bay saakhta) keh uthay! Kay enhin ka wada humen Allah Taalaa ney aur uss kay rasool ney diya tha aur Allah Taalaa aur uss kay rasool ney sach farmaya aur iss (cheez) ney unn kay eman mein aur shewa-e-faman bardari mein aur izafa ker diya

Verse 23 — Surah Al-Ahzab 33:23

Momino mein (aisay) log bhi hain jinhon ney jo ehad Allah Taalaa say kiya tha unhen sacha ker dikhaya baaz ney to apna ehad poora ker diya aur baaz ( moqay kay) muntazir hain aur unhon ney koi tabdeeli nahi ki

Verse 24 — Surah Al-Ahzab 33:24

Takay Allah Taalaa sahon ko unn ki sachaee ka badla dey aur agar chahaye to munafiqon ko saza dey ya unn ki toba qabool farmaye Allah Taalaa bara hi bakhshney wala boht hi meharbaan hai

Verse 25 — Surah Al-Ahzab 33:25

Aur Allah Taalaa ney kafiron ko gussay mein bharay huyey hi (na murad) lota diya unhon ney koi faeeda nahi paya aur uss jang mein Allah Taalaa khud hi momino ko kafi hogaya Allah Taalaa bara hi qooaton wala aur ghalib hai

Verse 26 — Surah Al-Ahzab 33:26

Aur jin ehal-e-kitab ney unn say saaz baaz kerli thi unhen (bhi) Allah Taalaa ney unn qilon say nikal diya aur unn kay dilo mein (bhi) rob bhar diya kay tum unn kay aik girho ko qatal ker rahey ho aur aik giroh ko qaidi bana rahey ho

Verse 27 — Surah Al-Ahzab 33:27

Aur uss ney tumhen unn ki zamino ka aur unn kay gharbaar ka aur unn kay maal ka waris bana ker diya aur uss zamin ka bhi jiss ko tumharay qadmon ney ronda nahi Allah Taalaa her cheez per qadir hai

Verse 28 — Surah Al-Ahzab 33:28

Aey nabi! Apni biwiyon say keh do kay agar tum zindaganiy-e-duniya aur zeenat-e-duniya chahati ho to aao mein tumhen kuch dey dila doon aur tumhen achaee kay sath tukhsat ker doon

Verse 29 — Surah Al-Ahzab 33:29

Aur agar tumhari murad Allah aur uss ka rasool aur aakhirat ka ghar hai to (yaqeen mano kay) tum mein say nek kaam kerney waliyon kay liye Allah Taalaa ney boht zabardast ajar rakh choray hain

Verse 30 — Surah Al-Ahzab 33:30

Aey nabi ki biwiyo! Tum mein say jo bhi khulli bey hayaee (ka irtikab) keray gi ussay dohra dohra azab diya jayega aur Allah Taalaa key nazdeek yeh boht hi sehal (si baat) hai

Verse 31 — Surah Al-Ahzab 33:31

Aur tum mein say jo koi Allah ki aur uss kay rasool ki farman bardaari keray gi aur nek kaam keray gi hum ussay ajar (bhi) dohra den gay aur uss kay liye hum ney behtareen rozi tayyar ker rakhi hai

Verse 32 — Surah Al-Ahzab 33:32

Aey nabi ki biwiyo! Tum aam aurton ki tarah nahi ho agar tum perhezgari ikhtiyar kero to naram lehjay say baat na kero kay jiss kay dil mein rog ho woh koi bura khayal keray aur haan qaeeday kay mutabiq kalam kero

Verse 33 — Surah Al-Ahzab 33:33

Aur apnay gharon mein qarar say raho aur qadeem jahiliyat kay zamaney ki tarah apna banao ka izhar na kero aur namaz ada kerti raho aur zakat deti raho aur Allah aur uss kay rasool ki itaat guzari kero. Allah Taalaa yehi chahta hai kay aey nabi ki ghar waliyon! Tum say woh ( her qisam ki) gandagi ko door kerday aur tumhen khoob pak ker day

Verse 34 — Surah Al-Ahzab 33:34

Aur tumharay gharon mein Allah ki jo aayaten aur rasool ki jo aahdees parhi jati hain unn ka zikar kerti raho yaqeenan Allah Taalaa lutf kerney wala khabar daar hai

Verse 35 — Surah Al-Ahzab 33:35

Bey shak musalman mard aur musalman aurten momin mard aur momin aurten farman bardaari kerney walay mard aur farman bardar aurten raast baaz mard aur raast baaz aurten aajzi kerney walay mard aur aajzi kerney wali aurten kheyraat kerney walay mard aur kheyraat kerney wali aurten rozay rakhney walay mard aur roza rakhney wali aurten apni sharamgah ki hifazat kerney walay mard aur hifazat kerney waliyan ba-kasrat Allah ka ziker kerney walay aur zikar kerney waliyan inn (sab kay) liye Allah Taalaa ney (wasee) maghfirat aur bara sawab tayyar ker rakha hai

Verse 36 — Surah Al-Ahzab 33:36

Aur (dekho) kissi momin mard-o-aurat ko Allah aur uss kay rasool kay faislay kay baad apnay kissi amar ka koi ikhtiyar baqi nahi rehta (yaad rakho) Allah Taalaa aur uss kay rasool ki jo bhi na farmani keray ga woh sareeh gumrahee mein paray ga

Verse 37 — Surah Al-Ahzab 33:37

(yaad rakho) jab kay tu uss shaks say keh raha tha jiss per Allah ney bhi inam kiya aur tu ney bhi kay tu apni biwi ko apnay pass rakh aur Allah say darr aur tu apnay dil mein woh baat chupaye huyey tha jissay Allah zahir kerney wala tha aur tu logo say khof khata tha halankay Allah Taalaa iss ka ziyada haq daar tha kay tu uss say daray pus jab kay zaid ney uss aurat say apni gharaz poori kerli hum ney ussay teray nikkah mein dey diya takay musalmano per apnay ley palakon ki biwiyon kay baray mein kissi tarah ki tangi na rahey jab kay woh apni gharaz unn say poori na ker len Allah ka (yeh) hukum to hoker hi rehney wala hai

Verse 38 — Surah Al-Ahzab 33:38

Jo cheezen Allah Taalaa ney apnay nabi kay liye muqarrar ki hain unn mein nabi per koi haraj nahi (yehi) Allah ka dastoor unn mein bhi raha jo pehlay huyey aur Allah Taalaa kay kaam andazay per muqarrar kiye huyey hain

Verse 39 — Surah Al-Ahzab 33:39

Yeh sab aisay thay kay Allah Taalaa key ehkaam phonchaya kertay thay aur Allah hi say dartay thay aur Allah kay siwa kissi say nahi dartay thay aur Allah Taalaa hisab leney kay liye kafi hai

Verse 40 — Surah Al-Ahzab 33:40

(logo) tumharay mardo mein say kissi kay baap Muhammad (PBUH) nahi lekin aap Allah Taalaa kay rasool hain aur tamam nabiyon kay khatam kerney walay aur Allah Taalaa her cheez ka (ba-khoobi) jannay wala hai

Verse 41 — Surah Al-Ahzab 33:41

Musalmano! Allah Taalaa ka zikar boht ziyada kero

Verse 42 — Surah Al-Ahzab 33:42

Aur subha-o-shaam uss ki pakeezgi biyan kero

Verse 43 — Surah Al-Ahzab 33:43

Wohi hai jo tum per apni rehmaten bhejta hai aur uss kay farishtay (tumahray liye dua-e-rehmat kertay hain) takay woh tumhen andheron say ujalay ki taraf ley jaye aur Allah Taalaa momino per boht hi meharbaan hai

Verse 44 — Surah Al-Ahzab 33:44

Jiss din yeh (Allah say) mulaqat keren gay inn ka tohfa salam hoga inn kay liye Allah Taalaa ney ba-izzat ajar tayyar ker rakha hai

Verse 45 — Surah Al-Ahzab 33:45

Aey nabi! Yaqeenan hum ney hi aap ko (rasool bana ker) gawahiyan denay wala khuskhabriyan sunanay wala aagah kerney wala bheja hai

Verse 46 — Surah Al-Ahzab 33:46

Aur Allah kay hukum say uss ki taraf bulaney wala aur roshan chiragh

Verse 47 — Surah Al-Ahzab 33:47

Aap momino ko khushkhabri suna dijiyey! Kay unn kay liye Allah ki taraf say boht bara fazal hai

Verse 48 — Surah Al-Ahzab 33:48

Aur kafiron aur munafiqon ka kehna na maniyey! Aur jo eeza (inn ki taraf say phonchay) uss ka khayal na kijiyey Allah per bharosa kiyey rahen aur kafi hai Allah Taalaa kaam bananay wala

Verse 49 — Surah Al-Ahzab 33:49

Aey momin! Jab tum momin auraton say nikkah kero phir hath laganey say pehlay (hi) tallaq dey do to unn per tumahra koi haq iddat ka nahi jissay tum shumaar kero pus tum kuch na kuch enhen dey do aur bhalay tareeq per unhen rukhsat kerdo

Verse 50 — Surah Al-Ahzab 33:50

Aey nabi hum ney teray liye teri woh biwiyan halal kerdi hain jinehn tum unn kay mehar day chuka hai aur woh londiyan bhi jo Allah Taalaa ney ghanimat mein tujhay di hain aur teray chacha ki larkiyan aur phophiyon ki betiyan aur teray mamo ki betiyan aur teri khalaon ki betiyan bhi jinhon ney teray sath hijrat ki hai aur woh ba-emaan aurat jo apna nafs nabi ko hiba ker day yeh uss soorat mein kay khud nabi bhi uss say nikkah kerna chahaye yeh khas tor per sirf teray liye hi hai aur momino kay liye hum issay ba-khoobi jantay hain jo hum ney inn per aur inn ki biwiyon aur londiyon kay baray mein (ehkaam) muqarrar ker rakhay hain yeh iss liye kay tujh per haraj waqey na ho Allah Taalaa boht bakhshney aur baray reham wala hai

Verse 51 — Surah Al-Ahzab 33:51

Inn mein say jissay tu chahaye door rakh day aur jissay chahaye apnay pass rakh ley aur agar tu unn mein say bhi kissi ko apnay pass bula ley jinhen tu ney alag ker rakha tha to tujh per koi gunah nahi iss mein iss baat ki ziyada tawakka hai kay inn aurton ki aankhen thandi rahen aur woh ranjeedah na hon aur jo kuch bhi tu enhen dey dey iss per sab ki sab razi rahen tumahray dilon mein jo kuch hai ussay Allah (khoob) janta hai. Allah Taalaa bara hi ilm aur hilm wala hai

Verse 52 — Surah Al-Ahzab 33:52

Iss kay baad aurten aap kay liye halal nahi aur na yeh (durust hai) kay inn kay badlay aur aurton say (nikkah keray) agarcheh unn ki soorat achi bhi lagti ho magar jo teri mamlooka hon. Aur Allah Taalaa her cheez ka (poora) nigehban hai

Verse 53 — Surah Al-Ahzab 33:53

Aey eman walo! Jab tak tumhen ijazat na di jaye tum nabi kay gharon mein na jaya kero khaney kay liye aisay waqt mein kay uss kay pakney ka intizar kertay raho bulkay jab bulaya jaye jao aur jab kha chuko nikal kharay ho wahin baaton mein mashghool na hojaya kero. Nabi ko tumhari iss baat say takleef hoti hai. To woh lehaaz ker jatay hain aur Allah Taalaa (biyan-e-) haq mein kissi ka lehaaz nahi kerta jab tum nabi ki biwiyon say koi cheez talab kero to parday kay peechay say talab kero tumahray aur unn kay dilon kay liye kamil pakeezgi yehi hai na tumhen yeh jaeez hai kay tum rasool Allah ko takleef do aur na tumhen yeh halal hai kay aap kay baad kisi waqt bhi aap ki biwiyon say nikkah kero. (yaad rakho) Allah ka nazdeek yeh boht bara (gunah) hai

Verse 54 — Surah Al-Ahzab 33:54

Tum kissi cheez ko zahir kero ya makhfi rakho Allah to her her cheez ka ba-khoobi ilm rakhney wala hai

Verse 55 — Surah Al-Ahzab 33:55

Unn aurton per koi gunah nahi kay woh apnay bapon aur apnay beton aur bhaiyon aur bhatijon aur bhanjon aur apni (mail jol ki) aurton aur milkiyat kay matehaton (londi, ghulam) kay samney hon. (aurton!) Allah say darti raho. Allah Taalaa yaqeenan her cheez per shahid hai

Verse 56 — Surah Al-Ahzab 33:56

Allah Taalaa aur iss kay farishtay iss nabi per rehmat bhejtay hain. Aey eman walon! Tum (bhi) inn per durood bhejo aur khoob salam (bhi) bhejtay raha kero

Verse 57 — Surah Al-Ahzab 33:57

Jo log Allah aur uss kay rasool ko ezza detay hain unn per duniya aur aakhirat mein Allah ki phitkaar hai aur unn kay liye nihayat ruswa kun azab hai

Verse 58 — Surah Al-Ahzab 33:58

Aur jo log momin mardon aur momin aurton ko ezza den baghair kissi jurum kay jo unn say sirzad hua ho woh (baray hi) bohtan aur sareeh gunah ka bojh uthatay hain

Verse 59 — Surah Al-Ahzab 33:59

Aey nabi! Apni biwiyon say aur apni shabzadiyon say aur musalmano ki aurton say keh do kay woh apnay upper apni chadaren latka liya keren iss say boht jald unn ki shanakht hojaya keray gi phir na sataee jayen gi aur Allah Taalaa bakhshney wala meharban hai

Verse 60 — Surah Al-Ahzab 33:60

Agar (abb bhi) yeh munafiq aur woh jin kay dilon mein beemari hai aur woh log jo madiney mein ghalat afwahen uraney walay hain baaz na aayen to hum aap ko unn (ki tabahee) per musallat ker den gay phir to woh chand din hi aap kay sath iss (shehar) mein reh saken gay

Verse 61 — Surah Al-Ahzab 33:61

Inn per phitkaar barsaee gaee jahan bhi mill jayen pakray jayen aur khoob tukray tukray ker diyey jayen

Verse 62 — Surah Al-Ahzab 33:62

Inn say aglon mein bhi Allah ka yehi dastoor jari raha. Aur tu Allah kay dastoor mein hergiz radd-o-badal na paye ga

Verse 63 — Surah Al-Ahzab 33:63

Log aap say qayamat kay baray mein sawal kertay hain. Aap keh dijiye! kay iss ka ilm to Allah hi ko hai aap ko kiya khabar boht mimkin hai qayamat bilkul hi qareeb ho

Verse 64 — Surah Al-Ahzab 33:64

Allah Taalaa ney kafiron per laanat ki hai aur unn kay liye bharakti hui aag tayyar ker rakhi hai

Verse 65 — Surah Al-Ahzab 33:65

Jiss mein woh humesha humesh rahen gay. Woh koi haami aur madadgar na payen gay

Verse 66 — Surah Al-Ahzab 33:66

Uss din unn kay chehray aag mein ulat pulat kiye jayen gay (hasrat-o-afsos say) kahen gay kay kaash hum Allah Taalaa aur rasool ki itaat kertay

Verse 67 — Surah Al-Ahzab 33:67

Aur kahen gay aey humaray rab! Hum ney apnay sardaron aur apnay baron ki mani jinhon ney humen raah-e-raast say bhatka diya

Verse 68 — Surah Al-Ahzab 33:68

Perwerdigar tu enhen dugna azab dey aur inn per boht bari laanat nazil farma

Verse 69 — Surah Al-Ahzab 33:69

Aey eman walo! Unn logon jaisay na bann jao jinhon ney musa ko takleef di pus jo baat unhon ney kahi thi Allah ney unhen uss say buri farma diya aur woh Allah ka nazdeek ba-izzat thay

Verse 70 — Surah Al-Ahzab 33:70

Aey eman walon! Allah Taala say daro aur seedhi seedhi (sachi) baaten kiya kero

Verse 71 — Surah Al-Ahzab 33:71

Takay Allah Taalaa tumharay kaam sanwaar day aur tumharay gunah moaaf farma dey aur jo bhi Allah aur uss kay rasool ki farma bardari keray ga uss ney bari murad paali

Verse 72 — Surah Al-Ahzab 33:72

Hum ney apni amanat ko aasmano per zamin per aur paharon per paish kiya pus sab ney iss ko uthaney say inkar ker diya aur iss say darr gaye (magar) insan ney issay utha liya woh bara hi zalim jahil hai

Verse 73 — Surah Al-Ahzab 33:73

(yeh iss liye) kay Allah Taalaa munafiq mardon aurton aur mushrik mardon aurton ko saza dey aur momin mardon aurton ki toba qabool farmaye aur Allah Taalaa bara hi bakhsney wala aur meharbaan hai